-
کل پوسٹس
500 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
1
سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا
-
How Many Farz, Wajib,sunnat Are In Namaz?
Bismillah replied to Bismillah's topic in شرعی سوال پوچھیں
TAKBEER-E-TEHRIMA SHART BHI HAI AUR FARZ BHI? EK BAAT BATAIEY KEH AGAR KOI SHAKS NAMAZ KAY 7 FARZ, 6 SHARAIT AUR WAJIBAAT ADA KAR KAY NAMAZ PARTA HAI TO US KI NAMAZ PE KOI QIRAHAT TO NAHI AEY GI AGAR WO TAKREEBAN 96 SUNNATEIN ADA NAHI KARTA ? (TAKREEBAN 96 SUNNATEIN JO KEH NAMAZ KAY AHKAAM MAIN BATAI GAI HAIN) -
Faizan-e-attar.com par jitni bhi kitabein hain kya wo sab parna jaiz hai? kyon keh un mein say bohat si Ameer-e-Ahlesunnat ki nahi likhi hui hain. jaissay kay iss website pe faiza-e-attar website say kitabein li gai hain. mazrat chahta hoon kissi aur website ko share karnay kay liey, jaissey hi malsa hal ho jaey ga in sha Allah foran link remove kar doon ga.
-
How Many Farz, Wajib,sunnat Are In Namaz?
Bismillah replied to Bismillah's topic in شرعی سوال پوچھیں
namaz ki kitni sharait hoti hain? -
yeh jitnay bhi lafz likhay hain kya koi inn ka matlib detail mein bata sakta hai? waissay to amtor pe pata hi hota hai lekin main exactly samjana chahta hoon in ka matlab, jazakallahou khaira! Fatwa, Mufti, Alim, shariat,
-
itnay waqat tak qatray musalsal nahi atay keh namaz ka waqat guzar jaey lehaza ek baat ka pata chala keh wo mazoor nahi hai, kapray to wo tabdeel karta hi hai, lekin yeh tabdeel karnay ka silsila kab tak chalay ga, qatray usay peshab karnay kay baad hi atay hain, aissa nahi keh din ya raat kay kissi bhi hissay mein peshab kiey bina hi shuru ho jatay hain, aksar wo peshab kar kay kuch deer tak to bethata to hai lekin jaissay hi wo kharda(stand-up) hota hai 1 ya 2 minut kay andher to qatra a hi jata hai. yani keh jab tak wo peshab kar kay betha rehta hai tab to qatray nahi atay kyon keh peshab to band ho gaya lekin jaissey hi wo stand up hua koi na koi qatra a hi jata hai. masla yeh hai keh wo namaz walay kapray pehan kar chota ya bada peshab nahi kar sakta warna koi qatra us kay namaz walay kapron par lag sakta hai iss liey wo jab bhi bathroom jata hai koi pajama neechay pehn leta hai aur jab namaz ka waqat hota hai to utar deta hai jab bathroom jata hai to pehn leta hai aur namaz kay waqat utar deta hai. masla yeh bar bar bar pehnanay utarnay ka hai. us nay kissi doctor type kay admi say rabta kiya hai aur usay apna masla bhi bean kya hai aur us doctor nay yeh wali dawai suggest ki hai jo keh aap neechay di hui link par click kar kay pard saktay hain, iss dawai mein 50% organic alcohol ka bhi likha hua lekin umeed hai keh aissi dawai ka istimaal jaiz hai, product detail link
-
masla yeh hai keh peshab karnay kay baad qatray atay hain, aur/ya phir jab wo subah ko uthta hai to aksar koi na koi qatra nikal ata hai ya nikla hua hota hai,
-
wo shakhs mazoor nahi hai, 6 namazein wo pard sakta hai.
-
pata nahi aissa sawal karna jaiz hai ya nahi yahan par, ek shakhs ko chota ya bara peshab karnay kay baad Qatray atay hain, aksar aissa bhi hota hai keh wo fajar ki namaz kay liey uthta hai aur peshab nahi karta balqay sirf apni nali ki nok ko dekh leta hai keh kahin koi qatra to nahi hai amtor pe qatra to nahi hota lekin lekin agar ho bhi to pani say istanja kar kay wuzu kar leta hai, jab wuzu say farigh ho jata hai to dobara peshab ki nali ki nok ko dekhta hai keh kahin koi qatra to nahi niqla aur kya dekhta hai keh koi qatra nikalnay kay liey ready hai, ab wo bechara us qatray ko tissu say saaaf karta hai aur dobara shuru say wuzu karta hai, kabhi kabhi to wo 3 bar wuzu karta hai. ji han 3 bar. aur wo bechara wuzu say pehlay peshab bhi nahi kar sakta warna dobara qatra anay ka andesha hai, kya koi iss ka hal bata sakta hai? kya koi bata sakta hai keh peshab karnay kay baad aksar logon ko qatray kyon atay hain? mera matlab hai keh yeh kissi jismani waja say atay hain ya kissi buri adat kay honay ki wajah say? tamam viewers say madni darkhawast hai keh dua kiya karein namazon kay baad, bilkhasoos jab aap ijtima main jatay hain ya madni qaflon main safar kartay hain, aur us ka masjid mein jamat kay saath namaz parnay ka bhi masla hai, to iss maslay kay liey bhi dua kiya karein keh jo bhi masla hai wo hal ho jaey, allah tamam dua karnay walon ko jazaey khaira day, ameen, aur yeh saray maslay hal farmaey, ameen, jazakallahou khaira![/size]
-
bohat shukrya janab! koi aapkay paas zer zabar kay saath likhi hui ho gi? uper jo aapnay post ki hai us mein lafz wakeel aur ni'm kay darmiyaan ek ''Wao'' ki kami nahi hai
-
kya koi islami bhai mujhey yeh dua arbi mein likhi hui de sakta hai? ya khud arbi mein likh kar de sakta hai, shukrya! AGAR dua likhanay mein koi galti ho gai ho to koi bhai & behan darustgai farma day! [/size]Hasbiyallahu Wa Ni'mal Wakeel wa ni'mal mola wa ni'mal naseer
-
Mufti-e-Hind say kya murad hai? Muftianay hind kitnay hain aur un kay kya kya naam hain? issi tarah pakistan kay mutaliq bhi bata di jiey agar kissi islami bhai & behan kay paas sahi maloomat ho, shukrya!
-
Kissi Dawai Main Alcohol Milli Ho To Istimaal Jaiz Hai Kya?
اس ٹاپک میں نے Bismillah میں پوسٹ کیا شرعی سوال پوچھیں
agar kissi dawai main alcohol milli ho to us ka istimaal jaiz hai? ek shakhs nay ek dawai kharidi jiss par alcohol likha hua tha to us shaks nay dukaan walay say poocha aur unhon nay bataya keh iss mein alcohol kay sirf chand hi qatrey hotay hain jo kay dawai kay andher maincheez(ingredients) ko together (mila kay) rakhtay hain? -
Mujhey Kuch Tafseel Chahiey Is Maslay Kay Mutaliq
اس ٹاپک میں نے Bismillah میں پوسٹ کیا شرعی سوال پوچھیں
kya koi mujhe tafseel say samja sakta hai is maslay ka matlab? chothai say kya murad hai? maslan haath ki lambai 8 inch hai to chothai kya ho gi? -
aap bhi yaqeenan computer kay barey mein jantay hon gay, kya kehtay hain is kay barey mein?
-
How Many Farz, Wajib,sunnat Are In Namaz?
Bismillah replied to Bismillah's topic in شرعی سوال پوچھیں
jazakallahou khaira! -
Dur-E-Mukhtaar Kya Hai? Aor Tasweer Ko Samnay Rakh Kar Namaz Parhnay Ka Hukam?
اس ٹاپک میں نے Bismillah میں پوسٹ کیا شرعی سوال پوچھیں
dur-e-mukhtaar kya hai aur kiss nay likhi? tasweer ko samnay rakh kar parney ka kya hukam hai? -
asslaam! 5 waqat ki Namazon main kitnay farz aur wajibaat hotay hain?
-
Kya koi mujhey aissi video bata sakta hai jiss mein Qaza Namaz parney ka beaan ho, mera matlab hai, jis mein bataya ja raha ho keh qaza namazein kaissey pari jati hain? lekin video mein, waissey to yeh masla Namaz kay Akhaam main bhi likha hai lekin mujhey Video chahiey, iss say yaqeenan batanay waley ko bhi sawab milay ga, jazakallahou khaira! [/size]
-
aap kahan kay rehnay waley hain? i mean city aur mulk ka kya naam hai?
-
kehnay main koi galti ho jaey to maaf kijiey ga! dekhiey hazrat merey khial say behtar yahi hai keh aap kissi Sunni Sahi Aqeeda kissi barey Alim-e-Deen kay paas jaey aur un kay samnay apnay issue & aur apni tamam tehqeeq un kay samnay rakhay, to wahan say yaqeenan aapko aapkay sawalon ka jawab milta hua nazar aeyga, yahan par yaqeenan koi alim to nahi hai iss liey aapko mukamal daleel kay saath jawab dena mushkil hai, to lehaza baraey karm aap kissi ALIM ki talaash kijiey aur(alim agar dawat-e-islami ka ho to kya baat hai) un kay samnay yeh baat rakhiey. yeh main iss liey keh raha hoon keh kahin aap ki tahqeeq ya aapki baaton say kissii islmai bhai ya behan ko kissi kism ka waswasa na anay lag jaey. jazakallahou khaira!
-
mainey arbi to english main translate kya hai, jo k aap neechey dekh saktay hain, aap mazeed google pe ja k arbi to english dictonnary talaash kar saktay hain shaed is ka mani kuch aur hi ho,
-
Duff kay saath naat parnay kay mutaliq Ameer-e-Ahlesunnat Damat BarkaTumul Aliya nay yeh jawab diya , kya koi islami bhai mujhe explain kar sakta hai un ka jawab? kyon kay unhon nay farmaya hai keh duff kay saath naat parna to jaiz hai lekin SUR nahi banana chahiey, mujhey yahan pe confusion hai keh naat kay saath duff ka istimaal karein gay to sur to ban hi jaey ga na, mazeed agar koi roshni daal day to...
-
subkhan allah!
-
Imam-E-Azam Abu Hanifa Radi Allah Tallah Unhou
Bismillah replied to Bismillah's topic in شرعی سوال پوچھیں
kya koi islami bhai mujhe imam-e-azam radhi allah tallah unhou kay aulaad kay barey mein bata sakta hai keh un ki kitni betia, baitey thay? shukrya!