-
کل پوسٹس
2,167 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
36
سب کچھ سگِ عطار نے پوسٹ کیا
-
Yeh Topic Amomi Jahilana Baton Per Hai Na Key Sirf Sisters Ki.. Is Liye Issey IM General Discussion Mein Move Kiya Ja Raha Hai..
-
Asif Bhayi.. Buhut Hi Khoob...
-
23 Hours Mein Status Yeh Ho Gaya Hai.. Registered Members: 2,005 · Forum Topics: 4,823 · Forum Posts: 30,108
-
Jin Aahadees Key Hawaley Asal Kutub Mein Mojod Nhin..Tu Mozo Aahadees Hoyeen... Aur Jis Hadees Ka Hawala Mil Jaye Aur Woh Hadees Kisi Wajah Sey Za'eef Ho Tu Phir Us Ka Wohi Hukm Hoga Jo JAD DUL MUKHTAR Bhayi Ney Post Kiya Hai.. Mozo Hadees Aur Za'eef Hadees Mein Difference Hai.. Mufti Sahib Ki Muraad Mozo (Jhooti) AaHadees wa Waqiyaat Hongi Jiski Wazahat Rauf Bhayi Ney Bhi Ki Hai.. Pas Inko Hum Za'eef Nhin Keh Saktey... Wassalam Ma'Al Ikram
-
Dars-e-Nizami course mey kiya perhatay hain?
سگِ عطار replied to Faizan-e-Mustafa's topic in دارس نظامی
Ulema-e-Karam Key Firo'ee Masail Ko Zair e Behs Nhin Lana Chahye.. Jo Ulema Fermatey Hain Aurat Muftiya Nhin Ban Sakti Unka Apna Mo'aqaf Hai Jo Key Darust Hai Aur Jo Fermatey Hain Ban Sakti Hai Unka Apna Mo'aqaf Hai Woh Bhi Darust Hai.. Aur Ulema-e-AhleSunnat Ka Fir'oee Ikhtilaf Bais-e-Rahmat Hai.. (Mafhoom-e-Hadees) Fatwa Dena Aur Masail Kaheen Sey Dekh Ker Bata Dena Is Mein Buhut Difference Hai.. Ager Islami Tarkeeh Ko Aik Nazer Utha Ker Dekha Jaye Tu Humein Kaheen Bhi Kisi Bazurg Aurat Ka Muftiya Hona Malom Nhin Hota Aur Na Hi Kisi Aurat Ki Tehreer Shuda Koi Kutub Milti Hain... Is Liye Ameer-e-AhleSunnat Ney Islami Behno Ko Kitab Likhney Sey Bhi Man'aa Fermaya Hai.. Mager Na Jaiz Nhin Fermaya.. Ager Kitab Mein Sahi Masail Ka Bayan Hai.. Sahaba-e-Karam Sarkar Ki Tarbeaut Mein Reh Ker Mujtahid Ban Gaye Tu Un Hasti Ammi Jaan Hazrat Aisha Siddiqa Key Ilm Ka Maqam Koun Bayan Ker Sakta Hai Jo Sarkar-e-Madinah Ki Shareek-e-Hayat Hain.. Jesay Abhi Mujtahid Koi Nhin Hai Aur Sab Muqalid Hain Imam-e-Aazam Key Tu I Think Hazrat Aisha Sey Aam Aurat Ko Tashbeeh Dena Muftiya Nhin Mujhtahida Bananey Key Qaim Maqam Hoga... Beherhal... Yeh Mera Nuqta-e-Nazer Hai... Main Pehley Arz Ker Chuka Key Yeh Firo'ee Masail Hain Inko Discuss Na Kerna Behter Hai... Is Topic Per Mazeed Behs Munasib Nhin Aur Topic Key Asal Suwal Ka Jawab Aachuka Hai.. Topic Closed -
Autographs of Ulama and other Shakhsiyat
سگِ عطار replied to Madinah_Madinah's topic in شخصیات اسلام
وعلیکم السلام، جزاک اللہ ۔ شیئر کرنے کا بہت شکریہ۔ علامہ ارشد سعید کاظمی مدظلہ العالی کے دستخط میں اوپر غالباً احقر العباد لکھا ہوا ہے۔ -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
سگِ عطار replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
اگر مردہ سن سکتا ہے یہ ثابت ہوجائے تو پھر آپ وسیلہ کو مان لیں گے؟ نیز آپ یہ بھی بتائیں کہ کیا آپ ا انبیاء علیھم السلام کو اپنی قبور میں زندہ مانتے ہیں یا نہیں؟ -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
سگِ عطار replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
السلام علیکم۔ محترم پیس فل صاحب۔ آپ کو آیت پیش کی گئی۔ جاءوک فاستغفروا ۔۔ آپ نے اُس کی تفسیر پیش کی تفسیر ابن کثیر سے۔ حافظ اسماعیل ابن کثیر کا موءقف الحمد للہ اہلسنت والجماعت کے موءقف کے مطابق ہے۔ مگر اُس کے حاشیے میں وہابی مولوی نے دجل سے کام لیتے ہوئے ایک تو لکھا کہ یہ آیت صرف اُس وقت تک کے لئے تھی۔ اب کے لئے نہیں ہے۔ آپ خود سوچیں کیا قرآن پاک صرف صحابہ کرام کے زمانے تک کا تھا۔ کیا قرآن پاک کے احکامات صرف صحابہ کرام علیھم الرضوان کے زمانے تک محدود ہیں یا قیامت تک کے لئے ہیں۔ دوسرا اس کی تفسیر میں جو حافظ ابن کثیر نے لکھا اُس کے نیچے مترجم نے لکھا کہ اس کا کوئی حوالہ نہیں ہے۔ یعنی مترجم کو زیادہ پتا ہے اور جن مشہور مفسر کی تفسیر کا وہ ترجمہ کر رہا ہے اُن کو پتہ نہیں تھا۔ اب آپ اندازہ لگائیں کہ حق کو کس طرح چھپایا جا رہا ہے۔ میں اُس آیت کی تفسیر میں اصل عربی تفسیر ابن کثیر کے اسکین پیجز اور دیگر تفاسیر کے پیجز پوسٹ کر رہا ہوں ۔ انشاء اللہ عزوجل آپ کا مسئلہ کلیئر ہوجائے گا۔ انشاء اللہ عزوجل تفسیر قرطبی سے۔ الاذکار از امام شرف الدین النووی سے حوالہ۔ -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
سگِ عطار replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
السلام علیکم، دوسرا حوالہ میں نے دیا کہ مشکو ۃ شریف کی حدیث جس میں نابینا صحابی رضی اللہ عنہ کو سرکار صلی اللہ علیہ وسلم نے ایک دعا سکھائی۔ جس میں یا محمد (صلی اللہ علیہ وسلم) کے الفاظ سے توسل کیا گیا۔ اور محدثین نے اسے اہل حاجت کے لئے تعلیم فرمایا ہے۔ ُاس کا حوالہ حافظ اسماعیل ابن کثیر الدمشقی (متوفی ۷۷۴ ھ) کی کتاب البدایہ والنھایہ سے۔ -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
سگِ عطار replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
السلام علیکم۔ بھائی میں نے ایک حوالہ دیا اپنی پوسٹ میں فتح الباری کا۔ دور عمر رضی اللہ عنہ میں ایک شخص (صحابی یا تابعی) نے سرکار صلی اللہ علیہ وسلم کی قبر انور پر جاکر عرض کی استسق لاُمتک ۔ اُس کا اسکین پیج فتح الباری شرح صحیح بخاری سے ملاحظہ فرمائیں۔ فتح الباری مشہور محدث امام حافظ احمد بن علی حجر العسقلانی (متوفی ۸۵۳ ھ) کی تصنیف ہے۔ -
Kafeel Sahib.. Aapko Main Kafi Bar Keh Chuka Hoon Key Is Topic Mein Suwal Yeh Nhin Key Taraweeh 20 Rakaat Hai Ya 8 Rakaat..... Aap Topic Ki 1st Post Read Kerein.. Us Mein Aik Suwal Taraweeh Per Tha Key Imam-e-Kaaba 20 Rakaat Taraweeh Perhatey Hain.. Aapko Is Suwal Key Jawab Mein Kehna Chahye Tha.. Key Imam-e-Kaaba 20 Nhin 8 Perhtey Hain.. Ya Imam-e-Kaaba 20 Perh Ker Khilaf-e-Sunnat Kam Aur Buri Bidat Kertey Hain.. Mager Subhan Allah... Aap Ney Woh Jawab Diya Jis Per Abhi Baat Kerney Sey Aap Bhaag Rahey Hain.. Taraweeh Per Aapko Ya Muhammadah Bhayi Ney Dalail Post Kiye Hain.. 20 Rakaat Key.. Mager Chonkey Humein Maloom Ho Chuka Hai Key Aapki Benayi Kamzor Hai.. Is Liye Aapko Woh Post Nazer Nhin Aaye Gi.. Aayi Tu Dalail Nazer Nhin Aayen Gey.. Mager Main Aapko Aapki Pehli Baat Sey Nhin Bhagney Doun Ga Jab Tak Aap Aetaraf Na Ker Lein Key Wahabi Saudi Imam 20 Rakaat Perhatey Hain Ya Nhin.. Aur Yeh 10 Rakaat Kahan Sey Sabit Hain? Aur Taraweeh Ki 2 Jamaat Kahaan Sey Sabit Hain? Aik Tu Aap Apni Roman Urdu Kuch Sahi Kerein Ya Urdu Rasm ul Khat Mein Likh Ker Post Kerein.. Nez Aap Posts Ko Quote Bhi Sahi Kiya Kerien.. Aapka Apna Text Quote Mein Aajata Hai.. Yahi Baat Main Aap Sey Kehlwana Chahta Tha.. Aub Zara Aap Hazrat Umer Key Woh Alfaaz Post Ker Dein Gey??? Key Unho Ney Taraweeh Ki Jamaat Ko Kin Alfaaz Sey Mansoob Kiya? Ya Humein Ijazat Dein Tu Hum Post Ker Dein? Mujhey Malom Hai Aap Woh Alfaaz Kabhi Post Nhin Ker Saktey Werna Aapkey Wahabi Mazhab Ka Janaza Aap Key Apney Hathon Nikal Jaye Ga.. Jesay Aap 10/10 Rakaat Aur 2 Jamaat Ka Maan Ker Aub Jawab Nhin Dey Rahey Hain... Hazrat Umer Ney Taraweeh Key Barey Mein Fermaya نعمت البدعت ہذہ Yeh Tu Buhut Achi Biddat Hai.. Kafeel Sahib... Hazrat Umer Taraweeh Ko Achi Biddat Keh Rahey Hain.. Aur Aap Kehtey Hain Koi Biddat Achi Hoti Hi Nhin... Her Biddat Gumrahi Hai.. Kiya Hazrat Umer Ney Taraweeh Ki Jamaat Ko Biddat Keh Ker Gumrahi Ki? Muaz Allah... Soch Lejiye.. Aapka Biddat Ka Fatwa Kin Tak Jaye ga... Aap Ney 4 Sey 6 Tak 3 Suwalat Mein Sey Aik Ka Hi Jawab Diya ... Jiska Ka Jawab Aapko Dey Diya Hai... Aub 3 Suwal Phir Sey.. Pehla Suwal Thora Sa Change Hai.. Aap Number Laga Ker Jawab Dey Dein.. Jab Aapkey Sahi Jawabaat Aajayen Gey... Tu Phir Aap Sey 20 Ya 8 Rakaat Per Bat Hogi.. Pehley Aap Topic Na Badlein.. Aur Jo Topic Hai Saudi Imam Per Uska Jawab Dein... Wahabiyon Sey 4th Suwal: Taraweeh Ki Jamaat Ko Hazrat Umer Ney Feramaya نعمت البدعت ہذہ Yeh Tu Buhut Achi Biddat Hai.. Wahabi Taraweeh Ki Jamaat Kerwa Ker Biddati Howey Ya Nhin? Ya Is Riwayat Sey Bidat Ki Aqsaam Sabit Hoyi Ya Nhin? (Riwayat Ka Mukamal Hawala Darkar Ho Tu Bataye) Wahabiyon Sey 5th Suwal: Taraweeh Ki Aik Jamaat Ko Achi Biddat Sey Jaleel ul Qadar Sahabi Hazrat Umer Ney Tabeer Kiya.. Wahabi Batain Konsi Sahi Hadees Sey Sabit Hai Key Taraweeh Ki 2 Jamaat Ki Jayen Takey Baad Wali Awam Ko Taraweeh Mil Jaye.. Kiya Sarkar Key Dour-e-Mubarak Mein Kabhi 2 Jamaats Hoyeen Taraweeh Ki.. Aik Sahi Hadees Darkar Hai.. Wahabiyon Sey 6th Suwal: Ba Qaul Aapkey Tarweeh Ki Jamaat Ki 10/10 Rakat Ki Shift Lagti Hain.. 10 Rakaat Konsi Sahi Hadees Sey Sabit Hain.. Ager 8 Rakaat Taraweh Hai tu 2 Rakaat Kiya Perhatey Hain Imam? Umeed Hai Is Bar Aap Bat Badalney Ki Bajaye In Key Jawabaat Dein Gey...
-
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
سگِ عطار replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
وعلیکم السلام۔ اسلام ایک آسان، واضح اور قابل عمل نظام حیات ہے۔ یہ چونکہ انسانی فطرت کے عین مطابق ہے لہذا اسکے دامن میں کسی قسم کی کوئی تنگی ، جبر یا محدودیت نہیں ہے۔ یہ قیامت تک پیش آنے والے علمی و عملی،مذہبی و روحانی اور معاشی و معاشرتی تمام مسائل کا حل پیش کرتا ہےاگر کسی مسئلے کا حل براہ راست قر آن و سنت میں نا ہو تو اس کا یہ ہر گز مطلب نہیں کہ وہ بدعت گمراہی اور حرام و ناجائز ہے کیونکہ کہ کسی مسئلہ کا ترک زکر اسکی حرمت کی دلیل نہیں ہوا کرتا بلکہ یہ حلت و اباحت یعنی جائز ہونے کی دلیل ہے۔ کسی بھی نئے کام کی حلت و حرمت جاننے کا طریقہ یہ ہے کہ اسے قرآن و سنت پر پیش کیا جائے اگر اس کا شریعت کے ساتھ تعارض یعنی ٹکراؤ ہوجائے تو بلا شبہ بدعت سئیہ اور حرام و ناجائز کہلائے گا لیکن اگر اسکا قر آن و سنت کے کسی بھی حکم سے کسی قسم کا کوئی تعارض یا تصادم لازم نہ آئے تو محض عدم زکر یا ترک زکر کی وجہ سے اسے بدعت سئیہ اور ناجائز اور حرام قرار دینا قرار دینا ہرگز مناسب نہیں بلکہ یہ بذات خود دین میں ایک احداث اور بدعت سئیہ کی ایک شکل ہے اور یہ گمراہی ہے جو کہ تصور اسلام اور حکمت دین کے عین منافی اور اسلام کے اصول حلال و حرام سے انحراف برتنے اور حد سے تجاوز کرنے کے مترادف ہے۔ ایک بار جب اسی قسم کا سوال نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے ہوا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا۔۔۔ حلال وہ ہے جسے اللہ نے قرآن میں حلال ٹھرایا اور حرام وہ ہے جسے اللہ نے قرآن میں حرام ٹھرایا رہیں وہ اشیا ء کہ جن کے بارے میں کوئی حکم نہیں ملتا تو وہ تمہارے لیے معاف ہیں۔ جامع ترمزی جلد 1 ص 206 مذکورہ بالا حدیث میں وما سکت عنہ فھو مما عفا عنہ کے الفاظ بتا رہے ہیں کہ شارع نے جن کا زکر نہیں کیا وہ مباح اور جائز ہیں لہذا محض ترک زکر سے کسی چیز پر حرمت کا فتوٰی نہیں لگایا جاسکتا ۔ اللہ پاک نے قرآن مجید میں ایسے لوگوں کی مذمت بیان کی ہے جو اپنی طرف سے چیزوں پر حلت و حرمت کے فتوےصادر کرتے رہتے ہیں لہذا ارشاد باری تعالی ہے۔۔ اور وہ جھوٹ مت کہا جو تمہاری زبانیں بیان کرتیں ہیں کہ یہ حلال ہے اور یہ حرام اس طرح کے تم اللہ پر بہتان باندھو بے شک وہ لوگ جو اللہ پر بہتان باندھتے ہیں کبھی فلاح نہیں پاسکتے۔ النحل 116۔ مگر آج کتنے افسوس کی بات ہے کہ دین دینے والا لااکراہ فی الدین اور یریداللہ بکم الیسر فرما کر دین میں آسانی اور وسعت فرمائے اور دین لینے والا نبی صلی اللہ علیہ وسلم وما سکت عنہ فھو مما عنہ فرما کر ہمارے دائرہ عمل کو کشادگی دے مگر دین پر عمل کرنے والے اپنی کوتاہ فہمی اور کج فہمی کے باعث چھوٹے چھوٹے نزاعی معاملات پر بدعت و شرک کے فتوے صادر کرتے رہیں۔ بھائی اب آپ دیکھیں شریعت میں اشیاء کی اصل اباحت ہے۔ اور کوئی چیز حرام و ناجائز اُس وقت ہوتی ہے جب کے قرآن و حدیث اُسے ناجائز کہے۔ اور ہم ایک ایسی دلیل کا مطالبہ کر رہے ہیں۔ آج قرآن و حدیث کی صحیح تعلیم سے دوری نے معاشرے کو اس اسٹیج پر لا کھڑا کر دیا ہے کہ جس کو مدرسے جائے دو دن نہیں گزرتے وہ مسلمانوں پر شرک و بدعت کے فتوے لگا رہا ہوتا ہے۔ اور وسیلہ کے متعلق جیسا کہ آیت کریمہ گزری۔ اُس کے متعلق میں پہلے بھی کہہ چکا کہ اگر اُس آیت سے اعمال کا بھی کوئی استدلال کرے تو یہ بھی ہمارے حق میں دلیل ہے کیونکہ اعمال مخلوق ہے۔ تو یہ کیونکر ممکن ہے کہ ایک مخلوق سے وسیلہ مانگا جائے تو وہ شرک نہ ہو اور زندہ انسان کے وسیلے سے دعا مانگی جائے تو وہ شرک نہ ہو وہی بات بعد وفات شرک بن جائے۔ یہ بات تو سراسر عقیدہ توحید کے خلاف ہے۔ اللہ عزوجل تو وحدہُ لاشریک ہے۔ انشاء اللہ عزوجل میں کوشش کرتا ہوں جلد ہی اسکین پیجز آپ کو پوسٹ کر دوں۔ جزاک اللہ والسلام مع الاکرام -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
سگِ عطار replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Mohataram Peaceful Sahib.. Jald Hi Aapko Fateh-ul-Bari Shahrah Sahi Bukhari Key Scanned Pages Post Ker Doun Ga.. Jin Mein Dour-e-Umer Mein Aik Shakhs (Sahabi ya Taba'ee) Ney Sarkar Ki Qabr-e-Anwar Per Hazir Ho Ker Arz Ki... استسق لامتک (Apni Umat Key Liye Barish Ki Dua Fermaye) Dosra Hawala Jo Hai.. Nabeena Sahabi Wali Hadees Ki Dua Jis Mein Ya Muhammad Key Alfaaz Sey Tawasul Kiya Gaya.. Aur Is Dua Ko Muhadiseen Ney Ahle Hajat Key Liye Taleem Fermaya Hai... Iski Tafseel Buhut Zyada Hai... Main Aapko Sirf Hafiz Ibn-e-Katheer Ki Kitab Al-Badaya wal Nihaya Sey Scanned Pages Post Kerney Ki Koshish Keron Ga.. Jis Mein Ahle Hajat Ko Yeh Dua Taleem Ki Gayi Hai... Tu Aapka Yeh Masala Solve Ho Jaye Ga.. Kiyon Key Aap Tafseer-e-Ibn-e-Katheer Key Pages Post Ker Rahey Hain.. Jis Mein Wahabi Molvi Ney Apna Hashya Laga Ker Taftheer Ka Rang Badal Diya Hai... Jabkey Khud Hafiz Ibn-e-Katheer Baad-e-Wisal Waseela Key Qail They... Jiska Aik Saboot Tu Asif Bhayi Ney Aapko Oper Image Under Line Ker Key Dey Diya... Dosra Saboot Hafiz Ibn-e-Katheer Ki Tasneef Al-Badaya wal Nihaya Sey Aajaye Ga... Iskey Ilawah Aap Hadees-e-Aadam Ko Perhein... Nez Aap Aik Aur Cheez Note Kerein.. Kisi Cheez Ki Nafi Us Waqt Hoti Hai Jab Us Key Mukhalif Daleel Mil Jaye... Daleel Ka Na Hona Kisi Cheez Ki Nafi Nhin Hai.. Maslan Hum Waseela Key Saboot Per Dalail Dey Rahey Hain.. Mager Abhi Tak Kafeel Sahib Ney Aik Aisi Aayat Ya Hadees Pesh Nhin Ki Jis Mein Sarkar Ya Auliya Karam Ka Waseela Istimal Kerney Sey Man'aa Kiya Gaya Hoo... Jab Key Waseela Key Haq Mein Quran-e-Kareem Sey Dalail Mojod Hain.. Aur Muhadiseen Sey Dalail Mojod Hain... InshaAllah Main Jald Scanned Pages Post Keron Ga.. Aap Phir Check Ker Lejiye Ga.. Tafseer-e-Ibn-e-Katheer Jo Abhi Aapkey Pas Hai.. Usko Na Perhein.. Kiyon Key Aap Dekh Chukey Key Us Mein Wahabi Molvi Ney Aqeedah Hayat-un-Nabi ki Khuli Nafi Ki Hai.. Aur Yaqeenan Aap Hayat un Nabi Key Qail Hongey... Kiyon Key Allah Ney Lohey Ki Talwaar Sey Shaheed Honey Waley Mujahid Ko Zindah Kaha Hai.. Aur Fermaya Inhein Murdah Na Kahoo.. Yeh Zindah Hain.. Haan Tumhein Iski Khabar Nhin (Mafhoom) Tu Is Per Tu Kaseer Dalail Mojod Hain.. InshaAllah Is Topic Per Ager Aapko Dalail Ki Zarorat Ho Tu Bataye Ga.. Aap Tafseer-e-Ibn-e-Katheer Key Is Hashye Ko Delete Ker Dein.. Main Dekhon Ga.. Ager Sahi Tafseer-e-Ibn-e-Katheer Kaheen Sey Mili Tu Aapko Woh Send Keron Ga.. Aap IslamiMehfil per Aatey Rahiye.. Aur Haq Ko Talash Kejiye.. Haq Aap Per Zahir Ho Jaye Ga... Apney Dil Mein Sarkar Ki Muhabbat Ki Shama Jalaye Rakhein.. Insha Allah Haq Aap Per Zahir Ho Jaye Ga... Wassalam Ma'Al Ikram -
Galey Ka Agla Samney Ka Hissa Dars-e-Quran Tu Qadyani Bhi Detey Hain... Deobandi Hanafi Hain.. Is Liye Namaz Roza Inka Hamari Terha Hi Hai.. Mager Aqaid Mein Gumrah Hain.. Jee Yeh Sab Sey Behter Alfaaz Hain..
-
Aapka Pehla Link Jo Tha Woh Deobandi Site Ka Tha.. Aur Yahan Kisi Dosrey Maslak Ki Site Allow Nhin Hai.. Aapka Jo Suwal Hai Woh Yeh Hai Key Tanha Namaz Mein ربنا لک الحمد Ki Bajaye الھم ربنا ولک الحمد Perha Jata Hai.. Iska Jawab Yeh Hai Key Ager Aap Ney ربنا لک الحمد Perha Chahey Tanha Mein Chahey Imam Key Pechay Tab Bhi Sahi Hai Aur Ager Aap ربنا ولک الحمد Perhein tu Yeh Zyada Behter Hai.. Aur Ager Aap الھم ربنا ولک الحمد Perhein Tu Yeh Us Sey Behter Alfaaz Hain... Behter Ka Farq Hai.. Umeed Hai Aapka Masala Clear Ho Gaya Hoga.. Wassalam Ma'Al Ikram
-
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
سگِ عطار replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Mohtaram Peaceful Sahib.. Aap Tehqeeq Kerna Chahtey Hain.. Mager Aap Ney Tafseer Ibn-e-Katheer Key Jis Hashye Ko Muntakhib Kiya Hai Woh Wahabi Molvi Ka Hai.. Aur Zahir Hai Jab Woh Hashya Likhey Ga Tu Apni Merzi Sey Un Sey Apna Maqsad Sabit Kerey Ga.. Misal Key Taur Per... Aap Ney Pehley Post#24 Mein Kuch Pages Tafsir Ibn-e-Katheer Key Post Kiye Us Mein Yazeed Key Oper REY HEY Yani Rehma Tullah Aleh Likha Hai.. Aub Maloom Nhin Is Sey Muraad Konsa Yazeed Hai? Yazeed Ibn e Muaviya Ya Koi Aur... Mager Mera Ghalib Guman Yahi Hai Key Is Sey Muraad Woh Yazeed Hai Jis Ney Imam-e-Aali Maqam Ko Shaheed Kerwaya... Dosra Point Aap Note Kejiye.. Aap Ney Post # 29 Mein Jo Pages Post Kiye Hain.. Us Mein Aqeedah Hayat un Nabi Ki Nafi Ki Ja Rahi Hai... Jab Key Quran-e-Pak Ki Aayat Sey Shaheed Ka Zinda Hona Sabit Hai.. Aur Sahi Hadith Sey Sabit Key Allah Ney Anbiya Key Jismoon Ko Matti Per Haram Ker Diya Hai.. Aur Anbiya Apni Qaboor Mein Zinda Hain... Yazeed aur Aqeedah Hayat un Nabi Yeh Dono Mukhtalif Topics Hain.. Maqsad Bataney ka Yeh Hai Key Aap Jinko Tafseer Ibn Katheer Samajh Ker Underline Ker Rahey Hain Woh Wahabi Molvi Ka Hashya Hai Tafseer Ibn-e-Katheer Key Asal Alfaaz Nhin Hain... Aub Aap Aajayen Waseeley Ki Taraf.. Dekhein Waseela Ko Shirk Kaha Jata hai... Key Allah Sheh Rag Sey Zyada Qareeb Hai Phir Waseela Kiyon? Baat Yeh Hai Key Ager Aik Chez Zaid Per Sabit Kerney Sey Shirk Hai Tu Woh Bakar Per Sabit Kerney Sey bhi Lazaman Shirk Hogi.. Kiyon Key Allah Wahdahu La Shareek Hai... Yani Yoon Samajh Lein Key Yeh Na Mumkin Hai Key Ager Aik Cheez Aap Zindah Key Liye Sabit Kerein Aur Kahain Key Yeh Shirk Nhin Phir Wohi Chez Murdah Key Liye Shirk Thera Dein.. Tu Aap Khud Sochein Kiya Yeh Aqeedah-e-Tauheed Hai??? Umeed Hai Aap Meri Bat Samajh Chukey Hongey.. Aub Aap Ko Aik Aayat Pesh Ki Wabteghu Alehil Waseela.. Ager Is Per Koi Taqwa Ya Ibadaat Ko Waseela Sabit Kerey.. Tab Bhi Yeh Hamarey Moa'qif Per Daleel Hai... Kiyon Key Aamaal Tu Makhlooq Hain.. Aur Insaan Bhi Makhlooq Hain .. Tu Ager Aik Chez Insan (Zinda ya Murdah) Key Wajah Sey Shirk Hai Tu Woh Aamaal Ki Wajah Sey BHi Shirk Hogi.. Kiya Koi Yeh Bata Sakta Hai Key Aamaal Khaliq Hain Ya Makhlooq?? Merey Khayal Mein Ager Aap Issi Cheez Per Ghour Kerein Tu Waseela Ka Masala Clear Ho Jaye Ga.. Aub Aap Aajayen.. Zinda wa Murdah Key Waseeley Per... sunnistudent Bhayi Ney Pehley Aik Hadees Pesh Ki Hazrat Aadam Ney Sarkar Key Waseeley Sey Dua Mangi Sarkar Ki Paidaish Sey Pehley.. Yeh Riwayat Sahi Hai.. Hawala Aap Check Ker Saktey hain... Mager Abhi Tak Is Hadees Ka Kafeel Sahib Ney Koi Jawab Nhin Diya.. Asif Bhayi Ney Abhi Pages Post Kiye Hain Apni Aakhri Post Mein.. Inko Tawajo Sey Perhye.. Umeed Hai Aapka Masala Solve Ho Jaye Ga... Hazrat Umer Ney Sarkar Key Chacha Hazrat Abbas Key Waseeley Sey Dua Mangi.. Is Sey Zinda Ka Waseela Sabit Kiya Ja Raha Hai.. Suwal Yeh Hota Hai Key Yeh Kiyonker Mumkin Hai Key AIk chez Zinda Key Liye Jaiz Tu Wohi Chez Murdah Key Liye Shirk Ho Sakti Hai.. Dosri Bat Is Mein Asal Waseelah Sarkar Ka Hi Hai.. Yeh Bat SunniStudent Bhayi Ney Apni Post Mein Sabit Ki Hai.. Mager Kafeel Sahib Ney Koi Jawab Nhin Diya... Teesri Bat.. Hazrat Umer Baad-e-Wisal Waseela Key Qail They.. Chunachey Dor-e-Farooq Mein Aik Shakhs (Sahabi ya Taba'ee) Ney Masjid-e-Nabvi Mein Aaker Nabi Sey Arz Ki : استسق لامتک (Apni Umat Key Liye Barish Ki Dua Fermaye) Hawala: (Masnaf Ibn-e-Abi Sheba: 32538, Baab Zair-e-Fazail-e-Umer ) (Fatah Al-Bari, Sharah Bukhari, Baab Al-Istasqa, Zair-e-Hadees Tawasul Umer-Bil-Nabi wa Bil-Abbas ) (Al-Badaya wal Nihaya, Zair-e-Waqiyaat 18 Hijri) (Ibn-e-Hajar Asqalani Aur Hafiz Ibn-e-Katheer Ney Is Riwayat Ko Sahi Kaha Hai) Hazrat Umer Ney Us Shakhs Per Koi Nakeer Nhin Fermayi... Pas Sabit Howa Key Hazrat Umer Baad-e-Wisal Bhi Waseela Key Qail They.. Aur Is Riwayat Ko Hafiz Ibn-e-Katheer Ney Sahi Kaha Hai.. Jin Ki Taftheer Ka Wahabi Hashya Aap Post Ker Rahey Hain.. Aur Wahabi Molvi Ney Apni Marzi Sey Tafseer Ka Rang Badal Diya.. Aik Aur Sahi Riwayat Hai Nabeena Sahabi Wali.. Jinko Sarkar Ney Aik Dua Sikhayi Jis Mein Ya Muhammad Key Alfaaz Sey Tawasul Kiya Gaya.. (Mishqaat, Ibn-e-Maajah) Yehi Dua Dour-e-Usman Mein Bhi Perhi Gayi.. Aur Inhi Alfaaz Sey Tawasul Kiya Gaya.. Nez Nabi Kareem Ki Is Sikhayi Hoyi Is Dua Ko Muhadiseen-e-Karam Ney Ahle Hajat Key Liye Taleem Kiya.. Chand Muhadiseen Key Naam Yeh Hain.. Imam Ahmad Bin Hanbal, Imam Bukhari, Imam Tarimzi, Imam Nisayi, Imam Ibn-e-Majah, Imam Ibn-e-Khuzema, Hakim, Zahbi, Manzari, Hathami, Jazri, Behaqi, Ibn-e-Asakir, Ibn-e-Katheer Ager Aap Waqayi Haq Ki Talash Mein Hain Tu Umeed Hai Aapka Masala Solve ho Gaya Hoga.. In Mein Koi Hawala Darkar Ho Tu Bataye... Wassalam Ma'Al Ikram -
Kafeel Sahib Aap Wahabi Site Sey Images Copy Paste Ki Bajaye Yahan Attach Kiya Kerien.. Kabhi Aapki Wahabi Site Key Sever Sey Images Show Hotey Hain Aur Kabhi Nhin Hotey... Dosri Bat.. Aap Ney Hadees Mangi Thi.. Pesh Ki... Sirf Us Hadees Ka Jawab Chahye? With Reference.. Abhi 20 Pages Copy Paste Mat Kejiye Ga... Sirf Us Hadees Ka Jawab Dejiye Jo Meri Post Main Hai..
-
Yeh Kitab Pori Hai.. Aap Dono Pages Check Kerein.. Aur Jo Page Number Miss Hai Woh Batain. Page 1 - Page 2
-
Jazak Allah Ghulam e Mustafa Bhayi... Share Kerney Ka Shukriya... Wahabiyon Ko Jab Koi Aetaraz Nhin Milta Bapa Jan Per Tu Sag-e-Madinah Per Hi Ghissa Pitta Aetaraz Kertey Hain... Jiska Hazar Bar Inko Jawab Diya Gaya.. Mager Apney Ulema Per Tanqeed Nhin Kertey... Jinho Ney Apney Aapko Sag e Madinah Kaha... Mushtaq Bhayi Ney Sahi Likha Hai.. Sag-e-Madinah Bapa Jan Ki Aajizi Hai... Aur Abu Bilal Kunniyat.. Pehla Aetaraz Kunniyat Per Tha.. Jiska Jawab Aahadith Sey Diya Gaya Hai.. Us Key Baad Sag-e-Madinah Kehney ka Jawab Hai... Wassalam Ma'Al Ikram
-
Happy Independence Day... Allah Hamarey Mulk Ko Aman Ka Gehwara Banaye.. Allah Pakistan Ko Androni wa Beroni Khatraat Sey Mahfooz Fermaye.. Aameen Bijahin Nabiyil Aameen
-
I would like to join translating team section
سگِ عطار replied to Faizan-e-Mustafa's topic in گفتگو فورم
Welcome to IE Translating Team Section.. Your status has been changed.. -
Kafeel Sahib.. Pehli Bat Key Aap Apni Roman Urdu Sahi kerein.. Bech Mein Kayi Alfaaz Ki Samajh Nhin Aati... Ya Urdu Rasm-ul-Khat Mein Type Ker Key Post Kerein.. Baqi Yeh Topic Mahfooz Hai... Aap Fikr Na Kerein.. Dekhney Waley Khud Dekh Lein Gey Key Jawab Deney Sey Koun Bhag Raha Hai... Aapki Apni Bat Sey Aub Main Aapko Bhagney Nhin Doun Ga... Andaza Ho Chuka Hai Key Aap Ki Benayi Yaqeenan Kamzoor Hai.. is Liye Main Ney Aapki Post#6 Key Asal Alfaaz Ko Highlight Ker Deta Hoon... Aap Ney Likha.. Blue Alfaaz Sey Zahir Hai Key Kul 11 Rakaat Hoti Hain.. Jo Ba'Qaul Aap Key Hadees Sey Sabit Hain.. 8 Rakat Taraweeh Aur 3 Witer... Red Alfaaz Sey Zahir Hai Key Aik Imam Aaker 10 Perha Ker Chala Jata Hai Phir Dosra Aaker Shurow Sey 10 Rakat Perhata Hai Takey Jinko Taraweh Nhin Mili Hai Unko Mil Jaye.. Merey Khayal Mein Aap Key Apney Alfaz Sey in 2 Points Ko Samjhney Mein Koi Dushwari Nhin Hai.. Phir Aap Jawab Deney Sey Kiyon Bhag Rahey Hain??? Aap Ney Apni 8 Rakat Taraweeh Ka Tu Khud Radd Ker Diya.. Humein Kerney Ki Kiya Zarorat Hai.. Aap 10 Sabit Kerein.. Werna Likhein Key Aap Ney Ghalat Likha Hai 10 Ki Jamaat Aik Imam Kerta Hai... Main Ney Aapko Bar Bar Kaha Hai Key Aap Pehley Apni Pehli Bat Sabit Kerein Phir Aagey Bat Hogi... Suwal Howa Key Saudi Imam 20 Rakat Taraweeh Perhatey Hain... Aap Ney Jawab Diya.. Nhin 10/10 Ki Shift Hoti Hai... Aap Key Jawab Sey 3 Masaley Malom Howey... Taraweeh Ki Jamaat Hoti Hai.. Baad Mein Aaney Walon Key Liye Dosri Jamaat Hoti Hai.. 10 Rakat Aik Imam Perhata Hai.. Aur 10 Rakat Dosra Imam. Aub Merey Suwal Phir Sey.. Aur Abhi Aap Ney Inkey Jawab Deney Hain.. Quran-o-Sahi Hadees Sey... Apney Mazhab Ki Laaj Rakh Lein.. Key Hamara Mazhab Quran o Hadees Hai.. Tu Inkey Jawab Mujhey Dein.. Jo Key Aapki Apni Baat Sey Akhaz Shuda Suwal Hain.. Wahabiyon Sey 4th Suwal: Taraweeh Ki Jamaat Konsi Aayat ya Sahi Hadees Sey Sabit Hai? Kiya Sarkar Ney Kabhi Taraweeh Ki Ba-Qaida Jamaat Kerwayi? Aik Sahi Hadees Darkar Hai... Wahabiyon Sey 5th Suwal: Konsi Sahi Hadees Sey Sabit Hai Key Taraweeh Ki 2 Jamaat Ki Jayen Takey Baad Wali Awam Ko Taraweeh Mil Jaye.. Kiya Sarkar Key Dour-e-Mubarak Mein Kabhi 2 Jamats Hoyeen Taraweeh Ki.. Aik Sahi Hadees Darkar Hai.. Wahabiyon Sey 6th Suwal: Tarweeh Ki Jamaat Ki 10/10 Rakat Ki Shift Lagti Hain.. 10 Rakaat Konsi Sahi Hadees Sey Sabit Hain.. Ager 8 Rakaat Taraweh Hai tu 2 Rakaat Kiya Perhatey Hain Imam? Aur Aap Sey AIk Bat Phir Guzarish Hai Key Aap Pehley 10 Sabit Kerein Phir 8 Sabit Kejiye Ga... Ya Apni Oper Wali Baat Ko Ghalat Maan Lein Key Saudi Imam 10/10 Ki Shift Nhin Lagatey... Umeed Hai Aub Meri Hightlight Likhayi Aapki Samajh Mein Aajaye Gi...
-
Aapka Copy Paste Work bhi Nazer Nhin Aaraha... Is Liye Images Yahan Attach Kerein.. Takey Aapki Baton Ko Awam Bhi Perh Sakey.. Aur Behter Yeh Hai Key Oper Jo Hum Ney Post Kiya Hai Uska Jawab Dein.. Ager Kaheen Sey Utha Ker Bhi Dein tu Sirf Wohi Post Kerein..
-
Aap Aisey Pehley Member Nhin Hain Yahan Per... Malang, Taha Ali, Nasir Noman Aur Kuch Deger Aisey Wahabi Yahan Per Pehley Aa Chukey Hain.. Jinko Ikhtilafi Behs Main Hissa Leney ka Shoq Hota Hai Aur Daleel Ka Matlab Bhi Nhin Aata... Aap Unkey Topics Search Ker Key Perh Saktey Hain.. Aap Key Deobandi Wahabi Bhayi Hain.. Aap Jis Bat Per Hans Rahey Hain Is Per Main Kiya Tabsra Ker Sakta Hoon... Aapko Ilzami Jawab Ka Matlab Aata Hai? Nez Aap Apni Is Bat Ki Daleel Mein Hamara Woh Text Quote Kerei Jahan Per Aapko 8 Perhney Ka Hukm Diya Gaya Hai.. Aap 8 Mantey Hain... Hum 20 Mantey Hain... Is Per Aap Sey Baad Mein Bat Hogi Key Sahi Hadees Sey 8 Sabit Hain Ya 20 Sabit Hain... Aap Ney Dawa Kiya Hai Key 10/10 Taraweeh Ki Shift Lagti Hain... Main Ney 3 Suwal Post Kiye Hain.. Phir Post Ker Deta Hoon.. Aur Abhi Daleel Key Sath Reply Kejiye Ga... Wahabiyon Sey 4th Suwal: Taraweeh Ki Jamaat Konsi Aayat ya Sahi Hadees Sey Sabit Hai? Wahabiyon Sey 5th Suwal: Konsi Sahi Hadees Sey Sabit Hai Key Taraweeh Ki 2 Jamaat Ki Jayen Takey Baad Wali Awam Ko Taraweeh Mil Jaye.. Wahabiyon Sey 6th Suwal: Tarweeh Ki Jamaat Ki 10/10 Rakat Ki Shift Lagti Hain.. 10 Rakaat Konsi Sahi Hadees Sey Sabit Hain.. Aap Ney Jo Post # 12 Aur 13 Mein Koi Images Insert Kiye Hain Woh Yahan Show Nhin Ho Rahey.. Rafa Yadain Waley Topic Mein Bhi Akhri Replies Key Images Show Nhin Ho Rahey.. Aap Ney Jin Jin Posts Mein Images Insert Kiye Hain.. Woh Image Yahan IslamiMehfil per Attach Kerein.. Werna Jab Images Nazer Nhin Aayen Gey Tu Posts Del Kerni per Jayen Gi... Aur Abhi Us Bat Ka Jawab Dejiye Ga.. Jiska Suwal Kiya Gaya Hai... Noor-o-Bashar Aur Ilm-e-Ghaib Wala Topic Bhi Aapkey Reply Ka Muntazir Hai.. Mager Jo Manga Jaye Wohi Jawab Dejiye.. Phir Aap Jo Suwal Kerein Gey Tu Hum Bhi Wohi Jawab Dein Gey... Aur Aapki Malomat Key Liye Arz Ker Doun Key Dr. Iqbal Katter Hanafi They... Wahabiyon Aur Qadyaniyon Ko Tu Unho Ney Aik Darya Ki 2 Nehrein Kaha Hai... Daleel Chahye Tu Pesh Ki Ja Sakti hai...