Janab Wahabi sb mujhe samjh nahi aa rahi aap is thread mein sabit kia karna chahtey ho ??
aap nein kaha hai k Imam Bukhari nein Imam Shafi k khilaf fatwa diya hai to janab us ka hawala bhi to saath do??
or rahi baat masail mein Imam Bukhari ka hum se ikhtilaf to janab is se yeh sabit nahi hota k imam bukhari sunni nahi they.ahle sunnat k charo ayema mein masail mein ikhtilaf hai aqaid mein nahi is liye agr ko hambli,shafi or malki hai to woh ahle sunnat wa jamat se kharij nahi ho jata sunni hi rehta bashartey k aqaid sunniyo waley hon.
abh agr koi imam shafaee ka mukalid hai to zahir hai k us ka hum se masail mein zaroor ikhtilaf hoga lekin woh sunni hi rahey ga.isi tarha imam bukhari ka hum se ikhtilaf hai ( sirf masail mein )or imam bukhari aap k ho hi nahi saktey kiun k aap log gair mukalid ho lekin imam bukhari shafaee mukalid they mazeed wazahat k liye aap isi section mein thread dekh saktey ho imam bukhari k mutalik.