Jump to content

Abdulsalam

Under Observation
  • کل پوسٹس

    284
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Abdulsalam نے پوسٹ کیا

  1. Jis ko ye pata na ho ke taqleed ke kia maanye hain????? Jis ko ye ilm na ho ke Ahle-e-Hadith ka mazhab, un ka aqeedah kia hai..??? (Quran - Sunnat ke baad, Sahaba , phir, Salf Saleheen, Phir Tabaeen, Phir Taba Tabaeen, ) Jis ko ye maloom na ho ke Talaq ke masalye main kon kon se Ahadith mojood hain???? Jis ko ye ilm na ho ke Namaz kesye parhi jati hai????/ Woh ab ye bataynegye ke Asar-e-Sahabi kis ko kehtye hain, un ko Hujjat samajhna chahiye Woh ab ye faisla karengye ke Ulama ki Qabliyat kis level per hai Woh ab questions ye karengye ke Sora-Baqra se Talaq ka tareeqa to milta hai lakin ye nahin milta ke "Agar Koi Ghalati Se Teen Aik Nishasat Main De Dye" to kia hoga???????? Janab mujhye ab koi hajat nahin ke main aap ko aap ke sawalat ke jawabat don, tehqeeq aap se hoti nahin...... Quran se aap bhagtye hain....., Kutub e Ahadith se aap ko Khuda wastye ka bair hai (ye sab is liye ke jo hukm jis tarha se Quran o Hadith main mojood hai us tarha se hi karna chahiye........ Jab ke aap ne meri doosri posts ko ghor se to darkina sarsari tor per bhi nain parhi to phir yahan puranye sawalaon ko dobara kion utha rahye hain (baqool aap ke Aalim ke Aik hi baat ko Ghuma phira kar sawal kiye jaa rahye hain) Taleeed, Talaq, Namaz, Fatiha, Waseela, Ilmul Aadad, Zakir Nayek, Shah Wali Ullah, Fiqh in sab per pehlye hi posts mojood hain mulahiza kar lain,,,,,, khuah makhoah ye dikhanye ki koshish na karain ke aap ke paas bhi sawalat hain jin ke jawabat aap ke baqool humarye paas nahin....... jab aap(aap Log) bachon ki tarha aik hi sawal ko baar baar karingye to main bhi insan hi hon lamuhala ghussa bhi aayega ke pehlye se mojood replies ko nahin dekhtye naye sirye se phir shorooo ho jatye hain.... waha aap ki tarha bohat se eitrazat ke jawabat diye ja chuye hain...........? Agar tehqeeq nahin karni to dobara yahan koi reply na karain........Agar islah karni ya karwani hi maqsood hai to pehlye forum per mojood posts ko ghor se parhyen phir aayen kuch naye sawalat le ker ........... chun ke forum per pehlye hi se jawabat mojood hain isi liye main sirf un ka ishara donga or deta hon ab aap islah ke liye khud mehnat karian, bar sabeel e tazkara, ye aap ki koshish hai ke forum per ghair muqallid section main aap ki post or reply per mabni post nazar aayen to janab kuch hanky panky se sawalat likh dyen, un ka jawab nain aayega, khud hi aap ki hi posts nazar aayengin. kion khuah makhua tehqeeq ke naam ko, islah ke naam ko batta laga rahye hain... Behar hal shukriya aap ka ke aap ne apni itni energy zaya ki...... Abdul Salam
  2. Janab sybarite sahib Ab main yahan per woh apni donon psots jo aap ne delete ker di thin again post kar raha hon Janab Sybarite sahib Main ne bohat koshish ki ke aap shakhsiyat parasti se bahir aa kar Shariyat ke tehat apnye Nad-e-Alliya ko chor dain lakin………………………. Main is ko mantaqi anjam tak ponhnchanye ko tayyar hon lakin ab kia kya jaye ke aap khud is ko tool denye ki koshish ker rahye hain. Chalain aap ko aapke sawalat denye ki koshish karta hon “shayed ke terye dil main uter jaye meri baat” Ab aap apni guzishta rawish barqarar rakhtye hoye muttafiq hotye hain ya nahin To sab se pehlye number aata hai Shah Wali Ullah(RAH) ke radd ka, ke un ka naam leker kis kitab main kis aalim ne kia hai…. To janab Kitab ka naam hai Shariat-o-Tariqat, musannif hain Abdul Rahman Keelani Jis main ke Sahawali Ullah ke aqeedon ka radd mojood hai. Doosri taraf jab ke main ne kaha tha ke Toheed per Likhi har kitab or Shirk ke radd main likhi har kitab is ka radd hai to phir aap ka kehna ke “Humaraye nazarya ke mutabiq likhi Shirk ke radd hone ki sorrat main…” to janab agar humarye nazarya ke mutabiq ho tabhi to radd kehlayegi warna aap ke nazarya ke tehat to ye (Ma Fouq ul Asbab ke tehahat mangna) Shirk hi nahin. Aap ke nazdeek to shirk sirf Butoon ya ghair jandar se amngnya ya Ibadat karna per hi sirf Shirk kehlata warna or Shirk –e- Khafi main mubtla rahna koi mas-ala nahin. To phir baqool aap ke humarye ulama ka radd humarye hi nazarye ke mutabiq hoga na ke aap ke. In se mansoob ghalat aqayed ka moamla to janab is ke liye tareekh ke hawalye mulahiza kernye ki zaroorat hai, to phir chaltye hain tareekh ki taraf Mulahiza karain ILM-O-AMAL (Waqaya Abdul Qadir Khani) Vol 2 page 200 or 201. Likhtye hain “Mir Qamar Uddin Manat Shah Abdul Aziz (Son of Shah Abdul Aziz) ke azeezon main se hain or yagana afaaq Janab Molvi Fakhar uddin Aurang Abadi Molad Dehalvi marqadan tab Sharah ke mureed hoye, or aik alam ke murshid ho gaye. Qamar Uddin Mannat ne kuch arsye baad Nawab Hasan Raza Khan or Haider Baig Khan ka taqarrub hasil kar liya, apnye aap ko Asna Ashri zahir kia or is rah (Madhab Ahl-e-Sunnat wa jamaat) se phir gaya. Haider Baig khan ki rafaqat main kalkata aaya or margaya” Mulaiza karain Malfoozat-e-Azeeziya Page 92. Likha hai ke “Mir Qamar Uddin Mannat Shah Abdul Aziz ke Mureed or Shagird thye” Mulahiza karain Ajala Nafia, Page 3, Matboa 1348 Dehli. Shah Abdul Aziz ne Usool-e-Hadith ki mash-hoor kitab Ajala Nafia in hi ke liye qalam-band farmaee. Ab chonke aapke toheedi bhai apni post main zikr bhi kia tha ke Hazrat Shah Wali Ullah ke mansoob kuch kitabon ko dobara un ke azeezon ne chapwaya. Maqsad ye ke aap khulye dil se is riwayat ke matan per ghor karain to pata chalta hai ke ye riwayat fazelat-e-Ali main hai, chon ke Qamar-uddin mannat Shia ho gaye thye to ghalib imkan hai ke un logon main se kisi ne ye amal in se mansoob kar diya ho. Aik jagha or jagha Professor Muhammad Ayub Qadri raqam taraz hain “Jab ke haqeeqat ye hai ke Shiyat or Taffazalliyat ke selaab ko is dor(Era) main akabir-e-Mashayekh Naqshbandiya, Shah Wali Ullah, Hazrat Mirza Mazhar Janan, Hazrat Shah Ghulam Ali, Hazrat Qazi Sana Ullah Pani Pati ne bari paamardi se roka or in sab ke baad Shah Abdul Aziz ne” (Muqaddima Mazhabi Dastanyen or un ki Haqeeqat). To janab ab aap ko samajh lena chahiye ke is amal ke ghalat mansoob honye ke ziyadah imkaanaat hain. Jahan tak aap ka kehna ke ye Hamarye(Ahl-e-Hadith)Ulama bhi mantye hain ke ye unki kitab hai to janab Usool-e-Hadith main hai ke (jab ke ye kisi Hadith ki darjye ke bhi barabar nahin) “agar ravi siqa ho lakin Mukhalifat-e-Quran, Mukhalifat-e-Hadith, Mukhalifat-e-Sahaba man riwayat kar raha ho to us ki riwayat nahin li jayegi Shah Wali Ullah (RAH) sahib ke maslak ke silsilye mian aik or tehqeeq pesh-e-khidmat hai Shah Sahb ne aakhri waqt main musalmanon ko jo wasiyat ki hai, us main bhi ye farmaya hai ke “masayel main un ulama ki pervi karain jo fiqh or hadith ke jamye hon or hamesha faqahi masayel ko Kitab-o-Sunnat per rakhain, jo kuch mowafiq ho usye qabool kar lain warna chor dain, ummat muslima ko kisi bhi waqt apnye mujtahidat ko kitab-e-sunnat per parakhnye se istigna nahin hai, or mutqashaf fuqaha jinhon ne kisi aalim ki taqleed ko dastawez bna kar sunnat ki talash-o-tatbaa’ ko chor rakha hai, ki taraf mutwajjah nah on or un se door reh kar Allah ka Qurb hasil karain (Atafhimaat-e-Ilahiya, Vol 2, Page 240) Molana Abul Kalam Aazad ke walid farmatye thye ke “jab Shah Wali Ullah (RAH) ka intiqal hoa or Shah Abdul Azeez masnad-e-Dars per bethye to Mulana Fakhruddin (Mashoor Sofi Aalim, Nizam-ul Aqayed, Risal-e-Marjiya, Fakhrul Hasan or Risala Ayen-al-Yaqeen ke musanif), ne un ke sar per dastar-e-fazeelat bandhi thi, or jab pagri bandh chuke to kan main kaha ke tumharye walid sahib ke daman main aik dhabba lag gaya chukka hai, tumhara kam ye hai ke usye saaf kardo, Dhabba se maqsood shah sahib ka mujtahidana maslak or taqleed ke mazahib ka inkar tha (Tareekh-e-Mashayekh Chisht 234/5) Ab fesla aap ke haath per hai Jahan tak sanad ke pharnye ka masala hai, to janab agar bilfaraz man bhi lain ke ye un ka amal tha to kia aap batana pasand karengye ke Sanad-e-Hadith kisi nizam ke tehat milti hai ya phir kisi shakhs ki zaati raye per? Yaqeenan nizam ke tehat, Is nizam ke tehat jo shakhs mayaar per poora utarta hai usi ko Sanad milti hai. Ab denye wala koi bhi ho sakta hai. (agar aap ki baat qabool kar li bhi jaye) Ab aap dobara is riwayat ko dekhain, apnye amal ko dekhain, iski sanad ko dekhain or apni taqleed ko dekhain, Is riwayat ki aap ke paas koi sanad nahin hail akin aap is per amal kar rahye hain, yaani ke Quran ki ayat ke mutabiq apnye Ulama ko Rabb bana rahye hain ke aik amal jis ki sanad nahin lakin us ko halal qarar deny eke bewajah koshish kar rahye hain kion ke aap ke ulama ne is par amal kia hai Is ke ilawa ye kehna chahoon ga ke jab Hazrat Shah Wali Ullah ke is amal ke barye main shubhat-e-Sirkiya hain to in shubhat main parnye ka kiya fayeda? Baat agar nagawar na guzrye to guzarish araz hai ke main ne aayena dikha diya hai lakin har koi khofzada hai jhoot ka chehra dekhnye se. lehaza koi amal sirf is waja se nahin karna chahiye ke is per aap ke ulama ka amal hai, un se ghalati bhi ho sakti hai, lehaza amal ki sanad dhoondhye, us ka makhaz maloom karain, tehqeeq karain, sirf taqleedan is per amal pera nah on Faisal aap ke haath main hai, ab baraye meharbani Shah Wali Ullah (RAH) ka peecha chorain or apnye amal ko dekhain, Ab main is behas (Hazrat Shah Wali Ullah (RAH) ki shakhsiyat) ko yahin khatam karta hon, lakin agar aap ki taraf se is per mazeed ya dobara sawalt pesh hoye to main jawab nahin donga (sorry for that) Han agar Nad-e-Alliya ki koi sanad milye to zaroor discuss karain Bhai sahib agar Roman Urdu ya Urdu main punctuation ke saath dobara likh daingye to kia qayamat aa jayegi, ya phir koi khas wajah hai na likhnye ki?? Jahan tak aapka sawal Qonoot-e-Witer main rokoo ke baad Qonoot or Hath utha ker dua mangny ke silsilye main hai to janab, Witr main rooko ke baad Dua-e-Qonoot ki koi marfoo hadith nahin hai, sab ki sab zaeef hain, han sirf hath utha kar Dua mangnye ke silsilye main Masnaf Abi Sheeba main kuch aasar miltye hain, jis ki bina per Dua-e-Qonoot main Kuch log haat uthatye hain, Aap jis qonoot ki, jo ke Rokoo ke baad parhi jati hai, ki baat kar rahye hain usye Qonoot-e-Nazla kehtye hain (Yaqeenan aap ko bhi ilm hoga), or Sunnan Abu Dawood ki riwayat ke mutabiq Hazoor e Akram ne aik maheenye main panch namazon main Qonoot-e-Nazla parhi or Sahaba Ikram ne aap ke peechye Aameen kahi (Dawood, Babul Witer, Babul Qonoot fis-slat, Hakim, Zehbi or Khazeema ne sahi kaha hai Bukhari-o-Muslim ke riwayat ke mutabiq Hazoor-e-Akram kisi baddua ya dua ki soorat main Aakhri rikat main Rokoo ke baad Ounchi awaz ke saath dua kartye, Bukhari, Babu-tafseer, Hadith# 4559, 4560, 4598, 6200, 6393, Muslim, Almasajid, Bab Istijab al Qonoot, fi Jamie-as-Salat, Hadith# 675 Nad-e-Alliya se aap ka aqqeda-e-Mushkil kushai hi to sabit ho ti hai, chalain aap hi bata dain ke agar main is Riwayat ko or Hazrat Ali ko mushkil kusha na manon to aap mujhye kia kahengye???? Pehlye is riwayat ko ghalat man lain phir doorsi riwayat ka number bhi aa jayega, Ab doosri post bhi Shah Wali Ullah (RAH) sahib ke maslak ke silsilye mian aik or tehqeeq pesh-e-khidmat hai Shah Sahb ne aakhri waqt main musalmanon ko jo wasiyat ki hai, us main bhi ye farmaya hai ke “masayel main un ulama ki pervi karain jo fiqh or hadith ke jamye hon or hamesha faqahi masayel ko Kitab-o-Sunnat per rakhain, jo kuch mowafiq ho usye qabool kar lain warna chor dain, ummat muslima ko kisi bhi waqt apnye mujtahidat ko kitab-e-sunnat per parakhnye se istigna nahin hai, or mutqashaf fuqaha jinhon ne kisi aalim ki taqleed ko dastawez bna kar sunnat ki talash-o-tatbaa’ ko chor rakha hai, ki taraf mutwajjah nah on or un se door reh kar Allah ka Qurb hasil karain (Atafhimaat-e-Ilahiya, Vol 2, Page 240) Molana Abul Kalam Aazad ke walid farmatye thye ke “jab Shah Wali Ullah (RAH) ka intiqal hoa or Shah Abdul Azeez masnad-e-Dars per bethye to Mulana Fakhruddin (Mashoor Sofi Aalim, Nizam-ul Aqayed, Risal-e-Marjiya, Fakhrul Hasan or Risala Ayen-al-Yaqeen ke musanif), ne un ke sar per dastar-e-fazeelat bandhi thi, or jab pagri bandh chuke to kan main kaha ke tumharye walid sahib ke daman main aik dhabba lag gaya chukka hai, tumhara kam ye hai ke usye saaf kardo, Dhabba se maqsood shah sahib ka mujtahidana maslak or taqleed ke mazahib ka inkar tha (Tareekh-e-Mashayekh Chisht 234/5) To sab se pehlye number aata hai Shah Wali Ullah(RAH) ke radd ka, ke un ka naam leker kis kitab main kis aalim ne kia hai…. To janab Kitab ka naam hai Shariat-o-Tariqat, musannif hain Abdul Rahman Keelani Jis main ke Sahawali Ullah ke aqeedon ka radd mojood hai. Doosri taraf jab ke main ne kaha tha ke Toheed per Likhi har kitab or Shirk ke radd main likhi har kitab is ka radd hai to phir aap ka kehna ke “Humaraye nazarya ke mutabiq likhi Shirk ke radd hone ki sorrat main…” to janab agar humarye nazarya ke mutabiq ho tabhi to radd kehlayegi warna aap ke nazarya ke tehat to ye (Ma Fouq ul Asbab ke tehahat mangna) Shirk hi nahin. Aap ke nazdeek to shirk sirf Butoon ya ghair jandar se amngnya ya Ibadat karna per hi sirf Shirk kehlata warna or Shirk –e- Khafi main mubtla rahna koi mas-ala nahin. To phir baqool aap ke humarye ulama ka radd humarye hi nazarye ke mutabiq hoga na ke aap ke. Jahan tak sanad ke pharnye ka masala hai, to janab agar bilfaraz man bhi lain ke ye un ka amal tha to kia aap batana pasand karengye ke Sanad-e-Hadith kisi nizam ke tehat milti hai ya phir kisi shakhs ki zaati raye per? Yaqeenan nizam ke tehat, Is nizam ke tehat jo shakhs mayaar per poora utarta hai usi ko Sanad milti hai. Ab denye wala koi bhi ho sakta hai. (agar aap ki baat qabool kar li bhi jaye) Ab aap dobara is riwayat ko dekhain, apnye amal ko dekhain, iski sanad ko dekhain or apni taqleed ko dekhain, Is riwayat ki aap ke paas koi sanad nahin hail akin aap is per amal kar rahye hain, yaani ke Quran ki ayat ke mutabiq apnye Ulama ko Rabb bana rahye hain ke aik amal jis ki sanad nahin lakin us ko halal qarar deny eke bewajah koshish kar rahye hain kion ke aap ke ulama ne is par amal kia hai Is ke ilawa ye kehna chahoon ga ke jab Hazrat Shah Wali Ullah ke is amal ke barye main shubhat-e-Sirkiya hain to in shubhat main parnye ka kiya fayeda? Baat agar nagawar na guzrye to guzarish araz hai ke main ne aayena dikha tha lakin yahan har koi khofzada hai jhoot ka chehra dekhnye se. lehaza koi amal sirf is waja se nahin karna chahiye ke is per aap ke ulama ka amal hai, un se ghalati bhi ho sakti hai, lehaza amal ki sanad dhoondhye, us ka makhaz maloom karain, tehqeeq karain, sirf taqleedan is per amal pera na hon. Faisal aap ke haath main hai, ab baraye meharbani Shah Wali Ullah (RAH) ka peecha chorain or apnye amal ko dekhain, Ab main is behas (Hazrat Shah Wali Ullah (RAH) ki shakhsiyat) ko yahin khatam karta hon, lakin agar aap ki taraf se is per mazeed ya dobara sawalt pesh hoye to main jawab nahin donga (sorry for that) Han agar Nad-e-Alliya ki koi sanad milye to zaroor discuss karain Abdul Salam
  3. Janab Qazi sahib, Sahi kaha aap ne, humarye barelvi bhaiyon ke paas or kuch to hai nahin... aakihr main aa kar yahi kehna hai ke "janab hum to wahi karyengye jo humarye akabir ne kia hai" Mushrikan-e-Makkah ki tarha Quran ki Daa'wat ya Rasool-e-Akram ki hadith per amal pera to hona hi nahin (kisi bhi hadith ki mukhalifat main apni ulama ki baat ko hujjat banana) is link ko main ne dekh liya tha or wait kar raha tha ke koi jawab Barelvi bhaion ki taraf se aaye to phir kuch kaha jaye... Ab in ko chahiye ke ke Nazul Abra ka peecha chor dain or jo masyel aap ne bayan kiye hain (bila waja kisi or taraf tawajjah batanye ke) sirf un per hi guftago karain..... ye to un ka purana tareeqa hai ke ghumana phirana shoroo kar detain hain or phir hum se hi shikwa bhi kartye hain ab masaa'la to ye hai ke yahan per tamam logon main kuch log hain jo kuch ilm bhi rakhtye hain lakin Taqleed ke chakkar main Quran-o-Hadith ko chor bathye hain...... Ab faizan-e-madina main Tahajjud ki namaz jamat ke saath karwa di in hon ne, is ke ilawa suna hai (yaqeen nahin hai abhi tak) ke in barelvi bhaiyon ne guzishta 12 rabi ul awwal ko Ba jamat shukraye ki namaz parhi hai (Confirmation required from barelvi hazrat) (agar han) to kia kisi Hadith, Sahaba, se sabit kar saktye hain yaqeenan nahin...... Abdul Salam
  4. Janab Naveed sahib sab se pehlye meri guzarish again aap se hai ke, meri taqleed ke mozoo per merye jawabat mulahiza farma layen warna phir kaheyngye ke main ne mukhalif baat ki hai Hum kisi bhi qisim ki taqleed ki Taqleed-e-Shakhsi, Taqleed-e-Jamid ke khilaf hain... Doosri soorat main taqleed ke bajaye is ko Ittaba-e-Sunnat ya Ittiba-e-Rasool-e-Akram kehtye hain khair aap se kia bahas karni... aap ko to ye hi ilm nahin ke Ahle Hadith ki namaz kesi hoti hai.... aap ke jawabat ke liye download karain meri upload ki hoi do posts ab agar aap ke islami bhai (Moderator) hazrat in ko delete kar dain to main zimye daar nahin jawab (aap khud un se request ker ke hasil kersaktye hain zati tor per) is ke baad aap per lazim hai ke jo sach aap ko maloom ho woh aap is forum per mojood sab logon se share karyengye
  5. Janab Shamsheer sahib and Mudassir sahib Kia aap ye sabit karyengye ke Kitab "Nazul Abrar" janab waheed Uz Zaman sahib ne likhi hai???? Jahan tak humara ilm hai un ye kitab hi nahin Mulahiza karain Is ke baad hi aap logon ki dhokye bazi ko gehri chot parti hai or in sab ke baad kuch or kehna bekar hoga Jahan tak Fataw-e-Nazeeriya ka sawal hai to aap se guzarish hai ke zara Razaa't ka masa'la details main parhyen or apny khud ke ulama ke jawabat is per mulahiza kar lain. Abdul Salam
  6. Janab Naveed sahib Time to aap ne zaya kia na ke itnyeeeee(many) dinon ke baad aye woh bhi apni hi baat per ardye rehtye hoye, jesa ke is forum per mojood doosrye Barelvi Hazrat kar rahye hain....... aap zara pehlye hi aa jatye to main samajh jata ke aap halwa paka pakaya khana chahtye hain...... Yani Quran Pura nahin parhna sirf Molvi sahib woh bata dain to matlab pura karta ho. Hadith ka mutalia nahin karna bulkye Mufti sahib, Molvi sahib sirf woh hadith bata dain jo ke apnye matlab ki ho......? men ne pehlye hi kaha tha ke agar tehqeeq maqsood hai to phir mehnat karain..... tayyar shuda cheezon ke chakkar main na parain.... is main aksar insan ghalati kerta hai or dhoka kha jata hai...... pehlye aap ka kehna tha ke janab ye main is kitab main hawalye kahan dondhon.... phir kaha ke kitab ko kahan dhondon... Ab jab ke main aap ko woh kitab denye ko tayyar hon bama hawala jaat ke woh bhi aik nahin aik se zayed ki soorat main, is ke ilawa aap ke doosrye mubayena sawlat ke jawabat ke saath to aap hain ke "nahin janab jawab do to aik aik line ka do........ ya phir man lo ke jawab hi nahin" jaanb ye bachkana pan choryen, kisi bhi site per mojood is tarha ke bohat se sawlat mojood hain jin ke jawabat mil bhi jatye hain lakin mas-ala ye hai ke kuch naye naye parhnye walon ke liye ye salwat bohat hi excitement se pharpoor hotye hain ke ab Ahl-e-Hadith ke paas jawab nahin....... Sawalat ke jawabat na hotye to main aap ko book ki pesh kash nahin karta.. khair agar aap bazid hai ke aap ko "halwa" chahiye to theek hai janab aap ke liye halwa bhi bana shoroo kar deta hon (ab aap ka to kehna hai ke aap ke paas masroofiyat hai, lakin doosron ki masroofiyat aap ko nazar hi nahin aayegi na hi ahsas hoga??????) Jawabat ab aap ko agli post main milyengye (Insha Allah) Abdul Salam
  7. Janab Asif Attari sahib Ilzam to aap ne lagaya hai, to saboot bhi to aap dayngye ya phir yahan bhi apni marzi chlayengye aap?? jahan tak merye moaqaf ka muamla hai to janab main tehqeeq or sach ko manta hon..... Agar aap ye sabit kerdain Riwayat or Drayat se ke Yazeed paleed hai to main bhi man longa, is main kon se bari baat hai? lakin sharat hai ki riwayat or drayat donon se sabit karain, saath main Usool-e-Hadith ko bhi nazar main rakhna hoga.... Abdul Salam
  8. Janab Naveed sahib Agar aap kahain or aapke forum ki khudsakhta policy(khud ke liye diff or doosron ke liye diff) ijazat dain to main is kitab ko yahin post kar deta hon (aik poori book hai)??????? Abdul Salam
  9. Aik or mazeed baat jo ke main apni pichlye reply mian bhool gaya that likhnye se ke, Jahan aap ke aalim sahib ke ye kehna hai ke Ahl-e-Hadeeth hazrat ne (jo ke merye nazdeek ilm ki kami ka shikar thye) sirf aik hi baat ko ghuma phira kar bayan kiye ja rahye the... to janab aap ke aalim sahib ne kia kiya.... wo bhi to wahi amal kar rahye they bajaye is ke ke kisi or hadith se istadlal pesh kertye woh bhi Muslim ki Hadith ko apnye amal ke muqablye main apnye haq main sabit kernye ki koshish kertye rahye. Kion kisi or hadith ka hawala na diya....... jab ke rafayadain ke to bohat si ahadeeth mojood hain lakin mansookhi ki kitni ahadith hain... main dobara araz kar don ke ye amal (Rafayadain) sunnat amal hai wajib ya farz nahin or is ke tark kar denye se bhi namaz ho jati hai lakin shart hai ke is amal (sunnat) ke munkir na ban kar bulkye is ko sahi man ker.. Ab jo bhi is ko faraz ya wajib qarar deta hai woh ghalati per hai Abdul Salam
  10. Janab Naveed Khan sahib Bohat dino tak main ne is topic per koi jawab nahin diya, lakin guzishta chand dinon se jo kuch arguments (bahas) aap ke Sybarite sahib ne ki us se mujhye andaza hoa (or main ye pehlye bhi note kar chuka tha) ke aap ke Saeedi sahib (munzir-e-Ahlesunnat) ne kis tarha un ghair muqallid sahb (jo ke pechaye kuch kam ilm se lag rahye thye) ko chup karaya hoga Well aap ke aalim sahib ne aik baat bari hi patye ki keh di ke "Bukhari(RAH), Muslim(RAH), Novi(RAH) or jin jin ne Muslim ke Hadith main Rafa-Yaden ke silsilye main radd pesh kiya hai, in main se koi bhi Hanafi nahin hai, or sirf wohi baat aap per hujjat hogi jo ke aap ke aalim/akabir ka kehna hoga" To janab jab aap sirf apni sunna chahyengye to phir dunya ki koi taqat aap ko apni sunnye per ya sach sunnye per majboor nahin ker sakti.. aap ke aalim sahib ne wazeh alfaz main Imam Bukhari (RAH), Imam Muslim(RAH), Imam Novi(RAH) ka radd kia hai apnye maslak ke silsilye main... yani ke apni ilm ko fazeelat de hai in imamon ke muqablye main.......? Hanafiya ka ussol hai ke "Mafhoom-e-Mukhalif qabool nahin" to ab aap ko kon samjhaye... Aik mazeed baat ke Rafa-yadain ke baghayer namaz ho jati hai (agar ke iska inkar na karain to), or main is koi kai or jagha bhi bayan kar chuka hon....... Hadith-e-Muslim ke silsilye main zara kooyen (well) se bahir to aayen. Jab ke mukhtalif sahaba se ye amal sabit hai to phir aap ka ye kehna kahan tak sahi hai ke Rafa-yadain ka hukm baad main mansookh ho gaya tha... agar kahyen to naam pesh karon...... Shums Ghorye ke harkat (Dum or Sar or jism aik sath hilanye) ke muamlye main agar koi is amal ko ghalat karta hai to kia is se is Rafa Yadain ka naskh sabit ho jayega, ziyadah se ziyadah un hazrat ko taseeh ki zaroorat hai. ke woh ghalat kartye hain. aap ke aalim kehtye hain ke hosakta hai ke "Rafa-Yadain ki mansookhi se mutaliq hadith logon tak na ponhchi ho ya is ke mafhoom ko samajhnye main ghalati hoi ho" (kuch yahi mafhoom hai aap ke aalim sahib ka. To maqsad hai ke Imam Shafai, Imam Ahmed bin Hambal, Imam Malik in tamam logon ka is per amal hai kia aap ye kehna chahtye hain ke in sab ne ghalat amal kia....? jab ke aap ka ye bhi kehna hai ke tamam maslak sahi hain haq hain......? Sawalat bohat se hai lakin mujhye yaqeen hai ke jawab aap ke paas agar hai bhi to "Sofist" ke tareeqah per ya phir apni Hanafi Hujjat ka keh ker aap logon ne is ko chor rakha hai.... jab ke charon Imamon ka kehna hai ke "humara qol agar kisi hadith se takra jaye to is qol ko deewaar per de maro or sahi hadith ko ikhtiyar karo" Or aap ka kia amal hai, zara muhasibah karain, toor maroor kar khud ko sahi na sabit karayen Abdul Salam
  11. Yahah sab hi tehqeeq se door bhagnye walye mojood hain (Afsoos hoa), ab Janab Owais sahib, kia aap batana pasand karengye ke aap ne ye kahani kahan se naqal ki, koi aap ke paas authentic book mojood hai kia????? or us authentic book main pesh karda is kahani ka Ravi ya Naqil kon hai??? Abdul Salam
  12. Janab, main ne aik dost se or unhon ne kisi or sahib se suna hai ke jahan ye qabr mojood hai waha ke log in ki qabar ke qubbye ko giranye nahin de rahye hain/detye hain. logon ne koshis bhi ki hai well i'm still searching the reason, main ab bhi wajah ki talash main hon, kisi aalim sahib se poochnye ke baad hi kuch keh sakonga. Abdul Salam
  13. Janab Sybarite sahib Mulahiza karain Janab-e-Shah Wali Ullah ki janib se ghair Sharai ifkar-o-Aqwal se baraa't ka elaan Ab is ko bhi ghair mutaliq (Apni hat dharmi se) bata ker aap ne is ko bhi delete kar diya to phir baghair kuch aap ke kahye main ye samajh jaonga ke aap lajawab ho chukye hain, agar nahin to phir is post ko yahin rakh kar aap tamam logon ko is se mustafeed honye ka moqa dengye... Ab is ke baad aap per ye bhi lazim hojata hai ke aap meri donon deleted posts ko "online" keryengye Abdul Salam
  14. You are absolutly right Mr. Jadul Mukhtar and Mr. Shamsheer, Is ko bhi khatam karna chahiye, and main pehlye maloom kerlon ke ye waqai janab Ibn-e-Teemiya ki qabr hai, us ke baad yahi sawal Janab Ahl-e-Hadith hazrat se bhi hoga Abdul Salam
  15. Aaj mujhye pata chala ke "Sofistism" ki taareef Younanion ke nazdeek ye kion hai "baat ko pecheeda ker ke istlahat ka istimal ker ke ghuma phira ker bayan kernye walye" Nazarya ya Saakhta ye donon alag hain kia? hum (baqool aap ke apnye aalim) koi rad karengye aap ke nazdeek wohi raad sahi mana jayga jo ke humarye nazarye ke mutabiq ho warna aap ka ye kehna baja ho ga ke humarye lenye ke or denye ke baat alag hain Aap ne poocha tha ke "Chaliye aap sirf AIK sahih/sareeh/marfoo'/ghair'muhtamil hadith paish kardein ke namaz-e-witr mein ruk'u ke baad Imam bulund awaaz se dua-e-qunoot parhay aur muqtadi sirf ameen ameen karein." Is ke details aap ko di hai ab aap chahtye hain ke main aap logon ki tarha sirf hadith(zaroori nahin ke sahi, zaeef, mardood ho) qoute karon to muaf kijye ga mujhye aadat hai logon ko tamam batin batanye ki Isi liye main kehta hon ke sirf apni marzi ki jo sunna chahye ga woh wahin rahye ga jahan woh hai.... main koi novel likh bhi nahin raha tha na hi koi irada hai... han hat dharmi per agar kuch likhnye ka mood hoa to yahan is forum per bohat sari misalyen hain kia aap batana pasand karengye ke aap ne ye sawal (Roko ke baad Hath utha kar dua.....) kion kia?? Seedha sa jawab yahi hai ke "aap ye mat dekhyen ke mar janye walye logon ne kia kiya, doosrye log kiya kar rahye hain, aap ko ye dekhna chahye ke aap ka kiya amal hai, woh maqbool bhi ho sakta hai ya nahin..... or is ke liye behtreen kitab Quran-o-Sunnat, is ke baad aqwal-e-Sahaba(RA), Amal-e-Sahaba hai... or in ki jagha koi or nahin le sakta jo usool Hadith ke silsilye main mad-e-nazar rakhye jatye hain us ke tehat hi aap apna muhasibah karian Aap ke tanzeem ka slogon hai"mujhye apni or sarye duniya ke logon ke islah ki koshish karni hai" to apni islah sab se pehlye dossron ke is ke baad. Or yahi wajah hai ke hum sab se pehlye apni islah ki taraf dhiyan detye hain or us ke baad doosron ki Mujhye shak hai ke aap or aap ke log is jawab ko bhi SIYASI BAYAN BAZI qarar de kar bhool jayengye ya phir delete ker daaingye.... mujhye koi khas faraq nahin parta kion ke main apna faraz ada kar rahah hon or karta rahonga Insha Allah Abdul Salam
  16. Jab sach ka aayena dikhaya jata hai to apna chehra kisi ko bhi acha nahin lagta, aap koi nai baat nahin kar rahye hain Chalain yahan aap ne ye to sabit kia ke aap apnye barelvi honye ka faida utha rahye hain warna ye jurrat koi wahabi (aap ke baqool) karta to aap log us ki post hi delete kar detye ke ye to topic se irrelevant hai (Nad-e-Alliya ki misal), Han mujhye jawab se gharaz hai, lakin qataee tor per math ke sawal ke jawab main english ke paper per nahin lena pasand karonga, kion ke is tarha zehan bat jata hai jawab ke barye main sochtye hoye ye detye hoye.... kion aapnye forum ke rouls ke khilaf warzi ker rahye hain,,,,,,, wagarna sooch lain, hum se bhi ayse gustakhi ho sakti hai.... us ki saza pehlye hi bata dain ta ke logon ko bhi pata chal jaye ke "lenye ke or denye ke baat kis ke mukhtalif hain" main intizar kar raha hon kee aap ka koi moderator in jawabat ko "cut past" ker ke is se mutaliq posts per move kar dye Abdul Salam
  17. Janab Asif Attari sahib Chalain aap bhi Janab Toheedi bahi and sybarite ki tarha is qisim ke sawalat pesh karain...... lagata to ye hai ke aap logon ko zaroorat hai shirk ki tareef ko rattnye ki Wesye jawab isi site per mukhtalif posts per mojood hai.......... ab ye aap logon ko nazar nahin aata to main kia kar sakta hon....... Chalain aap phir bhi jawab hi mangtye hain to wo bhi aap ko de donga..... or Allah se dua karonga ke aap ko seedha rasta dikhaye.. Aameen warna phir parye rahye isi daldal main, mera kam khabardar karna hai na ke zabardasti karna.... NOTE: AIK QEID MAIN BHI LAGATA HON AAP PER KE QURAN-o-HADITH KE BAAD AAP KISI(AALIMON, SOFIYA, BANDON) KE AMAL SE APNI BAAT KO SABIT KERNYE KI KOSHISH NAHIN KARENGYE Abdul Salam
  18. Janab Saeedi sahib itni jazbatiyat bhi achi nahin hoti, khuah makhuah blod pressure high hojayega Baraye meharbani jo sawal jahan ka hai wahan per hi post karain, ab apnye logon ko dikhanye ke liye sarye jawabat aik saath hi na diya karain ya phir apni site per barelvi hone ka faida utha rahye hain,,,,, jahan tak mujhye pata hai ye aap ke post ke rule khilaf hai,,,, lakin aap musalsal is ke mukhalif main aiks saath diffrent posts ke jawabat aik saath de rahye hain or pooch bhi rahye hain...... baraye meharbani apni post ko edit karin or mutaliqa post main jawab ka reply karain Jawabat mil jaengye aap ko,,,,, koi khas masala naihn hai Abdul Salam
  19. Janab Asif Attari Sahib Ye sari post siwaye ghalat istadlal ke or kuch nahin, jo kuch bhi aap ne post kia woh sab agar sahi maan liya jaye to phir Mushrikeen-e-makka ka koi wajood baqi nahin rehjata hai, baqi rahye Nasara (Eesayee, or Yahoodi) to in donon ko to naam leker or kahin tashbh dekar pukara gaya hain, tambih ki gai hai, waeed ki khabar di gai hai etc........ jitni bhi attachment aap ne itni mehnat ker ke post ki un sab main ye zahir hai (zaroori hai ke dil ki aankhain khol ker perhain) ke is main aik taraf to Allah ki Sifat ka bayan hai us ki Qudrat ka bayan hai to doosri taraf us ki ataa ka, Ambiya Ikram ko di gai zimedarion ka, lakin aap hain ke isi se ghalat istadlal ker ke shirk main mubtla rahtye hain. Quran main jin farishton ke zimye jo kam hain un ka bayan hai, kia aap kahin ye bata saktye hain ke aap ke ulama, buzargon ka kahin is tarha se zikr hai ya nahin ke unke zimye bhi kuch takweeni amoor hain????????? Hazrat Jibraell , Malakul Mot, Barish barsanye walye, Man ke kookh main bachye ki khabar denye walye etc ye sab Quran se sabit hai ke Allah ne ye sab kaam Farishton ke zimye diye hain...... lakin aap is se istadlal kartye hain ke is tarha se humraye buzurg bhi takwinee amoor main tasarruf (yahan aap ke kehnye ke mutabiq atai nahin bulke Tassaruf ka aqqedah hai) rakhtye hain..... Chalin aik or rukh se is ko dekhtye hain, Quran main Farishton ko Allah ( ) ne Hazrat Aadam ko sajda kernye ko kaha, to kia aap is se zameen main mojood insanon ko sajda ke layeq samjhtye hain???????? Yaqeenan Nahin kion ke ye sirf Allah ka hukm tha farishton ke liye or aik khas waqt ke liye to phir aap farishton ke zimye kamon se buzargon ka tassarruf kesye sabit kernye ki koshish kertye hain?? Or Shirk ka gunnah bilkul bhi muaf nahin ho ga...... ab kisi bhi amal main zara sa bhi shak ho ke is main shirk ka shubah hai to us ko nahin karna chahiye...... lakin................... Kia aap kisi ayese karobar main invest karna chahyengye jis main zara sa bhi nuqsan ka andesha ho????? Ya aap kisi ayese shakhs ko qaraz dena pasand karengye jis se thora sa bhi ye andesha ho ke yahan se raqam wapis nahin milye gi to kia aap us shakhs ko raqam qaraz ke tor per dengye??????? lakin ibadat, o munajat main hum ye sab bhool jatye hain................? Abdul Salam
  20. Janab Syberite sahib Bhai sahib agar Roman Urdu ya Urdu main punctuation ke saath dobara likh daingye to kia qayamat aa jayegi, ya phir koi khas wajah hai na likhnye ki?? Nad-e-Alliya se aap ka aqqeda-e-Mushkil kushai hi to sabit ho ti hai, chalain aap hi bata dain ke agar main is Riwayat ko or Hazrat Ali ko mushkil kusha na manon to aap mujhye kia kahengye???? Pehlye is riwayat ko ghalat man lain phir doorsi riwayat ka number bhi aa jayega, Sawalat ke Jawabat post ker diye hain, mulahiza karain Main ne kaha tha ke Toheed per Likhi har kitab or Shirk ke radd main likhi har kitab is ka radd hai to phir aap ka kehna ke “Humaraye nazarya ke mutabiq likhi Shirk ke radd hone ki sorrat main…” to janab agar humarye nazarya ke mutabiq ho tabhi to radd kehlayegi warna aap ke nazarya ke tehat to ye (Ma Fouq ul Asbab ke tehahat mangna) Shirk hi nahin. Aap ke nazdeek to shirk sirf Butoon ya ghair jandar se amngnya ya Ibadat karna per hi sirf Shirk kehlata warna or Shirk –e- Khafi main mubtla rahna koi mas-ala nahin. To phir baqool aap ke humarye ulama ka radd humarye hi nazarye ke mutabiq hoga na ke aap ke. Baat agar nagawar na guzrye to guzarish araz hai ke main ne aayena dikha diya hai lakin har koi khofzada hai jhoot ka chehra dekhnye se. lehaza koi amal sirf is waja se nahin karna chahiye ke is per aap ke ulama ka amal hai, un se ghalati bhi ho sakti hai, lehaza amal ki sanad dhoondhye, us ka makhaz maloom karain, tehqeeq karain, sirf taqleedan is per amal pera nah on Ab baraye meharbani Shah Wali Ullah (RAH) ka peecha chorain or apnye amal ko dekhain, Ab main is behas (Hazrat Shah Wali Ullah (RAH) ki shakhsiyat) ko yahin khatam karta hon Jahan tak aapka sawal Qonoot-e-Witer main rokoo ke baad Qonoot or Hath utha ker dua mangny ke silsilye main hai to janab, Witr main rooko ke baad Dua-e-Qonoot ki koi marfoo hadith nahin hai, sab ki sab zaeef hain, han sirf hath utha kar Dua mangnye ke silsilye main Masnaf Abi Sheeba main kuch aasar miltye hain, jis ki bina per Dua-e-Qonoot main Kuch log haat uthatye hain, Aap jis qonoot ki, jo ke Rokoo ke baad parhi jati hai, ki baat kar rahye hain usye Qonoot-e-Nazla kehtye hain (Yaqeenan aap ko bhi ilm hoga), or Sunnan Abu Dawood ki riwayat ke mutabiq Hazoor e Akram ne aik maheenye main panch namazon main Qonoot-e-Nazla parhi or Sahaba Ikram ne aap ke peechye Aameen kahi (Dawood, Babul Witer, Babul Qonoot fis-slat, Hakim, Zehbi or Khazeema ne sahi kaha hai Bukhari-o-Muslim ke riwayat ke mutabiq Hazoor-e-Akram kisi baddua ya dua ki soorat main Aakhri rikat main Rokoo ke baad Ounchi awaz ke saath dua kartye, Bukhari, Babu-tafseer, Hadith# 4559, 4560, 4598, 6200, 6393, Muslim, Almasajid, Bab Istijab al Qonoot, fi Jamie-as-Salat, Hadith# 675 Abdul Salam
  21. Main pehlye hi keh chuka hon ke main kam ilm hon... baraye meharbani aap us kahani ko dobara biyan kardain (behtar hoga ke urdu main) behas baad main ho gi. Jawab tu aap ne delete kar di... ab aap na manein to kya kia jaye Janab masala to yahi hai ke SIRF Nad-e-Alliya per bsed nahin, bulkye is tarha ke bohat si mouzoo Ahadith-o-aqwal per based hai lakin ye to mantye hain na ke ye un main se aik hai?? ya ye bhi nahin mantye aap?? jesa ke aap logon ke waseeka ke silsilye main istadlali hadit (agar ke woh sahi ho to and aap ke nazdeek sahi bhi hai) ka munkir, munkir-e-hadith kehlayega to janab emaan kahan rahye ga us ke paas aap ke nazariye se? to janab ye Mushkil Kushai ka AQEEDAh (Nad-e-Alliya) hi hoa na...... Jana Aa gaye na aap ghoom phir kar Shah Wali Ullah per....... ab aap ko kon samjhaye ke Shah Wali Ullah garhye man gir gaye (aap ke baqool) lakin khud to bachain bahi sahib... ye baat kion samajh nahin aa rahi??? ya phir aap baat ko tool de rahye hain ta ke is darmiyan sahyed kuch hawalye mil jayen denye ke liye......? Janab Jesa ke main ne kaha tha ke Toheed per mabni har kitab is ka RADD hai, Murdon se waseela ke RADD main pesh ki gai har kitab is ka RADD hai ab aap ko our kis mustanid hawalye ki zaroorat hai............. Bhai jis amal ki sanad Hazoor-e-Akram se na milti ho usye chor do... Allah ke liye or khud ke liye.......... ya phir kam se kam sirf wo amal karo jis main Allah ke hukam ya Rasool ke hukam ki mukhalifat na hoti ho Abdul Salam
  22. Janab main ne messege main chupi dhamki ka zikr kia tha or aap ne us per amal bhi kar diya........... is ka sirf aik matlab hai ke aap ke paas na to Nad-e-Alliya ki koi sanad hai na hi koi mustanid hawala. lehaza jawab aap ke paas na humnye ki wajah se aap ne is ko delete kar diya hai agar ghairat aap main hi to aap us pos ko un-delete kar dain takye logon ko pata chalye ke kia siyasi bayan bazi ki thi main ne............... Ye to aap ka kehna hai ke "siyasi bayan bazi" zara awam ko bhi to pata chalye ke kia siyasi bayan bazi thi woh........? hai himmat to logon ko dikhayen. ab agar ye post delete ko gai to main ur is forum per mojood tamam log samajh jayengye ke aap ke paas ab koi hal nahin siwaye mujhye block karnye ke....... Abdul Salam
  23. Janab Asif Attari sahib ya jo koi bhi is topic to read karye Janab baraye meharbani Tafseer-e-Bezavi main riwayat ki gai Ilmul Aadad ki silsilye main riwayat ki Sanad Pesh karyen Or agar koi sanad na milye to isi tarha aik fatwa Darul-Ifta se nikalwayen ke Ilmul Aadad ko manna ghalat hai. Abdul Salam
×
×
  • Create New...