asalam-o-alaikum warehmatullah....
sab kuch parh kar dukh hooa...kiun hooa batata hoon...
deen-e-islam humein kia sabak deta hai?
hazoor-e-aqdas (s.a.w) nein kafiroon sey bhi nafrat nahin ki balkey unhoon nein un k kufar(allah k sath kisi aur ko shareek therana) sey nafrat ki...ap s.a.w nein hamesha un ki hidayat ki dua farmayee..
yahan par mein jo bhi parh raha hoon us sey ye nazar aata hai k hum nein kisi ko galat kehney k bahaney dhundney hain... hum kaun hain kisi ko galat kehney waley?? ye allah taahala aur insan key apas ka mamla hota hai...
allah tou woh zaat hai jo kisi ki aik naeki par usey maaf farma dey..aur saath saath kisi key aik gunnah par us ki sari naikian zaya kar k usey jahanum mein bhi daal sakta hai..
is liey humein logon par unglian uthaney ki bajaey allah sey un ki hadayat ki dua karni chahiey..
jis tarhan k ilfaz mein nein yahan parhey jo k mazak uraney , kisi ki tazleel karney aur gair ikhlaqiat mein shumar hotey hain,,, ye tareeqa hazoor muhammad s.a.w ka nahin tha...nan aap nein kabhi aisa kia aur nan kisi ko kabhi aisa karney ko kaha...munazra aik alaihada cheez hoti hai..