141: Durr e Manthoor e Quraan ki Silk e bhee
Zauj e Dau Noor e Iffat pe laakhoun Salaam
142: Yani Uthmaan Saahib e Qamees e Hudaa
Hullah paush Sh’haadt pe laakhoun Salaam
143: Murtaza Shair e HAQQAsh ja Ul Ashja’een
Saaqi e Sheer o Sharbat pe laakhoun Salaam
144: Asl Nasl e Safaa Wajhay Wasl e KHUDA
Baab e Fasl e Wilaa’ytpe laakhoun Salaam
145: Awwaleen Daafa eEhl e Rafz o Khurooj
Chaarmi Rukn e Millat pe laakhoun Salaam
146: Shair e Shamsheer Zann Shah e Khaibar Shikan
Par tu e Dast e Qud’rt pe laakhoun Salaam
147: Maahi e Rifz oTafzeel o Nasb o Khurooj
Haami e Deen o Sunnat pe laakhoun Salaam
148: Mu’mineen Paish e fatah o pas e Fatah sab
Ehl e Khair o Adaa’lt pe laakhoun Salaam
149: Jis Musalmaan nay Unhain Daikha ik nazar
Us nazar ki Basaa’rt pe laakhoun Salaam
150: Jis kay Dushman pe la’ant hai ALLAH ki
Un sab Ehl e Muhab’bt pe laakhoun Salaam
151: Baaqi e Saaqiyaan e Sharaab e tahoor
Zain e Ehle e Ibaa’dt pe laakhoun Salaam
152: Aur Jitnay hain Sheh’zaaday Us Shaah kay
Un sab Ehl e Makaa’nt pe laakhoun Salaam
153: Un ki Baala Sharaa’ft pe Aa’laa Durud
Un ki Waala Si’yaadt pe laakhoun Salaam
154: Shaaf’ai, Maalik,Ahmad, Imaam e Haneef
Chaar Baagh e Imaa’mt pe laakhoun Salaam
155: Kaamilaan e Tareeqt pe Kaamil Durud
Haamilaan e Shari’yt pe laakhoun Salaam
156: Gauth e A’zam Imaam at Tuqaa Wn Nuqaa
Jalwa e Shaan e Qud’rt pe laakhoun Salaam
157: Qutab e Abdaal o Irshaad o Rushd ur Rushaad
Muhee e Deen o Millat pe laakhoun Salaam
158: Mard e khail e taree’qt pe baihadd Durud
Fard e Ehl e Haqee’qt pe laakhoun Salaam
159: Jis ki Mimber hui Gardann e Awliyaa
Us Qadam ki karaamt pelaakhoun Salaam
160: Shaah e Barkaat o Barkaat Paishiniyaan
Nau Bahaar e Taree’qt pe laakhoun Salaam