
SitaraGroup
Under Observation-
کل پوسٹس
90 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
سب کچھ SitaraGroup نے پوسٹ کیا
-
Kiya Sahabi Rasool Allah saww Se Afzal Tha ?
SitaraGroup replied to mufti-e-azam's topic in فتنہ شیعہ
Just shame on you who is saying "Puttar" Khuda se daro!! Insaaf karo!! Agar Rubb ne tumhain moderator bana kar itni izzat de hi di hai to apne designation ke sath Adal karo!! Main ab mazeed "Bhains Ke Aage Been Nahi Baja Sakta" -
Just shame on you Ab chhhay mujha ban bhi kar do na Magar yaad rakho!! Allah or Rasoolallah ko gawah kar ke main kasam kha raha hoon ke barz-e-kiamat tumhara girebaan parkron ga ke to tum ne mujhe nahak ilam or daleel ke beghair beizzat kya. Ab main ziada der es forum main rehen wala nahi jahaan gali galooch hoti ho. Agar itni himmat or hosla hota to har cheez ko khule din se sunante. Gaaliyaan na baknay lagte. Tum ne kya khaak kisi ko tableegh karni hai. Ye hai Aala Hazrat ka sabak tum ko doosro ko laanti kahte phiro. Meri aik bhi post main check kar ke bata do ke main ne kisi ko abuse kiya ho. Yaad rakho "Achha ikhlaak achhay khoon ki nishani hai" or tumhara ikhlaak to khuda ki panah. Laanatullahi Alal Kaazebeen!!
-
Mr. Mukhtaar Bohat ziadti hai tumhari. Tum ne aaj zardari wala haal kar diya naa Jawab aata nahi karnay chalay hain manazra. Or ye "Laanti" kyon kaha. Agar kisi baat ka jawaab nahi de sekte to apna ilam or apni akal pe "Laanat" bhaijo. I have nothing to say but just shame on you
-
Imam Bukhari ne jo itna careful ho kar Hadis ikhti keen 600,000 main se sirf 6000 se kuch ziada issue ki. Kya os ko khbar nahi thi ke ye "Ishaq" Jhootha hai ya yahoodi hai. Os te foruan os ki hadis ko apni book ki zeenat bana liya. Or aaj centuries ke baat aap Imam Malik ka hawala de rehe ho ke wo Yahoodi tha. Aap ko kuch pata hai ke Imam Bukhari Imam Malik balkay Imam Abu Hanifa ke bhi baad aye. Phir ye jhoot kyon bola ja raha? Daleel se baat karo bhai. Agar daleel nahi to Khudara aitraazaat kar ke Gunahgaar na bun jao. Allah tumharay haal pe reham kare
-
Mera khayaal hai ke main "Bhains Ke Aage Been Baja Raha Hoon"
-
Mukhtaar Bhai Allah ki kasam naha kar aa raha hoon. Alhamdulillah Fajar ki namaaz bhi parhi hai, Quran-e-Paak ki tilawat bhi ki hai or tasbih bhi ki hai. Or ab duty par hoon. Kaam bhi kar raha hoon or logon ko hakikat batanay ki bhi koshish kar raha hoon. Fi Amaanillah
-
Kiya Sahabi Rasool Allah saww Se Afzal Tha ?
SitaraGroup replied to mufti-e-azam's topic in فتنہ شیعہ
Very good. Aap ne aik hi jhatkay main sub ko kafir bana diya (Subhaan Allah) Aap ke ilam par qurbaan janay ko dil Chhra raha hai. Koi Quran ki ayat layen ya hadis layen ke ye sub kafir hain tub baat ho. Warna yaad rakho Sahi Hadis hai Jo Musalmaan kisi doosre musalmaan ko kafir kahe on main se aik kafir ho jata hain. Tauba karen Mukhtaar Bhai. Kaheen yahi baat hi aap ke saray amaal gaarat na kar de. Sirf or sirf Quran or Hadis se baat karen. Mere nazdeek kaafir wohi hai jo Rasoolallah ko Akhbari nabi maanany se inkaar kar de. Ye sub Rasoolallah ko akhari nabi maante hain. Jaisa kay Government of Pakistan ne declare kya howa hai apne constitution main. So patience please -
Exposing bhai. (Kyon ke Nafaak bhai aap ko kah nahi sakta sorry) Kya aap such jaanana pasand nahi karte!! You are just beating about the bush!! Topic par rehe or jawab den
-
Ayatullah Bhai or Mukhtaar Bhai aap phir wrong khale. Ya to Sahi Hadis se hi os ka rudd layen. Aap ke kahnay se main Shiya nahi hone laga. Aisi baten to tub ki jati hain jub insaan ke pass jawabaat khatam ho jayen. Himmat karen!! Main ne aap se poocha kya aap Janab-e-Farooq-e-Azam Omar ke zulam sunana pasand karen ge. Bajaye zulam samajhne ke aap ne mujhe shiya bana dia (Astaghfirullah). Ye to aap topic se hi hutt gaye. Wakalat daleelon se hoti hai. Taana bazi se nahi. Please comments
-
Mukhtaar Bhai. Kaash aap meri poori post parh lete. Main ne Hazrat Hamza par maatam bhi paste kya hai sahi hadis se. Phir Imam-e-Hussain ka girna or Aap PBUH ka khutba torna bhi Sahi Hadis se sabit kya hai. Phir Awais Karni ka daant torna bhi. Mera khayaal hai ke issue sirf ye hai ke har saal maatam ya gham na manaya jaye? right? To na manayen. Jo Muhammad (PBUH) se mohabbat karta hai wo yakeenan aap ki aulaad ke zulam se shaheed honay ka bhi gham manaye ga. Main ne aap ko proof diya aap PBUH har saal Bibi Khadija ke gham main Barsi kya karte the. Ab suniyon brailvion ka akida hai ke Aap PBUH apne Roza main zinda hain. Agar wo zinda hain to kya har saal Imam-e-Hussain ke shahadat ke muka par wo ghamzada na hote hon ge? Agar koi aap Imam Hussain ko yaad kar ke Ro de ya afsos kare kisi ko kyon takleef hoti hai. Aap ko shayad pata nahi jis time imam-e-Hussain shaheed howe theek osi din Qiamat kaim ho gi or Qiamat se pehle Qiamat-e-Sughra. Ab mera khayaal hai Qiamat-e-Sughra ka aap ko pata hi nahi ho ga. Agar fazool tankeed karnay ki bajaye aap itni mehnat hak or succhai ko jaanany ke liye karen to aap aaj aitraaz na karte. Har cheez Imam-e-Hussain ke shahaydat ke time se mansoob hai. Koi bhi beghambar hai os ko jis time Imam-e-Hussain shaheed howe osi time maafi mil rahi hai. Younis ko dekho ya Loot ko, Aadam ko dekho ya Nooh ko. Khair aap ki marzi aap Hussain ke shahadat ka afsos karen ya na karen aap ka or aap ke Allah ka maamla hai. Aap ne to shiya ke tafseer or tarjama mujhe dikh diya. Kya main apni suniyion ki hi tafseer dikhaaon jo sabit kare ke mera pehle wala tarjama theek hai? Jitni tafseeren utne tarjama. Ab kya karen. Please comments.
-
Mukhtaar Bhaai Chha gaye!! Ab Chaar Yaar ka kya zikar aa gaya. Kya yahaan naya topic shoroo karna chahte ho? Agar chaar yaar ke baray main suchaai Quran or Hadis se listen karna chahte ho to hukam karo main hazir hoon.
-
Kiya Sahabi Rasool Allah saww Se Afzal Tha ?
SitaraGroup replied to mufti-e-azam's topic in فتنہ شیعہ
Attar Bhai sorry!! Meri post aap ne aik or topic main transfer kar di hain. Bohat bohat shukria. Aap mujhe shiya kah lo deobund kah lo ya wahabi kah lo. Main hak baat ko nahi chhupa sakta. Agar aap ko meri baat buri lagi to I am sorry. Baki rahi baat Ala Hazrat ki books ki aap kisi bhi forum main khawah wo sunni hai, ya wahabi ya shiyya on ki book ka reference de kar baazi nahi jeet sakte. Kyon ke har jaga Quran or Hadis ki baat hoti hai. Mere dil min aap Aal Hazrat ka kya makaam hai ye aap nahi jaan sakte or na main aap ko batana chahta hoon. Main sirf ye chahta hoon ke beghair ilam ki kisi ko Kafir ya Raafzi na banayen. Agar koi hamari hi books main se hameen ke khilaaf reference de kar hamary moonh pe maaray to kaisa lage gaa. Es liye please aap baar baar mujhe brailvi na hone ka taana na den. Or jo hak hai os ko tasleem karen. Regards -
Kamaal hai Mukhtaar Bhai!! Sahi Bukhari main Ahadees zaeef hain to kya shiyon ki books main zaeef hadees mojood nahi hain? Usooli shiyon ka aik simple sa akida hai or en ke Ayema ka kaul (Hadis) hai ke jo hadis Rasoolallah, Aal-e-Rasool or Quran ki mukhalifat kare wo hamari nahi balke kisi yahoodi or munafik ki sazish hai. Ab aap Aik Sahabi ko Dajjal kah rehe ho. Wo bhi Imam Malik ka reference de ke agar os sahabi ko dajjal sabit karna hi to Saha-e-Sitta se dikhaao. Aap Ibne-e-Maja ki baat kar rehe ho main aap ko yahi hadis Bukhari se bhi dikha sakta hoon or wahaan ravi koi or hai. Kya wo bhi Dajjal ho ga. Mukhtaar Bhai ilam ka jawaab ilam se do. Ye nahi ke Quran o Hadis se hutt kar kisi or reference se jawab dena shoroo ho jaao. Sorry dont mind and please comments Regards
-
Mukhtaar Bhai Salam!! Aap bhi kamaal karte ho. Main Quram main aap ko 10 jaga par word "Shiya" dikha sakta hoon. Aap "Shiya" origination ko "Abdullah Ibne-e-Sabah" laanti maloon se kyon mansoob kar rehe ho. Agar meri baat aap ko reference ke saath chahiye to main aap ko wo pages scane karwa ke paste kar sakta hoon ke word "Shiya" Quran main kahaan kahaan aya hai. Regards & please comments
-
Bilkul Imam-e-Hussain or Imam-e-Hassan Jannat ke Sardar Hain. Bibi Fatima bhi jannat ki sardar hain, or aap sub Rasoolallah ki Aulaad hain. Aulaad ki ye azmat hai to en ke baap (PBUH) ke kya shaan ho gi. Arre Sura-e-Zukharf ki 60vin ayat parh ke dekho. Wahabi beghairat kahte hain ke Rasoolallah khatam ho gaye mitti ho gaye. Allah aap ko hukam de raha hai. "Ae Mere Habib Kah Do En Musharikon Ke Agar Allah Ke Koi Aulaad Hoti To Main Allah Ki Aulaad Hota Kyon Ke Main Awwalul Aabideen Hoon" "Awwalul Aabideen" se muraad pehla Allah Ka Abid. Hamen to Maulvion ne bataya ke Allah ka pehla abid farishte hain. Jabkay Allah kah raha hai ae mere Rasool kah do ke main Pehla Ibadat Guzaar hoon. Aap main se koi hai, koi itni takat rakhta hai ke mere Rasool ki awwaliyyat bata saka ke mera Rasool kitna awwal hai. Chiragh le ke bhi dhoondo to koi jawab nahi de sakay ga ke mera rasool kitna awwal hai. Dosto hutdharmi chhori or hak ko talash karo. Fi Amaanillah
-
Kiya Sahabi Rasool Allah saww Se Afzal Tha ?
SitaraGroup replied to mufti-e-azam's topic in فتنہ شیعہ
Attaar Bhai aap ki ye bohat bari ziadati hai. Aap ne itni kimti JPEGs delete kar di hain. Aap ki marzi agar aap ko such pasand nahi to aap ne mujhe nahi Allah ko jawab dena hai. Aap janay or Allah jaanay. Jahaan tak mera pooch rehe ho. Main Alhamdulillah brailvi hoon. Or Brailvi honay par fakhar karta hoon. Magar religious research ko apna zindagi ka maksad samjhta hoon. Kyon ke maa ki gaud se le kar kabar tak ilam ka hasil karna hum sub par faraz kar diya gaya hai. Agar hum comparative religious ko study na karen to Hum ne khaak kisi kafir ko musalmaan karna hai. Jo kahta hai ke Qadyani ke pass 1 lakh daleel hai wo kisi ke kabu nahi aate hain. Main challenge karta hoon. Main akaila hoon ga or 10 qadiyani or wo bhi on ke ulemaa aa jayen. Garoor nahi kar raha agar aap ke samany onhain ghutnay taiknay par majboor na kar diya to mera naam bhi Abdul Rauf nahi hai. Anyway!! Ab aap ne ziadti kar hi li hai or meri kimti posts delete kar di hain. Haalanke main ne aap ko Allah ka wasta diya tha or en posts se naa to aap ki bandwidth main faraq aa raha tha or na space main. Aap ne mera istada or Allah ka wasta nahi mana Allah aap ko khush rekhe Fi Amaanillah -
Ashiq Bhai Bohat sidhi se baat hai. Sub se pehlay to imamat ko samjho ke imamat hoti kya hai. To suno Deen nabi ka hota hai or Mazhab Imaam ka Right?? Jaisay hamaray imam Imam-e-Azam Abu Hanifa hain or hum Hanfi Brailvi Mazhab hain. Hazrat Ibrahim ko Allah ne Nubuwat ke sath sath Imamat bhi atta farmaie thi. Jaisa ke Quran main aata hai. Reference mojood hai agar yakeen na aye to tub reference scan karwa ke doon ga aap ko. Rasoolallah se pehle sub musalmaan (jo thoray bohat the) os Ibrahimi Mazhab pe the. Jub Rasoolallah Tashreef laye to Deen-e-Islam ko laye. Jaisa ke Quran main aata hai ke Allah Farmatay hain "Hum Ne Islam ko Deen Muntakhab kar liya" Or jo mazhab hota hai wo un usoolon ka naam hai jo aap ko imaam batata hai ke ye kaam deen-e-islaam main es tarha karna hai. To shiya Imam-e-Azam abu hanifa ki bajaye Hazrat-e-Ali ko apna imam maante hain. Or Hazrat Imaam Jaafar sadiq aap Ali hi aulaad hain, jis par Fiqa-e-Jaafriya hai. Ab ye Imam-e-Azam ko kyon nahi maante ye alaihda issue hai. Or hukam karen??
-
Ashiq Bhai or Ayatullah Bhai Bohat afsos ki baat hai kya Imam-e-Hussain mere akailay ke imaam hain. Aap onhain apna imam nahi maantay. Mujhe es se kuch gharaz nahi ke Omar ne kaunsa mulak fateh kya. Bibi Shehar Banu ke baray main ne ziada nahi parha bus itna pata hai ke wo kisi mulak ki shahzadi thi. Or Imam-e-Hussain ke nikah main aiye theen. Anyway!! Topic ko discuss karen. Main ne Quran or logic se Hak-e-Hakoomat Aulaad-e-Rasoolallah ka hak honay ki sabit ki hai aap os ko rudd karen ke nahi Quran main ye aya hai. jo baat aap ko samjhanay ki koshish ki hai agar aap ko samajh nahi aa rahi to Allah ka hukam. Ab main kya karoon agar Dilon par hi Allah mohar laga de. Agar aap ne thaan hi li hai ke har baat ka inkaar karna hai to aap ki marzi
-
Ayatullah Bhai jaan Pehle aap ye to manay ke Zalim ke zulam pe oonchi awaaz se wavila kiya jaa sakta hai. Khooni maatam bilkul alaihda issue hai. Main ne pehle bhi bataya ke agar kisi ko Hussain ki shahadat ka gham hai to 10th moharram ko yaad kar ke kyon ke wo mazloom hain afsos kare ga wo roye ya na roye. Jissay nahi gham wo Khsmaa Da Sar Khaye. Maatam ki to main baat hi nahi kar raha ke maatam karna hai ya nahi. Main to gham or afsos karnay ki baat kar raha hoon. Jis tarha hum har Gayarveen ko aisaal-e-sawaab karte hain wo kis liye karte hain. Gaus Paak ka yahi hukam tha ke os din Islam par qiamat toot pari thi. Nawas-e-Rasool or Aulaad-e-Rasool mazloomaiyyat se katal kar di gai thi Aaj ke din bohat bhari hai. Sadka khairaat karo. Ap to Justice Taki Usmani ki tarha baat kar rehe hain os ne aik kitaab likha hai "Moharram ki Bidaat" Os main wo kahta hai ke 10th Moharram ko Hussain ka gham manana bidat hain os din shadi ki jaye nikah kiye jaaye dhol bajaye jayen sawab mile gaa. Main to brailvi hoon or mujhe 10th moharram ko Hussain ki mazloomiyyat ka bohat afsos hota hai kyon ke on ki nisbat Rasoolallha Se hain. Aap Hussain Zameen par gir rehe hain or Aap PBUH khutba tor kar onhain zameen se uthanain ke chalay gaye hain ke main Hussain ko girta howa nahi dekh saka. Ap kaisay brailvi ho ke jis din hamaray Rasoolallah ke Aziz niwasa mazloomiyyat se shaheel kiya gaya ho os din hum zubaan se afsos bhi na karen. Rona dhona or maatam to alag baat hai. Agar hamara akida hai ke Rasoolallh apnay roza main zinda hain to kya 10th moharram ko wo ghamgeen nahi hote hon ge Apni zindgai main to Aap bibi khadija ke liye har saal on ki barsi manate the kya wo Hussain ke gham main ghamzada na hon ge?
-
Or ye hain Janab-e-Hazrat-e-Omar Farooq-e-Azam ke akhari alfaaz. Sub se pehlay Quran ki sura-e-Younas ki ayat number 54 parhye ga or phir bataye ga. Allah paak kah rehe hain ke Zalim marte waqat kahe ga "Kaash mere pass zameen bhar ki daulat hoti or main aaj sadka kar ke apni jaan chhura leta" Or yahi alfaza Hazrat-e-Omar ke the, jo Bukhari Sharif se sabit ho raha hai. Ab unhon ne kya zulam kya ye alaihda issue hai. Please comments.
-
Ashiq Bhai Khuda ka naam lo. Main ne tumhain pehle hi kaha hai ke beghar ilam ke Gunaahgaar na ho jaya karo. Pehli baat ke aap imamat ko siray se hi maan nahi rehe. Doosri baat agar ye aap sabit kar do ke Ambiya Allah tak pohanchay ke liye wasila nahi dhoondh rehe kafir dhoond rehe hain to main haath khare kar ke aap sub se maafi maang kar chala jaaon ga. Agar aap ne sense nahi tarjma samjhne ki to behas karnay ka fayeda. Agar har baat pe nahi nahi kahna sekha hai to aap ki marzi karte raho. Kabhi bhi hak ko nahi pohanch sako ge Fi Amaanillah
-
Dekho Pyare or Meethe Meethe Islami Bhaiyo!! Agar aap ne mujhe chher hi diya hai to mera bhi jawaab mulaheza farma len. Agar ye baat aap ki samajh main na aye to apne aalim se poochiye gaa khaamkhawah aitraaz kar ke gunah gaar na hoye ga. Main Quran or Logic sirf 2 cheezon se baat karon ga. Hadis ke taraf fil haal nahi jaaon ga. Allah ne aap Rasoolallah (PBUH) ko 4 bete (son) diye. Agar kisi ka 3 par yakeen hai to no problem and no issue. Phir Allah ne ye bete wapis le liye. Ab Allah to Malik ul Mulk or Aadil hai agar wo aap ke bete wapis le raha hai to kuch de ga bhi. Sura-e-Aal-e-Imraan ki ayat mulahiza ho. Allah tala ne Rasoolallah ke bete le liye or (Ali, Hassan or Hussain ) ko aap ke bete karaar de diya. Ab Kabatullah kis ne banaya Hazrat Ibrahim or Hazrat Ismaeel ne. Yani Kabay ke shoroo se mutawalli (Nighebaan) ye dono the. Ye nasal Hazrat Ismaeel ki dua se aage chali. Last main Hazrat Abdul Mutlab Kabah ke Nighebaan bun gaye yani (Bani Hashim). Phir Sura-e-Feel main Ibrah ka wakia ata hai. Ke jub wo hamla karnay laga to Abdul Mutlab ne Allah se Kaba ki hifazat ki dua ki. Ye issue par kisi ko koi jhagra nahi. Aap Abdul Mutlab ke baad Hazrat Abdullah Kaba ke Nighebaan hona the magar wo intikaal kar gaye. Phir Janab Abu Talib ko Kaba ki Nighabaani Mili. Phir Abu Talib ke faut honay ke baad or Fathe-e-Makka or Kaaba ki Nighabaani Rasoolallh (PBUH) ke pass aa gai or aap ne kabay ka tamaam khuda tor dalay. Ab jub Rasoolallah hum se parda farma rehe hain to Quran ki sura-e-Aal-e-Imaan ki 61vin ayat ke mutabik hak Rasoolallh ke sons ka bunta tha. Magar sons hai nahi. Or sons kaun hain (Ali, Hassan and Hussain ). To agar beech main koi aa jaye to wo jaany or os ka khuda jaanay. Hai koi es ka logically jawaab to bataye. Agar kahte hain to main Hadis bhi aap ko dikha deta hoon. ke jub Rasoolallh hum se pardah farmany lage to kaha meri wasiyyat likho. Kis ne wasiyyat likhwanay se inkaar kiya. Kuch pata hai aap ko? Kis ne kaha hamen Rasoolallah ki wasiyyat nahi chhiaye hamen Quran hi kaafi hai? Aap Omar khilafat ki baat kar rehe hain. Jis deen main Peshaab etc ke baad istanjaa karnay ka bhi tarika bataya gaya. Kya Rasoolallah ne ye bhi na bataya ho ga ke mere baad musalmano ka nighebaan kaun ho ga. Aaj bhi dekh len Allah ka ghar kis ke nigrani main hai. Wohi shaikh wahabi hain jinhon ne kabza kiya howa hai. Nighebaani to Aal-e-Rasool Aulaad-e-Rasool ke paas aani chhaiye thi agar koi zabardasti bun jaye os ki marz Allah jaany or os ka anjaam janay. Please comments but not irritate yourself
-
Ashiq Bhai aap phir wrong khel gaye. Rasoolallah Ambiya ke sardaar hain. Or tamaam Ambiya on se neechay hain right?? Jo Rasoolallah ki aulaad hai (Fatima Ali, Hassan or Hussain, ye Allah ka Faisala Hai) ye hakikat hai ke baki Ambiya Allah tak pohanchnay ke liye wasila dhhoond rehe hain ke dekhain kaun ziada afzal hai. Ye ayat parh lo. Yahaan Mariyam or Baki Ambiya Wasila dhoondh rehe hain. Or es ayat ke mutabik wasila aik nahi hai aik se ziada hai. Allah paak ne mazeed farmaya "Hum Ne Aadam ko kuch kalmaat sikhaye ke os ki bakhshish ki jaye" Agar kalma aik hota to wo sirf Rasoolallah (PBUH) hote yahaan kalmaat hai. Agar es ayat par bhi yakeen dekh kar hi aye ga to bata dena wo bhi main Okha Sokha Ho kar scan karwa laaon ga. Fi Amaanillah
-
Ye lo bhai Sura-e-Bani Israeel li aik ayat pesh hai. Es main Allah Paak kah raha hai ke Jo laug Mariym or Essa ko Khuda maan kar pukaar rehe hain, ye dono to khud Allah tak pohanchanay ke liye wasila dhoond rehe hain. Or wasila aik nahi. Wo dhoondh rehen hai ke dekhen jo wasila mil gaya os ke ilawa bhi koi wasila hai. Allah paak ne yeh khud farmaya he ke dekhen kaun sa wasila ziada taakat rakhta hai. Rasoolallah (PBUH) to wasila hain hi magar ye or kaun hain? Agar baat kisi ko samajh na aye to Apne Ulma se poochnay bajaye es ke kah aitraaz kar ke gunah gaar na hona. Allah Paak nay hi farmaya hai ke "Hum Ne Aadam Ko Kuch Kalmaat Sikhaye Ke Jis Se Es Ki Bakhshish Ho" Agar sirf Rasoolllah (PBUH) ka wasila hi bataya jata to sirf aik kalma hona tha. Bhaiyo baat samjh or feham ki or ghaur karnay ki hai. Aap ko nahi pata to kisi aalim se sikho. Shiyon ke kaafir tehranay ki bajaye en ayaat ka ilam hasil karo. Punjtun paak ke ilawa koi wasila bun sakta hai to batao
-
Ye Lo Islami Bhaio. Para-6 ki pehli ayat duly translated. Yahaan Jehar se muraad oonchi oonchi awaaz main bolna ke hain. Mera pass aik or tarjma hai jis main clearly likha hai oonchi awaaz main wavila karna zulam par. To koi zulam par wavila kar de ya ro bhi de to koi gunah nahi hai. Na backbiting hai na kuch or. Aap Ala Hazrat ka translation check kar lijiye