Ya Allah Madad
Under Observation-
کل پوسٹس
351 -
تاریخِ رجسٹریشن

آخری تشریف آوری
سب کچھ Ya Allah Madad نے پوسٹ کیا

aap logon ke liye sirf dua ki ja sakti hay

Aap logon ne to Quran ko intahai mushkil kitab bana diya hay..matlab ye ke jo aap parh rahay hein asal uska matlab wo nahi jo aap parh rahay hein balkay iska matlab kuch aur hay..ayat ki asal meaning chupi hoi hay wo sirf bralvi maulvi sahab ko hi pata hay...Allah keh rahay hein ke Rasool Allah bashar hein..magar wo haqeeqat mein kuch aur hein ye bashar to Allah ne aesay hi keh diya hay...MERAY BHAI YE BATAO AGAR HAQEEQAT KUCH AUR THI TO ALLAH TA'ALA WOHI BAAT KAR DETE QURAN MEIN SEDHAY SADHAY LAFZON MEIN..ITNI MUSHKIL KITAB KE PARHO KUCH MATLAB KUCH AUR WAH WAH SUBHAN ALLAH..ALLAH KEH RAHAY HEIN KE NABI GHAIB NAHI JAANTAY...MAGAR IS AYAT KA MATLAB BHI CHUPA HOA HAY..ISKI TASHREE KE LIYE BHI BRALVI MAULVI SAHAB KE PASS JAO..SIRF AHMED RAZA SAHAB PAR HI IS DUNYA MEIN QURAN KA MAFHOOM KHULA HAY..AUR JO INKE AQEEDAH KI MUKHAALFAT KARE WO BADMAZHAB MUNAFIQ AUR GUSTAKH E RASOOL HAY..YE ACHA FORMULA HAY..JAB HAZRAT ESSA KO LOGON NE ALLAH KA BETA BANANA SHROO KIA TO BOHOT LOGON NE MUKHALFAT KI MAGAR UNKO YAHI KAHA GIYA HOGA..TUM LOG TO GUSTAKH RASOOL HO ...RASOOL SE TO MUHABBAT HI NAHI HAY...AUR INTAHA KARTE KARTE AAKHIR KHUDA KA BETA BANA DIYA..RASOOL ALLAH NE KHUD FARMAYA DEKHO MUJHE ITNA BARHA YA NA KARO JAYSA KE LOGON NE ESSA KO BARHA CHARHA KAR KHUDA KA BETA BANA DIYA..AKSAR BRALVION KE MUH SE MEIN NE SUNA HAY WO BARE JOSH SE KEHTE HEIN KE HAQEEQAT MUSTAFA KO IS DUNYA MEIN KOI NAHI SAMJH SAKTA KE ASAL MEIN WO KIA HEIN..IS BAAT MEIN SE WOHI BOO AATI HAY JO ESSA KE SATH UNKI UMMAT NE BARHA CHARHA KAR KIYA..INKO DEKHO YE BHI KEHTE HEIN HEIN WO BASHAR NAHI HEIN..UNKA SAYA NAHI HAY..KAINAT KA KOI ZARRA UNSE POSHIDA NAHI HAY..GHARZ HAR WO SAFAT JO ALLAH KI HAY WO INHO NE RASOOL ALLAH MEIN BHI DALI HAY..FARQ SIRF YE ALLAH KI SIFAT MALIK KI HAYSYAT SE HAY AUR RASOOL ALLAH KI AATAI HAY..ASTAGHFIRULLAH ALLAH PAK NE TO BOHOT ASAAN KITAB NAZIL KI THI..MAGAR BRALVI HAZRAAT NE TO ISAY BOHOT HI COMPLICATED BANA DIYA HAY ISKO..YANI QURAN KO AAP CHOREIN ..HAMARI TASHREE PAR CHALEIN AAP..BASSS...YAHI DEEN HAY.. BOHOT HI AFSOS KI BAAT HAY KE SIDHEE SADHEE BAT KO SIRF APNE MAFAAD KI KHATIR MATLAB BADAL DETE HEIN...BRALVI KE KISI AQEEDAH KA QURAN SE KOI WAASTA NAHI HAY AGAR HAY TO AYAT PESH KARO.

Quran o Hadees ke farmaan ke muqaable par hum science ko tarjeeh nahi day sakte..Humko hidayat Quran o Hadees se milti hay science se nahi..mein aankho dekha to jhutla sakta hoon magar Allah aur aur ke Rasool ka farmaan nahi jhutla sakta...Aap log Quran o Hadees ke samne science ko tarjeeh dayte hein

Hazrat Ibn Abbas apni tafseer mein farmate hein... { قُلْ إِنَّمَآ أَنَاْ بَشَرٌ مِّثْلُكُمْ يُوحَىٰ إِلَيَّ أَنَّمَآ إِلَـٰهُكُمْ إِلَـٰهٌ وَاحِدٌ فَمَن كَانَ يَرْجُواْ لِقَآءَ رَبِّهِ فَلْيَعْمَلْ عَمَلاً صَالِحاً وَلاَ يُشْرِكْ بِعِبَادَةِ رَبِّهِ أَحَدَاً } { قُلْ يا محمد { إِنَّمَآ أَنَاْ بَشَرٌ مِّثْلُكُمْ } آدمي مثلكم { يُوحَىٰ إِلَيَّ } جبريل { أَنَّمَآ إِلَـٰهُكُمْ إِلَـٰهٌ وَاحِدٌ } بلا ولد ولا شريك { فَمَن كَانَ يَرْجُواْ لِقَآءَ رَبِّهِ } يخاف البعث بعد الموت { فَلْيَعْمَلْ عَمَلاً صَالِحاً } خالصاً فيما بينه وبين ربه { وَلاَ يُشْرِكْ بِعِبَادَةِ رَبِّهِ أَحَدَاً } لا يرائي ولا يخالط بعبادة ربه أحداً ويقال بطاعة ربه أحداً نزلت هذه الآية في جندب بن زهير العامري. تفسير تفسير القرآن/ الفيروز آبادي (ت817 هـ) مصنف و مدق Allah tum logon ko hidayat day kia itni si baat samjh nahi aati hay..yahan saaf tor se bataya ja raha hay kay wo bimisil aur aadmion ki tarah thay...agar tumhari baat maan li jaey kay wo noor bhi thay aur bashar bhi thay..to wo misil doosre aadmion ki tarah na hoay..kion ye baat unmein aur doosre aadmion mein farq kar rahi hay..kionke Allah Ta'ala saaf tor se farma rahay hein kay wo bilkul isi tarah say bashar hein jaysay tum ho..agar nooraniat wali baat agar Rasool Allah mein add ki jai to ye bimisil doosre aadmion ki tarah na hoi...is ayat ki sab se bari cheeze ko qabil ghor hay wo (MISLUKUM) tumhari tarah..ab khud emaandari se koi bataey ..kia hum par kabhi nooraniat ka zahoor bhi hota hay...kay hum aam aadmi kabhi to bashar ke roop mein hote hein kabhi nooraniat ke libaas mein..zahir hay aesi koi baat hum mein say kisi aam insaan mein nahi hay..to phir KION ???Allah Ta'ala ne Rasool Allah ko hamare misil kaha..

Aap ki taqreer mahaz mantaq aur falsafe ke kuch nahi..aap ki baat mein wazan us waqt hota jab aap apni baat Sahab Kiraam ke aqwaal ya haqees ya Quran ka hwala ya kisi mutabir mufassir ka hawala daykar baat karte..aur ye bataien ke kon se Sahabi aur Mufassir ka ye aqeeda tha jo aap bayan kar rahay hein..

Hayat Un Nabi Sallalaho Alaihe Wasallam
Ya Allah Madad replied to Khalil Rana's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Saeedi sahab aap ke sawal # 15 se mere zehan mein aik sawal he please usko clear kardein.... Agar Hazrat Musa ko unki qabar mein Rasool Allah ne namaz parhate dekha aur uske ilawa agar unho ne meraj ki raat sare Anbiya ki imamat karai to jab wo aasman par pohonche to kion sare Anbiya ke bare mein poocha ke Jibrael ye kon hay ..ye kon hay...aur Jibrael ne sare Anbiya ka ta'aruf aik aik karke karaya..Jabke wo to zameen par sab ki imamat karkar aaey hein sab se mil kar aaey hein aur Musa ko Qabar mein dekh bhi chuke the...Please ye zara ....Quran o Hadees ki roshni mein clear karein...Apni tashree dayne se parhez keejyee ga...kisi hawala se baat karye ga.. -
Aap bralvi hazraat doghli policy par chaltay ho..ye clear karo ke tum logon ke maslak mein noor se kia muraad hay...Rasool Allah ya to noor hein ya bashar.....Hazrat Adam ko Allah Ta'ala ne matti se banaya aur unko bashar kaha..Kia Rasool Allah unki aulad nahi hein..Agar unki ki takhleeq sab se awwal noor se hoi hay to kia unke baad Hazrat Adam ko matti se takhleeq kia..Kia matti ke bane hoey insaan ki nasal se noor ko paida kia..ye kia conflict hay isko zara clear karein..Aur zara wazahat karein kia Rasool Allah hamari tarah gosht post ke insaan nahi thay..wo koi aur tarah ki makhlooq thay..Unki feeling aur Aam insaan ki feeling aik jaisee nahi thi..????? Asal gustaakh e Rasool tum log ho..Tum logon ne unko noor ka bana kar unke basharyat ke us maqaam se giraya hay jis mein unki azmat thi...TUM LOGON NE UNKI MEHNAT AUR TAKLEEF PAR PAANI PHER DIYA..Rasool Allah ne deen ke raastae mein kaysee kaysee taklifein uthain..unko mara giya..unki peeth par oojhri rakhi gai...unke dandaan mubarak shaeed hoey..unke chahray mubarak mein lohay ka khod ghusa..Rasool Allah ne farmaya jitna mein Allah ke raaste mein sataya giya hoon utna koi peghamber nahi satya giya aur na kisi ko itni takleef di gai jitnee mujhko dee gai..unki betion ko talaaq hoi is deen ke rasste mein... MAGAR AGAR HUM YE TAKALEEF KISI GHAIR MUSLIM KO BATAEIN KE HAMARAY PEGHMABER KITNI TAKLEEF AUR AZIYAT UTHAI TO WO KAHE GA...TO IS MEIN KON SI BARI BAAT HAY..MEIN US WAQT UNKO APPRECIATE KARTA JAB WO HAMARI TUMHARI TARAH GOSHT POST KE AUR HAMARI TUMHARI TARAH JAAZBAAT RAKHNE WALE INSAAN HOTE..WO TO KOI NOORI MAKHLOOQ THAY..UNKO KIA PATA TAKLEEF KA..ASTAGHFIRULLAH.. AAJ AGAR HAMARE SAAMNE FARISHTA AEY AUR USKE SAAMNE BOHOT SA MAAL O DAULAT AUR KHUBSURAT AURTEIN RAKH DO TO USKO IN CHEEZON MEIN KOI DILCHASPI NAHI HOGI..AUR HUMKO IS BAAT PAR HAIRAT BHI NAHI HOGI ....KIONKE WO FARISHTA HAY HUM USKO BOLTAY AGAR TUM BASHAR O INSAAN HOTAY AUR PHIR IN CHEEZON SE BACH KAR DIKHATE TO HUM TUM KO SALUTE MAARTAY.. MUHABBAT KA DAWA KARNE WALE KHUD HI GUSTAKH NIKLE....AL AMAN AL HAFEEZ KUFFAR NE RASOOL ALLAH KI RISALAT KA INKAR KIA ..KION??? WO KEHTAY THAY KE TUM BASHAR HO..IS LIYE RASOOL NAHI HO SAKTE... BRALVION NE RASOOL ALLAH KI RISALAT KO MANA ..KAYSAY ??? UNKI BASHARYAT KA INKAR KARKE.

Mein shakhsiyat parasti ka qail nahi ...mein ye jaanta hoon ke agar mere aamal achay hein aur mein apni zindagi Allah ki ataat mein guzaroon to meri nijaat hay..aur agar mein gunahgaar hoon...to mujhe na Hazrat Ali bacha sakte hein aur na Hazrat Husaain Aur Hassan bacha sakein gay..Hazrat Ali ki fazilat ho ya Hazrat Umer ki ho ya Hazrat Abu Bakr ki ho..unki fazilat se meri nijaat hone wali nahi hay..meri nijaat mere aamal ke zarye Allah ki Rahmat se hogi...mein isi ko deen samjhta hoon...Shaksiyat par larna sab se bari gumrahi hay... ye turjuma ke neechay Maududi sahab ka naam likha hay is se dhoka na khana ke mein jamati hoon..mujhe yahi tranlation jaldi mein mila jo mein ne attached kar diya

Azaad Ummedwar sahab shia aur sunni ke maslo ka faisla mere khiyal se is dunya mein nahi ho sakta..is liye dono party se darkhawast hay kay Qayamat ka wait karein aur mazeed larai jhagrayse parhaiz karein...Mein samjhta hoon ke zakheera hadees mein kuch ahadees shia ke fever mein jati hein..aur uska koi jawab nahi day sakta..aur ziyada tar sunni ke fever mein jati hay..zakheera hadees itna authentic nahi jitna Quran hay kay jo likha hay 100% haq aur sach hay..in kitabon mein ibtada mein bohot sari banawati hadees dali gai hay jo mere khiyal se ye aap logon ka kaarnama hay..Misaal ke tor pe Sahih Bukhari mein likha hay kay Rasool Allah ne Hazrat Abu Bakr ke sath hijrat farmai ....aut iske barkhilaaf Musnad Ahmed mein likha hay ke Abu Bakr hazrat Ali se pooch rahe hein ke Rasool Allah kahan hein to unko bataya kay aap ko pata nhai ke unho ne to hijrat karli....to ye tazaad kis ne dala....aap hi log hein ...is liye koi faida nahi...mein phir kahoonga larne ke bajaey Aamal me lage raho aur qayamat ka wait karo.. AUR AZAAD UMEEDWAR AUR TAMAAM BRALVION SE YE SAWAL HE KE YE TAZAAD JO MEIN NE PESH KIA HAY IS ME SE KON SE DO TARAH KI HADEES MEIN SE KON SI SAHI HAY AUR KAYSAY???

IS Hadees ke bare mein kia kahingay ! Volume 7, Book 72, Number 780: SAHIH BUKHARI Narrated Nafi': Ibn Umar said, The Prophet said, 'Do the opposite of what the pagans do. Keep the beards and cut the moustaches short.' Whenever Ibn 'Umar performed the Hajj or 'Umra, he used to hold his beard with his hand and cut whatever moustaches. Ibn Umar used to cut his moustache so short that the whiteness of his skin (above the upper lip) was visible, and he used to cut (the hair) between his moustaches and his beard.

Phir beech mein kooda...jakar apne radiator mein pani dalo takay bloodpressure normal ho aur dimagh kaam kare...phir baat karna..

TUM LOG TO ALLAH TA'ALA PAR AITRAAZ KAR RAHAY HO KE AIK TARAF TO WO GHAIR ALLAH KO PUKAARNE KO MANA KARTA HAY DOOSRI TARAF WO KHUD TARGHEEB BHI DAY RAHA HAY..NAHI TO WAZEH KARO PEGHAMBAR KIN GHAIR ALLAH KO PUKAARNE KO MANA KARTE THE...HAR BAAT MEIN DEOBANDI WAHABI KA BAHANA KARKE FARAAR KA RAASTA IKHTIAR NA KIA KARO..MEIN NA DEOBANDI HOON NA WAHABI..

tum jis madad ki baat kar rahay ho iska to koi inkaar hi nahi. Wa yumna oonal maa oon But refuse to give even the smallest help [to others] {surah maoon} YE BATAO KE PEGHAMBER KIN GHAIR ALLAH KO PUKAARNE SE ROKTE THAY..??????????????????

QURAN PAK MEIN AUR RASOOL ALLAH TI TAALIMAAT MEIN WO KON GHAIR ALLAH HEIN JINKO PUKAARNE KO MANA KIA GIYA HAY..???

Mujhe tum logon ka asal chehra logonko ko dikhana tha jinko dekhna tha dekh chukay..jis ke pass koi daleel nahi hoti wo yuhi bakwaas karta hay..mujhe kia apni tarah jahil samjha hay kay mein falto falto logon ki fazool baton mein aaoon..aur tumko jawab doon..

Ye baat to understood hay kay bralvion ke pass aqal naam ki koi cheez siray hay hi nahi...Khud Ahmed Raza tum logon ko virsay mein jahalat aur shirk daykar giya hay..agar aqal hoti to bralvi na hote..tum log jinko talbaan bol rahay ho itna bhi nahi pata ke actual mein ye kon hein..tum log ho hi jews ke agent isi liye usi media ki baat par yaqeen karte ho..agar mein tumhari jamaat mein kuch logon ke saath shamil ho jaon..aur green pagri pehan kar aur kurta pajama pehan kar salat o salaam parhanay lagon aur bohot saray logon ko bhi shamil karloon magar meri niyat shamil hone ki kuch aur hay..aur thoray arsay mein tum log bhi humein apna saathi samjhne lago gay..mein phir wo kaam karoon jis maqsad ke liye jamaat join ki thi aur green pagri pehan kar salat o salam parhata hoa jagah jagah bum pharoon school tabah karoon aure pata nahi kia kia jo talbaan se mansoob kia jata hay ..to badnaam kon hoga..zahir sab yahi kahin gay ye to bralvi hein..ye sab american agent hein jo taalban ke roop men nazar arahay hein..inko pakistan ke Atomic plant par qabza karna hay..isi ke liye ye sara taalbaan ka drama rachaya ja raha hay wo wohi kar rahay hein jo unhein bataya ja raha hay..aur media bhi logon ko gumrah kar raha hay..magar koi baat nahi ..ye dunya hay ..yahan ka sab yahan hi rah jaega ..qayamat ka intazaar karo sari haqeeqat khul jaegi..na Sheikh Abdul Qadir jilani Ahmed Raza ko jootay marein to mujhe kehna..ke Ahmed Raza tune mujhe kia bana diya..mujh mein aur khuda mein farq hi kitna rah giya..sari sifat to mujh mein daal di tune jo Khuda ke liye thi..sirf itna farq wo maalik hay aur mein atai hoon..astaghfurullah.. Quran se hidayat letay to is gumrahi mein na partay jahan aakar gir gaey ho..tumhari language say hi pata chalta hay tumlog kitne hidayat yaafta ho..Khuda ka khauf agar tumko hota to tumhari zaban control mein rehti..jab aik cheez understood hay kay mushrikon ka bura anjaam hay isi liye inko bol kar kia faida..jinko jana hi jahannam nein hay..

Tum mushrik log kia kisi se qitaal karoge...tumhari sunni history mein kisi ne kabhi talwar uthai hay jo ab uthaega..tum log us munafiq catagory mein shamil ho jin ke dil mein kabhi jihaad ka khiyal guzra ho...halway ki thaal uthane wale gun kia uthaingay...tumharay bare bare pait walay halwai mullah ye qitaal karengay...hah ha hah ....in logon ko bas masjid mein beth kar logon ka maal khana ata hay..kisi bhi naam par bas maal ana chahiye...ab to Ilyas Qadri ne bhi chanda jama karna shroo kar diya..madni channel par...kitabe aur cds sale karo..chande ki appeal karo aur bank account bharo..isi maqsad ke liye madni channel khula tha..aur apne aap ko un sunni sahaba se na milaya kionke tumhara koi kaam un jaysa nahi hay...SALAT E GHAUSIYA parh kar hajat rawai karne wale qitaal karengay..huh...

Aap log waqai lakeer ke faqeer ho..jab dil chaha apni taraf se jo chaya tafserr dedi..bhai sahab kion apni taraf se ulti seedhi rae daytay ho ...Allah aap logon ko hidayat day..Rasool Allah farma rahe hein kay mere pass kuch nahi jis par tum logon ko sawar karoon..wo log rote hoe gaey ..aap ki khud saakhta raey hay unko hifazat ki waja say sawari na di kay yahan ruko hifazat ke liye..wah bhie wah...ulti seedhi tashree to koi aap se seekhay..zara daleel do is special tafseer ki.. Sura Hashar mein ghanimat ke maal ke bare mein kaha ja raha hay kay jo Rasool Allah dein wo le lo.. { وَمَآ آتَاكُمُ ٱلرَّسُولُ } من الغنيمة { فَخُذُوهُ } فاقبلوه ويقال ما أمركم الرسول فاعملوا به { وَمَا نَهَاكُمْ عَنْهُ فَٱنتَهُواْ وَٱتَّقُواْ ٱللَّهَ } اخشوا الله فيما أمركم { إِنَّ ٱللَّهَ شَدِيدُ ٱلْعِقَابِ } إذا عاقب وذلك لأنهم قالوا للنبي صلى الله عليه وسلم خذ نصيبك من الغنيمة ودعنا وإياها فقال الله لهم هذه الغنائم يعني سبعة من الحيطان من بني النضير * تفسير القرآن/ الفيروز آبادي (ت817 هـ) مصنف و مدقق Baat sirf itni si hay jab Rasool Allah ke pass kuch hota to wo ata farma dete the..jab nahi hota to mana kar dete..Is mein itna issue kia hay.

ziyada uchalne aur barkein maarne ki zaroorat nahi hay..tumhari pehli baat ka jawab quran mein idols ke bare mein...???? Narrated Ibn Abbas All the idols which were worshipped by the people of Noah were worshipped by the Arabs later on. As for the idol Wadd, it was worshipped by the tribe of Kalb at Daumat-al-Jandal; Suwa' was the idol of (the tribe of) Murad and then by Ban, Ghutaif at Al-Jurf near Saba; Yauq was the idol of Hamdan, and Nasr was the idol of Himyr, thebranch of Dhi-al-Kala.' The names (of the idols) formerly belonged to some pious men of the people of Noah, and when they died Satan inspired their people to (prepare and place idols at the places where they used to sit, and to call those idols by their names. The people did so, but the idols were not worshipped till those people (who initiated them) had died and the origin of the idols had become obscure, whereupon people began worshipping them. {SAHIH BUKHARI} tum log jitne buzurgon ko pukaarte ho uski daleel ye hadees hay..tum log jahil ho..jo log boton ko pooj rahay hein wo tumahri tarah bewaqqof nahi hein...har IDOL ke peechay kisi na kisi aulia Allah ki history hoti hay... aur ghaib se mutaliq jo 2 ayaat aap ne pesh ki hein..is mein koi masla nahi hay ..jahan nafi ki gai hay uska matlab hay mein ikhtiar nahi rakhta aur jahan hona sabit hay uska matlab hay jab Allah ko jitna manzoor ho wo bata deta hay..aur yahi baat ulema ahle sunnat ki tafseer mein hay..aapke jaalee ahle sunnat nahi... { حَتَّىٰ إِذَا رَأَوْاْ مَا يُوعَدُونَ فَسَيَعْلَمُونَ مَنْ أَضْعَفُ نَاصِراً وَأَقَلُّ عَدَداً } * { قُلْ إِنْ أَدْرِيۤ أَقَرِيبٌ مَّا تُوعَدُونَ أَمْ يَجْعَلُ لَهُ رَبِّيۤ أَمَداً } * { عَٰلِمُ ٱلْغَيْبِ فَلاَ يُظْهِرُ عَلَىٰ غَيْبِهِ أَحَداً } * { إِلاَّ مَنِ ٱرْتَضَىٰ مِن رَّسُولٍ فَإِنَّهُ يَسْلُكُ مِن بَيْنِ يَدَيْهِ وَمِنْ خَلْفِهِ رَصَداً } و قَوْلُهُ تَعَالَى: { عَٰلِمُ ٱلْغَيْبِ فَلاَ يُظْهِرُ عَلَىٰ غَيْبِهِ أَحَداً }؛ أي لا يُطلِعُ على غَيبهِ أحَداً من خلقهِ، { إِلاَّ مَنِ ٱرْتَضَىٰ مِن رَّسُولٍ }؛ فإنه إذا أرادَ إطْلاعَهُ بالوحِي على ما يشاءُ على الغيب، { فَإِنَّهُ يَسْلُكُ مِن بَيْنِ يَدَيْهِ وَمِنْ خَلْفِهِ رَصَداً }؛ أي جعلَ مِن بين يَدي الرسولِ ومِن خلفه حَفَظَةً من الملائكةِ ليُحِيطُوا به، ويَحَفظُونَهُ، ويحفظُوا الوحيَ مِن أن تَسْتَرِقَهُ الشياطينُ، فُتلقِيَهُ إلى الكهنَةِ. * تفسير التفسير الكبير / للإمام الطبراني (ت 360 هـ) مصنف و لم يتم تدقيقه بعد yahan bilkul wazeh tor par bataya ja raha hay ..kay jab Allah Ta'ala iraada karte hein to wohi ke zarye se bata dete hein.. aur rahi wasileh ki baat mein is se inkaar nahi karta hoon magar Rasool Allah ne wasilah ikhtiyar karne ka koi hukum nahi diya hay..ye optional hay..kisi par zabardasti nahi kar sakte wasilah ko ikhtiar karne ke liye...mein is liye nahi karta kionke Rasool Allah ne khud kabhi kisi ka wasilah ikhtiyar nahi farmaya..hamesha Allah se DIRECT sawal kia mein isi par amal karta hoon...

Rasool Allah ne farmaya jis ne mujh se ghalat baat mansoob ki wo apna thikana jahannam mein banale....sharam to tum logon ko i nahi bari dhitai se kisi bhi waqe ko hadees bana dete ho aur seedhe saadhe logon ko dhoka dete ho....

aesay logon ko ko kia kuch kahe jinka hashar hay hi bura aakhrat mein..afsos ke ilawa kuch bhi nahi kia ja sakta..Jitne ghairullah ko pukarte ho madad ke liye unke jootay khanay hi tum logon ko..tum logon ki sirf batein hein aur kuch nahi..jo log wazeh nase qurani ko muhaddison ke qol par thukra dein unko kia koi deen sikha sakta hay..

Dono taraf ki baat ko dekha karo..aik hi baat ki ratt na lgaya karo..sirf itna jawab do Sura Toba mein jo zikir hay kuch log aaey sawri ke liye ....to unko kion man kia...sirf iska jawab daydo...

bhai mushqaat ke is scan mein wo kaha likha hay kay ..wo shaks ye kehta tha kay nabi ko kuch nahi pata magar wohi jo use ilm diya giya...zara nishan dahi kar dein..shaed mujhe nazar nahi aya..

Men muhaddis ke ilm se inkaar nahi kar raha hoon.magar jab kisi quran ki ayat itni wazeh mojod ho to phir quran ko hi ikhtiar kia jata hay..jaysa kay Imam Abu Haneefa ka qol hay kay agar mere qol ke khilaaf koi hadees mile to mere qol ko deewar par maar kar hadees par amal karo..aap kaysay guarantee se keh saktay hein kay ye qol kisi muhaddis hi ka hay..kia pata kisi nay inke naam se iftara kar diya..jaysa kay hadees ki kitabon mein ghalat ahadees shamil kardi gai hein..Quran to guaranteed hay magar muhaddis ki baat nahi..aur aap ke aqeedah ke mutabiq to Hazrat Moosa wali hadees to sahi honi bhi nahi chahiye ismein aap ke aqeeday kay khilaaf Moosa ke ilm ghaib ki nafi hay aap isko kaysay sahhi maan rahay hein jabkay Shekh Abdul Qadir ® ki hatheli par puri dunya aur peghambar aik burhiya say pooch rahay hein ...wah bhie wah...

Palti khana to koi aap logon se seekhe ..pehlay bole jo ittehad kare wo sunni nahi ..jab sabit ho giya ittihad to ittihaad ki qismein batane lage..wah bhie wah..bohot khoob.. surah fatiha aap log zara khloos se parha karein..aur jab (Iyyaaka na'-budu wa 'iyyaaka nasta-'iin.(1:4) parhein to kisi buzurg ka nahi Allah ka tasawur kia karein..Phir InshaAllah aap logon ko hidayat milegi..warna wohi na quran samjh aaey na hadees bas buzurgon ke istadlaal laykar hi larte raho gay...