AOA
Janab Qazi Sahab ! Aap ko samjhne main ghalti hoi hai Fiqh ki kitaboon main 2 qism ke masail hote hain 1. Mufta Bihi 2. Ghair Mufta Bihi
1. Mufta Bihi se murad wo masail hain jin par Fatwa diya jata hai or wo qabil-e-amal hote hain, Sahih or "RAJEH" (Sahaih ) aqwal ko Mufta Bihi kehte hain .
2. Ghair Mufta Bihi masail par fatwa nahin diya jata Neez un per amal bhi nahin hota or Zaeef aqwal par Mushtamil masail ko Ghair Mufta Bihi Kehte hain .
Is ko Yoon samajh lijye jis tarha Ahadees main Sahih or Zaeef rivayatain hoti hain , Aqaid ke Muamlat main Sahih Ahadees par amal kiya jata hai or Zaeef ko tark Kar diya jata hai .Isi tarhan Fiqh main bhi Ghair Mufta Bihi aqwal ko tark kar diya jata hai , Lakin jis tarah Zaeef Ahadees ko Kitaboon se nikala nahin gaya bulke un ki nishan dahi kar di gai hain bilkul isi tarah ghair Mufta Bihi aqwal ko bhi Fiqh ki kitaboon se nikala nahin gaya bulke un ki nishan dahi kar di gae hai.
Is baat ko bhi yaad rakhen ke hum Hanfi Mazhab-e-Moayan(aik Mazhab)
ki taqleed kartein hain or Ghair Mufta Bihi Aqwal ko tark kardene se Hanfiyat se Bahir nahin nikal jate . Agar aap koi aisa Mufta Bihi masla jante hain jo Fiqh ki kitab main darj hai or Sahih Hadees ke Khilaf ho to Zaroor Pesh farmaen, Neez wo Masla ASLI (Orignal) kitab se naqal karain .
Umed hai aap samjh gae hon ge .
Allah Hidayat Naseeb farmae. Ameen
Mazeed Tafseel ke liye Rabta Farmaen.
***************
Cell:***********