Salam alaikum,
janab jad dul mukhtar sb. Aap ka jawab dene se pehle mai ye wazeh kar doon ki is forum par meri amad ittefaaq se hui maine
youtube par dr. tahir qadri sb ka ek video dekha jisme unhone diwaan-e-abu talib ka zikr kara aur
majme ko dikhaya bhi taqreer sunne ke baad maine google par "diwan-e-abu talib search kara jo
mujhe forum ke is topic par le aaya yahan maine dekha ki jis mauzo par maine dr. tahir qadri sb ki
taqreer suni hai uspar bahes chiri hui hai lehaza maine us taqreer ke link yahan daal diye taki jo log
bahes kar rahe hai wo bhi us taqreer ko dekh lein mujhe is baat ka eteraaf karne me koi muzaeqa
nahi ki mai dr. Tahir qadri sb se kafi mutassir hoon forum me mera maqsad kisi se seengh larana
hargiz nahi. doosre agar aisi bahes se hamari jannat ya jahannum tai hota ho to bahes ka faeda bhi
hai jahan tak mera tajurba hai in mubahiso ka koi hal nahi nikalta aur khamakha baradraan me doori
barh jati hai mai aap ka jawab dena zaroori nahi samajhta lekin kyon ki aaj mere pass waqt hai is liye jawab de raha hoon.
Jawab:-
Aap ne apne hisab se 10 batein kahi hai jo dar haqiqat 8 hain
Pehli baat me aap ne farmaya ki mere nick ke meaning sahi nahi hain.
Aap ki baat se mujhe dili sukoon mila aur laga ki mai apne maqsad me kaamyaab hoon.
Apni doosri baat me aap ne mujhe nick change karne ki salah di hai aur saath hi do sujjestion
aur de diye
To thora sa mai apne naam ke bare me aap ko bata doon1983 me peri paidaesh par maa baap
ne mera naam HANUMAAN ........... rakha tha jo islam qabool karne ke baad kaheen to
HUMAYON................ (yahan maine kisi maslahet ki bina par apna hindu aur muslim name
poora nahi likha hai ) ho gaya aur kaheen aaj bhi HANUMAAN ............... hi darj hai jaise
hamare khandani pandit jo banaras me hain unki patriyoon aur hamari wanshawali (shajra) me
aaj bhi mera naam Hanuman ............. hi hai
"Mohammad" naam mujhe un imam sb. ne diya jinhone kalma parhaya aur saath hi is naam ki
fazilat aur martaba bhi bataya aaj wo is duniya me nahi hain lekin unke alfaaz meri yaad dasht
me mehfooz hain (Beta ye jo naam maine tumko diya hai ye koi mamooli naam nahi hai ye
hamare sab se bare nabi ka naam hai iski laaj hamesha baqi rakhna aur ek behtireen insaan
banna kyonki ek achha insaan hi sachha musalmaan hota hai) iske alawa bhi unhone bahot kuch
bataya jiska zikr yahan be maani hai.
Janab cyber space ki is duniya me chat room se lekar forums tak hamara waasta badtareen aur
behtareen insano se parta hai lehaza mai "mohammad" ke bajaye "mohd" ka istemaal karta hoon
taki agar koi mujhe bura bhala kahe to baat "mohd" tak hi rahe aur mai "mohammad" jaise
azeem aur mubarak naam ki tawheen ka sabab na banoo.
Yahan ek sawaal aur paida hota hai ki jab mujhe is naam ke ehteraam ki itni fikar hai to kisi aur
naam ka intekhaab kyon nahi kara taki koi jhagra hi na rahe to uski wajah ye hai ki ye mera
pasandeeda naam hai lehaza apni naqis aqal ke hisaab se mujhe yahi option munasib laga jisme
ehteraam bhi rahe aur meri chahat bhi poori ho jaye.isko aap meri nadani kam aqli jo chahe
kahen.mai nick change nahi karoonga aap chahein to mujhe ban kar dein baharhaal aap
moderator hain.
rahi baat aapke sujjestion ki to uska mai shukar guzaar hoon.
Apni teesri baat me aap ne dr. tahir qadri sb. par nishana sadha isme aap ki neyat unka mazaq urane
ki rahi ho ya be izzati karne ki mujhe aap ke dil ka haal nahi maloom.
Jitna mai dr. tahir qadri sb. ke bare me janta hoon wo ye ki unki 1000 ya isse zyada kitabein
manzar-e-aam par aa chuki hain iske alawa unhone islami uloom par saikroon lectures diye hai
jiska dil chahe dekh ya sun le rozana Q tv par bhi unke lectures ka mushaheda kiya ja sakta hai.
Unki shakhsiyat jaisi bhi hai sabke saamne hai lehaza is par is se zyada kuch nahi kahoonga
Chauthi baat me aap ne apni doosri baat ki takraar ki hai shayad aap ko apni hi baat me wazn kam
lag raha hoga
Mera jawab upar likha hai phir se parh lein.
Paanchwi baat me aap ne mujse mera mazhab daryaft kara hai aur saath hi ek mashwara aur enayat
farmaya hai
Janab mai bata doon ki mai pushtaini musalmaan nahi hoon mera talluq hindustaan ke rajput
gharane se raha hai aur kuch hi arsa huwa hai ki maine islam qabool kara hai.
Yahan mai is baat ki wazahat karna zaroori samajhta hoon ki maine tahir qadri sb. ke luctures
sunkar ya unki kitabein parh kar islam qabool nahi kara hai balki islam qabool karne ki wajah
quraan aur zaat-e-rasool(saw)hai.jo aaj bhi zehen-e-insani par apni amit chaap chorti hai.
2005 yani islam qabool karne se pehle mujhe hindu mazhab ki kuch batoon se itminaan nahi
hota tha aur shayad yahi talaash mujhe doosre mazhab ki janib le gayi maine Quran ka
translation parha aur jis baat ne mujhe sabse pehle apni taraf kheencha wo sura-e-insaan ki
ki shuroo ki ayaat hain.
Ye bhi batata chaloon ki jab mai hindu tha to mujhe sirf itna maloom tha ki jis mazhab ke taraf
mera rujhaan ho raha hai wo islam hai hanafi humbali shia maleki sha-fei deobandi barelvi
waghairah mujhe bahoot baad me pata chala aur jab pata chala to mai ek baar phir apne ko
kai rahoon wale maqaam par khara paa raha tha.
Mai phir se shak o shubhe me mubtala ho gaya lehaza apne shak ko dur karne ke liye maine
taqreeban har maslak ke aalim se baat kari jisme kuch ne to sab ko sahi bataya aur kuch ne sirf
apne ko sahi bataya jis se meri mushkil hal hone kay bajaye aur barh gayi.
Fil-haal to mera rabeta hanafi maslak se hai lehaza aap mujhe fiqh-e-hanafi ka manne wala
shumaar karein.
(lekin dil me jo itmenaan hona chahiye wo abhi bhi mehsoos nahi hota is waqt forum par reply
karte huwe bhi meri aankhoon se aanso beh rahe hai aur rabbul aalmeen se yahi dua hai ki
mujhe sahi rasta dikha de mai ek adna insaan hoon mustaqbil dekhna mere bas me nahi ki mai
bata sakaao ki meri talaash aur koshish mujhe kahee aur le jayegi ya isi maslak (hanafi) par baqi
rakhe gi)
Aap ke ek aur sujjestion ke liye mai ek baar phir se shukar guzar hoon.
Chati baat me aap ne tamaam ahlesunnat hazraat ki qayadat apne haath me le li aur faisla suna diya
ki falan gumrah hai.mai khawab me bhi nahi soonch sakta tha ki is forum par pehle din, pehli
post me,meri mulaqaat itni zabardast aur paye ki hasti se ho jayegi jiske haath me tamaam
ahl-e-sunnat wal jamaat hazraat ki qayadat ho aur saath hi faisla sunane ka haq bhi
Subhan-Allah.
Aap tahir qadri sb. ko gumrah maante hai, theek hai.
Lekin aalame-islam ki in azeem hastiyoon ke bare me aap ki rai kya hai jinko tahir qadri sb.
ne apne lecture me code kiya hai.
1-imam ibn-e-jareer tabari 2-imam behaqi 3-imam ibn-e-aseer 4_imam ibn-e- kaseer
5-imam ibn-e-asakir 6-al maqrizi 7-imam tabari 8-imam jalalud-deen seyouti
9-imam ostulani 10-imam halabi 11-imam ibn-e-hajar askalani
12-imam shahristani 13-allama balazari 14-allama ahmad zahni dahlaan
15-ibn-e-abdul bar 16-imam sohaili 17-imam tabrani 18-imam askalani
19-hazrat-e-abu moosa ashari 20-imam hakim 21-imam behaqi
22-hafiz ibn-e-kaseer 23-imam abu nuaim esfahani 24-allama shami
25-imam shamsuddin zahabi 26-imam ibn-e-saad
27-imam askalani ibn-e-hajar askalani 28-ibn-e-jauzi 29-abu yousuf shami
30-imam burhanud-deen halabi 31-sheikh abdul haq mohaddis dehlavi
32-allama ibn-e-khaladoon
Aur in kitabo ke bare me janab ki kya rai hai kyonki tahir qadri sb. ne apne lecture me in
kitabo ko bhi code kara hai.
1-tareekh-ul-kamil 2-sahih bukhari 3-as-sunanul kubra 4-al khasa-es-al-kubra
5-seerat-e-halabiya 6-al minan wan nehal 7-al-jame-as-sahi 8-dalael-an-naboowat
9-al bedaya wan nehaya 10-fathul bari 11-at -tamheed 12-al-moajam al kabeer
13-jame tirmizi 14-musnnaf ibn-e-abi shara 15-subulul huda 16-al esaba
17-safwatul suffa 18-tabaqaat ibn-e-saad 19-tareekh-e-damish kas kabeer
20-seerat-e-halabi
Ye sab mujhe yahan majboran is liye likhna para kyonki mujhe lagta hai ki aap kisi gumrah ki
taqreer to dekhna ya sunna pasand nahi kareingay
(albatta ye meri naqis aqal ko lagta hai mumkin hai aap taqreer dekh ya sun lein)
. Iske alawa agar aap in sawaloon ka jawab bhi enayat farma dein to mujhe khushi hogi
*Uloom e islami par janab ki research kitne saloon ki hai aur kin uloom me janab ko
maharat hasil hai ?
*Janab ki ab tak kitni kitabein manzar-e-aam par aa chuki hain ?
*Ahl-e-sunnat wal jamaat ki taraf se farmaan jari karne ka haq janab ko kis ne diya ?
*Islam ki tarweej ke liye janab ne ab tak kitne bunyadi aur asasi kaam anjaam diye hain?
*kya Q tv ka intezamiya bhi gumrah hai kyonki wo ek gumrah ko plateform faraham kara
raha hai ?
*Agar janab hindustaan me hain to kya mai janab se ru ba ru mulaqaat kar sakta hoon ?
Waise ye aap par depend karta hai ki aap jawab de ya nahi kyonki mai aap se jawab
talabi karne ke liye authorized nahi hoon phir bhi agar maloom ho jaye to meri khush naseebi
hogi.
Saatwi baat me aap un logon ko beech me le aaye jinka is baat me koi beech hi nahi.
Lehaza is bare me kya likhoon
Aathwein baat me aap ne apni doosri aur chauthi baat teesri baar phir kahi shayad wazn abhi bhi
kam lag raha hoga
Janab mera jawab upar likha hai phir se parh lein.aur aap ka aqeeda jaan kar mujhe kya milega
aap ka aqeeda aap ko mubarak.
Nawi baat me aap ne hukm diya hai ki apne ko zahir karoo
Is bare me mai upar likh chuka hoon
Daswi baat me aap ne is topic par mazeed baat karne ki peshkash ki hai
Is bare me mai apna stand us wazahat me likh chuka hoon jo jawab se pehle aap ki khidmat
me pesh ki hai lehaza wahan se matlab nikal lein doosre alfaaz me kahoon to mujhe isme koi
khaas dil chaspi nahi.
Was-salam