Assalamoalaikum,
Mera taluq officially kisi bhi firqay se nahi hai. Is liye bara-e-meharbaani apni laanatein save rakhein.
Mein yahan ye poochna chahta hoon k agar koi shakhs dawat e islami k zariye qadri silsilay mein bait hona chahta hai to us per ye shart kyun rakhi jati hai k usko Fatawa-e-Rizwiya ko aankh band kar k follow karna hoga? Aur us k ilawa kisi ko bhi ikhtilaaf e raaye ka haq nahi hai? Kia mere muslim hone k liye itna kaafi nahi k mein Allah ko aik manta hoon, Rasool Allah PBUH ko Allah ka nabi aur Rasool manta hoon, unki sunnaton per chalta hoon aur un k aik ishare pe apni jaan dena bayes e fakhar samajhta hoon? Sirf is liye k mein aik shakhs jo Rasool Allah PBUH k bohat baad mein aaya aur mein uski book per 100% yaqeen nahi rakh sakta kyun k wo quran ka harf nahi hai aur mujhe us mein kuch baaton se ikhtelaaf hai to dawat -e- islami wale mujhe kafir kaheinge? Bayt k rules mein bhi ye cheez mention hai. Aap tamaam hazrat kin basis pe Maulana Ilyaas Qadri ko apna peer maan bethe hein? Jab k koi bhi shakhs ghalat naam de k bhi bait ho sakta hai. Ye kesa peer hai jis ko mureed ki asliyat ka hi nahi pata? I am sorry mein kisi ko beizzat nahi karta aur na hi karna chahta hoon lekin ye sab wo cheezein hein jo meine khud experience ki hein. Fatawa mein ikhtelaaf kahan hai aur kyun hai to wo Prize Bond ka issue hai. State Bank of Pakistan us per sood kamaata hai aur ussi sood ko prize ki shakal mein distribute karta hai. Jab k kuch barelvi ulema k nazdeek prize bond jayez hai jab k Quran mein likha hai k sood lene dene wale k khilaaf Allah aur uska Rasool PBUH ailaan e jang karte hein. Aakhir itna difference kyun? Kindly iska jawab zaroor dein
Regards,