Jump to content

Eccedentesiast

مدیرِ اعلیٰ
  • کل پوسٹس

    3,046
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    85

سب کچھ Eccedentesiast نے پوسٹ کیا

  1. Kia mutariz k nazdeek Shadi ki dawat Eesal-e-Swab k leay ki jati hay????? Agar naheen to phir Alahazrat par Eesal-e-Swab k leay Teeja chaaleeswan waghera ko haram kehnay ka buhtan bhandhtay huay zra bhi sharm naheen aayi??? ............. Pehla fatwa jo mazkoor hay uskay suwal ko bhi dekhna chaheay k yeh kis suwal kjwab main hay. Suwal main wazih alfaz hain ''Us Ehtmam k saath jo shadion main kia jata hay'' to Imam-e-Ahl-e-Sunnat nay Wfat k moqa par is qism ki dawat k radd main aesi wzahat paish ki keh Aap say bughz rakhnay walay bhi maan gaye k ab mazeed tabsray ki zroorat naheen. .............
  2. bhai Nabi say kabhi Nabuwat wapis naheen li jati ..... Hazrat Eesa Alaihissalam Nuzool k bad bhi Nabi hi hongay laikin wo Imam-e-Aadil hokr nuzool farmain ge Aor Nabi Pak ki Shareeat ka hi ijra farmainge .. Mazeed tafseel k leay is kitab ka Muta'la farmaey: Nuzool k bad Eesa Kay Mashaghil: http://library.faiza...ndex.php?id=495 Download: http://library.faiza...load.php?id=495
  3. to kia aapkay nazdeek ''islam '' ya ''jihad'' Islah main dakhil naheen hain????
  4. Bhai Tariq Jameel aor Junaid Jamshaid sahiban wali pics bhi real honay ka koi proof share kr dijiay .... Bahut bahut mehrbani hogi .... Jazak Allah Bahut bahut shukria ....
  5. Dawat-e-Mayyat.pdf Book 2 : Karwi Roti By Dr.Noor Ahmad Shahtaz http://www.islamimehfil.com/index.php?app=core&module=attach&section=attach&attach_id=62916
  6. aap ny is kitab ka safha number 11,12,13 kion nhi paish kia?? zra yeh pages bhi lga detay to haqeeqat sab k saamnay aa jati. doosri bat yeh hay keh is fatway main kaheen bhi mutlaqan Eesal-e-Swab k leay teeja-o-chaaleeswan waghera ko biddat ya haram waghera naheen likha gya ..... agar likha hay to please Dikhaeay. .............................. behrhaal Mu'tariz k nazdeek : Teeja-o-Chaleeswan krna biddat hay aor (imam) Ahmad Raza Khan nay is biddat ka radd is qadar tafseel say kia hay k wzahat paish krnay ki zroorat naheen aor (imam) Ahmad Raza Khan is biddat k nuqsanat ko wazih kia hay . ...... 1: Ab btao tumharay nazdeek Imam Ahmad Raza Khan biddaton ko khatam krnay walay huay k naheen???? 2: Imam Ahmad Raza Khan ko khanay ka lalach hota to kia in dawaton ki tardeed krtay ya taeed??? .............. Mutariz k Nazdeek:Raza khani molvion nay pait ka dhandha chlanay k leay 3ja , 40lswan aor bahut saari bidd'aat ko eejad kia hay. Aik traf to aap keh rhay hain k Imam Ahmad Raza Khan nay is biddat ka radd is qadar tafseel say kia hay k wzahat paish krnay ki zroorat naheen aor is biddat k nuqsanat ko wazih kia hay . aor doosri traf aap isi biddat kay eejad krnay walon ko Raza Khani keh rhay hain??? Bughz-e-Imam nay aap logon ko is qadar andha kr dea hay???????? Khudara Is bughz-o-Dushmani ko dil say nikal do aor Eeman ki aankh say Maslak-e-Ahl-e-Sunnat ka mutala to kro . Tum Imam Ahmad Raza ko hamesha biddat k khilaf hi paao ge ... jab har traf say Namoos-e-Risalat par hamlay horhay thay , har traf say biddat urooj par thi us waqt Imam Ahmad Raza nay islam ki hifazat ki ... khudara Bughz-e-Imam Ahmad Raza ko dilon say nikal do.
  7. Mughal bhai in pics k real honay ka koi proof bhi share kr dain to mehrbani hogi
  8. Bhai yeh jwab Smaat farmaeay: http://mufti.faizaneattar.net/Answer.php?Q=26084
  9. http://www.nafseisla...hp?topic=2193.0
  10. Eeman-e-Abu talib k baray main Imam Abu Haneefa رحمت اللہ علیہ nay sukoot farmaya hay ... yani k aap nay Khamoshi ikhteyar farmayi hay. Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan رحمت اللہ علیہ Smait bahut saaray jayyad ulama-e-kiram Eeman-e-Abu Talib k Qail naheen hain aor kuch ulama-e-Kiram Eeman-e-Abutalib k qail hain... Behrhal koi is maslay main khamosh ho ya dalail ki bina par eeman-e-abutalib ka qail ho yadalail ki bina par eeman-e-abutalib ka munkir ho , wo sunni hi rhay ga. ................ Dr.Tahir-Ul-Qadri sahib ki Sulh-e-Kulliat aor baz doosri wujuhat ki bina par inka sunniat say kharij hona Ulama-e-Kiram nay btaya hay... Eeman-e-Abu talib ka qail hona Dr.Tahir sahib say basic ikhtelaf ki wja NAHEEN hay.
  11. http://mufti.faizane...wer.php?Q=26056 http://mufti.faizane...wer.php?Q=26055 Muqtadi imam k phunchnay ka intezar naheen kray ga balkeh imam k sath sath hi jhukna shuroo kr day ga...
  12. Jab tak Dhari aik muthi na ho jaye us waqt tak unko nmaz parhaanay ki ijazat naheen....
  13. Wa ALaikumussalam Ghar aor Masjid main dakhil hotay waqt daayan paaon andar rakhna chaheay aor bahiir nikltay waqt bayan paon pehlay bahir rakhna chaheay ... aor washroom main main dakhil hotay waqt pehlay baayan paaon andar rakhna chaheay aor bahiir nikltay waqt dayan paon pehlay bahir rakhna chaheay Tafseeli Maloomat k Leay is kitab ka Muta'la Farmain: Sunnatain Aor Aadab: Sunnatain aor Aadab.pdf Sirf ''Takbeer-e-Tahreema'' ka Imam k bad khatam hona zroori hay , iskay elawa jo takbeerain hain wo imam saypehlay khatam ho gayi yani aapnay Imam k Lafz Akbar khatam krnay say pehlay hi lafz Akbar keh dea to nmaz ho jaye gi http://mufti.faizane...wer.php?Q=25975
  14. Mufti Sahib nay farmaya hay keh Sajda-e-Tazeemi Haram hay aor Sajda-e-Ebadat shirk hay ..... ..................
  15. bhai yeh suwal main nay mufti sahib ko send kia tha , mufti sahib nay farmaya hay keh Poora Naateya kalam yani aagay peechay k jumlay bhi likheay phir hukum bayan kia jaye ga.
  16. Mazkoora jumlay par Ulama nay kufria jumla honay ka hukum irshad farmaya hay. Lihaza yeh kehna chaheay keh: Allah Ta'ala apnay Ilm-o-Qudrat say har jga mojood hay ya yeh kaha jaye k Allah Ta'ala Samee , Baseer Aor Shaheed Hay. ........................ Kufria kalimat k baray main jannay k leay is kitab ka Muta'la mufeed sabit hoga. Kufira kalimat k baray main suwal jwab: Download: http://www.nafseislam.com/en/Literature/Urdu/Books/KufriyaKalimaat/KufriyaKalimaat.pdf Read Online: http://www.nafseislam.com/en/Literature/Urdu/Books/KufriyaKalimaat/KufriyaKalimaat.htm
  17. jis shakhs ki dhari qudrti tor per hi aik muthi say kam ho us k peechay namz jaiz hay bshrtekeh doosri shrait-e-imamat par poora utrta ho. HAN MAGAR Dharhi mundwanay walay ya dhari ktrwa kr aik muthi say kam rakhnay waly k peechay nmaz jaiz naheen
  18. Nabi Pak Tahband istemal farmatay thay laikin Aap nay Shalwar ko bhi pasand farmaya aor isay khareeda bhi ..... Aor Sahaba-e-Kiram (Radi Allah-o-Anhum Ajmaeen) nay isay pehna bhi.. aor nmaz main sirf shalwar hi ko morna mamnoo nhin hay balkeh mutlaqan kisi bhi KAPRAY ko morna mamnoo hay ... qameez ki bazuon ko morna bhi mamnoo hay ...... lihaza yeh etraz fuzool hay k Nabi Pak nay Shalwar Zaib-e-Tan naheen farmyai to ab shawar kion na morain ....... Nabi Pak nay nmaz k doran kisi bhi kapray ko smaitnay say manna farmaya hay .....
×
×
  • Create New...