Shaikh Ameen multan wala or Gadhay ki sawari
Mera aik dost Pichlay dino Karachi k ilaqay Gulbahar Peetal Gali gaya, wahan usko apnay kisi azeez say milna tha jo k idrisi hay. usnay jo majra sunaya wo may uski zabani likhraha hoon.
" Jab may apnay idrisi azeez jo k mera ham umer hay k ghar pohancha to pata chala samnay gali may jo taqreeb horahi hay wo wahan per hay. maloom kia to pata chala k yahan rehnay walay mukhtasar say idrisi aik taqreeb kar rahay hain. Taqreeb kia hay kis liay hay maloom nahi hua. mera azeez mujhay ander legaya apnay idrisi bhaion say taruf karaya.
Menay us say poocha k taqreeb kia horahi hay yahan per to wo kehnay laga k tujhay abhi pata chal jaega. thori dair may menay dekha k tent may bethay huay larkay kehnay lagay k lay ao bhai ab lay ao time hogaya hay. mainay tajussus say dekha k ye kis ko kehrahay hain, dekha k aik ghar k kamray k beruni darwazay say aik Gadhay ko laya jaraha hay or uski halat batarahi hay k usko nahlaya dhulaya hua hay is k saath saath us Gadhay k galay may aik khubsoorat phoolon ka haar bhi dala hua hay. Mujhe ye dekh kar hansi bhi aai lekin jab unmay say 1,2 nay mujhe ghoor ker dekha to may nay apni hansi per qaboo palia.
Menay chupkay say apnay azeez say poocha k ye kia horaha hay to wo kehnay laga k Shaikh Sahab ki taraf say taleem aai hay k Gadhay per sawari karo q k Hamaray Aqa ji (S.A.W.W.) nay bhi Gadhay per sawari farmaai hay.
Mainay us say kaha k baat to bilkul theek hay k aisa karna Sunnate Rasool (S.A.W.W.) hay lekin istarah karnay ka kia matlab to wo kehnay laga k baat may bataoonga.
Phir mainay ye dekha k wo idrisi bari bari us Gadhay per sawar hotay or usi mukhtasar say tent may jo k charo taraf say cover tha may gadhay per ghoomtay. Mainay apnay aziz say kaha k tent say bahar jakar tum log gadhay ki sawari q nahi kar rahay to wo bola k log mazaq uratay hain, hamaray 1,2 idrisi bhai raat ko 2,3 baje Lasbela say golimar chowrangi tak gadhay per sawari kar chukay hain, mainay us say kaha k raat k 2,3 baje q, din k ujalay may gadhay per sawari kar k dikhao to wo bola k hamara mazaq uraya jaega.
Mainay usko jawab dia k ye kaisi taleem hay k sunnat ada karnay ka hukum dia jaraha hay or wo bhi istarah k raat k andheray may or tent k ander rehkar. Sunnat ada karna hay to din k ujalay may bhi karo, koi mazaq urata hay to uranay do to wo bola hamari baatain teri samajh may abhi nahi aaigi, too meray saath Ghulam Rasool bhai k haan chal phir too bhi yehi karega.
Menay usko jawab dia k jo log Sunnat to ada karain lekin unko ye dar bhi ho k hamara mazaq uraya jaega to may aisay kisi bhi shakhs ko peer nahi manta. Peer to wo hota hay jo khulay aam Sunnat k dankay bajae or apnay mureedo ko bhi aisa karnay ka hukum day, Ye kehkar may us k pass say chala aya"
Dekha aap nay in idrisio ka roop. Baqi aainda bhi inkishafat karoonga. aik baat or aap nay Ulmae Ahle Sunnat say suna hoga k Deobandi or Wahabi k sar per kabhi baal ziada din tak tik nahi saktay ganji tind inki nishanio may say aik nishani hoti hay, Idrisio ka bhi yehi haal hay in k shaikh sahab khud to 40 inch k baal rakhtay hain jo k khilafe Sunnat hay or apnay mureedo ko kuch dino k waqfe say ganja honay ka hukum detay rehtay hain or kehtay hain k uper say taleem aai hay. Allah Taala khud inko benaqab kar raha hay ham to sirf aik zarya hain, Is mozoo per aainda baat hogi , Insha Allah,
Allah Hafiz