
Haqeeqqt
Under Observation-
کل پوسٹس
148 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
1
سب کچھ Haqeeqqt نے پوسٹ کیا
-
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
"Ya ALLAH tera shukar k mera ID active ho gaya" Here is something to enjoy for you. It's a small presentation, Dekhana zara ghor say tum kiss ki taqleed kertay ho. (Realism of Brailwism) It's a coloured version ab tumhaind Deen-e-Islam ki dawat doon ga????? to be continued > > > > > > > > "Whatever written of Truth and benefit is only due to Allah’s Assistance and Guidance, and whatever of error is of me. Allah Alone Knows Best and He is the Only Source of Strength." -
Kia in Mazaro'n aur Qabron ko Dha daina jaiz nahe?
Haqeeqqt replied to Commander_Faisal's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Mohtaram aap fikar na kerain yahan aisay hi hota hai.????? In ka tareqa-e-Wardat hi aisa hai, Mera ID bhi block kia tha ab release kia hai, kuch naheen batain gay sirf kahain gay "kissi wahabi nay ker diya" ya "Kissi deobandi nay ker diya" Ahtajaaj Ahtajaaj, jawab naheen to block to na kero?????? WASSALAM -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
"Al hamdo lillah" ab aaye na rah-e-rast per, mohtaram ap jis waseelay aur shafaat ki rat lagay huway hain woh to Qayamat k din ki baat hai aur tum abhi iss duniya main uss waseela aur shafaat ko lay ker baith gay aur to aur tum nay her qabar ko waseela banaya huwa hai, aur yaad rakhna shafaat k haq daar wohi hon gay jinhon nay shirk naheen kiya ho ga, Agar nabi ko Allah nay iss duniya main Mushrikon k liya dua kernay say roka tha to Qayamat k liya bhi Allah nay apni Kitab main kaha hai Allah jis ko chaya bakhash day lakin jis nay shirk kiya ho ga us ko naheen bakhashay ga. Janab ap nay to apnay khilaf hi ahadees paish ker din hain, aap k moaqif k mutabiq Qabar walay waseela hain woh shafaat kertay hain ab aap chalang laga ker Qayamat walay din per pohanch gay, Ap nay jo Ahadees paish ki us main aik bhi hadees sabit kerain k jis shafaat ka zikar ho raha hai woh shafaat is duniya k baray main hai, yeh saari ahadees to Qayamat k din k baray main hain ap nay in ahadees main mazkoor shafaat ko is duniya main shafaat per kaisay istedlaal kiya??? JazzakAllah aap to beri jaldi main hain khud hi post kertay hain khud hi faisala suna daitay hain Oh ho yeh to phir tum per aa gai k jo ahadees paish ki woh phir tumharay hi khilaaf hain. aap nay ho hadees paish ki wohi Urdu main paish ker raha hon aur us k sath aik aur hadees bhi hai ghor kerna. humari na sunain nabi ki to sun lain. ab agali hadees dekho jis main nabi nay qayamat k din shafaat ka zikar kiya, aur yeh bhi dekho Nabi nay hi kaha k Qayamat walay din bhi shafaat k liya had muqarar hai?? Iss reference ki aur bhi buhat ahadees hain, yaad rakhna yeh ahadees jo tum nay paish ki hain woh waseela k chapter say naheen "Toheed k chapter" say paish ki hain aur toheed kehtay hain khalis Allah ki ebadaat ko jis ka koi shareek naheen. Tum to sirf in say duain kertay ho na, suno suno, Allah k nabi k hi farman hai Sunan of Abu-Dawood Hadith 1474 Narrated by An-Nu`man ibn Bashir The Prophet (saws) said: “Supplication (du`a`) is (itself) worship.” ab khidhar jao gay, agar kehtay ho na k tum duain(Hajaat) qabron per ja ker naheen mangtay to Jao Rawalpindi main jaa ker dekho, Kaliam Sharif, Golra Sharif, Imam Bari, Sain Miskeen, Mohra Sharif kiya hota hai, Lahore main Data Darbar kiya hota hai?????? Rahi baat kharji ki to "Alhamdo Lillah" hum MUSHRIKEEN main say kharji hi hain...... Haan tum Quran k matlab badaltay ho na blue ker k iss liya dar lagta hai, apnay matlab ki chand alfaaz uthatay ho aur apna matlab nikaltay ho dekh lo jahan jahan tum nay yeh harkat ki hai wahan chand alfaaz hi liya hain tum nay. main tumhain pehlay bhi keh chuka hoon jo ayaat khawa woh Kuffaron k liya hain, mushrikon k liya hain, munafiqon k liya hain ya button k liya hain woh Momeneen k liya bhi naseehat hain aur un k hukam musalmanon k hi liya hai kiun kuffar ko mushrikon ko aur button ko to Allah k Ahkaam ki koi perwa naheen. lakin kuffar aur mushrikeen kahan mantay hain??? Hum yahan say bhi nabi per darood-o-salam bhaijain gay aur wahan ja ker bhi, duain naheen mangain gay kiun k meray nabi nay hi kaha hai jis ka mafhoom hai k "meri qabar ko eidgah na banana aur na apnay gharon ko qabar gah". Nabi nay koi aik dua bhi sahaba ko aisi naheen sikhai jis main unhon nay kaha ho k Allah k elawa kiss or say mango. yeh bhi dekho. abhi sabr to kero munkir honay k faisala to beri jaldi ker diya baqi jo tamam posts main main nay ayaat paish ki un k munkir to tum howay ho. Jaisay tum nay kaha k Aamal-e-Saliha waseela naheen halan k tum nay quran ki ayaat bhi dekhi. jaisay tum nay kaha k "Rabana Zalamna" k saath jo dua tum nay hadees main quote ki woh bhi perhi us k reference naheen diya aur issi baat per datay rahay k jo dua tum nay post ki wohi theek hai, Quran ko to tum nay waheen per inkaar kiya aur buhat saari ayaat hain???? Jab tum nay kaha tha k koi ayat paish kero jis main Amaal-e-Saliha ka hi zikar ho to tum nay yeh ayaat dekhin Khud to tum abhi tak munkir ho aur kehtay ho k Aamal-e-Saliha k naheen pata k woh maqbool hain ya naheen, Halan k Allah apni kitab main keh rahay hain k Maqbool Aamaal-e-Saliha hi hain, agar maqbool naheen hain to janat ka Allah Elan kiun ker rahay hain. Kaun huwa munkir??? Allah k elawa agar kissi ki bhi ebadat ki jai to woh to batil mabood hi hon gay, aur tum to yeh bhi qabool ker chukay ho k Mushrik Anbiya, Saleheen, aur naik logon ki ebadaat kertay thay iss tarah to Anbiya, Saleheen aur Tamam Naik Log Batil mabood hi huway, ooper jo dua wali hadees paish ki us k mutabiq to tum bhi batil sabit ho gay kiun k tum qabron per ja ker duain mangtay ho aur hadees k mutabiq ebadat hi kertay ho, aur phir Quran say sabit hai k qayamat walay din yeh saray saleheen tumhari ebadatoon say inkaar kerain gay. Humain koi shak naheen, tumhain yaqeen naheen na iss liya aisay kertay ho? Unki Shafaat to Qayamat per hi ho gi aur saari hadees to tum nay khud hi quote ki hain, iss duniya main sirf Amaal-e-Saliha hi bunyaad hain, jaisay nabi nay apni beti Hazarat Fatima say farmaya tha k unka nabi hona un k kissi kam na aye ga. Aik hadees nabvi hai k, "Tum main kamil momin woh hai jis k Ikhlaq sub say achay hain", jawab to khair tumhain bhi mil gaya hai. Mohtaram iss point per baat oper ho chuki hai, simply yeh k yeh saari ahadees Qayamat walay din k shafaat ki hain, main nay aik aur hadees bhi paish ki hai woh bhi dekhain aur yeh bhi dekhna k Shafaat ki bhi had muqarar hai kiun k shafaat mushrikeen k liya naheen aur apnay moaqif per nazar saani kerain. Alhamdo Lillah hum Allah per aur Nabi ki taleemat apar amal kertay hain, Shafaat walay point jo qayamat walay din ho gi ab clear hai iss liya ab ap apna aqeedah bhi durast ker lain Allah ap k liya aur bhi rahain asaan keray ga (Insha Allah). chalo tum sabit kero jin ayaat k shan-e-nazool k liya Ibn-e-Kaseer nay jo riwayaat paish ki woh kissi Quran ki ayat k maariz hain ya mukhalif hain??? Beshaak hum Muhsrikeen main say kharji hi hain aur Allah humain Mushrikeen ki jamaat main say kharji hi rakhay (Ameen) Adam wali hadees, main nay jo ayaat paish ki thein kia un k khilaaf naheen hai ??? phir tum nay kaha k kissi cheez k zikar na hona us k zauf ko sabit naheen kerta, main nay iss baat ko accept kiya tha lakin main nay kaha tha k Quran k mukhalif hona us ka zauf sabit kerta hai. phir tum nay kaha hazarat Adam nay "Rabbana Zalamna " k saath tum nay jo dua paish ki woh bhi mangi??? lakin tum abhi tak sabit naheen ker sakay k iss ka zikar kahan hai? rahi baat mohadaseen ki kia sub ahadees pay mohadeeseen ki ray aik hi hai ya ikhtilaaf-e-ray bhi hai??? baat to samajh aa gai ho gi. Jab koi faut ho jata hai woh to khud duaon k mohtaj jo hata hain aur tum us say apni hajat rawai chahtay ho??? Ab tum bato k Aamal-e-Saliha ko tum mantay ho ya naheen??? Aur Yaad rakhna k Shafaat Wasf say sabit hai zaat say naheen??? Nabi hona wasf hai, Saleh hona wasf hai, naik hona wasf hai, Aur her nabi apnay amaal main mukamal, allah k ahkaam ka tabay, her Saleh aur Naik (Aulia Allah) Shariat k paband, Allah k ahkaam k paband, Nabi ki Sunnat k paband hotay hain aur in ko Aamaal-e-Saliha hi kehtay hain kiun k nabi hona wasf say pata chalta hai, Saleh hona bhi wasf say pata chalta hai, yeh koi Label naheen hai jo her kissi ko lag jai sirf us ko lagta hai jis k pass Aamal-e-Saliha hon. Agar zaat say hota to her koi uth ker kehta main bhi hon shafaat keron ga??? Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Khair Insha Allah ul Aziz jo zara bhi Allah aur Nabi ki taleemat per huwa husko zaroor nazar aye ga k kaun Allah aur Nabi ki taleemat say inheraaf ker raha hai. Abhi tum mano ya na mano Insha Allah aik din faisalay ka muqarar hai aur jald aye ga phir sub kuch samnay aa hi jai ga. phir pata chalay ga k Allah ki ayaat ko kaisay nazar andaaz kiya jata raha aur apnay matalib per morta raha. (1) Janab zah-e-naseeb, aap to yahan waqt guzarnay aye hain na issi liya, (2) aur jo ainak tum nay pehni hai na tumhain radd zaroor nazar aye ga. (3) Kia yeh qabron perhay huway gherallah nahin???? Rahi baat but parast / Kafir / Mushrik ki woh to Nabi k daur main bhi yehi kehtay thay k woh mushrik naheen woh to apnay baap dada k mazhab per hain aur rah-e-rast per hain Abu Jehal, Abu Lahab misalain majood hain, Aur mohtaram Mushrik yeh naheen kehtay thay k Allah naheen hai woh kehtay thay k Allah k sath yeh buzarg hasitian jin k but unhon nay bana ker rakhay tha woh Allah k samnay un k sifarshee hain bilkul waisay hi sifarish kertay hain jaisy tum keh rahay ho. (4) Ab tumhara moqif ghalat ho gaya hai ab phir blue ker kero aur sabit kero???? (5) Kissi ki qabar per naheen jao gay madad mangnay k liya?? (1) Agar zara bhi aqal hoi na to ab ghor kerna Allah ki kitab k inkar bhi kertay ho aur khud ko momin bhi kehlwatay ho, Pehli kitni ayat paish ki lakin tum nay inkar kiya, inheraf kiya, matalib badlay, yeh lo aik aur ayat ab kia kero gay yaad rakhna iss main allah nay kissi kisam ki taqseem naheen ki yeh ahkamat sab k liya warid huway hain. Surah Anaam ayat 94 Tafseer-e-Saa'di Tafseer ibn Kaseer (2) Mujeh pata hai tumhari hat dharmi tum abhi bhi Quran ka inkaar kero gay aur apna hi matlab nikalo gay kiun k mushirk to aisay hi kertay aye hain. Jo Qabron main peray huway hain ab woh bhi to but hain, Quran khud kehta k tum khud un say ziada behtar ho jo suntay ho, dekhtay ho. Aur Mushrik to kabhi naheen kehay ga na k woh mushrik hai kiun k chor bhi kabhi kehta hai k woh chor hai. Aqal kiss ki zaya hoi hai woh to Quran ki Roshan Ayaat k inkaar say hi pata chal raha hai. Beshaak koi apnay aamal ka dawa naheen ker sakta tabhi to Allah nay Janat aur Dozakh banai ta k woh khud faisala keray, Phir Faisalay ka din kiun muqarar hota, Allah apni Wahdainiat kaisay sabit kerta? Issi liya Allah nay her jaga yahi kaha k Aamal-e-Saliha (taqwa) jo lay ga woh janat main jai ga aur Allah k haan farq bhi sirf taqway say ho ga?? Phir jo ayat 64 Sura Anaam ki jo ooper paish ki woh ber haq mushrikon pay kaisay sabit ho gi?? Phir lana apnay sifarshi Allah k pass???? Rahi baat nabi ki zaat ki to woh Allah k habib hain, un k zaat main to tum log GHULOO kertay ho warna Nabi nay to apni Beti Hazarat Fatima ko bhi keh diya tha mera nabi hona tumharay kuch kaam na aye ga. Ab iss baat k jawab dena warna agay baat na kerna??? Ab to saray tankay tumharay khud ba khud udhar jain gay. Rahi baat jo riwayat tum nay paish ki yeh rawayat agar Bukhari, Muslim ya Mishkat main hain to unka reference day do main check keron ga phir iss per baat ker lain gay. Kamal hai tumhari samjhdani buhat choti hai, jab koi tafseer main waqaya paish kerta hai to apnay moqif ki dalalat k liye kerta hai, pehlay to kehtay thay k tafseer naheen paish ki ab tafseer nazar aai to kehtay ho k "kia usool hai" Subhan Allah. yeh to main tumhain pehlay bhi keh chuka hoon k Mushrik kabhi bhi naheen kehta k woh mushrik hai woh to khud ko rah-e-raast per hi samjhta hai. Jo Quran ki Wazay Ayaat ko jhutla deta hai us k "emaan" ki to kia hi baat hai Chalo ab iss tarah kero aik ayat tum bhi paish kero jis main likha ho k "JAB KOI MER JAI TO US KI QABAR SAY CHIMAT JAO, USKO WASEELA BANAO, USSI SAY MANGOO, USS SAY SIFARISH KERAO"?? Ab ayat paish kerna to agali post kerna warna chup hi rehna. Aik baat aur yaad rakhna Allah nay jo Ayaat Kuffar aur Mushrikeen k liya utari hain, un main naseehat muslamano k liya bhi hai, musalmano nay bhi un amoor say bachna hai k kahin aisa na ho woh bhi mushrik ho jain. Ahle Bidaat ab tum bhi jawab do, jo main nay reply kiya tha us k sath to yeh bhi tha Iss ka bhi jawab dena k ab "Rabana Zalamna" kahan say lay ker aye main nay ayaat dekhain to nazar aya pehlay nazar naheen aya tha??? aur yeh bhi sabit kerna hai k kahan likha hai k "Rabana Zalamna" k sath doosri jo dua tum nay batai woh bhi perhi, koi ayat lao aur phir usk tafseer bhi lao aisay jan naheen chootay gi??? Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Haaye teray bahanay, chalo dekhatay hain k kahan tak tum jatay ho, khair ab naya masla khara kar diya k jo ayaat, ahadees aur duain paish ki unki tafseer naheen, khair yeh bhi hum bardasht ker hi lain gay aur aap ki farmayash bhi poori ker dain gay. Surah Aaraf ki Ayat 191-194 paish ker raha hon, sirf aik tafseer naheen 3 mukhtalif tafaseer say mulahiza farmaiya. Tafseer 1 Tafseer 2 Tafseer 3 Mohataram yeh sawal to waisa hi huwa jaisay apnay "emaan" wala point uthaya tha. iss say pehlay is thread k page no. 4 per apni hi post ki jo hadees aap nay (Imam Hakim aur ibn ul munzir )paish ki woh zaroor dekhna. Mohtaram pehlay to aap iss bat par array rahay k jo hadees aap logon nay paish ki us main Hazarat Aadam nay jo dua perhi us per unki maghfarat hoi, jab us ki daleel Quran say hi main nay paish ker di k Hazarat Adam nay yeh wali dua perhi jo Quran main hai to ab aap kehtay ho "Rabbana Zalamna" k saath yeh wali dua perhi agar us k sath yeh dua bhi thi to aap k matlab yeh huwa k Quran nay poori dua naheen batlai (Maaz Allah), Ab aap nay yeh sabit kerna hai k Quran main poori dua kiun warid naheen hoi???? (aap ko to waisay bhi farmaishain poori kernay ki adat hai na yeh zaroor poori kijiya ga) Regards -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Mohtaram Saif ul Islam aap meri baat ka jawab day dein inshallah main aap k sawal ka zaroor jawab don ga?? aur aik baat yeh bhi yaad rakhain yeh koi aik ayat naheen, Allah nay kai baar is ko radd kiya hai aur yeh farmaya hai k murday ko to shaoor hi naheen, aur yeh meri batain naheen hain yeh us zaat-e-Aala ki baat hai jis nay apni kibriyai bayan kernay k liya her zariya ko khud radd kiya aur aamal-e-saliha k hukam diya. Surah Nahal Ayaat 20-21 Chapter 16 Regards -
Sama e Mouta Foutshuda Sunty hain Quran-Ahadees e Karima
Haqeeqqt replied to Haqeeqqt's topic in مناظرہ اور ردِ بدمذہب
Janab "Y A Mohammadah" mujeh iss ayat per aap apna jawab day dain. yeh surah Fatir ki 22 ayat hai iss say pehlay wali bhi aur baad wali ayaat bhi sath dekha raha hon. Q1. Jab Allah nay Nabi ko kaha k Zinda aur Murday brabar naheen, phir farmaya Allah Jis ko chahay suna day aur Nabi aap naheen suna saktay?? Q2. Iss ayat main allah (swt) nay saaf lafzon main kiun kaha k "Jo Qabron main hain unko aap naheen suna saktay"?? Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Tum Allah ki kitab ki ayaat ko badal detay ho, apni marzi say ayaat ka matlab nikaltay ho, ayat k chand alfazz nikaal ker apnay matlab nikaltay ho, to humari tehreer ko poora kaisay perho gay main nay to yeh bhi likha tha jab koi hadees Quran k mukhalif hoti hai to us say uska zauf sabit hota hai, tumhain yeh naheen nazar aye ga iss liya k khud hi kehtay ho "Allah jab deen leta hai to aqal cheen leta hai". tum to bilkul hi bachay ban gay ho, tum nay khud hi kaha tha k "Hazarat Adam nay nabi k tawassul say yeh dua mangi" us hadees main tum nay alfaaz bhi likhay k unhon nay kaisay dua mangi jis say unki maghfirat hoi, ab Quran nazar ayaa to hosh urh gay, yeh dekh ker k Allah nay khud Quran main utaar diya k Hazarat Adam nay yeh dua mangi jis per unki maghfarat hoi. abh bhi kehtay ho sabit karo. lakin tum naheen mano gay. mujeh pata hai Surah Baqara ayat 89 main Allah nay kiya hukam utaara, ussi Allah nay Surah Aaraf ki woh ayaat bhi utari jis main Hazarat Adam ki dua bhi likhi aur jis main koi tawassul naheen. tum jitni bar bhi paida ho jao Allah k Quran ko ghalat sabit naheen ker saktay. ab perho Surah Baqara ki ayat 89. dekhnay k liya baseerat chahiya, ab phir sura Baqara ki Ayat 89 perhiya ho sakta hai baseerat wapas a jai. mainay pichli kai posts main yeh likha tha k "achay ikhlaq emaan ki nishani hai" aur aap logon nay aik post main kaha k yeh "emaan" kia hota hai. ab mujeh bhi pata chala jab sirf Aamal-e-Saliha wali ayaat ki tum nay farmaysh ki thi to main nay paish ker di thein to tum nay hujjat paish ker k kaha tha k yeh emaan kiya hota hai, woh aap ka sawal bilkul theek tha main ussay joke samjha tha. to aap ki posts say aap k achay ikhlaq aur emaan donon nazar aa gay. Rahi Surah Baqara ki ayat 89 ki woh mainay aap ko kafi dafa perhwa di bus aik baar aur perh lain. main nay yeh nahi poocha tha k kis post main kiya hai mainay poocha tha k kiss kitab say post kiya hai us k musanif waghaira k naam pata bhi bata dain. aap to bohat jaldi main hotay hain time waste naheen kertay jo likha hota hai us ko waste ker datain hain. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Janab kia mujeh aap yeh bata saktay hain k jo ayaat ap nay paish ki us main Allah nay Kuffar or buton ko kahan mukhatib kia, jab Allah kissi ko mukhatib naheen kerta to woh baat sab k liya hoti hai. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
yani quran ki roshan ayat dekh ker bhi aap kehtay hain k naheen Hazarat Adam nay wohi dua mangi aur jo Quran nay dua batai jis per unki maghfarat hoi woh theek naheen (maaz allah), pehlay aap accept ker lain k Sura Aaraf ki jo ayaat main nay paish ki ap un say inkaar kertay hain phir agay chalay gain. aap say sawal yeh hai kia Quran ki daleel SOLID POINT naheen? Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
For Saif ul Islam Mujeh "Li Zanbika" ka maanay bata dein k in alfaaz k mafhoom kaisay "Khas aur Aam" banta hai. aik aur baat "Zanb" ka kia matlab hai yeh bhi batain. For Ubaid-e-Raza (2) Janab yeh ayaat aap ki taraf say paish ki gai jis main "Li Zanbika" k matlab "Khas aur Aam" likha huwa hai, pehlay ap batain k aap logon nay authentic mutrajim ka tarjuma paisha kia hai agar kia hai to woh kiss ka hai? aap say bhi yehi sawal hai "Li Zanbika" k matalab kaisay "Khas aur Aam" nikala aap nay. (3) Mohtaram main nay ooper Sahih Muslim ka dua wala complete bab upload kia hai, aap nabi ki duain dekh saktay hai kaisi hain. iss k sath sath aap ki farmayash per main Tafseer ibn Kaseer bhi upload ker raha hon woh bhi dekh lain. iss yeh murad naheen k Allah k Nabi say gunah sarzad huwai hain iss say murad yeh k Allah (swt) ki zaat itni bari itni bari aur Aala o Arfa hai k her waqt us say astaghfar aur us k shukar ada kerna chihya aur yeh Allah k haq hai, aur yehi baat nabi ki duaon say bhi nazar aati hai. umeed hai meri yeh baat samjh aai ho gi, main aap logon say iltemaas kerta hon k khud say ayaat k matlab na nikalain, sirf issi ayat ko lain aap nay tarjuma ko badla hai sirf yeh sabit kernay k liya k nabi gunahon say paak hain aur hum bhi yeh kehtay hain Nabi gunahon say paak lakin aap logon nay yeh nahin soocha K Allah ki zaat ka haq hai us say istaghfar ki jai, aur Quran ki is ayaat main Allah nay khud apnay nabi ko farmaya k astaghfar kiya kerain, agar nabi nay Allah (swt) say mughfirat chahi to iss say kahan sabit huwa k nabi gunehgar hain. aur issi baat per "Mr. Y A Mohammadah" nay hum per Nabi ko gunehgar kehnay k (maaz allah) fatway diya huway hain. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
(2) ka jawab to day diya baqi (1) aur (3) nazar naheen aye kiun uska jawab naheen tha. -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
(1) Quran main us k zikar na hona to usko zaeef sabit naheen kerta, lakin kissi hadees k quran k mukhalif hona daleel kerta hai k woh zaeef hai, Quran nay saaf saaf bayan kia k Hazzarat Adam nay aur Hazarat Hawa nay jo dua mangi woh kia hai jiss per unki maghfirat hoi. Aap us hadees ko pakar rahay hain jis per ulama ka ikhtelaaf hai lakin Quran ki wazay khuli hoi ayaat ka inkaar ker rahay hain. (2) Janab aap kitnay fatway dain gay "jehla, wahabi, khabees etc etc ", aap sabit kerain k Allah k nabi nay kissi kafir ko bhi kafir kaha ho?? Achay ikhlaaq to emaan ki nishani hain bilkul ussi emaan ki jiss ka sawal aap nay uthaya tha?? (3) Waqay jub aik zaeef hadees ko lay ker chaltay ho aur Allah k Quran k munkir hotay ho to yehi lagta hai k Allah jab deen leta hai to aql cheen leta hai. -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Ooper main nay issi ayat k 2 mukhtalif translations post ki hain un k dekh lijia ga? aap log aik to ghalat mafhoom nikaltay hain phir us per dat bhi jatain hain. aur Allah k han koi Khas naheen aur na hi koi aam momin hai (ab yahan murad allah k anbiya ko na lena), bal k allah k Han farq taqway (Aamal-e-Saliha) hi ka hai. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Janab mainay nay yeh quote kia aur us k jawab main ap nay yeh quote kia ab main do mukhtalif translations post ker raha hon dekhain iss main KHAS AUR AAM Kahan say nikalta hai. Kiun badaltay ho Allah ki Ayaat ko, aur yeh sabit kero k iss ayat main khan istemal huwa "KHAS" aur kahan "AAM". phir main nay yeh post kia aur janab nay quote kia tha Janab pages upload to ker diya bataya naheen kahan say load kiya, kaun si kitab hai???? Janab nay ab yeh sabit kerna hai k murday ka waseela kaisay istemaal ker rahay ho?? nabi nay jo duain mangi un ko bhi dekh lo, Sahih Muslim k pages hain poora dua wala bab hai, ab batana nabi ka tareeqa kia tha dua manganay ka, koi waseela naheen tha sirf amaal hi ki baat hai.</SPAN> Janab jab hum kissi ko dua ka kehtay hain to humara maqsad hota hai k Allah say hi dua kijia ga. Aur jiss ko dua ka kaha jata hai woh Allah hi say dua kerta hai. ab samjho ayat ka mafhoom Aap k maqasid aur hotay hai issi liya to Allah ki ayaat main hujjatain paish ker rahay ho. aur Janab Surah Mohammad ki ayat 47 jo paish ki us main Allah nay hi nabi ko kaha k nabbi apnay liya bhi aur Momin aur Mominaat k liya bhi dua kerain jis say sabit hota hai k dua kerwani jaiz hai, ab jab nabi nay dua ki ho gi to woh kiss say ki ho gi yaqeenan Allah say hi ki ho gi (allah) aur baghair waseelay k hi ki hogi. ooper muslim k pages dekhna koi waseela naheen kissi dua main ab ayat k mafhoom samjh aaya. Jaldi kia hai, aur buhat saray thread shurroo hon gay, pehlay bhi is topic main 'BRAILWIAT K AQAEED' ki baat ho chuki aap hi k aik dost nay ki, iss k baad to pehlay is ki bari hai phir aap k akhaaz kiya huwa topic per baat bhi ker lain gay. kia yeh jawab kafi naheen jo mohammad sakib nay diya. yani hum mantay hain to humaray dada huway, chalo aaj say tumharay dada bhi huway kiun k unki baat quote ker aap nay bhi unko maan liya. doosri baat jo reference aap nay diya un k original pages scan kero, tum nay to apni hi kitab k pages upload kiya hain. Regards </SPAN> -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
pehli baat yeh k jo ayaat main nay paish ki thein aur unapprove hoi thein ab ap nay apni hi post main upload ker di kaun unapprove keray ga. doosri baat, yeh jo ayat aap nay paish ki pehla baat yeh batain k iss main Khas aur Aam kahan say aye?? mat badlo Allah ki Ayaat ko aur un k mafhoom ko. Iss ayat main Allah nay pehlay yehi kaha k Allah hi Ibadaat k laiq hai aur phir apnay nabi ko keh raha hai k ap Astaghfar kerain aur phir kaha k momin mard aur aurton k liya bhi maghfirat mangain, aur yehi woh jaiz tareeqa hai jis ka Allah hukam detay hain aur nabi ka tareeqa bhi hai aur iss ayat main bhi wazah hai k Allah nay Nabi ko dua hi k kaha hai yeh nahi kaha waseela dhondo. main koshish keron ga Muslim say Dua wala sara bab upload keron ta k us main aap ko nazar aye k nabi na kaisay dua mangi phir batai ga waseela kahan hai. yeh baat pehlay sabit ho chuki k zinda say dua kerwana jaiz hai, aap nay sabit kerna hai k murda aap ki taqdeerain kaisay badlay ga aur inshallah badal bhi naheen sakta kiun Allah nay shirk ko na mauaaf kernay ka wada kiya hai. aur jo ap nay raag alap rakha hai nay kuffar aur buton ka woh asal main mushrikon ki baat hai. aur aap ko pata hi ho ga k mushrik kaun hota hai??? Inshallah baqi jo ayaat apnay paish ki us ka tafseel say jawab don ga?? aik aur ahem baat jis ko mushkil aati hai, woh mushkil khusha naheen ho sakta, aur inshallah yeh sabit ho ga??? main nay bhi kuch sawal kiya thay un k jawab kidhary hain?? jawab milay naheen?? Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
is k jawab to kuch app ko mil gay hain, Iss k liya to main nay jo teen ayaat paish ki thein us main to aap ko naheen nazar aya tha iss per main nay sawal yeh kia tha k Allah nay "Aamal-e-Saliha" k elawa kiss ka zikar kiya hai. Aap nay sawal uthaya the emaan ka, aap yeh to batain jab kiss baat per ikhtelaf hota hai to sabit ho jata hai k eman wala kaun hota hai aur kon naheen, acha tareeqa hai topic k rukh mornay per, jab ayaat nazar aa gai to emaan ki baat kernay lagay (waisay aik bar khud say ghor kerain k aap na jo point uthaya hai woh kitna weak ha?). kia sahaba main kabhi ikhtalaf naheen huwa? sawal jab kiya jatay hain to jawab bhi denay pertay hain, aab aap say bhi kiya gay sawalon k jawabat ki istedaa hai. iss ki to aap nay zara jaldi ki hai thora intezaar to ker lain, aik to fatwa buhat jaldi day detain hain khud hi faisala ker k. -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Janb sawal to main nay bhi post kia hain un k jawab kidhar hain?? Khair main apni poori koshish keron ga aap k sawalon k jawab don aur kuch k ooper day bhi diya hain. "Last time " say kiya murad hai, yan mujeh ban ker diya jaye ga? Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
5th Sawal ka Jawab Janab jo Ahadees is per apnay batoor daleel di thein main nay unko upload bhi kia tha k un Ahadees main saaf likha huwa hai k agar murda sunta hai ya bolta hai Allah k Nabi nay us k makhsoos muawaqay batay hain. Ghazwa Baddar walay waqaya to hadees say sabit hai k Hazarat Qatada nay kaha tha k Badar k Kuffar jo kunwain main thay Allah nay un ko us waqt Zinda kiya tha jab nabi nay un say khitab farmaya tha aur woh aik moajaza tha, aur baad main jab Hazarat Umer nay un say khitab kia to Hazarat Ayesha nay us ki tardeed ki thi aur wohi wali ayat perhi jiss main Allah Nay Nabi ko kaha k "aap murdon ko naheen suna saktay", aur janab aik baat aur yaad rakhiya Hazarat Ayesha wali hadees bhi up logon nay hi paish ki thi. Iss waqay ka mujeh complete reference day dein main Insha Allah Tafseel say is per tehqeeq keron ga. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Janab Surah Bani Isarael ko ayaat 56-57 hi iss ka jawab hai aur baqi buhat sari post main main nay jo ayaat post ki thein woh bhi aap k iss sawal ko radd kertein hain. aur jo meri post unapprove ki gai hei woh bhi iss per daleel thei buthat behtar ho ga agar un pages (ayaat) ko upload ker diya jai to aap ko mazeed clear ho ga. Agar ab bhi samjh na aye to main mazeed tafseel say jawab day doon ga. Yeh Jawab 4th Sawal ka hai. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Janab aik baat per ghor kijia ga aap ki post jo 2 september 2008 ko ki thi yeh us k teesra sawal ka jawab hai Janab yeh ayat aap hi k khilaf hai, Zara Sura Bani Isarael ki Ayat 56 ko 57 k saath mila ker perhain. mujeh umeed hai aap meri post ko is dafa kam say kam perhain gay zaroor. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Janab aap phir sarf-e-nazar farma gay, iss ayat ki tafseer to main nay Tafseer ibn kaseer say upload ki thi aur aik aur doosri tafseer bhi upload ki thi shaid woh naheen dekhi, us main to saaf saaf likha tha k iss k matlab Allah ka qurab Aamal-e-Saliha say hasil kerna hai. Ab main kia keron nai tafseer kahan say lay ker aaon jo aap ki marzi ki ho. Janab aap k sawalon k jawab day raha jo sawal aap nay uthay us k doosray sawal ka yeh phir jawab hai. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Hazarat Adam wali Hadees k mutaliq Janab apnay saari posts shaid naheen perhi is Hadees k Zaeef honay k baray main, pehlay main likh chuka hoon shaid sarf-e-nazar farma gay khair phir aik nai daleel deta hon jo is hadees k Zaeef honay k baray main daleel hai (pehli wali post bhi perh lijia ga), ab k baar ghor kijiya ga. ab thora tafseelan zikar hai aur daleel bhi ulma ki naheen hai (k falan Aalim na kaha k Zaeef hai, falan nay kaha sahih hai) bal k Allah ki Kitab say hai. Surah Bakra Ayaat 35-36 main Allah nay kaisay zikar kiya Surah Aaraf ayaat 22-23 main Allah nay zikar kiya aur woh dua bhi batai jo Adam nay aur Aman Huwa nay mangi. mujeh pata hai ab bhi aap kahain gay k naheen woh hadees sahih hai, chahay us k zaeef hona Quran say bhi sabit hai. Yeh kia huwa, jo dua Hazarat Adam ki aap bata rahay hain, Quran nay to koi aur dua batai hai. Chalo Wahabi ki na Mano, Allah hi ki man lo, Aap nay jo sawal uthay woh to tehreer ker diya, sawal to main nay bhi poochay lakin jawab naheen diya, aur jin kitabon ka reference Mr. "y a Mohammad" nay diya main nay to yeh bhi poocha k woh kaun si hain. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
Janab aap nay post ko delete ker k acha naheen kia, agar aap BRAILWIAT ki AINAK uttar ker dekhtay to sub kuch wazah tha. khair agar aap ko nazar naheen bhi aya to aap ko daleel say post unapprove kerni chahiya thi. POST UNAPPROVE KERNAY SAY TO YEHI PATA CHALTA HAI AAP CHAHTAY HAIN K MAIN APNI POST BHI AAP HI KI MARZI SAY KERON. Ap us post ko upload kerain aur dekhain us main to saaf saaf likha hai k Allah k samanay Sifarashi lanay ki mumaniat hai. aap jab chahain gay tab bane bhi ker dain gay. aap logon ka forum hai aap jo bhi post kerain woh theek hai aur hum log jo kerain usko bhi aap hi na approve kerna hai, aisa hi hai na. Regards -
Waseela ..Moved Topic from Wahabion kay Masail
Haqeeqqt replied to Ya Mohammadah's topic in فتنہ وہابی غیر مقلد
(1) Quran ki jo Ayaat paish ki us main sirf Aamal-e-Saleha hi ka hukam hai aur iss k elawa to Allah nay aur koi Hukam un ayaat main naheen diya. pehlay aap nay kaha k ayaat dekhain jab dekha di to mananay say hi inkaari ho gay. mujeh yeh samjh naheen aati quran ki ayat nazar anay k baad bhi aap kiun dat gay hain. yeh batain k un ayaat main Allah (swt) nay Amaal-e-Saliha k elawa kiss k hukam diya hai? iss say kiya zahir hota hai k time kaun pass ker raha hai? (2) Main nay pehlay hi iss baat ko mana k Naik aur muqarab logon ki dua theek hai shaaid yeh bhi naheen dekha? (3) "dua ibadaat ka maghaz hai" aap batain kissi k liya dua kerna Amal-e-Saliha naheen??, is ki misaal bhi main nay di thi lakin woh nazar say phir naheen guzari ya aap samjhana hi naheen chahtay thay? Phir main nay sahaba k Fazail ka zikar kiya aur yeh un sawalon ka jawab tha jo aap nay Hazarat Umer wali hadees say uthay thay apnay woh bhi guzar diya. shaaid aap nay yeh bhi naheen dekha k main apni post main likha tha k naik logon say dua kerwana jaiz hai aur agar aap kissi ki dua ko waseela bana rahay hain to theek hai, agar aap nay yeh sub kuch naheen dekha to time aap guzar rahay hain. (1) sirf aik baat bata dein Jo Ayaat paish ki hain us main Amaal-e-Saliha k elawa kiss ka zikr hai?? Agar aap is baat ka jawab naheen detay to aap ko bhi mazeed behas zaib naheen deti? (1) Allah (SWT) ko aur Nabi (SWT) ko aur unki shariat ko manana emaan hai. Aur rahi Nabi ko na mananay wali to aap kissi k emaan ko to janatay hi naheen, iss k khair faisal to Allah hi keray ga. meri iss (highlighted) baat pay naraz kiun ho gay. kiya ghalat kaha?? (2) Inshallah, Nabi k rastay ko apnatay hain uski hi koshish kertay hain Allah certificate bhi day ga uski rehmton say naummeed to kahbi bhi naheen hon gay.