Jump to content

Qadri Sultani

مدیرِ اعلیٰ
  • کل پوسٹس

    1,554
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    79

سب کچھ Qadri Sultani نے پوسٹ کیا

  1. Janab Shahid Nazeer Sb.aap nain Syedna Imam e Azam Abu Haneefa Radi Allah o Unho par buhtan bandha hay keh unhon nain Quran Sharif poora nahi para.Aap ke razat wali bat ka jawab Saeedi Bhai nain Hanfi Mazhab k do usool main pehlay day dia hay.Laikan aap nain baghair paray is bat ko yahan post kia aur jhooti bat kahi.Quran main Razat k lia 2 bar zikar kia gya.Aik jagah 2 sal aur aik jagah 2 and half year.Aap apnay aap ko kahain keh aap nain Quran nahi para. Mera irada tu tha keh Saeedi Sb.Qibla wali post ko idher b attch kar don laikan yeh topic woh wala nahi.Aur is bat ko Mozoo say kis nain hataya aap k Mouwahid Sb nain jinhon nain kar muhaqqa ke bat start kar de. Is lia aap say guzarish hay keh pehlay Saeedi Bhai wali post ko par ka razat wala jawab wahan post karain...
  2. Wa Alaikum Salam Janab Fikar e Aakhrat Sb.filhal aap yeh parain baqi Insha Allah kal time milnay par.... Aap say guzarish hay keh aap b Siha Sitta ke Books main say Alamaat e Qayamat k baray main study karain.
  3. Wa Alaikum Salam G AlhamdoLillah waqia e Syedna Mahdi Radi Allah o Unho ka zahoor ho ga aur Hazrat Syedna Esa Alaih e Salam ka nazool e mubarak ho ga Insha Allah. Yeh sab Ahadees e Sahiha sa sabat shuda hay.
  4. Mouwahid yahan b yeh keh do(kyon keh is fatwa main na koi Quran Sharif ke ayat hay aur na he koi Hadees Sharif) keh hum is fatway ko aur apnay is aalam ko jooti ke nok par rakhtay hain...........
  5. Janab Mouwahid Sb.aap nain likha keh aap nain aur aap k Ulma nain bra'at ka izhar kia...Tu janab aap nain is k lia aik risla post kia tha.Jab keh main nain aap sa araz ke thee keh apnay kisi Mufti ka fatwa yahan scan karwa k laga dain keh aap un Ulma aur un ke abarton say bra'at ka izhar kartay hain aur aap k lafzon k mutabiq aap un ke in abaton ko joti ke nok par rakhta hain.Wahhabi mazhab main aap ke kya haisiat hay???Apnay kisi Mufti ka fatwa scan karwa k yan laga dain.....
  6. Janab Mouwahid Sb.apnay kisi mufti say likhwa dain keh yeh sab abartain jo hain aur jin jin ke hain woh sab ghalat hai,Quran o Hadee say in ka koi saboot nahi milta,aur aap apnay in Ulma aur in ke abartoon ko jooti ke nok par rakhta hain....... Aap k Fatawa e Allamgeeria par kia gay aitrazat ka jawab aap ko Insha Allah mil jay ga.
  7. Main nain pehlay b araz kia tha jo ab jo kuch likhna hay is topic main likhya. http://www.islamimehfil.info/index.php?sho...amp;#entry53661 Jawab miltay jayn gay Insha Allah AzzaWaJal. Janab itnay ghussay main kyon aa rahay hain aap??Saray pages main sirf 2 abartain Arabic text main hain baqi sab Urdu.......... Umeed hay ab aap jo kuch b likhain gay ooper wali topic main he likhain gay Insha Allah
  8. Ya ni is ka matlab hua tum sab log apnay shaykh Ul kull molvi Nazeer Hussain,Nawab Siddiq Bhopalvi,Molvi Waheed Uz Zaman wa ghairo hum ko jooti ke nok par rakhtay ho.. AlhamdoLillah Aur un k likhay gay yeh sab aqayd ghalat aur ganday. Aur rahy bat tum nain jo post kia hain un ka jawab pehlay he dia ja chuka hay Naveed Bhai wali post main. Fatwa e Aalameeria choon keh Arabic language main hay is lia Fatwa e Aalamgeeria ka Arabic text lao.(Kyon keh tehreef main tu tum log expert ho)Aur wahan post kar do. Hanfi Mazhab k 2 usool.Wahan ab bat ho ge yahan nahi Insha Allah.
  9. Janab shukar hay aakhar aap nain yeh tu maan lia keh yeh Allah ka nizam hay.Aur yeh sab Allah ke nishanion main say aik nishani hay. Laikan aap nain aagay Azab e Qabar ka inkar kar dia.Aap completely Munkar e Hadees ho gay.Kutab e Siha Sitta main pata nahi kiti Ahadees e Saheea mojood hay Azab e Qabar k baray main. Aap mujay pervezi lag rahay ho.Is lia main aap say is topic main behas nahi karon ga.Agar zyada shoq hay tu aik separate topic banayn us main daikh laitay han yeh sab kuch. humaray Pyaray Nabi e Kareem apni marzi say koi bat nahi farmatay jaia keh Quran e Pak main mojood hay.Laikan aap nain is bat ka b inkaar kar dia.So is lia ........... Jab yeh hay he aik natural process hay tu is par aur debate ke koi zaroorat nahi.Agar koi aur kuch likhna hay tu aap likhya....
  10. Jis tarah tumharay munazar Talab Shah nain kaha tha keh Ismaeel Shaheed hamara nahi hay isi tarah tum nain b keh dia Molvi Waheed Tumhara nahi.Abhi Insha Allah buhat kuch kaho gay aisa...... Mazeed kuch cheezain aur..... Fatwa e Aalamgeeria par aap k kia gay kuch aitrazat ka jawab Naveed Khan Bhai nain dia hay. Hanfi Mazhab k do asool walay topic main.Wahan ja kar dosray sab paste kar do Insha Allah sab ka jawab mil jay ga aap ko....
  11. Aik taraf tu wahhabia apnay akabar ka inkar kar rahay hain.AlhamdoLillah Dosry taraf tasveer ka dosra rukh b daikh lain.Kya kya alqaab dia ja rahay hain apnay akabar ko..... Abhi apnay sab akabar ka inkar karo gay Insha Allah tum. Asal topic ko ghumana tum wahhabion ke aadat hay.Sawal koi aur kia gya aur jawab kuch aur..
  12. Janab e Aali aap nain Camphor aur thyme ko aik he family main rakh dia tu janab zara jo ooper families main nain likhy hain is ko zara dhayan say daikhain.Aur Camphor mint main na jayn sirf camphor ke bat karain.Yeh atu aik compound ban jata hay is tarah janab.
  13. Janab e Aali mujay kya zaroorat hay kisi say bahana bana nay ke???Mujay kya kisi nain koi force kia hua hay keh main lazmi aap ka jawab theek time par doon?????Aur na main aap ka ya kisi aur ka paband hon... Research karni chahya aur janab mujay is bat main reseach karnay ke koi zaroorat nahi. Aap ab topic badal rahay hain.Pehlo post main Camphor ke bat hui..... Phir aagay aay tu Thyme Camphor ho gya...... Phir aur aagay aay tu natural preservation ho gai...... Kya ajeeb ittefaq hay.Process aik he koi kai bar different view say explain kia ja raha hay...... Janab e man main nain agar copy paste ke hoty tu janab kya us site mai urdu aur english main mix isi tarah likha hua tha????Had ho gay janab. Aap natural preservation ke bat kar rahay ho ab.Jab aap ke pehli sab baton ka sahi tarah say jaab nahi ban para tu ab natural preservation par aa gay. Aap nain kaha keh main nain yeh sari video nahi daikhy.O Allah k banday aik aap he ho jo sirf sach ko samajh rahay ho aur baqi sab pagal ho chukay hain kya????? Itnay logon nain is bat ke gawahi de woh sab pagal aur aik Fikar e Aakhrat Sb.he aqal walay hain.... Aap nain kaha qyas aaray tu janab meray Professor Sb. nain yeh waqia bataya tha....Keh jab body ko dafnaya gya tha tu kuch din baad humain kisi zaroorat k lia us ke qabar ko open karna para tu woh body adipocere say aagay stages main puhnch chuki thee.Janab aap aik aisi bat ka inkar kar rahay ho jo aik haqeeqat hay.... Ab jab aap nain kaha keh aap is bat ko sach kar k dikhao gay research say tu janab aap say request hay keh jiasa keh aap nain apni pehli post main CAMPHOR k through is ko proof kia tha isi tarah ab b Camphor k zareeay he is ko prrof karain... Ab koi Thyme ya koi aur agent na laay ga. Jaisa keh main nain pehlay b araz kia tha keh Egyptian is ko use kartay thay Mummified body par na keh fresg dead body par.... Aap say start say aik question bar bar kia ja raha hay keh Egypt walon ka method kia tha Mummification ka laikan aap hain keh udhar aatay he nahi..... Aap nain mujay qayas aary ka likh dia aur jo some sentences wahan likhay woh tu lagtay he qayas aaray hain. Janab humain koi zaroorat nahi jhoot bolnay keh hum busy hain ya nahi???Aur agar busy hain tu kya isi kaam main busy hain ya humara koi apna Medicine say related kaam hay ya surgery say,,,
  14. Janab e Fikar e Aakhrat Sb.yeh deeni masla hay ya koi aur,laikan aap is ko explain nahi kar pa rahay. Ab hum apni discussion ko aagay barhatay hain janab. Jaisa keh aap nain Thymol Camphor ka hawala dia that it slows down the process of putrifaction.Pehlay just camphor tha baad main aap nain Thymol Camphor likha...M I right???? Phir janab aap aagay likhtay hain keh jahan say yeh derive hotay hain tu in ke famoly aik hay... Aap ke yeh bat bilkul ghalat hay.Janab Camphor kahan say derive hota hay???Camphor laurel say...M I right???Yeh naturally hasal hota hay. Ab synthetically kahan say prepare kia jata hay Terpentine oil say.Aur yeh saturated terpene Ketone hay...M I right??? Aagay aatay hain Thyme Camphor ke taraf... This is a phenolic compound.M I right??? Janab aap nain apni is say pehli pos main likha keh is ka original molecular formula ha C10H14O.Chalain is ko man lia for some time.Ab camphor par aatay hain.Is ka molecular formula hay C10H16O.Theek hay??? Tu janab aap nain bar bar aik he cheez ko likha keh us website main yeh likha hua hay,us main yeh likha hua hat tu meray bhai thora sa brain b use kar lia karain.Agar us site nain yeh sab kuch likh dia tu hu us ko min o ann kia maan lain gay??? Janab aap nain likha keh yeh slow karta hay putrifaction ko.....Laikan kitna arsa??? Hazrat Mufti Sb. ke qabar open hui approximately 3 and half years baad. Tu janab jaisa keh main nain aap say gosh guzar kia tha keh Putrifaction k 4 steps hotay hain. Aur video k mutabaq aik step b start nahi hua tha.Tu janab kya aap k Thyme ka effect itna lamba arsa raha????Keh aik step bhi start na hua..Ab aur kon se conditions chahyeen aap ko yeh sara process start karnay main??? Ab baaz auqat kai qabrain open ho jaty hain.Un par b aap k mutabaq camphor use kia jata hay.Laikan un qabaron main sirf bones k alawa aur kuch nahi milta..Wahan kahan gya aap k camphor ka effect???? Main nain aap ko is ke half life likhy thee.Ab aap nain is ka jawab bar bar dia keh it depends upon conditions.... Janab aik exmaple say is ko samjanay ke try kartay hain... 2 aadamion ke death ho jaty hay.Dono main camphor use kia jata hay.Dono ko aik he jagah dafan kia jata hay.Ab kisi arsa k baad dono ke qabron ko open kia jata hay.Jab daikhtay hain tu aik k body bilkul usi tarah jis tarah dafan kia gya tha aur dosray ke body has been converted into bones....Tu janab ab daikhain condition aik,camphor dono par use kia gya,dafan aik he jagah different graves main kia gya,environment aik he tarah ka dia gya.Tu kya wajah hui keh aik ke body bilkul usi tarah aur dosray ke body bones main convert ho gay???????Kya us par aap k camphor ka woh effect na hua.Ya aap k thyme camphor ka effect bilkul na hua????? Study k sath sath research b kia karain janab.... Ab aap k dia gay link k mutabaq Camphor ko us waqat use kia jata tha jab Mummi ko preserve karna hota tha na keh dead body ko.... Ab Mummification ka process tu hay sab say end wala process. Main nain aap say pehlay b araz kia tha keh plz yeh b likhya ga keh Egyptians kis tarah mummify kartay thay dead body ko laikan aap nain jawab nadard dia. Ab aap k aik aur ghalat bat ka jawab.Jaisa keh aap nain likha keh Thyme aur Camphoe ke family aik tu janab post karnay say pehlay daikh lia karain keh kya likh rahay hain. Camphor.......Family::::::::Lauraceae Thyme..........Family::::::::Lamiaceae Janab yeh mera fieled nahi hay.Na chemistry aur Botany.Laikan AlhamdoLillah thori buhat aaty zaroor hay. Main koi shatar insan nahi hon aap ke tarah jis nain bholay bhalay Muslims ko itna dhoka dainay ke try ke hay. Abhi filhaal itna he thora sa kaam hay.Jab faragh hua baad main Insha Allah aur jawab likhon ga.
  15. Subhan Allah Sag e Raza Bhai aap buhat achay jawab likh rahay hain.Allah Apnay Pyaray Habeeb e Pak ka sadqa aur Huzoor Syedna Ghous Ul Azam ka sadqa aap k ilm aur amal main izafa o barkat ata farmay.Aameen Aur topic ko change karna tu Wahhabion aur deo...band..ion ke purani aadat hay.Jab in k pas jawab nahi hota tu isi tarah he kartay hain yeh log
  16. Janab Fikar e Aakhrat Sb.kya aap Hayat Un Nabi k qayl hain ya nahi???
  17. Janab Fikar e Aakhrat Sb.thora sa intizar farmayn aap k sawalat ka jawab mil jay ga aap ko Insha Allah....Business buhat zyada hay.
  18. Janab Fikar e Aakhrat Sb. Aap nain meray last questions ka sahi tarah say aik answer b nahi dia.Aur aap nain jo link send kya woh THYMOl ka hay na keh camphor ka...... Aap say araz kia tha keh aap us tareeqa ko b likhya ga jis tareeqa say Egypt walay mummification kia kartay thay laikan jawab nadard..... Main nain aap ko yeh b kaha tha keh hum apnay topic par he rahain gay laikan hat dharmi ke had ho gay.Aap ko main nain Decomposition ke 4 phases byan kia aur un main say aik b aap k batay huay method k mutabaq theek nahi tha.Aap us bat ko hazam kar gay. Aap mujay ghair muqallad nazar aa rahay hain.Humaray lia Quran o Hadees,phir Ijmaa e Ummat aur phir Ulma jo keh Quran o Sunnat k mutabaq faisla kartay hain woh hujjat hain. Aik zahar aankh say sab log is waqia ko log daikh rahay hain laikan aap hain keh inkar par inkar.Science say aap ke is bat ka rad kia gya.Aap nain jawab na dia. Aap nain link copy paste kar dia.Janab zara copy paste karnay say pehlay daikh ya par b lia karain keh kis topic say related hain. Aap mujay yeh batayn yeh sara process zinda body par ho raha hay ya dead body par?????? Hum research living body par kar rahay hain ya dead body par???? Yeh decomposition ka phenomenon living body par ho raha hay ya dead body par??? Yeh sara process death say pehlay ho raha hay ya death k baad??Hum investigate kar rahay hain us process ko jo ho he death k baad raha hay......Hum nain is sab ka conclusion daina hay tu yeh sara process kis sa related hua??????? Aap nain kaha keh aap har us Hadees k munkar ho jo Quran k against ho....Janab Quran main tu jagah jagh Allah nain apnay naik bandon(Aulia)ke properties bayan ke hain...Aap phir un sab aayat k b mukar...Aur yeh Hadees hay b Hadees e Qudsi... Ab aap ko thymol ka introduction kara daita hon thora sa.Thymol ka formula hay 2-isopropyl-5-methyphenol.Is ka formula hay C10H14OH. Aur isi tarah Camphor ko daikhain...C10H16O... Ab main aap ko woh he link send karta hon jis say aap rozana partay hain.Camphor k baray main.Is k uses main mujay kisi b jagah dikhayn keh kahan likha hua hay keh yeh as a preservativ k tor par use hota hay????Aur isi tarah Thymol ka b link add kar raha hon jis main is k history main likha hua hay keh Egyptian use kartay thay as a preservative... http://en.wikipedia.org/wiki/Thymol http://en.wikipedia.org/wiki/Camphor Ab aap ke yeh bat tu is tarah say b ghalat hui. Meray bhai main nain isi lia aap ko kaha tha keh net say zyada book ko prefer kia karo. Baqi jawab thora sa free ho kar.Abhi buhat busy hon. Allah Hafiz
  19. Janab Shahid Nazeer Sb.Book k name k saath aagay writer ka name b likha hua hay.Shahyad aap ko nazar he nahi aa raha boukhalahat main...... Kya Nawab Siddiq aap ka anhi aalama????Kya Molvi Waheed Uz Zaman aap ka writer nahi???Janab e Mann is k saath aur b buhat se books likhy hui hain.......Janab aap asali bat aa nahi rahay kyon keh us bat ka aap k pas jawab he nahi...Is lia aap kabhi koi bahana kar k idher aur kabhi udhar bhaq rahay hain.Mera question sirf aur sirf yeh hay keh aap in aqayd ko Quran o Hadees say sabat karain ya yeh kahain keh Nawab Siddiq b ghair muqallad nahi...Molvo Waheed Zaman b ghair muqallad nahi.Aur jin molvion k anme likhay huay hain woh sab ghair muqallad nahi
  20. Meri Qadri Attari Bhai say yeh request hay keh yeh question jo hay aap is ko Noor o Bashar walay topic main post kar dain.Wahan ja kar Janab ImHanfi Sb. ko daikh laitay hain Insha Allah @ImHanfi Janab aap k is sawal ka jawab Noor o Bashar walay topic main mojood hay.Wahan aayn abhi bat ho jaty hay aap say..........
  21. Janab main nain kab man lia keh Fatwa e Aalamgeeria main ghalat likha hua hay???Main nain tu aap sa araz ke hay keh aap is k lia aik separate topic banayn us main behas kar lain gay.
  22. Janab Mouwahid Sb.aap say intihay adab k saath guzarish hay keh jo main nain scan page attach kia hay un sab cheezon ko Quran e Pak aur Hadees Sharif say sabat karain na keh humain aap Fatwa e Aalamgeeria dikhayn aur na he kuch aur. Kyon keh aap ka he daawa hay na keh aap ke har cheez Quran o Hadees say sabat hay.... Aur jaisa keh Shahid Sb. nain likha tu janab is na cheez nain araz ke thee keh apnay kisi b Mufti Sb. ka fatwa dikha dain jis main yeh likha hua keh humaray yeh aqayd nahi ya yeh sab log AhleHadees nahi hain. Agar aap ko in sab Fatwa par koi bat karni hay tu jaisa keh aap say pehlay b araz kia tha keh aap aik alihda topic bana kar in sab ko aik he topic main post kar dain.Umeed hay aap Insha Allah samaj jayn gay.
×
×
  • Create New...