
Haqeeqqt
Under Observation-
کل پوسٹس
148 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
1
سب کچھ Haqeeqqt نے پوسٹ کیا
-
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
(1) Allah nay jo Quran main kaha hum us per dat gay usko man-o-an tasleem kiya. (2) Janab iss ki main nay aik ulama wali misaal ooper di hai aur time milay to meri bohat saari posts hain pehlay unko perhain phir baqi batain baad main hon gi aap kafi dair say forum per aaye hain. (3) Her sahabi ki apni fazeelat thi, Nabi nay farmaya Abdullah bin Umar k mutaliq "Yeh ilm ka samandar hai" kia baqi sahbion k pass ilm na tha ??? Nabi na Hazarat ubai bin ka'ab k mutaliq farmaya k Allah nay kaha k main apna Quran tumhain sunaon kia baqi sahabion ko Quran naheen ata tha, Ummat-e-Mohammadi k behtareen qari Hazarat Ubai bin Ka'ab hain issi liya Hazzarat Umar nay Taraweeh k jamat k liya unko muntakhib kiya, us waqt hazzarat umer ko naheen pata tha Hazzarat Abbass bhi hain?? Hazarat Umer nay Abu Ubaida ibn ul Jarah ko Sipa sallar mukarar kiya Hazarat Khalid bin Waleed ko Hatta ker kia unhain naheen pata tha Nabi nay Hazarat Khalid bin Waleed ko Saif Ullah ka laqab ata kiya tha?? Hazarat Umer nay Hazzarat Abbass ko sipa sallar mukarar naheen farmaya kiun??? her Sahabi ki apni hi fazeelat hai jissay aap aur main challenge naheen ker saktay, Baaton k rukh mat morain? Meray Khiyaal say aap ko bhi baat samjh a gai ho gi. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Jab main nay Surah Fatir ki Ayat paish ki thi us waqt to Tashreehat aur Tafseer ki baat kertay thay aur baqi ayat jab paish ki thein us waqt kehtay thay k iss say murad Kuffar hain, Ab iss ayat main waseela nazar naheen a raha, baqi hadeeson say bhi waseela nikal liya hain, hadeeson k rukh mor liya aur yeh seedhi seedhi ayaat ko radd ker rahain, pehlay kaha k ayat paish kero phir sirf 3 ayaat nazar aayein to rukh mor liya, aab kehtay hain k kahan hai, wah kamal hai? Aur Allah khoob janta hai emaan ki halat aur nabi ki jo mohabbat dilon main hoti hai woh bhi Allah (swt) janta hai, Allah nay emaan kay certificate denay hein aur waisay say bhi ap ki diya huway certificate ki zaroorat ho gi hi naheen. Yahan certificate aap detain hain humain Allah say chahiyan. Agar iss per bhi Quran say ayaat chahiya to bataiya ga?? rahi baat ebadaton ki to woh bhi faisala Allah hi keray ga. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Main nay Ayaat ooper wali post main day di hain, ab ap inkaar kerain aur apni paish ki hoi ayat ko aap bhi ab perhiya ga ???? Rahi baat Hazarat Umer k Aamal-e-Saliha ki to suniya, Kissi bhi Insaan ko yeh yaqeen naheen hota k us kay Aamaal Allah k Haan maqbool hain ya naheen is k liya Hazzarat Umer k inteqaal k waqaya perhi aur note kiji ga unhon nay apnay baitay ko akhari waqt kiya kaha Halan k unko Nabi nay janat ki basharat di thi aur woh bhi perhiya ga jab ramazan k baad eid k chand nazar ata tha to woh kiun rotay thay, un k dor-e-khilafat k waqyat perh lain? issi liya unhon nay Sahab main say Hazarat Abbass ko muntakhib kiya aur un say dua kerwai kiun k unko yaqeen tha k Hazzarat Abbass Allah k muqarrab aur naik banday hain aur yehi cheez sahaba say sabit hai aur hum bhi waisay hi kertay hain yani Allah k naik bandon say Allah k haan dua kerwatay hain . unhon nay jo Hazzarat Abbass say dua kerwai jo k jaiz amal hai. iss ki misaal aik aur deta hon, jub buhat saray ulama ikhatay hotay hain to namaz k liya woh aik doosray k dawat datain hain, phir jo bara aalim hota hai umooman wohi namaz perhwata hai. kia baqi ulama k aamal fasid ho jatay hain?? iss main sabit ho chuka unhon nay Hazzarat Abbass say namaz k baad dua kerwai kiun Allah Apni Kitab main kehta hai. aur janab main to hon hi kam ilm Allah apni hi kitab main kehta "WA MA YOUTEEKUM MIN-UL-ILME ILLA QALILA" Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
-
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
-
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
agar yeh ayat kafi na ho to bataiya ga aur ayaat bhi paish ker don ga, is ayat main Allah nay naheen kaha Saleheen main shamil honay k liya kuch aur waseelay bhi dhondanay hain, sirf naik kam ka kaha hai. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
meray khiyaal say iss kuch behtari aaye gi Qabal wiladat Nabi wali jo hadees aap nay paish ki us per mufasreen ki ray bhi dekh lein. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
aap nay tafseer k pages to attach kia, lakin apni post say pehlay meri post naheen perhi us main bhi pages hi attach thay un main bhi Surah Maida Ayat 35 hi ki tafseer thi woh bhi Inb Kaseer ki, Sarfe-Nazar to aap bhi farma gay tafseer say bhi aur jo sawal kiya un say bhi, jawab naheen diya aap logon nay meray sawalon ka? kahain to sawal phir post ker don? -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Mohtaram agar dil murda ho to naheen suna saktay, lakin pooray ka poora murda ho to suna saktay hain? -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
pehlay to yeh batain k yeh kahani kahan say aai , aur kissi authentic kitab say is ka raference day dain, doosri baat jab Allah khud kehta hai k Aamaal-e-Saliha hi waseela hain to phir Allah ki baat kaisay rad ho saktai hai, Surat Al-Maida, Ayat 35 ki tafseer ibn kaseer upload ki hai sirf usko dekh lain aap ki baat pay phir agay chalain gay yeh na keh dena k Tafseer ibn Kaseer ko aap log naheen mantay. Regards -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
1- Hadees "Hazarat Umer ki Hazarat Abbass say dua" k mutaliq guzarishat 1. Mohtaram main nay sawal yeh kia hai k 'Hazarat Umer nay Hazarat Abbass k zariya say dua kerwai, Hazarat Muhammad ko waseel naheen banaya KIUN? aap is ka jawab dain tu Wiladay say pehlay wali hadees khud sabit ho gay gi aur apnay khud uskay zauaf k baray main apni post main likha huwa hai. ap meray sawal ka jawab dain main aap ki wildadat say pehlay wali hadees ki tehqeeq kerta hon iss per phir behas ho gi ??????? aik khas baat aur jo Hazarat Umar wali hadees main hai k Hazarat Umer nay Hazarat Abbass ko bulwaya k aap dua kerain, Jis Waseela ki aap baat kertay hain ya woh waseela jaiz hota to Hazarat Umer ghar bhaithay hi Hazarat Abbass ko waseel banatay? 2- Hadees "Mayat ko Charpai per rkhatay Waqt" k Mutaliq Guzarishaat Main aap logon say pehlay bhi yehi request ker chuka hoon aap is khas waqt ki hadees ko aik aam waqt pay kiun Istedlal ker rahain, yeh hadees qatai deleel nahen hai k murda her waqt BOLTA hai agar aisa hota to hadees main "Mayat ko Charpai per Rakhtay Waq" k alfaz na hotay. Hadees "Mayat ko Dafna ker logon k lotnay per qadmon ki Awaz" k Mutaliq Guzarishaat Yeh bhi aik Khas Waqt ki hadees hai jab murday ko dafnay jata hai aur log wapis lotay hai to woh qadmo ki awaz sunta hai, Agar Jab log lotay hain to kiun sunta hai jab us ko dafnanay k liya lay ker ja rahay hotay hain to us waqt kiun naheen sunta 4- Ahadees "Badr k murday" k Mutaliq Guzarishaat In Ahadees k Mutaliq main nay Bukhari k Tamam pages uploade kiya hain doobara ker raha hoon is bar miss na kerna highlighted bhi hain, woh ahadees khud bata rahi hain k woh aap logon ki hi mukhlif hain Page 335 "Hazarat Qatada kia keh rahay hain yeh bhi perhain. QUESTIONS 1- Allah (SWT) nay Jab nabi ko kaha k aap kuffar ko naheen suna saktay to Murdon ki daleel kiun di, aur Jab Allah nay Nabi(saw) ko kaha k Zinda aur Murday brabar naheen, phir farmaya Allah Jis ko chahay suna day aur Nabi aap naheen suna saktay, 2- Hazarat Umer nay Hazarat Abbass say dua kerwai, Hazarat Muhammad ko waseela na banaya KIUN? (hawalay pehli wali posts main majood hain) 3- Hazarat Umer Hazarat Abbass ko Eidgah lay gay wahan ga ker dua kerwai, Ghar bhaith ker Hazarat Abbas ka waseela kiun nay banaya aur baqi sahab ko bhi is ka hukam na diya KIUN? 4- Hazarat Umer nay Jab Badr k Waqay ko dohraya to Hazarat Aaisha nay unki taseeh (darustagi) kiun ki aur phir (Murdon k na sunanay wali ayat kiun pari)? 5- Jo Ahadees Murdon k sunanay ya bolnay wali hain unka ahadees main makhsoos waqt bayan kiya gaya hai, ap nay us k aam waqt per kiun istedlal kiya hai? 6- Agar muday suntay hain aur boltay hain to kissi hadees main unki hajat rawai k baray main kiun naheen aya, aur quran nay is bidaat aur shirk ko kiun rad kiya hai? Regards -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
aap bhi thoray say point per aa hi gai hain, iss main thora sa aur add ker lein "na murda hajat rawai ker sakta hai, na hum murda ko suna sakta, aur na hum murday say apni hajat poori kerwa saktatay hain" aap nay jo ahadees paish ki hain woh to aap hi k khilaaf hain. main nay ooper issi liya scan pages upload kiya hain aap un ko ghor say dekhain to sahi. tashreeh ko underline kernay say tarjma badalta naheen sirf aap ki assani k liya hai k ghor to kero, underline kernay say agar tarjumay aur tashreehat agar badal jati hain to aap nay to apnay matlab ki tarjumay aur ahadees k mafhoom nikalay huway hain. iss say to mainay inkaar naheen kiya main nay to kaha hai unkay sunanain k makhsoos mawaqay hain, jo k ahadees main majood hain. AAP NAY JAWAB NAHIN DIYA K HAZARAT UMER HAZARAT ABBAS SAY DUA KIUN KERWAI? UNHONN NAY NABI KA WASEELA KIUN NA BANAYA? YAAD RAKHIYA YEH HADEES AAP LOGON KI QUOTE KI HUWI HAI AUR NABI K ZAMANY K BAAD KI HAI? 1. main nay to yeh bhi kaha k unkey makhsoos mawaqay hain, apnay jo hadees quote ki thi main nay to ussi say sabit bhi kiya hai jis main saaf likha hai k jab "mayiat ko charpai per rakha jata hai tab". ooper aap ki hadess ko main underline kiya huwa hai iss dafa yaad say dekhiya ga. 2. jo tashreehat ko underline kiya hai us ko bhi chor dain, baqi hadees ko dekhain us main bhi saaf likha hai k "Qatada " nay kaha k Allah nay us waqt un murdon ko zinda ker diya thay ta k woh Allah k Nabi ki baat ko sun lain (meri kal ki post main bukhari ki hadees dekhain jo red color say underline hai)" jo k aik maojaza tha Allah ki taraf say aur Moa'lif nay bhi yehi likha hai kia koi itni bari sangeen ghalti ker sakta hai ko jo hadees bayan ki jai aur tashreeh usi hadess k mukhalif ki jai. 1. mohataram phir apnay aik khas moqay ko her waqt per istedlal kiya hai, wohi hadees dekhiya jo apnay quote ki jis waqt murda ko charpai per rakha jata hai, ab aap hi bataiya k kaun ahadees ka rukh mor raha hai. 2. janab jo ahadees apnay quote ki hain unko zara ghor say perh lain un say bhi sabit hai k woh kis khas moqay ki hain. aik aur baat note ker lain agar koi hadees murday k sunanay ki hai to woh murday ki taraf say hajat rawai ki to hai hi naheen. apnay to murday ko to apni marzi per chala diya, keh jab aap unko sunain gay to woh sun lega, kahin murday ko automatic to naheen ker liya aap nay Regards -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Bukhari k pages dekhiya aap nay jo ahadess purani post mein di thin yeh wohi ahadees hain ghor say dakhain kahin yeh aap k khilaf to naheen. Regards -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
aap nay baja farmaya k murda sunta hai zara ghor kerain pehli wali post per main nay bhi yehi kaha tha k murday k sunanain k makhsoos mawaqay hain, aur yeh batain jo Hazarat Umar wali rawayat hai usme Hazarat Umer nay Hazarat Abbass say dua kerwai, Nabi ko waseela naheen banaya? Zara hadees ko ghor say perhain k kis moqay ki hadees hai. apnay uska rukh kis taraf phair diya hai aap yeh batain k aap Aamaal Saliah ko waseela naheen mantay? mujeh pata hai aap inkar naheen kerain gay kiun k Allah quran main bhi yehi kehtain k Amaal-e-Saliah say allah ka qurb hasil karo. agar inkaar kertain hain to bata dain. main nay kab kaha k mujeh apnay amal per naaz hai. agar aap ko Sahaba per naaz hai to Hazarat Umer k amal ko apnain aur naik logon say zaroor dua kerwain. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
aap ayat ka kia matlab nikal rahay hain zara ghor say dekhain, aur koshish kerain k poori ayat lain ta k sara mafhoom samjh aye. Tafseer ibn Khatir mulahiza kerain Yeh waqaya nabi k baad k zamany ka hai, unhon nay Hazarat Abbas say dua kerwai Nabi ko waseela kiun na banaya? baat samjhanay wali hai ghor kijia ga. Allah barahe rast bhi sunta hai aur hukam bhi daita hai. fatway ka buhat shukriya, bilkul jis waseelay ki aap baat ker rahay hain shaid us k munkir hain, lakin Allah aur uske Rasool k jaiz waseelay (taqway) k kabhi munkir naheen ho saktay (Insha Allah) theek hai main peechay hawaly check kerta hon. Kia baqi batain bhi in ki maan lein gay. Regards -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
janab jo Ayaat aap nay refrence k tor per di hain main unko upload ker raha hon? Surah A'araf Ayat No. 79 Surah A'araf Ayat No. 93 aur jo murdon ko sunanay walay moajazat hain woh sirf or sirf waseela Allah ki hi zaat aqdas hai, na koi murda sun sakta hai aur na hum usko suna saktay hain. aur jo ahadess ap nay quote ki baray mehrabani un k reference to post ker dain ta k main check ker sakoon. Regards -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Saif ul Islam sahib aap apni quote ki huwi ahadees ka mukamal reference dain, aur ho sakay to jo pages aap nay scan kiya hain un k urdu scan pages upload kerain ta k main check ker sakoon. yeh to ahadees say sabit hai k woh suntay hain aur yeh bhi sabit hai k woh boltay hain lakin un kay sunanain aur bolnay k makhsoos mawaqay hain na k har waqt sunanain k warna allah apnay nabi ko murdon ki daleel na detay aur yeh bhi na kehtay k aap murdon ko naheen suna saktay aur jitna ahadees say sabit hai us ko waheen tak rakhain un say tajawaz na kiya jai to behtar hai. yahan murad murday ki hajat rawai ki aur un k waseela bananay ka hai, k jab unko madad k liya pukara jata hai kia woh madad kertay hain ya naheen. mujeh aik baat batain, kia Allah ko barah-e-raast pukara jai to woh naheen sunain gay?, aur agar Allah barah-e-raast suntay hain to phir waseela ki kia zaroorat hai. aur agar waseelay ki zaroorat hai, to Allah nay kahan kaha hai k meray pass barah-e-raast na aana waseelay say aana? aur jab har kam beznillah ho raha hai to phir Allah hi to yeh keh raha hai. Suran Momin Ayat 60 main ap ko Allah ki kitab say reference day raha hoon, aap batain aap is ko mantay hain ya naheen? Regards -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Surah Namal Ayat 80 Surah Room Ayat 52 Surah Fatir Ayat 22 Janab in ayaat per ghaor to kerain k Allah Nabi ko keh rahay hain k aap in Kaffiron ko naheen suna saktay kiun k woh to basoorat-e-murda hain, issi liya k Murday naheen suntay jab tak Allah na chahain, aur jo badar k maidan main murdon ko sunanay ka waqaya hai woh Allah ka Moajaza hai, issi tarah mairaj pay Hazarat Bilal ki awaz sunana bhi aik moajazza halan k woh us waqt hayat aur duniya main majood thay. Allah nay toheed bayan kernay hi k liya moajazzat bhi kiya aur ayaat bhi utari. aur aap kaisay keh rahay hain k murday suntay hain. Halan k Allah khud nabi ko keh rahay hain aap murdon ko naheen suna saktay, phir hum jo nabi ki jotoon ki khak hain hum kaisay suna saktay hain, aur jab Allah nafi ker day to koi bhi Allah ka faisala naheen badal sakta. Allah amal kernay ki aur sirat-e-mustaqeem per chalnay ki taufeeq hum sub ko ata farmay. Regards -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Janab yeh reference mujeh naheen milay, agar ho sakay to urdu Bukhari ka reference dain, waisay main nay yeh English Bukhari main bhi talash kiay hain. yeh reference aap nay agar kissi aur kitab say dekh ker diya hain to woh bhi batain ta k main check ker sakoon. Regards -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
"Fil Qaboor" ka kiya matlab hota hai, ap nay iss say Kuffar kaisay matlab liya hai. Regards -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
jo Aayaat aur hadees ooper post ki pehlay ap batain k us k baray main aap kiya kehtay hain. -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
اس ٹاپک میں نے Haqeeqqt میں پوسٹ کیا مناظرہ اور ردِ بدمذہب
salam janab yeh jo main post ker raha hon, mujeh pehley iss ka jawab dain k murday kaisay sun saktay hain aur agar koi mar jata hia to woh sirf sun kiun sakta hain bol kiun naheen sakta aur jawab kiun naheen deta.