Jump to content

Haqeeqqt

Under Observation
  • کل پوسٹس

    148
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Haqeeqqt نے پوسٹ کیا

  1. to msulims janab Radiating Ali, Kuli say Juzi sabit hota hai, yani jahan nabi (saww) nay takhsees naheen ki wahan her mashroo tareeqa jaiz hai.
  2. to muslims Janab Toheedi sahib, yehi to masala hai aap logon k sath, hadees k jis matan say aap k matlab nikalta hai aap sirf usi ko letay hain aur baqi k matan ko zair-e-behas latay hi naheen jaisay aap nay pehlay Kasarat-e-Sajood ki baat hi naheen ki issi tarah Hazarat Moosa ko Allah ki taraf wahi ka zikar bhi hadees main majood hai lakin aap nay pehlay ussay hath tak naheen lagaya aur matlab yeh nikalnay lag gay Hazoor (saww) janat ata kernay walay hain ab aap kehtay hain k Allah ata kernay walay hain aur huzoor (saww) Qasim hain, aik baat aur clear ker dain yahan aap nay jo Qasim ki Sifat nabi (saww) ki bayan ki uss say aap kaya murad lay rahay hain. Aksar mohadiseen nay hadees k matlab woh liya jo quran aur baqi ahadees k muwafiq ho. Aur han iss baat main koi shak naheen k Nabi (saww) humaray liya bais-e-rehmat hain lakin un ki zaat main ghulu kerna aur hadd say berhana bhi deen k khilaaf hai, kiun Allah subhana wa taa'la farmatay hain "Ay emaan walo, apnay deen main na haq ghulu na kero". Allah humain aur aap ko samjhany ki taufeeq ata farmay (ameen)
  3. to muslims Yaani pehlay takrar chalti rahi aur phir Wahi aa gai. Yaani Ata Allah Taa'la hi ki taraf say hai.
  4. to muslims Mr. Qadari now you have to change as well.
  5. to muslims Reh gai baat ijtehaad ki to aap ko maloom hi naheen k Ijtehaad ki kia hasiyat hai humaray manhaj main aur hum ijtehad kaisay kertay hain. Jis tarah ki jahilana batain aap ker rahay hain iss hat-dharmi ka koi haal naheen. Tum Ahl-e-Sunnat bantay ho aur Fiqh Hanafi ko man-o-un letay ho to apnay tamam sawalon aur aiterazat ko apni fiqh main lafz-ba-lafz dekha do warna tum bhi naam nehaad Ahle Sunnat ho aur Fiqh Hanafi k munkir ho. jab dekha do to phir hum say jawab lay lena.
  6. to muslims Janab Toheedi sahib, meri pichili post dekh lain main nay hadees-e-moosa k mutaliq kuch highlight kia hai, us ka jawab day dain.
  7. to muslims Mr. Qadri aap k Aulia khud sakhta hi hain, Wali yeh nahi kehtay k hadees ko chor do woh to kehtay hain k Shariat ki pabandi kero. Daleel hum say mang rahay ho, pehlay yeh to sabit kero k kaun kaun Wali hai tumhara aur kahan kahan likha hai. Yani jissay tum wali kaho gay woh wali ho jai ga (Subhan Allah).
  8. to muslims To keh do na tumharay Akabir nay ghalat kaha hai, dartay kiun ho, dekhana tumharay akabir aur wali kaisay Nabi (saww) say alehda hota hain. Himmat kero?
  9. to muslims Janab Hadees kia hai, Biddat kia hai iss ki baat baad main kertay hain, pehlay aap batain k aap k mazhab ka kia lenda dena hai Hadees say.
  10. to muslims Yahan per kaun kiss say juda hai masala yeh nahi, masala yeh hai k tum log kiss ki baat ko apnao gay. apnay khud sakhta walion ki ya Imam ul Anbia, Nabi (saww) ki baat. Tumharay Akabir say sabit kia tumhara Nabi (saww) ki hadees say kuch lena dena naheen. Alhaaj Ahmed Yaar kia keh rahay hain usko bhi to dekho. Sirf itna keh do unhon nay ghalat kaha?
  11. to muslims Janab Radiating Ali, main sawal ko thora asaan ker deta hon kia aap ki fiqh k mutabiq holi ki mithai Halaal hai ya haram hai? Jawab day dain masla hal ho jai ga.
  12. to muslims Janab jab aap khud mantay hain Kaa'ba masjid hai to aap k yeh aiteraz k yeh dekhao k Kaa'ba kahan likha hai yeh to masjid likha hai fazool hai.
  13. to muslims Mr Radiating Ali, Jad Dul Mukhtar, SmartGuyCool, Maher-e-Tehreef zara apni fiqh bhi dekh lo. Lehaza Sawal phir wohi hai. Holi ki mithai Ghair ullah k naam ki hai ya naheen?????? Haan ya Naheen?
  14. to muslims Brother Abdulsalam nice post, be blessed, I really appreciate your attitude and patience.
  15. to muslims Holi ki mithai Ghair ullah k naam ki hai ya naheen?????? bus haan ya naheen.
  16. to muslims Janab yeh mafhoom kiss mufasir nay bayan kiya hai.
  17. to muslims Bukhari: Vol 8, Book 73. Good Manners And Form (Al-Adab). Hadith 054. Narrated By Anas bin Malik : A bedouin urinated in the mosque and the people ran to (beat) him. Allah's Apostle said, "Do not interrupt his urination (i.e. let him finish)." Then the Prophet asked for a tumbler of water and poured the water over the place of urine. Tumhara Ijtehaad humain pata hai Reh gai humaray manhaj ki woh hum nay sabit kia, aap apna to sabit kerain (Hadees k muqabaly main ijtehaad), Mr. Radiating Ali, Rah gai baat Bidaat-e-Milaad ki us k liya nai topic shurro ker do lakin iss topic k baad. Inshallah hum wahan bhi sabit kerain gay. Ab Brailvion k liya lamah-e-fikariya.
  18. to muslims aap hum per hadees k munkir honay ka dawa ker rahay hain, Halan k aap khud adhi hadees say apnay matlab nikalnay ki nakaam koshish ker rahay hain aur adhi hadees ko kissi khatir hi main naheen la rahay jis say aap ki khayanat saaf nazar aar rahi. Aur agar aap bhi zara ghor kerain to yeh hadees bab-e-Sajood (chapter) hai ya Fazal-us-Sajood hai. iss liya to Mohadaseen nay yeh hadees Sajday ki Fazeelat walay cahpter main quote ki hai.
  19. to muslims Aap sirf yeh wazeh ker dain k Kuffar aur Mushrikeen k Mazahabi Tehwar ki di gai cheezain Ghair Ullah k naam ki hain ya naheen?
  20. to muslims Ajeeb Jahilana batain hain. khair tawaqu bhi aisi hi hai. Surah Baqara Emaan walon ko sub say ziada muhabbat Allah hi say hai. Ab jo Allah k Mehboob (saww) hain mohabbat un say bhi hogi. Yani Allah subhana wa ta'ala aur Allah k Nabi (saww) ki mohabbat sab say afzal hai. Ab aap ki baton k jawab. Nabi (saww) to baat hi woh kahain gay jo Allah wahi kerain gay. ab apnay sawalon ko perkh lo k kitnay jahilana sawaalat hain, k aap nay kis tarah nabi saww k baray main keh diya k nabi (Saww) ka quol Allah subhana wa ta'ala ka qoul mukhtalif hain. Allah subhana wa ta'ala ka farman hai
×
×
  • Create New...