Jump to content

Qazi

اراکین
  • کل پوسٹس

    40
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About Qazi

Previous Fields

  • فقہ
    Maliki

Contact Methods

  • Website URL
    http://
  • ICQ
    0

Qazi's Achievements

Explorer

Explorer (4/14)

  • First Post
  • Collaborator
  • Week One Done
  • One Month Later
  • One Year In

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. Assalam alykum, main dekhta hu ki na aap salam ka jawab detey hai na khud kabhi salam kartey hai??????? agar aap us munazarey par baat karney ko tayyar hai to shuru karey warna rahney de.
  2. Assalam alykum, Bhai mansook honey ki jo hadith apkey rana saheb ne di woh meharbani kar key mujeh bhi de dey, agar woh sahi hui to inshallaha aap mujeh jiddi na payenge. main agar us hadith par jirha na kar saka to sar jukha kar tasleem kar longa ye mera aap se wada hai, mainey pehle hi kah diya hai ki mera mazhab (aaur aap to jantey hai imam abu hanifa ka bhi) sahih hadith hai. Abu huraira radiallaha wali hadith un kutto key barey me hai to shikar key liye pale jate hai, hadith mulaheza ho :- Sufiyan bin Abu zuhair radiallaha se riwayat hai ki nabi karim sallallaho allehe wassalam ne farmaya - jisney kutta pala aaur uska maksad na to kheto ki nigrani hai aaur na hi janwaro ki dekh-bhal to aisey shaks ki neki me se aik kirat sawab ki kami ho jati hai. Rawi saeeb bin yazeed ne pucha kya ye riwayat aapne kudh muhammed sallallaho allehe wassalam se suni hai to unhone kaha haan is kibla key rab ki kasam (Sahih bukhri kitab makhlook ki paidaish 59 hadith no. 3325) Haan to janab kutto ko marney ka hukum mansook kab hua aaur shikari ya palto me kaon sey hai. rahi baat sag ki tu uski aaur bhi koi meaning ho to bata de wahi liya karenge kyoki muawiya ki to dosri meaning tatbeek key liye hai. imam saheb ka kaul sar aankho par ki mera mazhab sahih hadith hai kash aap bhi maan lete. chaley ab jo is post ka asal maksad hai imam Auzai rah. aaur imam abu hanifa ka munazara us par behas shuru kariye.
  3. Assalam alykum, bhai tajjub hai kah rahe bhag gaye possible hi nahi hai, rafayadain jo dopahar ki dhoop ki tarah roshan daleel rakhta hai, woh sabit na kiya ja sakey, kabhi kabhi jahilo ki baat ka jawab nahi diya jata woh alag baat hai, aap key paas rafayadain key tark ki koi hadith ho to pesh karey aaur please laan taan na karey. kuttey ko marney wali hadith :- Abdullaha bin umar radiallaha se riwayat hai ki nabi karim sallallaho allehe wassalam ney kutto sja marney ka hukum diya hai. (Sahih Bukhari, kitab 59 Makhlook ki paidaish key bayan me,hadith 3323) Aaur Muhammed sallallaho allehe wassalam ne gulu karney aaur naam ko bigadney se mana farmaya hai. ???? Rahi baat Muawiya radiallaha ki to unkey naam ka matlab tha Takatwar Bajo wala ham shiao ki tarah unkey naam ka matlab wolf ya bhokney wali kutiya nahi lete kyoki agar aisa hota to muhammed sallallaho allehe wassalam unka naam durust kar dete. Agar merey liye imam abu hanifa hujjat nahi to aap key liye to hai phir aap logo ney us munazrey ko lekar unpar jhoot kyo bandha? waisey to aap ko rafayadain par samjhaya ja chuka hai jid to aap kartey hai umatti ki baat par rasoolullaha ki baat ko chodhtey hai. agar imam sab. key us munazrey key baarey me kuch jantey hai to farmaiye warna rehney de.
  4. aqidey ki nafi sabit ho chuki zara wajahat karey merey bhai??? Aaur madiney me to allaha key rasool muhammed sallallaho allehe wassalam ne kutto ko mar dalney ka hukum diya tha aaj bhi waha kuttey nahi hai kyoiki woh napak hotey hai phir ??? ye samjh nahi aaye ?? aaur bhai Tabieen main Moavia ya kaleeb miltay hain ya nahi isko bhi zara sa wajeh kar de meharbani hogi. wassalam
  5. Assalam alykum, jo link aap ney bheja waha sirf rafayadain par discuss hua hai main chahta ho woh munazara jo imam aauzai rah. aaur imam abu hanifa rah. key darmiyan hua tha uskey baarey me baat karo. kya aap tayyar hai? aaur aap key naam key aage jo question mark hai woh isliye ki main janana chahta ho ki iska yani ''SAG E'' ka matlab aap mujeh bataiye?
  6. assalam alykum, chaley aap ki samjh nahi aa raha aisa karey jo surat aap logo bana kar ghoom rahe hai uski aik zaeef hadith pesh karey??
  7. Assalam alykum, bhai sag e(???) Madinah mainey pucha kya is munazrey ki sanad hai?? aap ney jawab kuch aaur diya main sirf imam Auzai rah. aaur imam abu hanifa rah. key darmiyan huey munazrey par guftgu karney ko tayyar ho ... rahi purani baat to pata nahi aap kaisney nahi samjh pa rahey ki wakai hamrey liye hujjat sirf quran wa sunnat hi hai aap maney ya maney.
  8. Assalam alykum, bhai sag e(???) Madinah mainey pucha kya is munazrey ki sanad hai?? aap ney jawab kuch aaur diya main sirf imam Auzai rah. aaur imam abu hanifa rah. key darmiyan huey munazrey par guftgu karney ko tayyar ho ... rahi purani baat to pata nahi aap kaisney nahi samjh pa rahey ki wakai hamrey liye hujjat sirf quran wa sunnat hi hai aap maney ya maney.
  9. is munazarey ko hanfi ulema badey zoor shoor sey masjido key mimber sey bayan kartey hai aaur rafayadain key khilaf badi mazboot daleel samjtey hai aaur sada noh logo ko bewakoof bana kar apni marzi ko deen bata kar us par amal karney mazboor kartey hai aaur bechari bholi awaam allaha key rasool sallallaho allehe wassalam ki mukhlefat ko sunnat samjh kar amal bhi karti hai aaur apney ulemao key bharosey haq parsto sey bahas bhi karti hai allaha khair karey.
  10. Kya Koi bhai imam abu hanifa aaur imam aauzai key darmiyan huey munazarey jo rafayadain key sislsiley me hua tha uskey baarey me kya sochta hai ki ye munazara hua the ya aik jhooti khabar hai?
  11. imam aauzai aaur imam abu hanifa ka munazara

  12. Quran wa hadith me is tarah isale sawab ka koi saboot nahi hai????
  13. Assalam alykum, Asim bhai aap ney koi kasar nahi chodi alhamdulliha, shayad ab inki aankh khuley agar inki kismat me hidayat hai, ye log gulami pasand kartey hai aik ummati dusrey ummati ki gulami kar raha hai, jabki khud Imam abu hanifa ramaullaha ne aapne kaoul par amal karney se tab tak mana kiya jab tak ki asal hadith na mil jaye magar afsoos : Allaha farmata hai takleed key radd me sura anaam ayat 153 (6:153) : "Kah do ki ye hai mera rasta bilkul seedha to tum sirf ise par chalo aaur dusrey rasto par mat chalo we tumhe sahi rastey se behka denge." Magar dekh ye bahak hi gaye. Ab kya kahtey ho Saeedi Bhai, Badey josh se zaeef haditho ke sahare soch rahe they ki jawab de diya itna asaan nahi hai bhai allaha ki faouz se takrana, abhi bhi waqt hai choor choor honey se bacho.
  14. Asim bhai assalam alykum, ab yaha par post karney ka koi faida raha nahi, munazarey ka result aa chuka hai,aap ne dekha hi hai, Main to kaha tha ki sirf 5-6 sawalo me se aik ka bhi jawab agar ba sanad sahih de diya to main hanfi ho jaonga aaur, aap ko apna ameer tasleem kar loonga, magar woh jawab nahi de sakey aaur na qyamat ki subah tak koi jawab de sakega, allaha inhe hidayat naseem karey. huzzat tamam hui, hamney baat pahonch di, ab ye maney na maney inki marzi, kyoki inhe maloom hoga tauba adam ke sunnat hai aaur zeed shaitan ki ye apne aap ko kaha rakhtey hai inki marzi. agar aap ka orkut par accout hoga to mujse rabta qayam karey, qazi adnan, raipur india search karey aaur mujeh add kar ley phir inshallaha khaylat ka tabadala hoga. wassalam Qazi Adnan.
  15. Assalam alykum, brothers Asim saheb good job. Mera adhey se jyada kaam asim bhai ne kar diya hai, ab mujeh mumtaz bhai aap se kehna hai ki agar jo mushkilat aap ne batai ki ab aap continue nahi kar payenge aapki jagah aapke koi dost is munazarey ko aage le jayege to kya agar aisi mushkil kisi dusrey ke saath pesh aati to aap kisi jabardast alfaz ka istemaal nahi kartey jo aap ne pehle kar chukey hai Khair ham is baat key kayal nahi hamara kaam sirf baat ka pahochana ''BALLIGO ANNI WAL AYA" hai, aap allaha aaur uskey rasool ka kaha maney ya na maney unki shaan me ratti barabar kami aaney ki nahi. Ham aapkey liye exam me kamyabi ki dua kartey hai allaha aap ko kamyab karey us exam me bhi aaur sab se bade aakhri exam me bhi, aaur aap Allaha key rasool sallallaho allehe wassalam ki risalat ki oonchai ko pehchan le aaur kabhi us shkas ka difa na karey jo aap sallallaho allehe wasalam ke baat me tahreef karey aap ko pata hoga ki hazrat umar bin khattab radiallaha ki sunnat hai ki aisey shaks ki height ko uper ki taraf se 10" (inch) choti kar diya jaye. Tarikh me aik kissa bada mashoor hai ki aik yahodi aaur aik musalmaan me kisi baat par jhagda ho gaya to woh dono aap sallallaho allehe wasalam key pass aaye to aap sallallaho allehe wasallam ne yahodi key haq me faisala kar diya. ye baat us muslim (munafiq) ko thik nahi lagi usney kaha aik baar hazrat umar se bhi faisla kara liya jaye jab wey log umar radiallaha key pass aye aaur bataya ki aap sallallaho allehe wasallam ne faisla kar diya hai aap ne faoran us munafiq muslim ka sar kalam kar diya aaur farmaya jab aap sallallaho allehe wasallam ney koi baat farma di to phir mujse dobara poochi hi kyo gai. Aap ney aik baar kaha tha ki aquidey ki buniyad par main aap ka bhai nahi hu. mainey kaha tha aap ka aquida masley me imam abu hanifa ramaullah key muquallid hai aaur Aquidey me Imam Abu Hasan Ashari aaur Imam Abu Mansoor Matoridi key aap ney jawab nahi diya aisa kyo ? Aaap janey se pehle un sawalo ka jawab de saktey they kyoki woh to bas haa ya nahi me hi diye ja saktey hai. Main aik baar phir se likh raha ho baad walo ko asani hogi. 1. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne zabaan se namaz ki niyat ki ? 2. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne Gardan ka Masah kiya ? 3. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki mard naaf key neechey haath bandhey aaur aaurat siney par ? 4. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ne hukum diya ki aakhri tashhadud me mard apney ultey pair par aaur aurat bator tawarukh apney kulhe par baithey? 5. Kya Rasoolullaha sallallaho allehe wasslam ney hukum diya ki 1 dirham se kam Nizasatey Galize agar kapdo me ya badan par lag jaye to usey dhoye bina namaz ho jayegi?
×
×
  • Create New...