Assalam-o-Alaikum,
mujhay kuch ziyada to maaloom nahin, laikin itna kahoonga keh Hamara Imaan us waqt kaamil hoga jab hum tamaam Quranor tamaam Sahih Ahadees ko puri tarah maaneingay, Firqay / Masalik isiliye janam le rahay hain keh Quran mein her aik APNAY maslak k mutabinq Aayatein nikalta hai or us ka hawala deta hai, isi liye hum yeh kehtay hain keh kisi per bhi Faroee Ikhtilaaf ki bunyad per koi Kufr-o-Shirkka fatwa nahin hona chahiye, hum aik doosray ko samajhnay ki koshish karein, niyyatein jaannay ki koshish karein, un k diye gaey Hawalon kopuri tarah study karein ta'akeh Haq baat tak pohonch sakein. her Zaeef hadees ko agar Zaeef keh ker chhod dein to phir Zaeef Ahadees ki darjah-bandi kiyun ki gaee hai?? taqreeban 41 Zaeef Ahadees k darjay hein, in sub ko aik hi darjay mein rakh diya jata keh yeh Zaeef hein lehaza yeh sub rejected hein...
kuch hawalajat pesh kernay ki Jisarat ker raha hoon, leikin mein Debate nahin ker sakta.