بسمك اللهم ولك الحمد سرمدا والصلاة والسلام عليك يا رسول الله دائما أبدا وعلى آلك المجتبى وأصحابك أولى الأدب والصفا
السلام على من اتبع الهدى
bawajood is k k bud mazhabon ko hamaray ulama (كثّرهم الله ) bar bar "ghar tak pohncha chukay" phir in main say koi wo farsooda or bewakoofi say bhrpoor suwalat keye jatay hain jin ki zad say khud "in k ghar" mahfooz naheen!
main pochta hon mu wahid Id walay sahb say k : janab ye to batadia k Hadees main yon hay Quran e kareem main ye hay ...............ye bhi to irshad ho k
Q1:-bid'at k jo mafhoom janab samjhay kia yehe mafhoom muraad e Baare Ta'ala or Rasool e Aa'la (عز وجل و صلى الله عليه وسلم ) hay ya naheen ?
Q2:-ager hay to is per Ulama e mutaqaddimen ya muta'akh khiren say kisi Aalim nay k jin ki jalalat per ummat k ittefaak hay Mufassir hon ya Shahrah ya Faqeeh nay mazkora ayat o hadees k yehe mafhoom bayan kia hay or deger mafaheem ki siray say sarahat k saath nafee ki hay?zaror naam e mubarak ma hawala e kutub e matboa irshad ho.
Q3:-or Us nafee ko baad k Ulama nay mukarrar bhi rakha hay ya un Aalim sahab ki raey keh ker jumhoor nay rudd ker dia........?mukerrareen k asma ma hawala kutub e matboa irshad hon ........jazak Allah !
Q4:-sekron saalon say taqleed e shakhsee kernay walay un ulama o muhaddeseen o mufassereen o fuqaha or deeger afraad jo ijtihaad ki salahiyat na rakhtay un k baray main janab kia kehtay hain k taqleed e shakhsee ker k wo bidatee hoay ya naheen ?or bidatee ho ker (معاذ الله ) (khaak ba dahan e gustakh!) jahannami hoay ?
Q5:- or bidateyon ko sheikh al-Islam, Imam ,hadi , rahnoma , waghaira kehna un ki tasaneef say istifada kerna,un k lia dua e maghfirat o tarah hum kerna jub k "janab" k baap dada jo guzray unhon nay taqleed e shakhsi ko shirk tak kaha to bakol ap k mushrikon ko musalmaan samajhna kia kufr o shirk ko Islam samajhna naheen or ye kufr hay ya naheen ............to janab apnay baap daadaon ki khaber di g a k wo asi tazeem ker k musalmaan kb rahay ?
Q6:- or khud app janab asay baap dada ustaad jo mushrik ki tamam umr kitabain parhtay sanade hadees latay rahay un ko musalmaan samajh ker musalmaan rahay?
Q7:-ya aap apnay or apnay baap daadaon k lia alag shariat mantay hain?aam musalman karay to kafir o mushrik o bid'atee or app k baap dadaon k lia khaas halal !!!???(العياذ بالله المتعال ولا حول ولا قوة إلا بالله )
Q8:- kia quroon e salasa(3 zamany yanee zamana e Aqdas or sahaba k zamana or tabaeen k zamana) main na sabit honay say koi kaam jo k fi nafsihi mubah ho or bal k uski asl deen main saabit ho to bidat o haraam ho jata hay ?Qur'an ya Hadees ki kis ayat ya riwayat say ye qaid sabit hoti hay ?
Q9:-ager asa hay to ap ko ilm hay k ap k tamam muamlaat kia isi murawwaja tarikay per sabit hotay hain .....?ba hawala e kutub irshaad ho k fulan cheez ghairmukallidon ki Sarkaar k zamanay main ya sahaba k zamanay main ya taba'een k zamanay main mojood thi (صلى الله عليه وسلم ورضي الله عنهم )
......tafseel k saath irshaad ho ?
Q10:-ager ilm naheen to beghair ilm k deen main koi baat kehna kia bidat naheen? or ap bidati hoay ya naheen ........???
تلك عشرة كاملة
bidati kon k jawab ap ko mil gaya!