-
کل پوسٹس
500 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
1
سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا
-
han jawab to yaqeenan mutabiq hi hain. lekin imam-e-azam razi allah tallah unhou nay kiya likha apni kitabon main.
-
masla to imamat kay mutabiq hi hai. lekin agar 5 10 minut laga agar shuru say parna shuru karein gay to yaqeenan aap ko masla behtar samjh aey ga. iss maslay ko octobre 2008 main post kiya gaya tha lekin aj jan 2010 a gaya lekin yeh masla abhi tak hal nahi hua. kyon keh is ka koi tasali bakhash jawab nahi mil paya.
-
merey khial say yeh masla abhi tak hal nahi hua
-
jo shakhs dawat-e-islami ki website kay zariey online Silsila-e-Attaria main entered ho jata hai wo kya automatically qadri bhi ho jata hai ya us kay liey alehda bait karni hogi?
-
Aehtelaam Ki Surat Mein Roza Tootay Ga Ya Nahi?
Bismillah replied to Bismillah's topic in شرعی سوال پوچھیں
han magar mera sawal to zuhar kay waqat say pehlay ahtelaam ho to kaissay ghusal karein gay aur namaz kaissay parein gay, yeh hai -
main ek simple sa sawal karta hoon, hum hanfi hain, imam-e-azam abu hanifa razi allah tallah unhou nay kya likha is baray mein keh baqi ki namaz kaissay pouri karni chahiey? mujhey aap yeh bataiey. shukrya
-
yeh konsi tilli hoti hai jo keh cow ya goat say nikalti hai? beherhaal mera sawal us tilli kay barey mein tha jo keh zameen say ugti hai, jaissay keh iss biscuit mein lagi hui hai
-
shukrya, main khaleel ahmad rana saab ko nahi janta, kya yeh sunni aur ala hazrat kay perokaar thay/hain? bas tasali kay liey pooch raha hoon, shukrya!
-
Munqabat About Imam-E-Azam Radi Allah Tallah Unhou
Bismillah replied to Bismillah's topic in شرعی سوال پوچھیں
shukrya usman razawi saab! kya koi in ki audio ya video share kar sakta hain ya koi aur manqabat jiss mein merey imam-e-azam radi allah tallah unhou ka zikar hua ho, bohat shukrya! -
Aehtelaam Ki Surat Mein Roza Tootay Ga Ya Nahi?
Bismillah replied to Bismillah's topic in شرعی سوال پوچھیں
Ghulam E Mustafa saab kya aap wo bahar-e-shariat ka hissa share kar saktay hain please? shukrya! ahtelaam honay ki surat mein ghusal to farz ho jata hai merey khial say, to phir rozay ki khalat mein ghusal kaissay karein gay jab zuhar ki namaz parni hai, aur asar bhi -
darasal kissi ghair muslim nay ek muslim say yeh sawal kya tha keh soor khana Kyon haram hai to bas wajah janani thi, lekin aap nay bohat acha jawab diya keh humein koi haq hasil nahi, bas us ghair muslim ko jawab denay kay liey poocha tha. shukrya!
-
meri maloomat kay mutabiq Sarkar SALALAHOU ALEHI WASALAM ko tilli (sesame) khana pasand nahi tha, kya yeh baat sach hai? mujhey yaad nahi yeh mainey kahan para ya sunna tha. iss liey socha keh yahan say maloom kar loon.
-
to phir ishraaq aur chasht ki namaz mein kya farq hota hai
-
jazakallahou khaira!
-
teesray maslay ka jawab aap nay kahan say liya? maaf kijiey ga kuch tasali nahi hui, kyon keh merey khial say agar magrib ki pehli rakat faut ho jaey to jab aap imam kay salam phernay kay baad kharay hongay to aapko teesri rakat hi pouri karni hai jis mein sirf sura-e-fatiha parnay kay baad ruku mein chaley jana chahiey kyon keh farz namazon ki teesri aur choti rakat mein sana aur surat nahi hoti. beshak hamari pehli rakat faut hui hai lekin merey khial say namaz ko tarteeb say hi parna hoga, keh sana agar pehli rakat mein hai to aap magrib akhri 2 rakatein pard kar wapis kaissay pehli rakat ada karein gay. yeh masla mainay kahin para to nahi lekin jo zehan main tha wo bataya hai. lekin agar aap ya koi aur islami bhai & behan kissi sannat kay iss ka jawab sabit karey to madina madina. jazakallahou khaira!
-
Aehtelaam Ki Surat Mein Roza Tootay Ga Ya Nahi?
Bismillah replied to Bismillah's topic in شرعی سوال پوچھیں
janay dijiey us nay shaed iss rozay ki qaza kar li thi. -
Munqabat About Imam-E-Azam Radi Allah Tallah Unhou
اس ٹاپک میں نے Bismillah میں پوسٹ کیا شرعی سوال پوچھیں
kya koi mujhey Imam-e-Azam Abu Hanifa Radi allah tallah unhou kay mutaliq likhi gai koi munqabat ya koi naat day sakta hai? -
How Many Farz, Wajib,sunnat Are In Namaz?
Bismillah replied to Bismillah's topic in شرعی سوال پوچھیں
lekin aur bhi amal to zaroori hotay hain jaissay keh sajda, to phir issay kyon sharait mein shamal nahi kya gaya, halan k agar takbeer-e-tehreema kay na kehnay say namaz nahi hoti to sajda, ruku wagaira karnay say bhi to namaz nahi hoti, -
darasal main ek website ki kitabein doosri website pe share karta hoon aur amtor par Ameer-e-Alhesunnat ki hi kitabein share karta hoon, aur log jin kay main aqaid janta nahi, to main darta hoon keh main koi aissi kitab na share kar doon jiss mein aissa kuch likha ho jo keh ahlesunnat kay nazdeeq sahi na ho. kyon keh merey khial say kuch log kehnay ko to sunni hotay lekin un kay aqaid mein farq hota hai. bas sirf yahi baat thi. tamam users say bhi maafi ka talibgaar hoon agar meri wajah say kissi ko koi azeeat phonchi ho,
-
main iss post ko ediit nahi kar pa raha uper wali link ko kaissa remove karon?
-
maaf kijiey ga Usman Razawi saab aur deegar tamam users say bhi maafi ka talibgaar hoon agar meri wajah say kissi ko koi azeeat phonchi ho, merey yeh kehnay ka matlab nahi tha keh auron ki kitabein parna jaiz nahi hain, main darsal Ameer-e-Ahlesunnat damat barkatumul aliya ki kitbain parnay ka adi hoon to shaed iss liey zehan main sawal aya, main darasal sawal theek say nahi pooch paya, mazrat chahta hoon, darasal mujhey aur likhanay walon kay aqaid ka pata nahi, to iss liey hifazat kay liey pooch lia, mujhey galith mat samjiey ga, mera maqsad kissi ka dil dukhana nahi tha aur na koi galith baat karna tha, main bas kuch aissa hi hoon keh aksar sawal theek say nahi pooch pata, lekin bar haal mujhey merey sawal ka jawab mil gaya,
-
aap ki uper link say ek baat to teh ho gai keh is dawai ka istimaal jaiz hai, ab sawal raha keh yeh dawai say masla hal jaey ga ya nahi, to yeh dawai urinary system kay liey hai aur jiss nay di hai unhen dawaion kay barey main kafi kuch maloom, try karnay mein kya harj hai, kya pata masla hal ho jaey, lekin aap log duaaon mein khasoosan yaad rakhiey ga! jazakallahou khaira!
-
How Many Farz, Wajib,sunnat Are In Namaz?
Bismillah replied to Bismillah's topic in شرعی سوال پوچھیں
hj -
YEH DAWAI AAP KAY KHIAL SAY ACHI NAHI HAI? AUR ALCOHOL WALI DAWAI KI IJAZAT BHI HAI JAISSA KEH AAP NAY LIKHA UPER