Main nay to koi 4 baar shirik ki defination ker di hai.....Pata nahi aap ko kis tarah ki defination chahiya....Humaaraa to aqeeda yehi hai k Allah k siwa na to koi humaari museebat taal sakta hai aur na koi humain shifa day sakta hai.Wohi humaari duaon ko sunta hai aur wohi qabool kertaa hai .Wohi mushkul kusha,wohi madadgaar,wohi gunahoon ko muaaf kernay waala,aur wohi roz-e-jaza kaa Malik hai.