Jump to content

alSaifiya

اراکین
  • کل پوسٹس

    300
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    10

سب کچھ alSaifiya نے پوسٹ کیا

  1. Hidayat ut Talibeen Urdu/Persian Read online Yeh rahi poori book waisay bhai apne upar jo article pesh kiya woh bohot acha hai bohot mufeed hai Salikeen ke liye . Main Naqshbandi Mujadadi Saifi Silsilay mein bait hoon aur Nafi Asbat kar raha hoon . Jab mein pehli baar Zikar ki mehfil mein gaya tha toh wahan main ne kuch log dekhay jo Wajd mein chalay jatay thay main bohot hairaan hua yeh kya hai yeh kya ajeeb harkatain kar rahay hain lekin ab jaan gaya hoon ke woh kya tha aur khush naseeb hain woh log jinko yeh Salasil aur Kamil Pir o Murshid miltay hain . Waisay Salikeen ki rehnumayi ke liye ek choti book bhi likhi gayi jis mein har cheez mojud hai bohot detail ke saath is ka mutaliya bhi bohot mufeed hai isko Hazrat Pir Abid Hussain Saifi Sahib ne likha hai : Mamulat e Saifiyah Allah Humaray Pir o Murshid Hazrat Akhunzada Saif ur Rehman Mubarik Rehmatullah Alye ke Darjaat mein Bulandi farmaye aur Sab ko Kamil Pir o Murshid aur Naqshbandi Qadri Soharwardi Chishti jaisay Salasil se aur Azkaar se Mala Maal Farmaye .
  2. bohot khub Khalil bhai yeh toh abhi shuruwat hai ahista ahista inki corruption samnay aye gi . aur isi liye main ne Rizwaz sahib se kaha tha ke Jaldbazi achi cheez nahin jo shakhs bina kisi proof ke ilzamat lagaye aur faislay se pehlay apni jahaliyat ka muzahira kartay hue Begunnah ko bina saboot mujrim kahay usko Mun ki haath ki paon ki khani parti hai jaisa ke yahan hua Rizwan sahib hum logon mein aur aap mein faraq bataoon ? aap log Jahilon ki tarah ek hi baat pakrd letay ho na toh apka dalail se kuch lena dena hota hai na faislay se jabkeh hum log tab baat kartay hain jab us mein shak ki gunjaish na rahay aur Haq bilkul waziyah ho ke samnay aye . Basheer sawati pe kisi ne bhi ilzaam nahin lagaya hum mein se jabtak ke sach khud samnay na aya aur uska chor hona toh ab sabit hua warna bhagta na aur America wali baat aur doosri baton pe bokhlata na na hi jab asliyat samnay aanay lagi choron ki tarah bhagta Kazmi sahib be gunah thay is liye baithay rahay saray ilzamat ko face kiya phir jawab diya . to ab jab asliyat samnay aa gayi ab toh humara Haq hai na ke hum kahain : DEOBANDI MOLVI CHOR HAIN BASHEER CHURA CHOR HAI MOLVI DIESEL CHOR HAI JUI DAKUON AUR KAWA KHORON KI JAMAT HAI :lol: Sach kabhi chupta nahin aur batil chahay jald ya der se hi sahi zalil o khawar zaroor hota hai . Khalil bhai
  3. (sa) (sa) (sa) (sa) Wah Wah Wah isko kehtay hain CHOR MACHAYE SHOR Yeh dekhiye Last Part : http://www.youtube.com/watch?v=xHw08YYPgus Video on Youtube Yeh Corrupt Tarin Basheer urf Azam sahib bhaag gaye . yeh sab dekhain in ka naam toh Azam bhi nahin basheer hai aur inhon ne apna maslak tak badal diya paisay ki khatir. patah nahin kon hain yeh inki asliyat kya hai America se Corruption kar ke yahan aye hain aur jab inki polain khulni shuru hui toh Bhaag parday jaisa ke inki har shobay mein Adat hai khawa woh Deeni muamla ho ya Syasi yeh sirf khokhlay Ilzamat aur Dhoka Dahi se kaam letay hain . Dekhain kitna kitna barda bherdiya Pakistan mein baitha hua hai Raw ke Agent Mulq ko khanay walay ek Sharif aur Sachay Sunni pe toh Ilzaam sabit na karsky balkeh jab apna parda utha toh Bhaag Parde . جَاء الحَقُّ وَزَھَقَ البَاطِل انَّ البَاطِلَ کاَنَ زَھُوقَا Ab toh mujhay lagta hai mazeed kuch kehnay ki zaroorat nahin jis jis ne yeh dekh liya us ko nazar aa gaya hoga 420 kon hain aur Sachay aur Sharif kon Allah Paak Musalmano ko aisay Jhootay waziron aur aisi Corrupt Molvi Partiyon se Bachaye .jo Deen ke naam pe Duniya ko lut rahay hain aur Gharibon ka khoon choos rahay hain .
  4. Bhai kuch U use kartay hain kuch log O. Pakistan mein main ne jahan tak dekha hai log zayda tar U use kartay hain waisay U ke saath pesh ki awaz O ki nisbat zayada behtar nikalti hai is liye yeh meri raye hai ho sakta hai main ghalat hoon lekin U mujhay to zayda theek lagta hai lekin chunkeh dono spellings log use kartay hain is liye dono sahi hain . Lekin meri zati raye yeh hai keh " Muhammad " theek hai kiyunkeh MO se pesh ki awaz sahi nahin nikalti .
  5. Bhai aap meri baat sunain mujhay lagta hai shayad Azam Sawati sahib apkay rishtadar hain aur chunkeh woh bhi faragh ho gaye shayad is liye bhi apko sadma laga upar se Wazir sahib apke hummaslak nahin is liye toh is forum pe aitrazat kar rahay hain . aap hum pe aitrazat kartay hain ke g aap kabhi maslak ki ring se bahir nikal ke bhi baat karain . jabkeh khud baghair kisi wajah ke Azmi sahib ko zimadr thehra rahay hain agar apko itna patah hai ke apkay Saudi shehzaday ne khat bheja toh apko meri pesh ki gayi videos mein yeh nazar nahin aya keh Saudi shehzaday ya kisi ne bhi Kazmi sahib ka naam nahin liya jabkeh Kazmi sahib sachay thay isi liye Saudia gaye . Kazmi Sahib pe Ilzaam kisi ne nahin lagaye Shuru hi Molvi Diesel & Co. ne kiya take moqe ka faida utha ke kursi hasil kar lein . doosri baat yeh ke janab main bhi yahan chating karnay nahin aya na hi mujhay shoq hai faltu aap se ulajh ke time waste karnay ka main ne jo cheez apki baton mein feel ki unka jawab dena munasib samjha khair aap ilzaam lagatay rahain ek taraf to mantay hain ke court notice le chuki hai doosri taraf yeh apko pata nahin kiyun samjh nahin aata ke agar KAZMI SAHIB MUJRIM HOTAY TO NOTICE LIYE JANAY KE BAAD JAIL MEIN HOTAY JABKE UNPE KOI BHI ILZAM SABIT NAHIN HUA . Allah ki kasam khaa ke ek banda apni begunahi ka saboot de raha hai lekin aap ko kuch bhi nazar nahin aye ga kiyunkeh jab kisi se adawat ho toh uski koi baat sachi nahin lagti Khair apko toh samjh anay se rahi aur aap to shayad itnay phurtilay hain ke judge se pehlay aap ne hi faisla de diya to hum to Judge ki baat pe hi bharosa karain ge na ke apki baat pe InshAllah Haq hi samnay Aaye ga aur Jhooton ka bhi pata chal jaye ga . I am Ending this discussion with my Prays for Kazmi sahib .
  6. Bohot khub bhai acha poster mein ek choti se ghalti hai end mein jo she'r apne likha woh hai " Ibtidaye Ishq hai "ROTA" hai kya aapne rota ki jaga "HOTA" likh diya Khair bohot khub lagay rahiye .
  7. Saeedi bhai bohot khub .Kaisa jhoot pakra gaya in Jhooton ka inkay saray ke saray aitrazat aisay hi hain sab be buniyad aur Dhoka Dahi hai . Yeh log Patah nahin Allah ki Pakard se kiyun nahin dartay aisay Buhtano ko apni Zindagi ka hisa banaya hua hai in logon ne aur yeh jaan bujh kar aisa kartay hain aur hairat yeh ke phir bhi Sacha honay ka Dawa kartay hain . Allah ki Pannah is fitnay se ..
  8. Bilkul bhai aap theek keh rahay hain Is mein koi Shak nahin ke Gustakh e Sahaba Jahnum ke Kutton mein se hai aur bad Aqeeda hai Yeh raha woh munazra isko zaroor dekhain is mein in janab ki chuti kar di Sher e Ahle Sunnat ne http://www.youtube.com/watch?v=LJBCESme9O8 Full Debate on Youtube Baihre hall main is liye pooch raha tha takeh pata chal sakay humaray Ulema in kay baray mein kya kehtay hain aur inke Batil Aqaid ka Radd kis kis ne kiya . khair yeh Gustakh e Hazrat Ameer e Muawiya ka fitna aur Tafzili Rola aaj kal bohot phel Raha hai. Allah Musalmano ko In Tamam naye Aqaid aur fitnon se bachaye . Ameen Allah ki Panah Bad Aqeeda logon fitnon aur buray Aqaid se .
  9. (sa) (sa) Bhai aap ne In shia Janab ke saray Batil Aqaid ka Radd kar diya kahan gaye janab ab dekhtay hain aap kya kehtay hain apke toh saray Aqaid ek doosray se ulajh ke khatam ho jatay hain . aur Pesh kiye gaye Saboot ke baad ab ap ke paas koi Jawaz nahin raha apke Saray Sawalon ke Jawab ho gaye . Bhai Allah apko Jazza de
  10. G main ne youtube pe Syed Irfan Shah Sahib Mashahadi ka Munizara in ke saath dekha tha toh tab mujhay patah chala keh yeh aur in ke Walid Hazrat Muawia ke baray mein kya Aqeeda rakhtay hain us Munaziray mein toh Shah Sahib ne in se manwa liya tha lekin main ne sunna hai inhon ne baad mein apna Aqeeda phir se change kar diya aur abhi bhi usi par hain .in ke ek Murid ne mujhay youtube pe message kiya aur us ne Message mein Hazrat Muawia aur Hazrat Sufyan ke baray mein bardi gustakhi ki toh main yeh janana chahta hoon inke walid jinko yeh log Hazarvi Muhadith kehtay hain aur in ke baray mein Ahle Sunnah Wal Jammah ke Scholars kya kehtay hain ?? Yeh unki Tasveer hai : Yeh Janab kehtay hain Nara Tehqiq laganay wala Kharji hai aur sunni nahin hai + kehtay hain unke pichay Namaz bhi jaiz nahin ?? Inke baray mein Humaray Ulema kya farmatay hain ??
  11. bhai usman . Acha mujhay lagta hai ke kisi ne mujhay ek baar bataya tha ke Munchain Jard se saaf ka hukum hai khair ho sakta hai main ghalat samjha . anyways Shukriya ab jab Mufti Sahib ne bhi bata diya toh bohot behtar ho gaya takeh Ainda se is pe Aihtiyaat ki jaye .
  12. na jane kahan se yeh piece cut kar ke apnay pesh kar diya khair yeh lijiye Azam Sawati sahib ka Interview yeh tab ka hai jab Kazmi Sahib ka kisi ne naam bhi nahin liya tha . yeh hain Malvi fazl ke chahitay jinhon ne sab se pehlay ilzaam lagaya . http://www.youtube.com/watch?v=4tPLkx102P0 http://www.youtube.com/watch?v=HlqeCauB5ig aur jo investigation pehlay hui thi us mein bhi DG Hajj ko zimedar thehraya gaya tha Kazmi sahib ka toh kahin naam bhi nahin tha .yaar jab khud saudia walon ne Kazmi sahib ka naam nahin liya toh Yeh Molvi Diesel ko kahan se saboot mil gaye ilzamat laganay ke liye ?? wajah sirf kursi ki hai .Kazmi sahib agar mujrim hotay toh bakiyon ko Jail mein dala gaya in ka kisi ne kiyun naam nahin liya ??? ab baad mein ek Molvi Diesel ka admi direct Kazmi sahib pe ilzamat laganay shuru kar deta hai woh is muamlay mein kya MAMA lagta hai ?? usko kya hai woh apni wazarat sanbhalay kya apko yeh nahin dikhta keh yeh sab kiyun kiya gaya . un logon ne jahan Corruption waziyah sabit bhi hui wahan naam nahin liya aur Ek Sahrif Aadmi jin ke Gharanay ki Kasmain Dr. Qadeer khan khatay hain un par buhtaan bandha . sirf isliye ke inko side pe kar ke kursi harap li jaye. ajeeb zamana aagaya hai Sharif Aadmi ke pichay duniya lagi hui hai apnay gireban mein nahin dekhtay hum kya hain hum ne kya kya kiya .
  13. ek aur baat aap yeh batain ke agar Kazmi Sahib ne corruption ki hoti toh Saudi Corrupt Gov. ne Paisay kiyun diye ?? kya aap jantay hain keh Kazmi sahib ne woh paisay dilwaye jab Hajion ne Shikayat ki starting mein hi toh Kazmi Sahib khud Hijaz e Muqadas gaye aur tehqeeq ki aur Corrupt Saudi Gov. ko complain ki keh unhon ne Intazamat sahi nahin kiye is wajah se unhon ne apni ghalti ke Aizalay mein harjana bhara . aur jab Kazmi Sahib ne mazeed tehqiq ki koshish ki keh yeh Pakistan mein kis kis ne Corruption ki hai toh unko Saudia se wapis bula liya gaya yeh keh akr ke Aap humaray aur Saudis ke Taluqaat kharab karna chahtay hain . Allah ke Bando pehlay muamlay ki tehqiq kiya karo phir ilzamat lagaya karo kahin yeh na ho ke woh Buhtaan ho Main Fazal molvi ko is liye bich mein laya kiyunkeh main is muamlay se thorda sa waqif hoon keh yeh tamam chalakian molvi Diesal ki hain is liye uska naam liya sara taluq hi is muamlay se uska hai . aap ne kya upar pesh kiye gaye articles nahin parhay ?? aur kya aap ne koi khabar nahin parhi ?? kiyun Azam Sawati ko nikala gaya ?? iski wajah hi yeh hai keh usne Ilzam lagaya Kazmi Sahib pe jis ki waja se mamla bigar gaya . aap bajaye iske ke mujhay aisi batain kahain jin ka khud ilam nahin tehqiq karain . Molvi fazal aur uski party ka hi toh taluq hai is muamlay se . Mera Atack molvi Fazal par waziyah aur muamlay ki nisbat hai . jabkeh aap ko is muamlay mein poori malumaat nahin hai is liye app Kazmi sahib pe attack kar rahay hain . aap apni Tarah se Tehqiq karain . sach aap ke samnay aa jaye ga . Umeed karta hoon apko ab samjh aagayi ho gi . aur agar apko lagay keh meri batain thordi sakht hain toh is ki wajah sirf yeh hai keh main un basis pe baat akr raha hoon jo main ne suni nahin DEHKI hain .aur aap shayad yeh samjh rahay hain keh main baghair kisi wajah ke molvi Fazal ( Diesel ) pe attack kar raha hoon . Allah Paak InshAllah Jald faisla farmaye ga aur Haq sab ke samnay aaye ga . Meri aur mere ghar walon ki Duain Kazmi Sahib ke saath hain . Asalam o Alikum
  14. Janab phir shayad apko is muamlay ki koi information hi nahin hai . apko shayad puray muamlay ka patah hi nahin kya chal raha hai aur kya masail hain . main Maulana Fazal ka naam is liye le raha hoon . kiyunkeh Unki Party aur Azam Sawati jo unki party ka hai inhon ne Adalat mein sab se pehlay abhi kisi ne Kazmi Sahib ke baray mein baat bhi nahin ki thi toh un logon ne sab se pehlay ilzam lagay tha yeh main ne apni ankhon se dekha tha . aur aap kehtay hain keh Saudi Shehazaday ne Kazmi Sahib pe Ilzam lagay kya apkay paas iska proof hai ?? agar hai toh yahan post karain kiyunkeh apka nukta e nazar bhi samnay aa jaye ga keh aap Kazmi sahib ke kiyun khilaaf hain . Aap behtar hai is muamlay mein tohrda sa search kar ke Information lein ke Asal problem kya hai Molana Fazal ki party ke Wazir Azam Sawati ne Ilzaam lagaya aur court mein gaya . aur jab muamla bohot zayada agg pakar gaya toh Gilani sahib ne dono ko bartarf kar diya kiyunkeh is tarah tamtamasha ban raha tha , IS SAB MEIN KASOOR MOLVI FAZAL AUR AZAM SAWATI KA HAI . JINHON NE ADALT MEIN JAA KEH BAGHAIR KISI WAJAH KE KAZMI SAHIB PE ILZAMAT LAGAYE .UNKA TOH NAAM BHI NAHIN THA . aur baat rahi Kazmi sahib ki corruption ki toh aap mujhay yeh batain ke abhi un pe corruption sabit bhi nahin hui aur aap un pe atack kar rahay hain ?? agar unhon ne corruption ki hoti toh abhi tak Jail mein na hotay ?? unhon ne Adalt mein mana ke Corruption hui hai lekin nichli satah pe hui hai yeh toh nahin kaha ke main ne corruption ki hai yeh hi ek Imaan dar admi ki nishani hoti hai . jo kahin bhi Haq nahin chupata chahay kitni hi mushkil mein kiyun na par jaye ..
  15. Yeh dekh lijiye Rizwan Sahib . aap mujhay keh rahay thay na keh Molana Fazl ur Rehman ko bich mein kiyun laa rahay hain . ab pata chala apko uper naya saboot parh lein Sunni Defender bhai ne apni post ko edit kar ke dall diya hai . Toh Janab baat yehi hai keh Molana Fazl sahib asal mein is sab ke pichay thay . takeh kursi mil jaye Kursi ka Lalach Molvi fazal sahib ko hai na Keh Azmi Sahib ko . Ab aap khud batayain aisay molviyon ke baray mein aap kya kahain ge . Doosron pe ungli uthani bohot hi asaan hai jabkeh khud kya hain patah hi nahin . Molvi fazal sahib se koi kya umeed kar sakta hai . Sab unkey kirdar aur un ke baray mein jantay hain main ne koi nayi baat nahin ki . Ab toh apkay sawalon ka Jawab bhi SunniDefender bhai ne day diya . ab aap kya kahain ge ?? Ek Taraf Kazmi Sahib keh rahay hain Allah ka Shukar hai ke Mujhay bartaraf kar diya gaya. Doosri Taraf Molvi Fazal sahib ne ludi dali hui hai ke kal tak humari kursi wapis na hui toh sari Wazrtain chord dein ge . KON NIKLA KURSI KA LALCHI . ISI LIYE KEHTA HOON JALDI BAZI MEIN NAHIN BOLNA CHAHIYE , AB APKAY APNAY ILFAZ HI APKE GALAY PARD GAYE NA ??
  16. G Bilkul aap sahi keh rahay hain shayad tezi se likhtay waqt ilfaaz mein ghalti ho gayi is liye toh main ne kaha keh Ek Muthi se kam Darhi ko Ulema ne Haram kaha hai . Tezi mein wordings mein ghalti ho gayi Correct kiye deta hoon .
  17. yeh to wohi bata saktay hain . Waisay Darhi kam az kam ek muthi honi chahiye . Hadith sharif mein aata hai jis ka mafhoom kuch yun hai keh . Apni Munchain saaf karo aur Darhi barhao chand ek Ahadith pesh karta hoon . Darhi Katwanay ya ek Muthi se kam Rakhna Haram hai Ulema ke Mutabiq aur Darhi "KAM AZ KAM EK MUTHI " Rakhna Wajib hai . humain Nabi Paak ki Sunnat pe Amal karna Chahiye aur Ek Muthi Darhi Rakhni aur Munchon ko Saaf karna Chahiye . Wallah o Alim [EDIT] Usman bhai ghalti ko sahi karnay ke liye shukriya .
  18. Ap kehtay hain keh maslak ki ring se bahir niqal ke baat karoon . toh janab aap mujhay yeh bata dein keh Pakistan ke corrupt tareen wuzra ke baray mein aplog kiyun nahin shor machatay ?? Youtube pe aap logon ne jo propaganda chalaya hua hai Kazmi sahbi ke khilaaf kya aap us se anjaan hain ?? aur yeh bhi batain ke aap logon ne youtube pe Corrupt Politicians Ya Anti Pakistani Molvi Madni sahib ke baray mein kya kiya hai ? kiyun apko sirf Kazmi Sahib se hi Adawat hai jabkeh unpar abhi tak sirf ilzaam hai Sabit nahin hua . aap kehtay hain keh har muamlay mein firqa warana guftagu achi baat nahin . toh aap yeh batain keh is pooray muamlay mein Ilzaam kis ne lagaya aur Hamid sahib ki kya Dushmani thi kisi se jo keh Unki Mukhalifat ki gayi aur woh bhi Deobandion ne kiyun ki?? us ke baad aap yahan aa ke unke khilaaf baat kiyun kar rahay hain?? Firqa warana batain aap kartay hain jab aap ko jawab diya jata hai toh aag lag jati hai. pehlay baat hi na is tarah ki kiya karain na . agar aap firqa parast nahin toh yeh batain keh aap yahan Kazmi sahib pe hi kiyun attack kar rahay hain ?? agar aap yeh Is Wajah se Nahin kar rahay ke woh doosray maslak ke hain aur agar aap sirf Pakistan ki Muhabat mein yeh batain kar rahay hain . toh Isi forum pe ek jagah apke Madni Sahib jo ke Deoband Indian Politician hain unki statements bhi mojud hain wahan apki Muhabat kiyun josh nahin marti ?? kya apko Maloom hai keh Molvi Madni sahib Pakistan ke baray mein kya kya kehtay hain ?? woh Toh saaf iqrar kartay hain keh hum ne Pakistan bananay ki Mukhalfat ki hai . ab main ne wohi toh kaha jo aap log khud kehtay hain . aur agar aap un se Mutafiq nahin hain aur Pakistan ke Sachay Muhib hain toh aap keh dein ke Aap un se Ikhtilaaf rakhtay hain aur woh Madni Sahib Jhoot boltay hain Pakistan bananay mein hum bhi Shamil thay aur hum Pakistan ke Sachay Muhib hain aur sirf doosray Maslak pe nahin balkeh apnay molviyon pe bhi tanqeed kartay hain agar Muamla Pakistan ko ho . TOH Main yahin pe apnay Ilfaaz wapis loonga sab ke samnay . aur manoon ga keh waqiya hi apne Firqa warana baat nahin ki Balkay aap Sachay Pakistani hain .. Simple Aap Atack kar ke yeh umeed kartay hain keh hum Khamoshi se Dekhain . Jabkeh apko bajaye yahan pe Tanqeed karnay ke sabr se kaam lena chahiye Abhi koi Juram Sabit bhi nahin hua aur aap Atack kar rahay hain Is se kya matlab nikalta hai ?? Yehi keh aap ko Kazmi sahib se Adawat hai kiyunkeh woh Sunni hain apke Maslak ke nahin . Main Firqa waran Atack karta hoon ya aap ? Umeed karta hoon ke aap Yahan Sachay Pakistani ki tarah Madni Sahib ki Mukhalifat karain ge agar aap Firqa parast nahin . aur Main Inshallah apnay Ilfaaz Wapis loonga agar aisa hua ..
  19. Oye Aala Hazrat ke Dor mein toh TV THAY HI NAHIN . Channels kahan se aa gaye ?? LOL Janab aap mein toh common sense bhi nahin hai Munazir sahib Acha aap Aala Hazrat ka fatwa dikha do Tv Par ya channel Par .. LOL :lol:
  20. Munazra.... lol toh janab ap munazra kar rahay hain Proof No. 1 : http://www.islamimehfil.com/topic/9235-kiya-shia-kafir-hain/page__view__findpost__p__66704 Kiyunkeh Apke Aqaid hi shiyon walay hain . Sahabi ki shaan mein Gustakhi Shiay Kartay hain Ispe hi Imam Jami ka koi qol dikha dein aap agar apko itni Muhabat hai awliya se . kya kisi jagah unhon ne Kaha keh Koi gustakh e Sahaba Sunni ho sakta hai ?? http://www.islamimeh...ir-abdul-qadir/ is Wajah se . apni post parhiye . apnay aap ko hanfi keh ke aqiday saray shion walay show kar rahay hain Imam Mahdi ko ghaib mananay walay Hazrat Ameer Mawiya ki shaan mein gustakhi kar keh bhi itni jurat ke apnay apko Sunni kehtay ho?? behre hall kisi bhi sunni ke samnay chahay woh Ilam Rakhta ho ya Na Rakhta ho aisi batain karein ge toh woh Apko nahin dekha ga ke Imam Abu Hanifa ke Muqalid hain ya kis ke Direct apke mun pe Shia hi kahay ga .. Janab aapke Mutabiq koi bhi Apnay naam ke agay Hanfi likh le aur Aqaid uska koi bhi Ahle Sunnat Wal Jammat Wala na ho toh kya woh Sunni ho jaye ga ? kya apko nahin lagta aap bachon ki tarah behave kartay hain apnay apko ko hanfi kehtay hain na toh chalo ye hi dalil dikha do keh Imam Abu Hanifa ne kis jagah kaha keh Gustakh e Shaba Sunni hai ?? yeh hi dalil dikha do bas aur kuch nahin dekhna chahtay . aap yeh dikha do . Aala Hazrat ke baray mein koi bhi jawab dekhna hai toh yahan jaa ke pehlay search kijiye agar na milay toh phir thread banaiye apko InshAllah apke Jawab mil Jayain ge : http://www.islamimeh...at-key-jawabat/ Lagta hai apko Hazrat Jammi Rehmatullah Alye se badi Muhabat hai toh phir yeh Bhi Bata Dijiye ke woh Hazrat Ameer Mawiya ke baray mein kya Aqeeda rakhtay thay ?? aur kya apka Aqida un se milta hai ?? apka Hisab Khaja Sara wala hai janab na idhar ke na udhar ke Shion walay Aqeeday aur Daway sunni honay ke lagta hai inke liye bhi koi naya Section banana Paray ga ( Khaja Sarah ) walay hisb ke tehat Iqrar e Sunniyat aur Aqaid e Rafdiyat ke naam pe ap ko sakht zaroorat hai ke Aap pehlay forumrules parhain kiyunkeh apki harkaton se lagta hai apko forum use karnay aur forum pe baat cheet karna ki tameez nahin . warna Moderator ke baar baar kehnay pe bhi yahin dhiton ki tarah apni dabaye jaa rahay hain . apka toh koi samjh hi nahin aati kabhi Sunni kehtay ho kabhi apnay aap ko Shia kehtay ho kabhi Deobandiyon ki himayat kartay ho aap ho kya ?? zara khul ke batao . Mujhay toh ab aap na Sunni na Shia na Deobandi lagtay ho mujhay toh aap " Confuse" lagnay lagay ho bhai yeh forum humara nahin Ip Boards walon kah hai neechay footer mein dekhain
  21. Zabardast bhai keep going isko youtube pe bhi upload karain . Deobandion ko shayad koi sharam aye. jo keh mushkil hi lagta hai Bhai bohot khoob keep going ..
  22. Ek Minuet zara woh sachay thay is liye kursi chor ke bhagay nahin woh is liye datay rahay takeh Investigation ho aur sab ke samnay Haqaiq aain . Sunniyon mein Alhamdullilah lalach nahin hai na hi Sunni darpok hain . ab zahir hai har koi woh lal Masjid walay Molvi sahib kya naam hai unka yaad nahi aa raha khair unki tarah burkha pehan ke bhaag jaye toh phir toh log kahain ke g inhon ne waqiya hi corruption ki hai . Lekin woh sachay thay is liye datay rahay . BURKHA PEHAN KE BHAGAY NAHIN CHORON KI TARAH aisi harkatain Alhamdullilah humray Ulema nahin kartay ab kya mazeed kahoon main khair logon ko toh sharam bhi nahin aati . Fazal ur Rehman sahib ke baray mein khayal hai apka rizwan sahib ?? unko sari duniya kya Haji Sahib kehti hai ?? unse corrupt banda kon hai . kuch arsa pehlay hi main ne dekha tha Youtube pe unki kuch kartootain bata rahay thay sabooton ke saath TV pe . Hamid sahib par koi ilzaam sabit nahin hua agar hota toh Abhi jail mein hotay jabkeh jinhon ne corruption woh toh jail mein hain . aur yeh sari planning hai Deo aur bandaron ki bilkhasoos Molvi Fazal sahib ki takeh Kazmi sahib hatain toh hum aa keh Halway khain ( kawwa sorry ) . Molvi fazal sahib ko toh Pakistani England bhi nahin janay detay kisi ko bhi aitbaarhi nahin un pe loton ki tarah hain woh jahan bhi jain wahin ke ho jatay hain. logon ko mar ke ek moqa mila us ke pichay paray hue hain . jabkeh khud kya hain apnay gireban mein dekhtay hi nahin . Dr. Qadir jaisay qomi hero Kazmi sahib ki imaandari ki kasmain khatay hain . is se barh ke kya baat ho sakti hai ek taraf molvi fazal sahib hain jinko koi England bhi nahin janay deta kahin wahan jaa keh ulti seedhi batain kar ke koi mushkil na peda kar dein . zahiri baat hai jin logon ne Pakistan bananay ki mukhalfat ki ho un pe Pakistani toh yakeen nahin na karsaktay . @Aashique-Mustafa apnon aur parayon ki pehchan karain .
×
×
  • Create New...