Allah Azawajal K Khazanon Ko Taqseem Farmanay Walay Nabi ﷺ
The hadith :
Innama ana Qasim, wallahu yu'ti.
Prophet Muhammad (sallAllahu alaihi wasallam) said i am Qasim (The distributor) and Allah is the Giver.
Hence Rasoolullah sallAllahu alaihi wasallam distributes the rizq given from Allah who is Razzaq.
⭐ RAB KI ATA KARDA NEMATON KO BANTNE WALE HAIN NABI-E-KARIM SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM ⭐
Hazrat Jabir Bin Abdullah رضي الله تعالٰی عنه Farmate Hain k Hum Me Se Kisi Ansari k Ghar Ladka Paida Huwa To Irada Huwa k Us Ka Naam MOHAMMAD (ﷺ) Rakh Diya Jaye
Sho'aba Ne Mansoor Ki Rewayat Me Kaha k Ansari Ne Bataya k Main Us Ladke Ko Apni God (Lape) Me Le Kar NABI-E-KARIM ﷺ Ki Khidmat-e-Aqdas Me Hazir Huwa
Suleman Ki Rewayat Me Hai k Us k Ghar Ladka Paida Huwa To Irada Huwa k Us Ka Naam MOHAMMAD (ﷺ) Rakh Dein
NABI-E-KARIM ﷺ Ne Farmaya k Mera Naam Rakh Lo Lekin Meri Kuniyat (Abul Qasim) Na Rakhna Kyun k ALLAH TA'ALA Ne Mujhe Apni Nematein Tumhare Darmiyan Taqseem Karne k Liye QASIM Banaya Hai
Hosain Ki Rewayat Me Hai Mujhe ALLAH TA'ALA Ne Tumhare Darmiyan Apni Nematein Taqseem Karne k Liye QASIM Bana Kar Mab'oos Farmaya Hai
Hazrat Jabir رضي الله تعالٰی عنه Se Dusri Rewayat Me Hai k Un Ka Irada Huwa k Bachche Ka Naam QASIM Rakh Len To NABI-E-KARIM ﷺ Ne Farmaya k Mera Naam Rakh Lo Lekin Meri Kuniyat Na Rakhna.
➡ SAHIH BUKHARI, JILD 3, KITAB FARZ UL KHAMS, HADEES 3114.
Arwah E Salasa Mai Qasim Nantuvi Na Khud Ko Innama Ana Qasim(Hadees) Kaha