MOUWAHID
اراکین-
کل پوسٹس
428 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
1
سب کچھ MOUWAHID نے پوسٹ کیا
-
AhleHadees, aik Sifaati Naam aur Laqab
MOUWAHID replied to Talinenoor's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Aray wah aik taraf to aap humain ghair muqalid kehtay hain aur doosri taraf taqleed jaisa ganda lafaz b humaray lia istaimaal kertay hain. Yeh to hum per Ilzaam hai.....Hum tamam Aima Arba(RA) ka ahtram kertay hain....Aur tamam aulia Allah ko maantay hain..Laikin un ko Aulia Allah ka muqam hi daitay hain RAb waala muqam nahi daitay...Matlab Sajda Allah k lia kisi peer sahib k lia nahi kisi qabar per nahi....Nazar-o-niaz Allah ki lia kisi bazurag k lia nahi kisi qabar waalay k lia nahi........... Allah k fazal say Sahaba Karam humaaray lia Mishal-e-Rah hain.Unhoon nay jitni mahnat ker k hum tak sahi Ahadees puhanchai aur un ki hifaazat ki woh hum per un ka bohat bada ihsaan hai. Aur apnay peer Ilyas Qadri k b sun lo! Aap kisi sahi Hadees say saabit ker dain InshAllah main khud namaz k baad ijtmai dua maanga keroon ga. Is ka jawab hadees say daita hoon. Sahi Bukhari, Baab-Azaan. -
@Chishti Qadri Jab aap ghous qutab abdal k taswar ko maan rahay ho to ooper Asim bhai ko jawab hi day do! Wohan to aap nayy keh dia k humaray pass itna time nahi aaap khud tehqeeq kero
-
Yeh doonon laqab in ko mairay Aaqa nay dia hain...Laikin aap to Imam Husain ko imam keh ker un ko Imam-e-Azam nahi manatay.Kia yeh Imam Husain ki touheen nahi?
-
Laikin mairay bhai aap k loug to keh rahay hain k muhadseen nay apnay aap ko Ahlehadees kehlwaaya hi nahi.... Ya Muhammdah ki post daikhain........ http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=7670
-
Hum main say agar koi kahay k main Hazrat Isa(AS) ko manta hoon is lia main maseeh hoon hum kahain gay k yah islam say kharij hai........Agar koi kaha k main Hazrat Moosa(AS) ko maanta hoon is lia main moosavi hoon hum kahain gay k yeh bi islam say gia....Aur agar koi Chaaroon aima {Imam Abo Hanifa(ra),Imam Shafi(ra),Imam Malik(ra),ImamAhmad bin Hanbal(ra)} ki taraf nisbat ker k kahay k main maalki,shafi hanbli ya hanfi hoon to us k baaray main kia fatwa hai? Humaaray Nabi k aanay k baad kisi Nabi ki nisbat nahi chal sakti to kisi umati ki nisbat kis tarah chal sakti hai? Maira yeh topic http://www.islamimehfil.info/index.php?showtopic=8482 attar k kutay nay close ker k keh dia k main yeh topic taqleed per laga raha hoon,per main to tamam loogoon ko lamha fikria day raha tha k jo loug apnay aap ko shafi maalki hanbli ya hanfi kehlwaatay hain woh apni nisbat kisi umati ki taraf kertay hain kia yeh mairay Aaqa ki touheen nahi k un k aanay k baad hum kisi umati ki taraf nisbat kerain kia mairay Aaqa Jinab-e-Muhammad Qiamat k din is baat ka sawal nahi ker saktay k tum nay mairay hotay hoay kisi aur ki taraf apni nisbat kion ki?
-
Hum main say agar koi kahay k main Hazrat Isa(AS) ko manta hoon is lia main maseeh hoon hum kahain gay k yah islam say kharij hai........Agar koi kaha k main Hazrat Moosa(AS) ko maanta hoon is lia main moosavi hoon hum kahain gay k yeh bi islam say gia....Aur agar koi Chaaroon aima {Imam Abo Hanifa(ra),Imam Shafi(ra),Imam Malik(ra),ImamAhmad bin Hanbal(ra)} ki taraf nisbat ker k kahay k main maalki,shafi hanbli ya hanfi hoon to us k baaray main kia fatwa hai? Humaaray Nabi k aanay k baad kisi Nabi ki nisbat nahi chal sakti to kisi umati ki nisbat kis tarah chal sakti hai?
-
Main jis mushkil kusha ka pooch raha hoon us ko na neend aati ho na mout aati ho agar us ko dil main b pukaaro to woh mada ker day.............
-
Agar tum sab ko imam maantay ho to Imam-e-Azam Jinab-e-Muhammad ko kion nahi maantay?
-
Main Hanfi loogoon say aik sawal kerna chahta hoon k aik taraf to aap Imam Abu Hanifa(RA) ko Imam Azam kehtay ho aur doosri taraf Hazrat Imam Husain ko b Imam Maantay ho to mujhay batao phir Imam-e-Azam koun hai?
-
SAG-e-Atar ,SAG-e-Kazmi,SAg-e-Madina Aur saari brailviat say maira aik sawal hai k Humaaray Mushkil kusha kitnay hain?
-
Kia Humari ghairat mar gai hai?Tahir-ul-Qadri jisay loug shaikh-ul-Islam k name say jaantay hain woh mairay aaqa Imam-ul-Anbia ka name is tarah lay raha hai jaisay kisi aam banday ka lia jaata hai.Aur aik baar nahi baar baar!Is say kaho k zara apnay baap ka name bi isi tarah lay....Lanti aur habees shakhas! Aur haan main ghair mukalad hi sahi laikin aik islami bhai honay k naatay say hi main guzarish keroon ga k is post ko delete na kerain...kion k logoon ko pata lagay k Tahir lanti ka asli chahra kia hai?
-
Allah k siwa kisi aur ko Alim-ul-Ghaib samjhna Kufar hai.
MOUWAHID replied to MOUWAHID's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Matlab aap k akaabar nay jootay khanay waalay kaam kia hain?apni kitaabain likh ker!Un ko samjhao mujhay na samjhao! Aur haan Delete ker k baaganay ka acha bahana hai....Aj b mairi aik post delete ki hai aap logoon nay......Koii baat nahi is say maira yakeen aur paka hota hai k main Allah k fazal say seedhay rastay per hoon. Ab aap loug khud faisala ker lo gay apnay akaabar k fataway k mutabiq kufria akeedah kis ka hai? Aur haan yeh topic alaida hai........jo b baat kerni hai isi topic main ker lo! -
Allah k siwa kisi aur ko Alim-ul-Ghaib samjhna Kufar hai.
MOUWAHID replied to MOUWAHID's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Delete kion kerni hai main nay koi apni kitaboon say nahi nikal ker yeh hawaalay dia....Aap k akaabir ki kitabon say nikal ker dia hain.............Jo kuch kehna hai un ko kaho! -
Theek hai aap bidati nahi ho to (1)Teesra Chaliswan Daswaan,(2)Eid Milad-u-Nabi Sirf in do k saboot aap day do.Sirf Apnay Imam Abu Hanifa(RA) say.
-
Allah k siwa kisi aur ko Alim-ul-Ghaib samjhna Kufar hai.
اس ٹاپک میں نے MOUWAHID میں پوسٹ کیا مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Mula Ali Qari Hanfi sharah Fiqah Akbar main likhtay hain:- yani maloom hona chahiya k Anbia(AS) ghaib ki sirf ini baatoon ko jaantay hain jo Allah nay waqtan fawaqatan in ko batla day aur fuqahay Hanfia nay is akeeday ko k ""Rasool Allah ko ilm-e-ghaib tha"" sirahatan KUFAR qarar dia hai.kion k yeh akeeda Allah k farman ""Keh dain k zameen aor asmaan main jo kuch hai ghaib ka ilam nahi rakhti siwa Allah k"" k ulat hai. (Sharah Fiqah Akbar Page:182 Baab:Taba Mujtabai) Fiqah Hanfi ki aik aur mashahoor kitab Fatawa Qazi Khan main hai:- Kisi aadmi nay kisi aurat say baghair guwahoon k nikah kia,Albata Mard aur Aurat nay yeh kaha k hum Allah is k Rasool ko guwah banaatay hain, Fiqah Hanfia k mutabiq aisa kehna KUFAR hai.Is lia k is ka Aitqaad yeh hai k Rasool Allah ghaib jaantay hain.Haalank Aap apni zindagi main Alim-ul-Ghaib na thay.Duniya say tashreef lay jaanay k bad Aap Alim-ul-ghaib kion ker ho gay? (Fatawa Qazi Khan ber hashia Fatawa Alamgiri Volume:3 Page:576 Baab: Tabaq Boulaq 1310 Hijri,Fatawa Nazazia Page:325 ber Hashia Fatwa Alamgiri Page:325 Volume:2) Fatawa Bazazia main hai:- Yani Humaray Fuqaha (Hanfi) nay kaha hai k jo aadmi yeh aitqaad rakhay k bazorgoon ki roohain haazir hoti hain aur ghiab jaanti hain woh KAAFIR hai. (Fatawa Moulana Abdul Hai Vol:2 Page:34 BaHawala Fatawa Bzazia Page:336 Ber hashia Fatawa Alamgiri Vol:6) -
In sab say kahan saabit hota hai k aap kafan per aik ghair Allah k lia pukaar likh dain.Kia kisi Sahabi nay aisa kia?ya Aap nay aisa kernay ka hukum dia?
-
Afsoos hota hai l aap ko kisi nay bataya hi nahi k Bukhari sharif say Hadees kis tarah laini hai?Lagta hai mairay bhai nay kabii Bukhari sharif ko khol ker nahi pada.Us main rafa'yadain ka b aik baab hai zara us ko b padh laina!Aur doosari baat jo aap nay shor machaya hoa na k main Musnad Abi Hanifa ko kaha hai k yeh book nahi hai....Aap nay shaid sahi samjha hi nahi main nay kaha tha k yeh kisi muhadis nay nahi likhi. Aur baaqi jo ahadees aap nay rafa'yadain k mansookh honay main di hain woh to main nay dalail k saayj saabit kia hai k un ki koi asl nahi!Laikin aap hat dharmi per hi aday hoa hain.
-
RAfa'Yadain k mutaliq mazeed shubhaat ka izaala yahaan say ker lain. Thanks to talinenoor! http://www.islamimehfil.info/index.php?sho...mode=linearplus
-
-
Aap nay jo yeh ahadees post ki hain in say to rafa'yadain ki mamanat saabit nahi hoti.Kion k aap nay shaid check nahi kia k yeh ahadees kis baab main hain.Aur baaki ki tehqeeq ker raha hoon k woh ahadees sahi b hain k nahi?
-
Maira B poori Brailviat say aik sawaal hai k Allah ki paida ki gai makhlooq main afzal makhlooq koun si hai?
-
Main tumahain Allah ka wasta day ker poochta hoon k yeh kis Hades-e-RAsool say saabit hai?Ya kis Sahabi k amal hai?Agar yeh b shirk nahi to mujhay Batao Allah k lia K shirk kia hai?
-
Pehlay to yeh kisi muhadis ki book nahi jis ka hawaala aap day rahay ho.... عنوان الكتاب: شرح مسند أبي حنيفة المؤلف: الملا علي القاري المحقق: قدم له وضبطه الشيخ خليل الميس Doim yeh k yeh to saabit ho gia na k us wakat b Ahlulhadeeth thay ......... Aur aap jo kehtay phirtay ho k yeh (Ahlulhadeeth) angraizoon k baad aaya hain,to batao k angraiz us wakat thay?
-
Brailvion ki book main Sahabi (ra) ki shan main gustakhi.
MOUWAHID replied to MOUWAHID's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Tum loug kehtay ho k Hazrat Ameer Mouavia Qiamat k din sharminda hoon gay .....Mujhay is ki daleel day do.