Yeh to wohi baat ho gai k kisi nay aik kubaray say poocha k tum kia chahtay ho k tumhara kubara pan sahi ho ya saari duniya k loug kubaray ho jaian ...to woh kehnay laga k main to chahta hoon k saari dunya k loug kubaray ho jain maira kubara pan bhalay hi theek na ho!
Tum baday mufti ho ya mairay Peer-o-Murshad Jinab-e-Muhammad baday mufti thay?Jab un k zamanay main aik majlis ki 3 talaaqoon ko aik hi samjha jaata tha to tum kia cheez ho?
Munna786 Tum dunya kia poori kainaat k ulama k fatwa lay aao laikin woh mairay Peer-o-Murshad, Imam-e-Azam,Jinab-e-Muhammad (saw)k aik fatwa say b muqabila nahi ker sakta.......
Yeh hum nahi tumharay Akaabir 8 rakat taraweeh ki tasdeeq kertay hain.......Yaa to keh do k woh kum faham rakhtay thay k samjh na paya k Amma jaan Aisha ki bukhaari waali hadees taraweeh k baaray main nahi thi......Aur Imam Bukhari(ra) ko b is baaray main pata na chala k yeh hadees to tahjud k baaray main hai......aap k khiyal sAY sub ko is baat ki samajh hi nahi aa saki jo aaj k brailvion ko samajh aa gai k yeh tarweeh k baaray main nahi!
Tum saabit ker do gay jo Ahdees main nay paish ki hain un main toopi pehnany ka zikar hai!Aur is ko faraz qaraar di gia hai!
Acha in lougoon ki samjh mujhay nahi aati....Agar sirf toupi utaar do to Gustakh aur agar bilkul nanga ho jao to Wali Allah !Yeh kaisay insaaf ahi....
Agar in say kaha jaya keh bhai tum woh toupi jo masjidoon main padhi hoi hai ...Pehan ker bazaar ka ya kisi rishta daar k haan say ho ao to saaf inkaar ker dain gay......
Agar masjid main kuch rakhna hi hai to atar waghaira rakho jo k sunnat b hai koi acha sa kapda rakho jo sir per rakh ker namaaz padh li jai.......
Tum lougoon nay shaid mairi Ami Jaan Hazrat Aisha waali hadees per ghour nahi kia us main bilkul saaf likha hoa hai k Ramzaan aur ghair Ramzaan 11 rakat Tarweeh padhatay thay......Agar aap is ko tahjud maano gay to phir taraweeh waali daleel kahan gai....Woh to phir kahin say b nahi milay gi.......Phir to jo taraweeh Ramzan main padhi jaati hai us ka to kahin wajood hi nahi...........