Rauf
اراکین-
کل پوسٹس
40 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
About Rauf
- Birthday 07/06/1988
Contact Methods
- MSN
-
ICQ
0
Profile Information
-
Interests
Discussions regarding Fiqhahi Masaails, Speeches of Ulama-e-Karaam, Solve the problems of others.
Rauf's Achievements
-
JazakAllah!!.. Very helpful info for Inpage users! thanks alot!
-
"Huqooq-e-Zaujain Course" includes Fiqahi Masaail related to Nikah, Talaq, Halala ,Iddat, Sog, Bachon Ki Tarbiyat, Bachon Ke Huqooq, Zaujain Ke Huqooq etc. It is Fard on every married Muslim Men/Women and those who are about to get married to learn these Fiqahi Masaail. So dont miss this opportunity to learn Fiqahi Masaail from Mufti Muhammad Akmal sahib himself. Course Duration: 3 months Class Timings: 02:30 pm -- 04:30 pm Days: Every Sunday Address: Lakhani Terrace,Punjab Town, Soldier Bazar No.1, Karachi. Telephone: 021-32242226 Website: www.muftiakmal.com
-
A golden chance for male and female students and for working people to become an authentic Scholar. Evening classes for Aalim/Aalima Course are starting at Al-Furqan Scholars Academy from 1st november,2009 , underthe supervision of Mufti Muhammad Akmal sahib, a well known speaker of Qtv. The best thing about this course is that Mufti sahib himself is gonna teach all the subjects. So seize the opportunity to serve Ilm-e-Deen and become a Scholar capable of solving the problems of Modern Era. Course Duration: 5 years Class Timings: 09:30 pm -- 11:30 pm Days: Monday to Saturday Address: Lakhani Terrace,Punjab Town, Soldier Bazar No.1, Karachi. Telephone: 021-32242226 Website: www.muftiakmal.com
-
2:kutta(dog) badan ya kapdon ko chujane se badan ya kapde napaak nahi hote chahe kutta tar kyun nahoo, haan kutte ka lu'ab napaak hai usse bachna chahiye Allaahu wa Rasoollahu alamu (Azzawajal o swallallaahu alaihi wa sallam) Kutte ka tar badan kapron ko chuu jaye to kapre napaak ho jaate hain,yeh Hukm isliye dia gaya tha ke Kutte ki adat hoti hai ke woh apne jism ko zaban se chaat ta rehta hai,lehaza us ka jism tar hone ki surat mai ya humara kapra tar hone ki soorat mai woh najasat muntaqil ho sakti hai. Lehaza is se bhi bachna behtar hai.
-
As-salam-u-alikum! Many queries regarding Fiqh Terminologies appear in our mind oftenly, like what is the difference between Najaiz and Haraam? What differs Fard from Wajib?What is Sunnat-e-Muakkada? etc etc. If these questions remain unanswered, they may create confusion in understanding the correct Ruling or realising the importance of a particular act in the eyes of Allah Subhana Wa Taala and His Habeeb (Sallalaho Aliyhe Wassalam). If we do not learn this today, then we should be ready to answer Allah Subhana Wa Taala on Doomsday, beacause to gain this knowledge is Fard on every Muslim. I've tried to explain few most important terminologies with their definition+hukm and their relation with one another using a Chart. InshaAllah this will make things pretty clear.
-
Phir buhat jald sun leingi aap InshaAllah:) To is se yehi saabit hota hai k Khawateen Muftia ban sakti hain:)
-
Meri behan yeh to koi baat nahi hui k Hazrat sahib keh dein to aap maan leingi warna aap agree hi nahi kareingi. Khair mai agree kerwa bhi nahi raha, sub ka apna point of view hai. Jab aap bhi is baat ki qaail hain k khawateen Aalima ban sakti hain.. to agar aik saal aur parh ker mufti ban jaingi to kya muzaaiqa hai? Agar Khawateen Muftia ban ne ki salalahiyat nahi rakhteen to Nabi-e-Kareem Sallalaho Aliyhe Wassalam ney kyoon irshaad farmaya tha k K Tehai Ilm Apni Waalida(Sayyeda Aisha Siddiqa Raddi Allaho Anha) Se Seekho?
-
Aur agar aap ke kehne ka yeh matlab thaa k khawateen ko yeh saari kitaabein mayyasar nahi aasakti aur woh duusrey Madaris nahi ja sakti.. to mere bhai yeh Humari zimmedari hai k hum aisi Libraries Khawateen k liye banaein jis se woh istefaada ker sakein. Croron Rupiya jab duusre Mustahbbaat mai lag sakta hai, to ussey bacha ker hum Ilm-e-Deen ki khidmat aaraam se ker sakte hain.
-
Pehle to yeh samajh nahi aaya k aap meri baat se Ittefaaq ker rahe hain ya Ikhtelaaf. Jab aap is baat k qaail hain k Khawateen Aalima ban sakti hain, to Muftia ban ne kya harj aagaya? Agar ittefaq kerte hain to simple kehye.. nahi kerte to saaf mana ker deejye. Muftia laazmi baat hai wohi kaam karegi jiski Shareeat ne ijazat di hogi. Ab woh mardon k pass ja ker to taheeq laazman nahi kareingi. Fatwa dene k liye Books+Knowledge+Salahiyat chahiye hoti hain.. yeh 3 cheezon aaram se Khawateen mai aasakti hain. Maine Madaris ki baat bil-umoom kahi thee na k Dawat-e-Islami ko target bana ker. Dawat-e-Islami jo kaam ker rahi hai woh apni jagah. Lekin Ahl-e-Sunnat ki almost tamaam jaamiyat ka jo maa`yaar hai yeh shayad aap ko maalum nahi. Ho sake to kissi bhi Jaamiya mai parh ker dekhye 3 maheene. Aam educated banda to wahan ki daant dapat, sakht mahaul aur tanzeemi pabandiyan to bardaasht ker hi nahi sakta. Khair aik yeh duusra issue hai k Jaamiyat ka mahaul qaabil-e-itmeenaan hai ya nahi. Meri baat wazeh thee ke Khawateen Muftia ban sakti hain aur is se to aap bhi agree ker hi rahe ho to no jhagra.
-
As-salam-u-alikum! Doctors ki field is something totally different.Jahan ghabraane ki baat hai woh bhi srif OPERATE kerne k waqt hai na k THEORY parhte waqt. Dars-e-Nizami mai to faqt kitaabein hain aur kuch nahi. Agar khawateen ko yehi keh diya jaye k aap naaqis ul aqal ho, Fatwa nahi likh sakteen to kabhi bhi aagey nahi barheingi. Srif Medical Field ki baat hai to Females ka ratio ziaada hota hai Medical Universities mai Male students se. Duusri tamaam fields mai bhi girlz parh hi rahi hain, to Dars-e-Nizami parhne mai kya diqqat hai? Maazrat k saath k Madaaris intehaai bura haal hai.. Male teachers buhat hi burrey tareeqe se parhaate hain to females mai kya haal hoga yeh Allah hi jaane. Aik acha environment + achey teachers female k Dars-e-Nizami k liye provide to keejye. Phir Aalima aur Muftia na niklein to kehyega. Humare haan Aalima aur Muftia nahi hongi to phir humaari Aapaein jis tarah se oot patang baatein kerti hain majalis mai, yeh sub ko maalum hai. Bad-Mazhab is taraf khaas tawwajuh de rahe hain k Aalima aur Muftia banein. Agar aaj is taraf hum tawwajuh nahi kareinge to phir Farhat Hashmi jaisi beshumar badmazhab ghalat taaleemaat ko aam kareingi. Jo Married khawateen hain un ka to samajh aata hai k apne husband se keh deti hain aur woh kisi Aalim se jawab le aate hain. Jo married nahi hain un k liye problem hoti hain, na woh apni bhaaiyon se share kerti hain aur na kisi aur se. Mere Ustaad-e-Muhtaram Mufti Muhammad Akmal sahib humein akser is tarah k phone calls k bare mai batate hain k khawateen apne sawalaat puch hi nahi paati. Phir woh apni zauja k zariye jawab dilwa dete hain. Well sub ka apna point of view hota hai. Daira-e-Shareeat mai jo bhi Point Of View ho woh behtar hota hai. Kisi ko kuch bura laga ho to maazrat:)
-
Mufti Sahib ne MashaAllah buhat saari books likhi hain. Kuch k naam yaad hain filhaal: 1)Baatini Gunah Aur Un ka Ilaaj 2)Meetha Zehar 3)Kya Aap Ko Malum Hai? (1&2) 4)Humare Masaail Aur Un Ka Hal?(1&2) 5)Chaalees(40) Hadeesein 6)Quraani Bayanaat 7)Faiz-e-Suaaleheen 8)Qabil-e-Rashk Khawateen 9)Ehsaas-e-Naimat 10)Thandi Chaaon(About Mother) 11)Eid-e-Qurbaan Mufti sahib tamaam mustanad Ulama ki kitaabein parhne ki ijazat dete hain. Quran and Hadith on top.
-
As-salam-u-alikum! As i told you k behnein bhi humare saath hi Aalima course ker rahi hain... aur InshaAllah Muftia course bhi kareingi. Khawateen mai Muftia ki buhat zarurat hai... warna Khawateen apne personal problems kis se poocheingi.?... Aur larkiyaan Muftia bilkul ban sakti, koi muzaiqa nahi. Jab khawateen dr... engineer etc sub kuch ban sakti hain to Mufti q nahi?
-
Al-Furqan ko shru kiye to 2 yrs hogaye Alhamdulillah. Is se pehle aik aur academy bhi thee. Teaching to kai saalon se ker rahe hain MashaAllah.
-
Mufti Sahib ke lectures filhaal to available nahi hain. Kisi ko examz dene hon to ofcourse admission le ker parhna hoga. Dekhye asal cheez to ILM hai na k degree. Degree to bus srif rasam puri kerne k liye hai. Aur ILM kitna hai.. jab tak koi regularly teacher k saamne nahi aiga to pata nahi chalega. Shayad aur bhi Madaaris hon affiliated.. per suna nahi kabhi.