Bhaai jaan,
Sab Ka dawa hai woh Rasool Allah se Mohabbat karte hain deoband bhi , wahabi bhi aur barelwi bhi.
Agar nahi karte te to aap mujhe bataiye
Woh namazein kiyon padhte hain
Woh dadhi kiyon Rakhte hain
Woh Kalma kiyon padhte hain
Mera sirf yeh kahna hai he, ke ham kisi ko bura bhala kahe baghair bhi apni baat rakh sakte gai.
Allah tala Qoran main farmate hain
“Invite (all) to the Way of thy Lord with wisdom and beautiful preaching; and argue with them in ways that are best and most gracious: for thy Lord knoweth best, who have strayed from His Path, and who receive guidance.“
(Qur’an -surah 16 verse 125 )
Jab Allah tala kah rahe hain ke hamain apni baat ko kis khoobsoorti ke saath Rakhna chaiye
To phir ham ek dossre Go gali galauj kiyon karain.
Hamain to woh tareeka apna na chaiye jo Allah ke Akhri Rasool ka tareeqa tha.
Gali galauj to ek dossre ko bas bhadkaate hain, koi faida nahi hota
Mujhe to Ismain koi samajhdari nazar nahi aati.
Main bhi ek maslaq se taluq rakhta hoon aur us par chalta hoo. aur apni baat apne doston aur milne walon se kahta hoon. Ab jise chahe mane aur jise chahe na maine.
Main apna aqeeda kisi ke upar dal ta nahi.
Allah aur Rasool ko manne wale sab musalman hai..
Han yeh baat aur hai ke , koi ek hi hai jo Allah aur Rasool ke batey hue sahi tareeqe par hai.
Jiska faisala Qayamat ke din ho jayega.
Ham kiya is duniya main mil jul kar nahi rah sakte.
Tumhain apne tarah se sahi baat rajhen ka pura ikhtiyar hai, par kisi ko bura bhala kahna aur ek musalman ko kaafir kahna sahi baat nahi hai.