Jump to content

Eccedentesiast

مدیرِ اعلیٰ
  • کل پوسٹس

    3,046
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    85

سب کچھ Eccedentesiast نے پوسٹ کیا

  1. bhai kam az kam meray pas qari sahib ki recitation ka link naheen hay baaqi members say topic main reply krnay ki guzarish ki jati hay...
  2. bhai is jumlay ka matlab yeh hay k agar dhari munday ya kisi bhi FASIQ nay azan-o-iqamat kahi to nmaz ho jaye gi DOBARA AZAN-O-IQAMAT KEHNA ZROORI NAHEEN HOGA ..... dobara azan-o-iqamat kehna behtar hay .. misal k tor per dhari munday nay azan di to behtar hay k koi mutaqi shakhs dobara azan day laikin agar dobara azan na bhi di tab bhi theek hay ... .........
  3. Jazakillah Allah Azawajal aapko jaza-e-khair ata farmae . Aameen guzarish hay k jin pics main female nazar aarhi hain wo remove kr dijiay
  4. Allah aapkay Deeni jazbay ko salamat rakhay aor Ham sabko Slamti-e-Eeman ata farmaye .. Aameen Bhai jis shakhs main imamat ki tmam shrait paai jaati hon aap un k peechay ghar main nmaz ada farma lia krain. ya phir masjid main ja kr baghari jmat say bhi nmaz ada kr sktay hain. Jmat honay say pehlay bhi parh sktay hain aor jmat honay k bad bhi parh sktay hain.
  5. aesi soorat main nmaz hojayegi.... ............................. AGAR bhool kr aadhi say ziada soora-e-fatiha dobara parhi to yeh takrar shumar hogi aor sajda-e-sahw wajib hojaye ga.
  6. Bhai faizaneattar par mufti sahib nay farmaya hay keh Chunkeh fasiq ki azan makrooh hay isliay us say azan-o-iqamat NA dilwanay ka hukum hay , yani behtar hay k koi aor mutaqi shakhs azan-o-iqamat kahay ... laikin agar bilfarz faisq nay azan-o-iqamat kahi aor dobara kisi mutaqi shakhs nay na kahi to phir nmaz main koi asar nhin pray ga .... yani dobara kehna farz naheen hay .... sirf behtar hay..
  7. bhai yeh lafz ''ASSALAMU ALAIKA AYYUHANNABIYU'' hay.. aor aap nay ghalati say ''YA AyuhanNabiyu'' parha aor phir foran yaad aanay par ''AssalamuAlaika AyuhanNabiyu'' parh lia to nmaz hojaye gi.. dobara parhnay ki zroorat naheen.
  8. Bhai time ka andaza istrah lga lijiay keh aap yahan jo suwal likhtay hain wo main faizaneattar par send kr deta hon aor phir jesay hi jwab aata hay main yahan lga deta hoon... 1 , 2 din main jwab aa hi jata hay ............... Rizwan bhai aap islamiemhfil per isitrah topic bna kr suwal poochtay rhain aor ager 2 din bad bhi jwab na milkay TO aap ''REPLY ME'' wali post kr k yaad dihani kra diya krain ...... ya phir topic bna kr Faiza-e-attar say jwab pooch kr yahan bhi paste kr dia krain istrah aapkay ilm main izafay k saath saath meray aor islamiemfhil k qare'een k ilm main bhi iazafa hoga aor aapko bhi bahut ziada swab milay ga... ........ aap faizaneattar say suwal poocheay par jwabat yahan bhi share krtay jaaeay ....
  9. Bhai aap firefox say suwal send krtay hain isliay send nhin hotay aap internet explorer use krain , Insha Allah suwal send hojaye ga aor bhai hoskay to jwab yahan bhi share kia kijiay . neez suwal send karnay k bad jwab k leay aapko thora intezar bhi krna pray ga ...
  10. Speech : Zameen Saakin Hay Speaker : Molana Kokab Noorani Okarwi Download: Clip 01 http://www.nooremadinah.net/Media/Speeches/KokabNooraniOkarvi/ZaminSakinHai/ZaminSakinHain01.rm Clip 02 http://www.nooremadinah.net/Media/Speeches/KokabNooraniOkarvi/ZaminSakinHai/ZaminSakinHain02.rm
  11. in 3 awqat main nmaz parhna manna hay: 1) Fajar ka waqt khatam honay kay bad Tuloo-e-Aaftab k 20 minuter tak 2) Ghuroob-e-Aaftab kay 20 minute pehlay say lay kr ghuroob-e-aaftab tak (HAN agar usi din ki asar baaqi ho to parh li jaye) 3) Nisf-un-Nahar Shar'i yani Dahwa-e-Kubra say laykr zwal tak Nisf-un-Nahar Shar'i Maloom Karnay ka tareeqa: Jis din ka Nisf-Un-Nahar Shar''i maloom krna ho us din kay Subh-e-Sadiq (Yani jab fajar ka time SHUROO hota hay) say laykr Ghuroob-e-Aaftab ka waqt shumar kijiay aor us saaray waqt k 2 hissay kr lijiay pehla hissa khatam hotay hi nisf-un-Nahar shar'i ka waqt shuroo hogya. Misal k tor par aaj Subh-e-Sadiq theek 5 bjay hain aor Ghuroob-e-Aaftab theek 6 bjay to donon k darmyan ka waqt kul 13 ghantay hua , iskay 2 hissay krain to donon main har aik hissa sarhay 6 ghantay ka hua , ab Subh-e-Sadiq k bad waly ibtedayi sarhay 6 ghantay saath mila lijiay Yani Subh-e-Saadiq = 5 bjay Pls 6:30 Hours so 5+6:30 = 11:30 to ab 11:30 bjay Nisf-Un-nahar Shar'yi ka waqt shuroo hogya.. ab nmaz naheen parh sktay hain jab zwal ka time shuroo hoga , us waqt zuhr ka waqt shuroo hojata hay phir dobara nmaz parh sktay hain ... misal k tor per zuhr ka waqt 12 bjay shuroo hojata hay to 11:30 say 12 tak koi nmaz naheen parh sktay.. laikin 12 k bad parh sktay hain .................. Nisf-un-Nahar sharyi aor Zuhr ka waqt yeh Naqsha-e-Nizam-ul-Awqat main darj hota hay , wrna dawateislami ki website www.dawateislami.net say bhi nmaz k awqat l naqshay main dekhay ja sktay hain Fajar ka waqt shuroo honay say pehlay ya fajar ka waqt shuroo honay k bad tuloo-e-aaftab say pehlay pehlay qazan nmaz ada ki to ada hojaye gi. bhai ab yeh dekhna hay keh zuhr ki azan kis waqt hoti hay .. amooman zuhr ki azan waqt shuroo honay k 1 , 1:30 ghanta bad di jati hay yani 1:30 bjay ya 2 bjay .. agar to aapnay us waqt nmaz parhi jab zuhr ka waqt shuroo ho chuka tha tab to jaiz hay ... laikin agar Mamnooa waqt main parhi tab nmaz na hui. Aesa krna jaiz hay.
  12. Ammama ka peeth par jo hissa hota hay usay shimla kehtay hain ... shimla ki miqdar kam az kam 4 Ungal aor ziada say ziada itna ho keh bethnay main na bday.. bhai yeh topic study kijiay , Insha Allah Ammama Shareef k baray main aapko aksar suwalat k jwabat mil jain ge. Ammama Shareef : Fzail-O-Aadab
  13. Sahee-Ul-Aqeedqa Muslman ko Sunni Kehtay Hain Aajkal Ahl-e-Sunnat ki nishanion main say aik bri nishani hay keh Sunni Imam-e-Abuhanifa , Imam Shafi , Imam Malik , Imam Ahmad Bin Hanmbil main say kisi aik imam ki taqleed krtay hain... Ham Imam Abuhaneefa ki taqleed krtay hain isliay Sunni Hanafi kehlatay hain. isitrah Sunni Maliki, Sunni Shafi , Sunni Hambli bhi hain laikin aajkal deobandi bhi apnay aapko Hanafi aor sunni kehtay hain isliay apnay aapko un say mumtaz krnay k leay baz awqat hmain barelwi bhi kaha jata hay.... yani k Sunni Hanafi Barelwi , Sunni Shafi Barelwi...etc
  14. Jab bacha baligh hojaye to us par Ahkam-e-Shar'a laagu hotay hain.... lrki amooman 9 ki umar main ya bad main baligh hoti hay aor lrka 12-15 tak... wrna 15 ki umar main donon baligh maanain jaye ga... behrhaal apnay bachon ko 7 sal ki umar say nmaz parhani shuroo kr deni chaheay aor 10 sal ki umar main unhain mar kr nmaz parhayi jaye...
  15. Farz ki 3sri ya 4thi Nmaz main yeh muamla hua to nmaz hogayi laikin afar farz ki pehli ya dosori rakat main ya sunan-o-nawafil main aesa hua to sajda-e-sahv wajib hoga agar sajda-e-sahv na kia to nmaz duhrani hogi. http://mufti.faizane...wer.php?Q=25205 Agar aadhi soorah-e-fatiha parh li thi aor phir shuroo say parhna shuroo kr di to jan bhooj kr sura-e-fatiha ki takrar ki wja say nmaz dobara parhni wajib hay. http://mufti.faizane...wer.php?Q=25449 Tashahud ka aik aik lafz wajib hay .. lihaza jo Ahadees say sabit hay whi parhna chaheay .. agar tashahud main ''YA AYUHANNABIYU'' parha to nmaz durust naheen hogi aor dobara ada krna wajib hay.
×
×
  • Create New...