aap kay dil mein baqi sab kuch to aa gaya kay janab ko ilhaam hua hay, per yeh kyun na socha kay shaitaan ka waswasa bhi ho sakta hai. ya ap Rohaaniyat kay aisay muqam per faiz hain jahan aap shaitaan ko pehchaan kar us kay waswasay say bach sakte hain???? Aap Ijma-e-Ummat kay muqabil apnay so called ilhaam ko la rahay hain jo Ijma kay muqabil parkaah ki hasiyat bhi nahi rakhta. apki tehqeeq ki bunyaad kiya hai yaqeenan unhi Hastiyoun ka literature jinho nay Ijma-e-Ummat ki taeed ki. to apko un kay literature mein say aisa konsa point mil gaya jo khud unko na smajh aaya. hosh karein janab is say pehle kay bohat deir ho jae. aisi bhi kiya gumrahi kay khulli nishanion (related to The Blessed Name) ko jhutla dein aap.