-
کل پوسٹس
1,554 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
79
سب کچھ Qadri Sultani نے پوسٹ کیا
-
Hazrat imam Fakahr Udin Razi Rehmat Ullah e Alaihe apni tafseer main farmatay hain keh ,Qul inna ma ana basharum mislukum, wali aayat Huzoor ke aajazi aur inkisari ka namoona hay...(Tafseer e Kabeer,Volume 5,Page no.516) Aray Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Wasalam ko apnay jaisa bashar kehnay walo zara ghor tu karo,Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Waalehee Waslam ke siffat kya hain.Qurani aayat nain Huzoor Sarwar e Konain Sal Allah o Alaih e Waalehee Wasalam aur aik aam banday k darmyan farq ko wazih kar dia hay.Wahhabion ke aqal par pata nahi kyon parda para hua hay.
-
Janab Ahlesunnat Qadri Sb. Main aap ko aik bat bata don keh Ahle Suunat ka aqeeda hay keh Humaray Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Waalehee Wasalam bay misal noor b hain aur bay misal noor b. Ab aap yeh keh rahay hain keh Huzoor ko Allah nain libas e bashariat pehna kar bhaija hay kya is ka saboot Quran main hay keh nahin.Aap daikhain keh Jab Syedna Esa ke paidaish e mubaraka hui tu Syedna Jibraeel Alaih e Salam labas e bashariat main aay thay,aur is k alwa Syedna Jibraeel Alaih e Salam Huzoor k pas aksar auqat aik Sahabi jin ka name ghaliban Syedna Dahya Kalba tha un k shakal main aaya kartay thay.Ab aap mujay yeh batain keh kya Syedna Jibraeel noor nahi hain kya???Jab woh hain he noor aur agar woh labas e bashrait main aa jatay hain tu kya un ke Nooraniat main koi faraq aa jata hay????? abhi aap yeh topic daikhtay jain Insha Allah aap samaj jain gay.Main aap ko kuch books b bataon ga jo keh net par aap ko mil jain ge,in books say Insha Allah aap ko baray madad milay ge. Jazak Allah o Khairan Kaseera
-
Lo g had ho gay hay o a wahhabion ka aqlon par pata nahi kya par gya hay.Pata nahi kitni Ahadees e Sahia say sabat shuda hay keh Humaray Nabi e Akram ka saya e mubarak koi nahi tha.Lo ab daikho ahadees e mubarka. Syedna Abdullah Ibn e Abbas Radi Allah o unho farmatay hain,"Rasool e Akram k lia saya na tha,na kharay hua aaftab k saamnay,magar yeh keh un ka noor aalam e afrooz khursheed k roshni par ghalab aa gya.Aur na qayam farmaya charagh ke zya main,magar yeh keh Huzoor k tabash e noor nain is chamak ko daba lia."....(Imam Jauzi.Kitab Ul Wafa,Volume 2,Page no.407) Imam Nafsi Tafseer e madarak main farmatay hain,"Ameer Ul Momeneen Syedna Usman Ghani nain Huzoor e Akram say araz kia keh,bayshak Allah Tala nain Huzoor ka saya zameen par na dala ta keh koi shakhs is par paaon na rakh day."...(Imam Nafsi,Tafseer e Madarak,Volume 3,Page no.135) Imam Jalal Udin Sayyuti nain Hasais e Kubra main aik bab qaym kia hay jis ka name hay,"Nabi e Kareem ka yeh mujza ke aap ka saya na daikha jata tha"Is bab main aap Hakeem Tirmizi ke riwayat ko laay hain keh Huzoor ka saya mubarak nazar na aata tha,Na dhoop main na chandani main." Is k baad Muhaddas Ibn e Saba ka yeh irshad laay hain ke,"Keh Huzoor ka saya zameen par na parta tha kyon keh aap Noor hain.Is lia jab dhoop ya chandani main chaltay tu aap ka saya mubarak nazar nahi aata tha.(Imam Jalal Udin Sayyuti,Khasais e Kubra ,Volume 1,Page no.68) Iama Allama Qazi Ayyaz Malaki farmatay hain,"Huzoor k muujzat main yeh bat bayan ke gay hay keh aap ka saya mubarak na tha,na dhoop main na chandani main,is lia keh Huzoor noor hain..(Qazi Ayyaz,Ash Shifa,Volume 1,Page no.243) Is k ilawa Imam Qustalani nain Muwahib ul Ladunya maa Zurqani main,Seerat e Shaamia main Imam Shami nain b yeh he farmaya hay. Pata nahin aaj kal ka wahhabi kahan ghoomta raha hay keh is ko yeh sab books nazar he nahi aayn.Aaj tak kisi wahhabi nain Khasais e Kubra k rad main koi book nahi likhy. Aaray agar thora sa b knowldge ho tu tumhain pata hona hona chahya keh saya i.e shade tu hota he us cheez ka hay jis ke density means kasafat zyada ho...Ab itnay Ulma nain Aap ko noor kaha aur yeh sabat kia keh aap noor hain.Aaj kal ka waabai pata nahi kahan say uth kar aa gya hay....
-
Janab shayad aap nain pora reply parha he nahi mera keh Mufasareen Karam nain Huzoor Nabi ka naam e naami lay kar aap ko Noor kaha hay.Tu is main ab aur kuch sabat karnay ke kya zaroorat hay???? Ab aap k Imam Shaukani aur Imam Ibn e Kaseer nain b Noor say murad Huzoor Nabi e Kareem ko kaha hay.... Aap mujay yeh batain keh kya noor ka saya hota hay???Light has shadow or not???
-
Lain g wahhabia ke nai toujeeh daikh lain.Ab jab keh is faqeer nain itnay ajilla mufasareen e karam k name quote kia hain aur un sab nain Huzoor Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Waalehee Wasalam ka nam e nami lay kar likha hay keh is noor say murad Huzor Sal Allah o Alaih e Waalehee Wasalam ke zaat e mubarka he hay.Tu kya yeh sab ghalat ho gay????? Chalain thora sa aur aagay chaltay hain. Hazrat Allama Aaloosi Rehmat Ullah e Alaih farmatay hain,"Meray nazdeek yeh amar baeed nahi keh noor aur kitab dono say murad Nabi e Akram Sal Allah o alaih e Waalehee Wasalam murad hon kyon keh ataf ke woh he toujeeh ke jay jo jabaay nain ke hay.Is main shak nahi keh Nabi Kareem Sal Allah o Alaih Wasalam par noor aur kitab e mubeen ka itlaq ho sakta hay......(Tafseer e Rooh Ul Moani,Volume 6,Page no.98) Hazrat Mulla Ali Qari Redhmat Ullah e Alaih farmatay hain..."Aap Sal Allah o Alaih e Waalehee Wasalam Noor e Azeem hain aur anwaar k darmyan kamal zahoor rakhtay hain."Sharrh Shifa,Volume 1,Page no.114) Janab itnay baray baray mufasareen karam nain Noor say murad Huzoor Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Waalehee Wasalam ke zaat e mubarko ko kaha hay.Aap aaj kal k GM kahan say aa gay hain in ke nai toujeehat karnay walay????
-
Janab Quran Pak ke Sura e Maaida ke ayat no.15 main Irshad hay Tehqeeq tumharay pas Allah ke taraf say Noor aaya aur kitab e mubeen. Is ke tafseer Syedna Abdullah ibn e Abbas Radi Allah o unho farmatay hain keh. Aap nain Noor ke tafseer Rasool say karnay k baad farmaya keh "Muhammad Sal Allah o Alaih e Waa lehee Wasalam" (Tanveer Ul Miqyas,Muhammad Bin Yaaqoob FairozAbadi,Page no.72) Imam Razi nain Noor ke tafseer main kafi aqwal likhay hain.Laikan pehla qaol yeh hay keh Noor say murad Humary Nabi e Pak Sal Allah o Alaih Wasalam hain. (Imam Razi ,Volume 11 ,Page 189) Imam Tibri Radi Allah o unho nain farmaya keh Noor say murad humaray Aaqa o Mola Sal Allah o Alaih Wasalam hain....(Jaami albian Fi Tafseer Ul Quran,Volume 6,Page no.92) Tafseer e Jalalain main hay keh is Noor say murad Humaray Nabi Sal Allah o Alaih Wasalam ka noor hay. Tafseer e Khazan main hay."Noor say murad Humaray Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Wasalam hain.Aalah nain aap ka name noor is lia rakha keh aap k through hidayat paay jaty hay.Jaisay roshni k zareeay andhairon main hidayat paay jaty hay."(Tafseer e Khazan,Volume 2,Page no.23) Ab yeh keh Noor aur kitab dono say murad Kitab Ullah hay,yeh Zamkhashri aur Jabbai ka qaol hay.Yeh dono mutzili hain. Aur kya is aayat e mubaraka ke tafseer ko aaj kal k wahhabion nain sahi samja ya keh in Aaima nain..
-
Janab AhleSunnat Qadri Sb ab aap ko itni b kya jaldi hay.Banday ko buhat say kaam hotay hain.Aur kya jawab dair say dainay say koi banda haar jata hay kya??? Aur ab GM hazraat...... Naoz o Billah kis nain Quran e Pak ko mushkil bana dia hay???? Aap k aqal main simple say lafz samjay nahi ja rahay keh kisi cheez ke example dainay say woh cheez realistic nahi ban jaty.Aur hum nain kab kaha hay keh humaray Nabi e Pak Sal Allah o Alaih e Waa lehee Wasalam Bashar nahi thay?????? Bashar b hain aur Noor b hain..Main nain tu aap k GM ka hawala dia tha.
-
Janab hum nain kab kaha keh hum Quran o Ahdees par science ko tarjeeh daitay hain????Laikan jab aap kaisay ghair muqalad log koi bat manay he na tu koi kya karay.Jab Saha Radi Allah o Unho ka qaol paish kia jata hay tu aap kehtay hain humaray lia hujjat nahi.Hadees Sharif paish karain tu us say inkaar.Ab is ka ilaj kya hay??? Bahar hal abhi main aap k aik GM ke aik bat quote kar raha hon isay daikhya.... Ghazanavi khanddan k well known GM aalam Prof.Abu Bakar Ghazanavi nain bari faisla kun bat ke hay.Moulana Muhammad Anwar Jilani k risala BASHRIAT O RISALAT ke taqreez main likhtay hain.... Baaz logon nain kaha keh Huzoor Sal Allah o Alaih e Wasalam Noor thay bashar na thay aur baaz nain kaha keh Aap Bashar thay Noor na thay,yeh donon batain afrat o tafreet ke hain.Quran Majeed kehta hay keh woh bashar b thay aur noor b.Aur sahi maslak yeh he hay keh aap bashar hotay huay b ta ba qadam noor ka sarapa thay....(Prof.Abu Bakar Ghazani,Taqreez Risala Bashriat o Risalat.1987 page no.17 Janab Ahle Sunnat ka b yeh he aqeeda hay keh App Sal Allah o Alaih e Waalehee Wasalam bay misal bashar b hain aur Noor b.
-
Is main humaray kon say akabar ka zikar kia gya hay janab???Zara reply post karnay say pehlay soch tu liakarain janab.
-
Janab aap agar zara thora sa b sochain tu kya misal kehnay say koi cheez asal main woh he ban jaty hay jis ke misal de gay ho???For example agar aap gulab k phool ke tasveer daikhain ya woh paper ke bani hui ho tu kya woh pic asal gulab ka phool ho ge???? Is tarah ke buhat se examples de ja sakty hain. Aur ab to modern science say b proof kia ja chuka hay keh Huzoor e Akram Sal Allah o Alaih e Waalehee Wasalam Noor thay.Agar yaqeen nahi aata tu main Insha Allah woh article jald he post karon ga jis say aaj modern science b sabat kar rahy hay.
-
O janab Mouhawid zara hosh sanbhal kar bat kia karo.Ghousiat tu meray Nabi e Kareem SalAllah o Alaih e Wasalam k ausaf main say aik wasaf hay.Humaray Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Waalehee Wasalam to Qasim hain jo keh Allah Kareem ke Ataa karda inayat ko taqseem farma rahay hain.
-
Janab aap nain tu is ko mantaq he kehna hay kyon keh is main aap k aqeeday k baray main jawabat jo dia gay hain.Aur rahy aap keh yeh bat keh aap Sahaba Radi Allah o unho Ajmaeen ka qaol paish karin tu jab hum koi qaol paish karain gay tu aap ka agla jawab yeh ho ga keh HUM SAHABA KO HUJJAT NAHI MANATY.......
-
Is book k original page scan karain gay aap kya????
-
Janab Mouwahid Sb.shayad aap ke nazar kaam nahi kar rahy sab say pehlay lafz WAHHABI likha hua hay.
-
Moulana Sarfaraz Naeemi Sahab ko Shaheed kar diya gya
Qadri Sultani replied to Shan E Raza's topic in اسلامی خبریں
Qadri Attari Bhai aap nain bilkul baja farmaya.Yeh sab zulam aakhar humaray saath he kyon???Kya haq bat kehnay ka yeh he sila hay????Aakhar kab tak??? -
Moulana Sarfaraz Naeemi Sahab ko Shaheed kar diya gya
Qadri Sultani replied to Shan E Raza's topic in اسلامی خبریں
انا للہ وانا الیہ راجعون Allah Kareem Apnay pyaray Habeeb e Pak Sal Allah o Alaih e Waale hee wasalam ka sadqa aur Huzoor Syedna Ghous Ul Azam Radi Allah o Unho kasadqa unko Jannat Ul Firdaus main jagah inayat farmay aur lawahqeen ko sabar Ata farmay.Aameen -
Hayat Un Nabi Sallalaho Alaihe Wasallam
Qadri Sultani replied to Khalil Rana's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Janab aap ke aqal par parda para hua hay shayad keh aap nain jannat aur dunya k rizaq ka comparison kia.Mujay batain keh kya Jannat main bhe humari zindagi barzukhi he ho ge?????Rizq ke zaroorat tu hoty he zinda logon ko hay is say barzukh wali bat sabit he nahi hoty. Aur dosra Ab suno Ahdees Sharif jin say zahri zindagi ka saboot milta hay Shaykh e Muhaqqaq Shaykh Abdul Haq Muhaddis Dehalvi farmatay hain...Tadfeen k waqat Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Waale hee Wasalam ke qabr e anwar say sab say aakhar main nikalny walay Sahabi Hazrat Qusam Radi Allah o Unho nain farmaya"Main nain Nabi Kareem Sal Allah o Alaih e Wasalam ko qabar main daikha keh aap hont mubarak hila rahay thay,main nain sun nay k lia kan qareeb kia tu aap farma rahay thay ,Ya Allah meri ummat ko bakhsh day" Ab is ummat ko hal daikho jo apnay Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Wasalam ke hayat e zahari ke mukar ho chuky hay.. Ab aap mujay batain keh kya yeh b hayat e barzukhi hay kya????? Imam Darmi Hazrat Saad Bin Abdul Azeez say riwayat kartay hain keh "Harra k zamanay main 3 din tak Masjad e Nabvi main aan nahin kahi gay.Hazrat Saeed bin Musayyab Radi Allah o unho masjad main he rahay inhain Nabi Akram Sal Allah o Alaihe Wasalam k Roza e Anwar say awaz sun kar he namaz k waqat ka pata chalta tha"(Imam Abdul Rehman Darmi,Sunan Darmi Volume 1 Page no.43) Ab aap k Imam Allama Ibn e Tayymia kehtay hain Aik jamat nain Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Wasalam ya deegar Aulia ke qabron say Salam ka jawab suna aur Saeed bin Musayyab Radi Allah o unho harra ke raton main azan suna kartay thay yeh aur doosray har qism k waqiat barhaq hain,humari in main behas nahi aur muamla is say kaheen zyada bara aur bar tar hay....Iqtida Sirat e Mustaqeem ,Matboaa e Maktaba e Salafia Lahore,Page no.371 Ab janab aap kya kehtay hain??? -
Hayat Un Nabi Sallalaho Alaihe Wasallam
Qadri Sultani replied to Khalil Rana's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Janab main nain bar bar rizq ka question kia laikan jawab yeh aay keh shaoor nahi.Ab sunya Qazi Muhammad Bin Ali Shoukani rizq k baray main kya farmatay hain isi ayat mubarak ke tafseer kartay huay. Is jagah rizq say murad wohi rizq hay jo aadatan maaroof hay.Yeh he jamhoor ka mazhab hay.Jamhoor k alawa baaz Ulma kehtay hain keh is say murad achy taareef hay halan keh Kitab Ullah main waqia arabi kalmat main tehreef aur bayghair kisi sabab k baeed majazaart par mahmool karnay ke koi wajah nahi hay......(Tafseer Fateh Ul Qadeer ,Dar Ul Maarifat,Berut Lubnan Volume 1 Page No.399) Ab mera aap say again yeh sawal keh barzakhi zindagi main rizq ke kya zaroorat?????Rizq ke tu zinda logon ko zaroorat hoty hay....... -
Hayat Un Nabi Sallalaho Alaihe Wasallam
Qadri Sultani replied to Khalil Rana's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Tu janab meri aap araz sunain na keh barzukh main bhala kyon rizq ke kyon zaroorat par gay.YEh sab cheezain tu zahari life k lia important hain -
Qazi ul Qazza Fil Hind,Huzoor Tajushari'h Ka Safarnama e Arab
Qadri Sultani replied to Mudasir Yaseen's topic in اسلامی خبریں
Subhan Allah,Masha Allah Allah Kareem Huzoor Nabi e Kareem Sal Allah o Alaih e Wa aale hee Wasalam aur Huzoor Syedna Ghous ul Azam ka sadqa Huzoor Taaj Us Shariah ka saya tadair humaray sarron par qaym rakhay aur aap k maratab main izafa farmay.Aameen -
Hayat Un Nabi Sallalaho Alaihe Wasallam
Qadri Sultani replied to Khalil Rana's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Lo g tum bar bar woh he Hadees Sharif paish kar rahay ho.Main nain question he aik kia hay keh Shaheed ko barzukhi zindagi main rizq ke kya zarrorat???? Har banda daikh raha hay keh ab tumhari kaifiat kya ho rahy hay....Be cool this is the initiation.... -
Hayat Un Nabi Sallalaho Alaihe Wasallam
Qadri Sultani replied to Khalil Rana's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Neither this is the answer of my question nor Tauheedi Bhai. Main nain rizq k baray main poocha aur unhon nain poocha keh kya Namaz jism party hay ya rooh???Han aur na main jawab do?????? Ab tu isay dosri taraf lay ja raha hay.. Tu kis tarah sabat kar sakta hay keh Shahuada ke zindaqi barzukhi hay???? -
Hayat Un Nabi Sallalaho Alaihe Wasallam
Qadri Sultani replied to Khalil Rana's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Tu Sahaba Radi Allah o unhum Ajmaeen ke bat kar raha hay aur main Quran Sharif ke bat kar raha hon. And itna ghusay main kyon hotay ho zara aaraam say sakoon k saath.Apni poori salafiat ko akatha kar aur poora zoor laga tab ja kar challange karna...... -
Hayat Un Nabi Sallalaho Alaihe Wasallam
Qadri Sultani replied to Khalil Rana's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Lagta hay salafi pagal ho chuka hay is k salaf k connection ur chukay hain ya is ko koi samaj henahi aa rahay.Is ka sar chakra raha hay.Abhi tak tu aik question ka jawab b nahi dia jahal gustakh nain aur keh raha hay keh kon kon say questions k answers don....Tuf hay tumhari poori salafiat par...... Again that question RIZQ wala????????