Jump to content

Qazi

اراکین
  • کل پوسٹس

    40
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Qazi نے پوسٹ کیا

  1. Kamal hai mainey aap key saarey sawalo key jawabat de diye phir bhi aap kah rahe hai jawab de, kya merey sawalat key aap jawab nahi dena chahte, thic mainey to aap sey kaha tha ki aap qyamat ki subah tak jawab nahi de sakte kyoke ye wahi sawal hai jo aaj se 45 saal pehle pakistan me hazaro logo ki hidayat ka jariya baney they ye meri last post hai agar aap ne kal woh 5 sawalo key jawab de diye to mujeh allaha ki kasam hai ki main phir koi sawal karo main yaha aap ke 1000 sawalo key jawab doonga pehle aap de kyoki aap ne abhi tak aik bhi sawal ka jawab nahi diya Mujeh pata hai aap phir jor jor se kahenge ki farar ho gaye, agar aap jawab denge to jab tak mere jism me jaan hai main aap se baat karta rahonga warna topic khatam Sawal aik baar phir note karey aap to khair barelwi hai inka jawab to 45 saal pehle deobandi mufti se dete nahi bana aaur unhone haq ko qubul kar liya. 1. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne zabaan se namaz ki niyat ki ? 2. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne Gardan ka Masah kiya ? 3. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki mard naaf key neechey haath bandhey aaur aaurat siney par ? 4. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki aakhri tashhadud me mard apney ultey pair par aaur aurat bator tawarukh apney kulhe par baithey? 5. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ney hukum diya ki 1 dirham se kam Nizasatey Galize agar kapdo me ya badan par lag jaye to usey dhoye bina namaz ho jayegi?
  2. Mera khayal hai aap jawab nahi de sakege warna aap abhi tak de chukey hotey. khair main janta tha aap qyamat ki subah tak un 5 sawalo key jawab nahi de sakenge mujse har post par sawal par sawal puchte hai main jawab deta ho ki shayad agli post me aap un sawalo ka jawab denge. par afsoos aap key pass jawab nahi hai, main kah raha ho aap jis cheez ko huzzat samjhte hai unse hi jawab de main maan loonga magar jawab de to sahi. Aaar app baar baar ye jo rafayadain ke rat laga rahe hai to sune ki jis tarah Kisi Maliki se haath bandhney key liye kaha jayega to woh kahega merey imam key nazdeek namaz mey haath nahi bandhey jaath uskey liye apney imam ka kaul huzzat hai aisa har muqallid ke saath hai, Ab jo apna imam sarwarey Qynat Hazrat Mohhammad Sallallaho allehe wassalam ko qubul karta hai aaur agar woh hath siney par nahi bandhey ya rafayadain na karey tab ussey pucha jayega ki aap aisa kyo kar rahe hai jabki aap key imam sarawarey qynat sallallaho allehe wassalm ne sine par hath bandha hai aaur rafayadian kiya hai aap key liye unka amal huzzat hai. Ab jabki kii app key liye aap key imam ka kaoul huzzat hai to Kyo kar main aap se rafayadain na karney ka israr karo. mera khayal hai ab aap itni wajahat key baad samjh gaye honge. Aaur bada afsoos hai aap key mutale par ki Mohhammed bin abdul wahab ko gair muquallid samjhtey hai jabki woh aap key chachere bhai they woh hambli they. Agar agli post me 5 sawalo key jawab de sake to theek warna rahne de. agar aap de denge to main aap se phir kuch nahi poochunga aaur aap 1000 sawal bhi karenge to inshallaha sab key jawab doonga. [/b]
  3. 1. Deen main kia kia hujjat hai? Ans. Deen main Saarey Ayyama ikram ney Quran wa Sunnat ko Hujjat mana 2. Agar Imam Bukhari Radi Allahu Anh Muqallid nahi the to kia the? Mujtahid the? Ans. Beshak woh Muqallid nahi they. Mujtahid they (Jis taraha Raat ka ulat Gair Raat nahi hota usi tarah Muqallid ka ulat gair muqallid nahi balki Mutabeh hota hai aaur imam bukhari mutabeh they) 3. Jo Imam-e-Azam ko Mujtahid na maane us ke baare main aap keh chuke keh woh Musalman hi nahi, ab Imam Bukhari ko Mujtahid na manne wala kia Musalman hai? Ans. Is sawal ka pahla hissa hi jawab hai, deen me unki khidmat ka inkar koi nahi kar sakta. 4. Aam Ghair Muqallid kehte hain keh Imam Bukhari Radi Allahu Anh hi Mujtahid-e-Mutlaq ke darje tak pohche aur in ke ilawa koi bhi Mujtahid-e-Mutlaq na bann saka, aap ka kia manna hai? Ans. Unkey aaur dosro key darze par bahas bekar hai jisney bhi islam ki khidmat ki allah uney uska badla de ameen 5. Aap k nazdeek Shafi'i, Maliki aur Manbali Fiqah kia Sahih Ahadeeth key muwafiq hain? Agar haan to kiun aur kese kia tamam masaail Sahih Ahadeeth se sabit hain unke? Agar naa to Hanafi Fiqah hi ko topic par kiun nishana banaya gaya? Seedha keh dete keh Fiqah aur chaaron mazahib hain hi Sahih Ahadeeth k khilaaf. Ans. Har mazhab pura ka pura quran wa sunnat key khilaaf nahi hai magar bahot sey mamlat me 1 he masley par 4ro mazhabo ki alag alag rai hai. Pura ka Pura Quran wa sunnat key muwafiz bhi nahi 6. Fatiha Khalfal Imam, Rafayadain waghera masaail ko Hanafi Fiqah ka inkaar karne k liye aaj kiun bunyad na banaya gaya keh yeh to maroof masaail hain Ghair Muqallideen ke liye? Ans. Iska jawab main de diya ki aap ki motbar kitab hidaya hi rafayadain aaur siney par haath bandhney ki kayal hai main un amal par baat nahi karna chahta jo aap nahi kartey, balki main un amal par aap ki daleel chahta ho jo aap kartey hai. Plz samjhney ki koshish karey bhai. 7. Aapne kiun kaha keh yeh masaail Fatiha Khalfal Imam Rafayadain waghera utney important nahi hain, esa kiun kaha? Kia hamari namazain zaya hote dekh kar aap ko kuch bura nahi laga keh aap ke mutabiq Fatiha Khalfal Imam Farz hai aur jo na parhe uski namaz hi batil hai, to akhir yeh is qadr aham mamla aap ke nazdeek utna important kiun nahi? Ans. Bhai main iska jawab de diya 6th key answer me. Ab aap se meri gujarish hai ki plz plz plz idhar udhar na jakar merey 5 sawalat jo aapkey roz key amal me se hai unkey jawab jaha se bhi aap aaur jis bhi cheez ko aap daleel samjhtey hai de dijey(Ye sab baate aapki motbar kitabo key hai) mere bhai plz plz haan ya naa me jawabat deney ki ilteja hai jaisa ki mainey aap key jawabat diye main aap ka dusman nahi bhai ho samjhiye. 1. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne zabaan se namaz ki niyat ki ? 2. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne Gardan ka Masah kiya ? 3. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki mard naaf key neechey haath bandhey aaur aaurat siney par ? 4. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki aakhri tashhadud me mard apney ultey pair par aaur aurat bator tawarukh apney kulhe par baithey? 5. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ney hukum diya ki 1 dirham se kam Nizasatey Galize agar kapdo me ya badan par lag jaye to usey dhoye bina namaz ho jayegi? Mere aziz ye aap ki fiqha ki motbar kitabo key fatwey hai aap inki daleel pesh karey jaisey mainey mainey jawabat de diye. plz agli post me zaroor de diziye bino koi aaur sawal karey.
  4. Intney lambey lecture me merey sawalo key jawab nadarat hai mere woh 6 sawal jo aap key roz marra key amal hai unkey daleel pesh karey bas
  5. Dekhiye bhai main apni wajah se allaha key rasool sallallaho allehe wassalam ke behurmati nahi karwa sakta isliye aap kuch bhe kahenge to mujeh buran nahi lagega, mainey aap se aap key roz-marrra key jo amal hai unki daleel puchi thi aap ne kitni gandi baat kahi (Nauzubillha Main Darr gaya) Jabki aap ne imamat key liye sirf 4 darze taye kiye 1. Jo Quran ka Quari ho 2. Jo sunnat sab sey jyada janta ho 3. Jisney pehle hizrat ki ho inme sab barabar ho to 4. jo umar me bada ho bas ba is hadith ki tahreef kar key 21 mamley gadhey gaye bhai aaur hamara aquida ye hai ke ye mamley imam abu hanifa ramaullaha ne nahi kahe ye baad ke logo ne banaye hai. aap ne ismey sarwarey kaynat ko ghasit liya isliye ye ilm ki mehfil nahi hui balki tassub hua. Aaur aap bar bar rafayadain, key barey me kahtey hai pehley mainey kaha ye tai karey ki aap key liye huzzat allaha key rasool sallallaho allehe wassalam hai ya koi ummati aap ney jawab nahi diya main aap se ladney key liye thodi baat kar raha bhai meri to murab apni aaur apki islah hai na ki maslak ki ladai bhai ismey pehle bhi kafi khoon wa gharat ho chuka imam shafi afzal hai ya imam abu hanifa is baat key liye dono imamo key muqalido ney rozey tod tod kar ladaiya ki aaur 40,000 log bewajah katal ho gaye. Bhai Rafayadain to khud aap ki kitab HIDAYA (jisey aap quran key muwafiq kahtey hai Nauzubillah) se sabit hai suney 1. Rafayadain Kabal ruku wa bad ruku ky hadith ki tasdeek sabit hai (Hidaya jild 1 safa 384, Sharah Vikaya 102) 2. Haq ye hai ki aa Hazrat Sallallaho allehe wassalm se rafayadain sahih sabit hai (Hidaya jild 1 safa 386) Magar merey dost main inper abhi baat nahi karna chahta tha aap ney parcha bheja Jis me Sahih Hadith Imam ki Quirat Muktadi ki kirat hai ko apney kaha ki aik wahabi ney isey zaeef kaha bhai koi bhi sahebe ilm is hadith ko zaeef nahi kahega ye to itni mazboot hai ki mohaddiso ney soney ki kadi kaha hai aaur ye hadith 382 hizri se kafi pehley jama kar di gai thi. Dekhiye mere bhai aap ney pehley mujhse jo pocha mainey bahawala unka jawab diya aap bhi mere woh 5-6 sawal jo they unka jawab de detey ki aap ka woh amal kis daleel se hai aap ulta mujse un par hi sawalat kar rahe hai ye thik nahi dost.
  6. 1. Mufta Bihi se murad wo masail hain jin par Fatwa diya jata hai or wo qabil-e-amal hote hain, Sahih or "RAJEH" (Sahaih ) aqwal ko Mufta Bihi kehte hain . Kya koi Hanafi Safar me namazo ko jama karkey padhta hai mera khayal hai nahi padhta ye hadith ke khilaf hua na bhai. 2. Witr ki namaz koi hanafi 1 rakat padhta hai nahi padhta ye bhi hadith ke khilaf hua. 3. Witr ki namaz me zabardast ikhtelaaf hanfio ka apney fiqha ki kitab se hai Fiqha me hai ki namaz e witr me haath dua ke liye chaati tak utaye jaye (Ye imam sab. key shagird abu Yusuf ramaullaha ka fatwa hai, Dur-re-Mukhtar jild 1 safa 310) ye to hadith ke khilaaf bhi nahi hai phir koi hanfi is par amal bhi nahi karta. Allaha hidayat farmaye -AMEEN
  7. Joon joon zamana guzarta gaya zu'uf barhta gaya ya nahi? Imam-e-Azam choonkeh ajillah aur laaiq-e-Ijtihaad Alim aur Mujtahid-e-Mutlaq Mustaqil hain jabkeh Imam Bukhari Mujtahid nahi, balke khud bhi Muqallid hain aur Muhadith hain, to kis ki baat ziyada qawi hogi yeh zehen main rakhte hue keh joon joon zamanah guzarta gaya zu'uf barhta gaya. Phir jo Ahadeeth baad main zaeef hui woh kis lehaaz se kaha ja sakta hai keh Imam-e-Azam k nazdeek bhi Zaeef thi aur unhone Zaeef riwayaat le kar Deen main phoot paida kardi? Ba'ad k zaeef rawion se Imam-e-Azam ki kia khata? Kia Imam-e-Azam ne yeh Zaeef rawi banaae jinki waja se poori Hadees hi Zaeef kehlati hai aur poori Hanafi Fiqah hi Sahih Ahadeeth ka inkaar hogaya? 1. Imam bukhari Muqallid nahi they, ye ilzaam hai unpar, balki unhe bukhara se nikalwaney me aik hanfi aalim ka haath tha. 2. Imam abu hanifa ramaullah ney hadith ko jama karney ka kaam nahi kiya balki unka loha isliye mana jata hai ki unke paas sirf 92 hadith thi ussey unhoney dhero masley solve kiye. 3. Imam bukhari ne haditho ka jama bhi kiya unkey liye safar bhi kiya aaur alhamdulliha jis hadith key woh hafiz they agar woh zaeef hui to unhe bhi choda. 4. Imam saheb key baad key rawiyo se hadith zaeef nahi hui balki woh hadith pehle hi key rawiyo se zaeef hui unmey bahoot se muddalis they bahot key rawiyo ka pata bhi na tha.
  8. Yeh bhi jawab na hua, maine poocha tha keh jo masaail aap ne kahe hain kia woh tamaam Sahih Ahadeeth key sarasar khilaf hain? Haan ya Naa? Ji haan bhai jo masley main bayan kiyey hai woh sahih ahadeeth key khilaaf hai. aap ne jawab to diya nahi bass mujh se he puch rahe hai.
  9. Phir wohi bewakoofi, aap idhar udhar kiun jaa rahe main? Ahadeeth paish karne ko to main bhi kar dunga aur aap ki di hui Ahadeeth ka bhi jawab de dunga, lekin aap se jo sawal kia gaya tha abhi tak uska jawab aap ne kiun nahi diya keh yeh maroof masaail mujhe kiun batane parhe aap ne khud pehle hi kiun ne likhe keh yeh maroof masaail jinko bunyad bana kar ap Fiqah ka inkaar karte hain? Aur aap ne yeh kiun kaha keh yeh masaail utney important nahi hain? Kia hamari namazain zaya horahi hain phir bhi important nahi hain yeh masaail? Phir Deegar Fiqah key baare main aap kia kehte hain? Bhai main bewakoof nahi aaur na aisey laft istemaal karney ka aadi ho, mainey aap ko pehle hi kaha ki jin maslo ki taraf aap ishara kar rahe hai main kyo nahi kahe main jawab diya tha ki pehle ye taye kiya jaye ki hamarey liye huzzat rasoole-e-akram sallallaho ki baat hai ya kisi aaur ki phir in maslo per amal karna ya na karna aata hai.
  10. 1. Fatiha Khalfal Imam mana' hai. 2. Haath pait par bandhna naaf k neeche. 3. Kaanon tak hath le jana takbeer k waqt. 4. Rafayadain mana' hai. 5. Namaz main "Aammeen" ahista kehna. 1. Fatiha imam ki pechey padhney ka hukum aap sallallaho alleh wassalam ne diya Aap ka Kaul jisey mohadiso ne soney ki kadi kaha "LA SALATA LI MALLAM YAKRA BE FATIHATUL KITAB"" 2. Naaf ke neech haath bandhney ki saari riwayate zaeef hai in sab riwayato me aik rawi hai 'ABDUR RAHMAN BIN ISAQ"" Isey saarey ke saarey Mohadiso ne Zaeef rawi kaha hai. 3. Kano tak hath utana sabit hai magar Kaan ki Lao ko chuna bidat hai. 4. Rafayadain Mansookh nahi hai Ye aap ki akhri namaz se bhi sabit hai. 5. Namaz me ameen ba-awaze- buland kahney ka hukum diya zissey masjid key daro diwar gonj jatey the aap sallallaho allehe wassalam ne farmaya ki " Yahodi Ameen se nafrat karte haf pas tum ameen zor se kaho" Agar aap mantey hai ki mainey jo sawalat aap se kiye they woh sahih hadith se sabit nahi hai to phir kya aap unhe chodney ka ilaan karege ya phir ye aisey he riwayat hotey rahenge. ab rahey aap key 4th aaur 5th question ka jawab to unka bhi mafhoom jo merey samjh me aa raha hai ki aap kah rahe hai jab imam bukhari 194 hizri me paida ho rahe hai aaur imam abu hanifa ramaullaha 80 hizri me to kiski baat mani jaye ? agar main sahi soch raha ho to plz aap wajeh kar de jissey jawab me assani ho aaur iska jawab bhai wajahat mangta hai.
  11. Bhai aap ney jo sawalat kiye they mainey to unka hi jawab diya tha ab aap kah rahey hai ki ye aap key sawal nahi they khair jin maslo ki taraf aap ney ishara kiya hai woh masley utney important nahi hai kyoki pehley ye tay karna zaroori hai ki hamarey liye kis ki baat huzzat hai allaha ke rasool sallallaho allehe wassalam ke ya phir ummati ki unkey baad un maslo jaise fatiha, rafayadain, par baat karna jyada sahih rahega. rahe 4 mazahib to in key baniyo ney khud ijtehad kiya aaur hukum diya ki hamarey maslo par tab tak amal na kiya jaye jab tak ki aap ko uski daleel na maloom ho. agar aap chahe to ham aapkey bachey huey sawalo par discuss karey warna aage badh jaye. aik baat aaur bhai abhi tak mainey jitni baate aap key sawalo key jawabat me pesh ki un se aap mutmaeen hai ya nahi mujeh likhey. phir agar aap un maslo per mujeh jawab de sakege jo mainey bhejey agar aap key paas un maslo par daleel hai to plz woh ahadees bhej de jin se woh masley liye gaye hai.
  12. 2. Hadees Sahih kese hoti hai? Zaeef kese hoti hai? 3. Ahadees key Sahih hone k liye kia kia sharaait hain? Hadith ki ulmao ne 2 kismey bayan ki hai 1. Maqbul 2. Mardood Sahih hadith ko Mabul hadith kaha gaya aaur Zamhoor key nazdeek maqbul hadith par amal wazib hai 2. Zaeef hadith ko Mardood hadith kaha gaya Maqbul ki kismey 1. sahih 2. hasan sahih hadith ki sharaait 1. Rawi ka Aakil, balig, hoshmand, hona zaroori ho achey ikhlaaq ka ho, aaur uska Hafiza bhi acha hona chaiye ya to yaad rakhey ya likh liya karey 2. agar apney sey pehli rawi sey riwayat karta hai to us rawi se uski mulakaat saabit honi chahiye. 3. Jaisa usney sona usko waisa hi riwayat karney wala ho, jhoot na kahta ho, 3. sahih hadith Shaaz nahi honi chaiye matlab sikka rawi apney se jyada sakhi rawi ki mukhlefat na karta ho. 4. rawi ney waham ki wajah se kisi baat ko badla na ho. 5. Aur is par Ulmao ne ko Funni kalam na kiya ho. agar ye baatey kisi hadith me pai jaye to woh hadith sahih hogi, agar inme se 1 baat bhi galat ho to woh hadith zaeef ho jayegi Alhamdulliha hamarey Mohaddis ikram ne aisey usley hadees banay hai ki agar kisi baat me baal ke barabar bhi jhoot ho to woh pakad me aa jati hai. ab sahih hadith ki bhi 2 kismey hoti hai jaisey sahih Lizatih, sahih legairih wagirah mera khayal hai ki apney ilm key taur par mainey jawab de diya hai agar koi baat kam rah gai ho to aap mujeh inform kar dey main us baat ko wajeh karney ki koshish karoonga. Aaur aap ney jin maslo ki taraf ishara kiya hai us par main sahih hadith pesh kar donga magar aap key 5 sawalo key jawab key baad, phir aap ki baari hogi gi mere send kiye gaye maslo par hadith pesh karna.
  13. Main aap key 6th sawal ka jawab dena pahle zaroori samjhta ho bhai woh ye ki jis shaks ne imam abu hanifa ramaullaha ko buzurg, motabar, laiq-e-ijtihad aaur alim na mana wo meri nigah me muslim hi nahi rahi baat ko aap tabi manney ki to wajahat ye hai. 1. aap ramaullaha ki paidaish 80 hizri mi hui, us waqt sirt 4 sahaba ikram maouzood they, 2. 1. hazrat Abdullaha bin Aouni Radiallaha Kufa mey they aaur 86 Hizri ko intekaal farma gaye imam saheb ne unsey ilm-e-deen nahi sikha. 3. 2. Hazrat Anas bin malik radiallaha anhu Basra me they aaur aik baar Hazzaz bin Yusuf ki shikayat lekar kufa aaye they imam saheb ne unka didar kiya magar tab bhi aap nabaliq they, unka sirf didar kiya unse deen ka ilm sikney ka maouka aap nahi pa sakey. 4. 3. Hazrat Sahal bin Saad Madina me they aap key intekaal key pehle imam saheb ka madina jakar aap se mulakaat ka saboot nahi hai. 5. 4. Hazrat Abu Tufail Amir bin wasila Radiallaha anhu Makkah me they aaur Aaap sallallaho allehe wassalam ki peshangohi ke mutabin wafat paney waley aakhri sahabi they jo 110 hizri me is duniya se kuch kar gaye in sey bhi imam sahab ki mulakaat nahi hui. To Ye sabin hai ki imam saheb ramaullaha Tabe Tabaeen they. Agle post me aap key sawal no 2 aaur 3 ka jawab Allaha ke Hukum se Dene ki Koshish karoonga inshallaha kyoki dono sawalo ka mafhoom aik hi hai.
  14. 1. Misaal k tor par konse Hanafi masaail Ahadeeth k khilaf hain? 1. Kya rasoolullah sallallaho allehe wassalam namaz ki niyat zabaan se kartey they ? 2. Kya Rasoolullah sallallaho allehe wassalam gardan ka masah pustey kaf sey kartey the? 3. Kya Rasoolullah sallallaho allehe wassalam ne hukum diya ki Mard namaz me ultey pair par baitey aaur aaurat bator tawarrukh ultey kulhe par. 4. kya Rasoolullah sallallaho allehe wassalam ne hukum diya ki charo imamo me se aik ki takleed lazim hai. 5. aik dirham se kam nizasate galiza agar kapdo me ya badan me lag jaye to usey dhoye bina namaz ho jayegi. 6. kya Rasoolullah sallallaho allehe wassalam ne hukum diya ki imamat ki sharayat me sab barabar ho to imamat wo karey jo jiska sar bada ho aaur sharmgah choti ho. sahih ahadith se takraney waley masley. 1. Namazo ka jama karna. Volumn 002, Book 020, Sahih Bukhari, Hadith Number 209. ----------------------------------------- Narated By Salim's father : The Prophet used to offer the Maghrib and Isha' prayers together whenever he was in a hurry on a journey. Narrated Ibn Abbas: Allah's Apostle used to offer the Zuhr and 'Asr prayers together on journeys, and also used to offer the Maghrib and 'Isha' prayers together. Narrated Anas bin Malik: The Prophet used to offer the Maghrib and the 'Isha' prayers together on journeys. Fiqha ka ikhtelaaf Haj key maoukey key siwa aaur waqt me 2 farz namazo ko jama karkey nahi padhna chahiye (Sharah Wikaya jild 1 kitabutsalat) 2. Sharab ka sirka banana Book 023, Sahih Muslim, Hadith Number 4891. ------------------------------ Chapter : It is forbidden to prepare vinegar from Khamr(wine).[/size] Anas reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) was asked about the use of Khamr from which vinegar is prepared. He said: No (it is prohibited). Fiqha ka ikhtelaaf Sharab ka jab sirka ban jaye to sharab halal ho gai. apney aap hi sirka ban jaye ya kisi cheez key milaney sey sirka bana liya jaye halal hai aaur sharab ki sirka banana maroh nahi hai (hidaya kitabul ashraba) Ye misal key taur par hai warna saikdo masley takratey hai. aage key post me inshallaha sahih aaur zaeef hadith par discuss hogi
  15. Jab ham hanfi book ka mutala kartey hai to dekhtey hai ki bahoot saarey fiqhi masley sahih haditho key khilaf hai to kya hamey is par amal karna chahiya ya chod dena chaiye, agar chodhtey hai to hanfi nahi kahlayege, aaur nahi chodhtey to musalmaan nahi kahlayenge kya karey bataiye.
×
×
  • Create New...