Jump to content

سگِ عطار

ںاظم اعلیٰ
  • کل پوسٹس

    2,167
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    36

سب کچھ سگِ عطار نے پوسٹ کیا

  1. Pyarey Bhayi Aap Sey Arz Hai Key Sirf Mustanad Ulema-e-AhleSunnat Ki Kutub Ko Perhein Tu Aisey Ghalat Masail Aapko Nhin Milein Gey.. Aur Jo Mas'ala Miley ga Us Mein Shak Ki Gunjaish Nhin Hogi... Aap Namaz Key Ahkaam Kitab Ka Muta'laa Kerein.. Aapkey Kayi Masail Hal Ho Jayen Gey... 1) Wuzo Key Baad Kanghi Kerna Aur Namaz Key Liye Masjid Ki Taraf Jana Bilkul Jaiz Hai.. 2) Yeh Hadees Aap Ney Kahan Perhi? Ager Hawala Aap Key Pas Hai Tu Bara-e-Karam Post Ker Dein... Reenkh Nikalney Sey Wuzoo Nhin Jata.. Aur Reenkh Na Pak Nhin Hai.. Ager Kaproon Per Lag Jayen Tu Kaprey Na Pak Nhin Hongey... Tu Yeh Kiyonker Mumkin Hai Key Reenkh Nikal Ker Wuzoo Hi Nhin Hota... Aur Ager Nhin Hota Tu Phir Kab Hota Hai? Aap Namaz Key Ahkam Kitab Sey Wuzoo Ka Tareeqa Wala Booklet Perhein.. Jin Cheezon Sey Wuzoo Toot Jata Hai Aur Nhin Hota Yeh Sab Wahan Likha Howa Hai... Wassalam Ma'Al Ikram
  2. Wahabiyon Sey 4th Suwal: Taraweeh Ki Jamaat Konsi Aayat ya Sahi Hadees Sey Sabit Hai? Wahabiyon Sey 5th Suwal: Konsi Sahi Hadees Sey Sabit Hai Key Taraweeh Ki 2 Jamaat Ki Jayen Takey Baad Wali Awam Ko Taraweeh Mil Jaye.. Nhin Janab.. Hum Ney Qayas Nhin Kiya.. Aap Ney Kaha Woh 20 Nhin Perhatey 10/10 ki Shift Lagti Hai.. 10 Rakat Mein Witr Nhin Aa Saktey.. Keh Ya Tu Phir Wahabi Taraveeh 7 Rakat Perhtey Hain Ya Phir Witr 2 Rakat Ker Diye... Buhut Aasan Sa Suwal Hai.. Wahabiyon Sey 6th Suwal: Tarweeh Ki Jamaat Ki 10/10 Rakat Ki Shift Lagti Hain.. 10 Rakaat Konsi Sahi Hadees Sey Sabit Hain.. Farz Namaz Ki Jamaat Wajib Hai.. Wahabiyon Ko Chahye.. Fajir ki 2/3 Jamaat Rakh Lein.. Different Imam Aaker Perhain Takey Baad Wali Awam Ki Jamaat Na Chotey.. Zohar Aur Isha Ki tu Kam Az Kam 10/12 Jamaats Bhi Aaram Sey Rakhi Ja Sakti Hain... Mera Yeh Mashwara Apni Wahabi Commetey tak Pohncha Dejiye Ga.. Takey Awam Ki Jamaat Na Reh Jaye.. Baqi Aap Shafiyon Ki Bat Na Kerein.. Woh Muqalid Hain.. Aur Muqalideen Wahabiyon Ki Daleel Nhin Ban Saktey..
  3. السلام علیکم، بالکل یہ بات درست ہے۔ فقہائے کرام فرماتے ہیں۔ الخط یشبہ الخط لا یعتد بہ لیکن اگر صرف یہی اصول لے لیا جائے تو پھر مفتی کے ہر فتوے پر یہ احتمال جاری ہو سکتا ہے کہ الخط یشبہ الخط لا یعتد بہ۔ تو کیا مفتی کا پوریٰ فتاویٰ ناقابل اعتماد سمجھا جائے گا۔ تو اس میں فقہائے کرام کا قائدہ ہے کہ الخط یشبہ الخط لا یعتد بہ یہ اس صورت میں ہے کہ جب محرر منکر ہوجائے اور کہے کہ یہ تحریر میری نہیں ہے۔ اگر محرر منکر نہیں ہوتا تو پھر یہ خط اُسی کا ہے۔ مثلاً کسی نے اپنی زوجہ کو تین تلاق لکھ کر دیدیں اور بعد میں منکر ہوگیا۔ تو اگر جھوٹ بولے گا تو اُس کا وبال اُسی پر ہوگا۔مفتی اسے قسم دلوا کر کہہ دے کہ اگر یہ اپنی قسم میں سچا ہے تو اس کی بیوی اس کے لئے حلال ہے۔ پس تحریر اُسی کی ہوگی۔ ہاں مگر محرر منکر ہوجائے۔ اور جھوٹ بولے گا تو گناہگار ہوگا۔ اور اگر ایسا فتویٰ کہ مفتی زندہ ہے اور متنازعہ فیہ صورت میں اُس کی طرف سے انکار نہیں پایا گیا تو یہ اسی کا فتویٰ ہے۔ دنیا سے چلے جانے کے بعد اب پیچے کوئی یہ قائدہ بیان کرے الخط یشبہ الخط لا یعتد بہ تو اُس کی بات کا اعتبار نہ کیا جائے گا۔ اور نہ ہی قائدہ لاگو ہوگا۔
  4. Merey Pas Sab Debates Kam Ker Rahi Hain... Kisi Aur Member Key Pas Masala Hai Tu Bata Dein... Eid Milad Gustakh-e-Rasool Iman-e-Hazrat Ameer Muaviyyah Radi Allah Anhu Fateha Khalf ul Imam Waseelah Ilm-e-Qayamat
  5. Ilm-e-Ghaib Ki Behs Per Mushtamil Posts Yahan Move Ker Di Hain...
  6. Isko Dosrey Topic Mein Post Kerein Wahan Inka Jawab Diya Jaye Ga... Aap Ney Likha ... Noor ya Bashar Suwal: Kiya Noor Aur Bashar Aik Dosrey Ki Zidd Hain? Aur Bashar Ka Jawab Aachuka Key Hamarey Sarkar Ko Bashar Mantey Hain.. Aur Allah Ka Abd wa Rasool Mantey Hain... Aur Jo Aapko Bashar Na Maney Woh Kafir Hai.. Hum Sarkar Ko Afzal-ul-Bashar Mantey Hain Aur Bashar Key Sath Noor Bhi Mantey Hain.. Aap Woh Aayat wa Hadees Pesh Kerein Jis Sey Noor Ki Nafi Hoti Hoo... Bashar Honey Ki Daleel Nhin.. Kiyon Key Bashar Hum Bhi Mantey Hain... Aap Suwal Ka Jawab Aur Noor Honey Ki Nafi Per Daleel Pesh Ker Dein Phir Hum Dalail Dein Gey..
  7. Alim Kitab Hai Sey Aapki Kiya Muraad Hai? Yani Sunni Barelavi Aalim Ki Kitab? Ager Yeh Muraad Hai Tu Kiya Aap Key Nazdeek Imam Behaqi Rehma Tullah Alaih Barelavi Aalim Hain? Jis Kitab Ka Hawala Diya Gaya Hai.. Yeh Kitab Mash'hor Muhadis Imam Behaqi Rehma Tullah Aleh Ki Hai... Baqi Aap yeh Batain Key Yeh Konsi Sahi Hadees Key Khilaf Hai.. Takey Aapka Aetaraz Clear Ho Jaye... InshaAllah Aapko Sannad bhi Pesh Ker Dein Gey.. Aur Sahaba-e-Karam Ka Amal Tu Aapko Oper Pesh Ker Diya Gaya Hai...
  8. Kafeel Sahib.. Behter Hai Key Aap Dalail Sey Bat Kerein Tu Zyada Munasib Hai.. Aur Her Topic Per Alag Alag Bat Kerien... Oper Jo Hawala Diya Gaya Hai.. Aap Us Per Bat Kerien Woh Kufr Hai Ya Nhin? Us Mein Hawala Allamah Qurtabi Aleh Rahma Ka Hai... Mazeed Jo Batain Aap Ney Likhi Hain... Us Per Main Sirf Itna Kahon Ga Key Aap Kabhi Quran-o-Hadees Perhein Khud.. Aur Apney Molvi Ki Andhi Taqleed Na Kerein? Aap Ney 2 Topics Likhein Hain.. 1) Noor-o-Bashar 2) Ilm-e-Ghaib Ilm-e-Ghaib Per Aap Sey Bat Ho Rahi Hai Dosrey Topic Mien.. InshaAllah Aapko Sahaba-e-Karam Ka Bhi Sabit Ker Dein Gey... Takey Aapki In Batoon Ka Radd Bhi Jaye... Key Kiya Kisi Sahabi Ney Kaha........... Noor-o-Bashar Per Aap Aik Topic Bana Lein Munazra Section Mein.. InshaAllah Aapko Quran-e-Pak Sey Sarkar Ki Noraniyat Sabit Ker Dein Gey.. Us Key Baad Hadith Sey Aur Us Key Baad Aima-e-Karaam Sey.. Umeed Hai Aap Sirf Zabani Naaron Ki Bajaye Dalail Ki Taraf Aayen Gey...
  9. کفیل صاحب آپ کا رفع یدین کا چیلنج میں نے مناظرہ سیکشن میں موو کر دیا ہے۔ انشاء اللہ جلد ہی آپ کو وہاں جواب مل جائے گا۔ دو حوالے آپ کو غلام مصطفیٰ بھائی نے دیے۔ آپ نے اُن پر کوئی صحیح جواب نہیں دیا۔ آپ کو دو مزید حوالے میں دے رہا ہوں۔ آپ نے تفاسیر کی بات کی ہے۔ انشاء اللہ تفاسیر سے تو حوالوں کا انبار ہے۔ لیکن اگر وہ سارے پوسٹ کر دیے جائیں تو یقیناً آپ نے پڑھنا نہیں اورنہ ہر ایک آیت و تفسیر کا جواب بھی نہیں دیں گے۔ لہذا ان آیات کا جواب آپ معتبر تفاسیر سے دے دیں۔ اُ سکے بعد ہم حوالے دیں گے تفاسیر سے۔ مَا كَانَ اللَّهُ لِيَذَرَ الْمُؤْمِنِينَ عَلَىٰ مَا أَنْتُمْ عَلَيْهِ حَتَّىٰ يَمِيزَ الْخَبِيثَ مِنَ الطَّيِّبِ ۗ وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيُطْلِعَكُمْ عَلَى الْغَيْبِ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ يَجْتَبِي مِنْ رُسُلِهِ مَنْ يَشَاءُ ۖ فَآمِنُوا بِاللَّهِ وَرُسُلِهِ ۚ وَإِنْ تُؤْمِنُوا وَتَتَّقُوا فَلَكُمْ أَجْرٌ عَظِيمٌ ﴿آل عمران: ١٧٩﴾ اللہ مسلمانوں کو اس حال پر چھوڑنے کا نہیں جس پر تم ہو (ف۳۵۱) جب تک جدا نہ کردے گندے کو (ف۳۵۲) ستھرے سے (ف۳۵۳) اور اللہ کی شان یہ نہیں کہ اے عام لوگو! تمہیں غیب کا علم دے دے ہاں اللہ چن لیتا ہے اپنے رسولوں سے جسے چاہے (ف۳۵۴) تو ایمان لاؤ اللہ اور اس کے رسولوں پر اور اگر ایمان لاؤ (ف۳۵۵) اور پرہیزگاری کرو تو تمہارے لئے بڑا ثواب ہے، (١٧٩) اور جو بخل کرتے ہیں (ف۳۵۶)۔ وَمَا هُوَ عَلَى الْغَيْبِ بِضَنِينٍ ﴿التكوير: ٢٤﴾۔ اور یہ نبی (صلی اللہ علیہ وسلم) غیب بتانے میں بخیل نہیں۔ اور آپ کی آیات کی پیش کی گئی آیات کا مطلب غلام مصطفی بھائی نے بتا دیا ہے۔ کہ وہاں ذاتی علم غیب کی نفی ہے اور عطائی علم غیب اللہ عزوجل نے اپنے پسندیدہ رسولوں کا عطاء کیا ہے۔
  10. ... Buhut Achi Malomat Di Aap Ney... Allah Her Muslaman Ko Her Fitney Sey Mahfoz Fermaye.. Aameen Bijahin Nabiyil Aameen
  11. ... Allah Aap Key Haq Mein Bhi Yeh Duain Qabool Fermaye... Aameen Bijahin Nabiyil Aameen
  12. Brother & Welcome to IslamiMehfil... Buhut Achi Post Ki Aap Ney.. Yeh Tareekh Key Ghamzada Auraq Hain.. Najdiyon Ney Jo Zulm Key Pahar Torey Aur Khoon Ki Nadiyaan Arab Sharif Mein Bahayi Hain Khud Najdi Writers Ney Bhi Usko Kayi Jaghoon Per Zulm Sey Tabeer Kiya Hai... Mufti Abdul Qayyom Hazarwi (Aleh Rahma) Ki Kitab... "Tareekh e Najd o Hijaz" Inhi Zulm Ki Dastano per Mushtamil Kitab Hai.. Jis Key Sarey Hawaley Najdi Writers Key Hain... Koshish Hogi Usko Type Ker Key IslamiEducation.com Per Laya Jaye..
  13. Saif ul Islam Bhayi.. Share Kerney Ka Shukriya... Main Ney Bhi Abhi 2 Pics Li Hain.. Google Earth Sey...
  14. Aap Kisi Shia Aalim Ko Tayyar Kerien Munazra Key Liye... Jis Topic Per Woh Chahein Sunni Munazra Kerney ko Tayyar Hain.. Is Topic Mein Reply Kerien... Aur Abuse Language Use Na kerien.. yeh Aap Key Liye Warning Hai...
  15. Kis Member Ko Aap PM Kerna Chahti Hain Tu Yeh Msg Aata Hai?
  16. Bhayi Tehqeeq-e-Alahazrat Key Mutabiq Kaghaz Aur Kaprey Per Print Shuda Tasveer Na Jaiz wa Haram Hai.. Aap Is Key Liye Dar ul Ifta Key Yeh 2 Fatwey Perhein... Tasveer Kis Ko Khetey Hain.. Tasveer Ka Hukm? Computer mein kissi zinda cheez ki tasveer? Aub Aapka Asal Masala Key Aapki Company 3rd Party Ka Kam Kerti Hai.. Aur 75% Kam Baghair Tasveer Key Hota Hai Waghera.. Iska Jawab Tu Muftiyaan-e-Karam Dein Gey... Mager Aap Ney Likha Key Main Webdesigning Ka Kam Ker Sakta Hoon Ya Nhin.. Tu Dosrey Fatwey Sey Yeh Bat Clear Ho Gayi Key Computer Mein Tasveer Jaiz Hai... Kiyon Key Woh Tasveer Key Hukm Mein Nhin Balkey Aks Key Hukm Mein Hai... Ager Isko Aks Ki Bajaye Tasveer Hona Sabit Ker Diya Jaye Tu Phir Yeh Na Jaiz Hogi.. Is Per Ulema e Karam Ney Kafi Kutub Tehreer Fermayi Hain Aur Kafi Dalail Pesh Kiye Hain Key Movie Jo Hai Yeh Tasveer Nhin hai Balkey Aks Hai.. Jesay Paani Mein Aks Aajaye Ya Ai'ney Waghera Mein.. Tu Jis Terha Woh Na Jaiz Nhin Is Terha Movie Aur Computer Mein Tasveer... Mager Is Mein Is Cheez Ko Mad-e-Nazer Rakha Jaye Ga Key Jaiz Movie Aur Jaiz Tasveer... Mazeed Tafseel Key Liye Aap Dar ul Ifta Ahle Sunnat Ka Fatwa Is Booklet Sey Read Kerein.. Jo Key Aakhir Mein Mojod Hai... Aapka Masala Clear Ho Jaye Ga... Tv Aur Movie Wassalam Ma'Al Ikram
  17. Attar Rehnuma Hain .. in the Voice of Nigran-e-Kabina DawateIslami Haji Muhammad Shahid Attari
  18. Rana Sahib... ... Allah Aapko Jaza-e-Khair Ata Fermaye.. Aur Aap Key Ilm-o-Umer-wa-Ghar Mein Barkat Ata Fermaye... Aameen Bijahin Nabiyil Aameen
  19. Aap Key Suwal Ki Samajh Nhin Aayi... Mazeed Wazahat Kerein... Aapka Dost Kiya Kehta Rehta Hai... Halwa Manda? Is Sey Muraad Halwa Khaney Waley Hain? Halwa Tu Halal Ghiza Hai.. Balkey Halwa Khana Tu Sunnat Hai.. Albatta Kawwa Khaney Waley Loag Special Hain.. Unkey Barey Mein Tu Suwal Nhin Hai Aapka?
  20. Book Ka Naam Al-Afazat ul Yomiya Hai... Is Ka Complete Reference Ager Aapkey Pas Ho Tu Bata Dein.. Umeed Hai Phir Koi Member Ba Aasani Yeh Post Ker Dey... Aur 786Ahlesunnat Bhayi Ki Bat Darust Hai.. JAD DUL MUKHTAR Bhayi Ney Is Per Tehqeeq Ki Hai.. Umeed Hai Jald Woh Yahan Post ker Dein... Wassalam Ma'Al Ikram
×
×
  • Create New...