College kay zamanay may aik dost dawat-e-islami se tha .... woo sabz amama phan kar ata tha namaz ka paband lakin college may apni alag jamat karwata thaa... uskay mutabik phali jamat sahi nahi hoee ..... lakin college kay larkay jo pahlay hee deen se door hotay hain in kay es amal se loog or uljhan ka shikar hojatay thay or khatay in molvion ko koe kam nahi sirf alag alag namaz parhnay k ilawa ....Divide kay bajiay in ko tu itihad ka dars dayna chiay.... woo dost T.V daikhnay k sakhat khilaf tha or hamisha khaita tah tasveer,tv wagira sakhat haram hay or dawat-e-islami kay ameer sahab ki takriro kay ref. paish karta kay un ki takrer (waaz) sonh kar bohot se logo ne tv toor diay.... lakin kabhi tv per may dawat-e-islami ka madni tv daikhta hoo tu us dost ka khiyal ajata hay k ya tu tv,tasveer wagira kay khilaaf thay ajj ya khod tv ch khol kar baithay hai....kia abb in kay nazriyaat may tabdili agai hay wakhat kay sath sath .... kia abb ya chizay haram nahi rahi ??? or jin bicharo ne apnay tv toor diay thay unka nuksan dawat-e-islami pora karrahi hay ya karnay ka irada rakhti hay ?????????? plz agar yaha koe dawat-e-islami ka rukon ya hamdard koe bhai hay tu zaror jawab day.........plz