-
کل پوسٹس
500 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
1
سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا
-
agar kissi maslay ka hal mukhtalif ulma-e-karaam kay lihaaz say un ka jawab bhi mukhtalif ho to kya karna chahiey? maslan, ek maslay ka jawab fatwa-e-razawaia main likha hai lekin ussi maslay ka hal fatwa-e-alimgiri ya kiss doosray fatway main mukhtalif likha ho to phir kya karna chahiey?
-
agar doosri tasveer bhi mil jaey to kya baat hai
-
mujhey Hazrat Imam Muhamad Ghazali Rehmatullahil Wali ki kitaab Minhaj al-Aabideen chahiey urdu main, agar kissi kay paas ho to zaroor share kijiey, shukrya!
-
han magar lekin iss video ko dikhanay ka maqsad to yeh hai keh log naseehat pakray aur benamazi namazi ho jaey ya phir imaan ki mazbooti kay liey banai gai ho gi. iss video mein real Farishtay to nahi dikhaey gaey, wo to Hassan(hai larkay ka naam shaed) jinhon nay ek khulasa bataya apnay khawab ka uss ko video main tabdeel karna chaha logon nay. jinhon nay yeh video banai hai wo bhi to yaqeenan mera ghalib guman hai keh musalman hi hongay, waissay bhi yeh video to kafi aam ho gi net pe. beherhaal main koi alim nahi hoon,
-
tasveer kay mutaliq jo ata hai keh namaz partay waqat tasveer ko samnay daein baein rakh kar namaz parna sahi nahi hai, kya koi iss maslay kay barey mein mujhey bata sakta hai keh Bahara-e-Shariat kay kiss hissay main iss maslay kay baray mein likha hai? jazakallahou khaira!
-
mujhey net pe yeh video mili hai, kya iss video ko doosri website par share karna jaiz hai ta'k doosray log kuch naseehat pakray?
-
Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou konsi makrooh hogi? Tehreemi ya tanazi, i mean kahin dohranay ki zaroorat to nahi?
-
1-) yani keh agar aap makrooh waqat main shuru karein aur magrib ka waqat shuru bhi ho jaey tab bhi aap apni baqi ki rakatein magrib kay waqat main mukamal kar saktay hain, bina kissi kirahat kay?
-
1-) asar ki namaz kay barey main kya hukam hai keh agar makrooh waqat shuru ho gaya aur ab aap akalay parnay lagay aur abhi 1 ya 2 hi rakatain khatam hi ki to magrib ka waqat shuru ho gaya. 2-) aissay hi agar aap akalay pard rahay hain aur abhi 1 ya 2 rakatain khatam hi ki thi aur makrooh waqat shuru ho gaya to phir kya hukam hai?
-
aapka article naza nahi a raha sahi tareeqay say. reupload kijiey
-
Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou agar koi shakhs azaan detay waqat 2 martaba ASHHADOU ALLAH HI LA HA ILALAHOU parey, phir ek martaba ASHHADOU ANA MUHAMADARRASOOLALA (SALALAHOU ALEHI WASALAM) aur dobara galti say wapis ASHHADOU ALLAH HI LA HA ILALAHOU par kar phir HAI YA ALASALA PARAY TO KYA AZAAN HO GAI YA DOABARA SAY DENI PARAY GI? ya phir aissay hi namaz par leni chahiey? agar aap jawab bahar-e-shariat kay hawalay say ya phir fatawa razawaya kay hawalay say dain to kya hi baat hai, shukrya!
-
subkhanallah, jazakallahou khaira! dil khush ho gaya, bohat shukrya!
-
kya koi mujhey Sheikh Amin Bin Abdur Rehman kay barey main bata sakta hai keh wo kaun hain?
-
shukrya!
-
Nara-e-Takbeer, Allah Hoo Akbar azwajal Nara-e-Risalat, Ya Rasoolala salalahou alehi wasalam Nara-e-Haidri, Ya Ali Nara-e-Ghussia, Ya Ghuass al Azam
-
jazakallahou khaira!
-
jazakallahou khaira!
-
Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou dekhiey hazrat mujhey aur kuch nahi janana hai aap baraey meherbani khuada kay wastay apni post number 30 aur 32 ko remove kar dein. khuda kay wasty. bohat shukrya jo aajtak aapnay merey sawalon kay liey kya. jazakallahou khaira" Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou
-
Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou main nahi janta keh khana-e-kaaba ka imam kaun hai aur kiss masliq say tualiq rakhnay wala hai. iss tarah net pe un kay mutaliq un ki peeth peechay apka kuch ajeeb o ghareeb alfaaz istimaal karna mujhey kuch munasib nahi lag raha. bari mazrat kay saath yeh keh raha hoon. haqeeqat to allah hi behtar janta hai. meri baaton ka bilkul bura matt maniey ga bilkul bura matt maniey aur bilkul bura matt maniey ga mujhey jo behtar laga wo likha, agar main nay jo likha aur kabhi bhi sabqa zindagi main aap ka ya kissi doosray islami bhai behnon ka dill dukhaya ho ya kissi kissm ki dil azari ki ho to main aap sab say maafi ka talibgar hoon. main aap sab say maafi chahta hoon khasoosan Usman Razawi saab aap say keh aap sab mujhey maaf kar dein. jazakallahou khaira! duaon mein khoob yaad rakhiey ga keh yeh masla hal ho jaey. meri aap say dilli request hai keh app apni post number30 ko delete kar dain. aur iss maslay ko hum yahi pe STOP kartay hain. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou
-
mainay kab kaha keh main nahi manta? main manta hoon iss fatway ko mujhey bhi dawat-e-islami say aissa hi ek fatwa mila tha. main to manta hoon iss fatway ko. hazrat main RIAYAT nikalnay ki baat kar raha hoon aapnay jo kuch likha us ko wrong nahi keh raha, uper mainay alcohol ki misal di na, RIAYAT nikal ai keh nahi? aap mujhey khud jawab mein likh kar bataiey keh riayat nikli keh nahi? aapnay kaha aajbhi Alhamdulillah sunni whan ja rk apni nmaz elahida pahtay hain.... to kya kaabay ka imam sunni nahi hai? appkay khial say. meri maloomat kay mutabiq kabay ka imam ek hi hai ajj. daleel to nahi hai lekin sunanay main aya hai. agar pehlay 4 imam hua kartay thay kaabay kay to ab kya hua? imam-e-azam razi allah tallah unhou say lekar najdio ki hakoomat tak kya hamesha 4 hi imam hotay thay? yani keh charon aima karaam ka silsila mukamal hua. aapkay iss fatway main likha hai khoon kay baray mein, to jab tak khoon nahi nikalta tab tak unkay peechay namaz pard saktay hain? halaat ko bhi to dekhain na jaissay halaat hotay hain waissay muamlaat bhi to hotay hain. umper mainay iss ki bhi misal di lekin agar aap kehtay hain keh aapnay post 24 pari hai to yaqeenan pari ho gi. ab agar yahan pe koi ek musht say kam dari wala imam milta hai aur us kay ilawa kissi ki bhi dari nahi hai, to kya chahtay hain aap keh hum sab musalay ko tala laga kar apnay apnay ghar chalein jaey aur apnay apnay gharon mein apni apni namaz parein? yani keh masjid samnay hai aur us ko tark kar kay apni namaz akalay ghar mein parein? aur waissay bhi yahan kay umla-e-karaam bhi to kehtay hain keh YAHAN KAY HALAAT KAY MUTABIQ SARI IMAMAT KI SARI SHARTEIN NAHI POORI KI JA SAKTI, agar sari shartein poori karnay ko chalein to hamarey area mein taqreeban 5 musalay hain aur wo sarey k sarey band ho jaey gay, kyon keh aissa imam nahi milta jiss mein sari sari shartein pai jaein. aaj humain deen ko pehlanay ki bohat zayada zaroorat hai na keh masjidon kay darawazay band karnay ki. meri wajah say kissi ki dil azari hui to mafi ka talibghar hoon
-
aap meri post number 24 ko dobara parein mainey us main kuch baad mein add kiya tha shaed wo aap nay nahi para. shukya!
-
main samjha nahi, main poochna chahta hoon keh hadeees main kya likha hai? konsi tilli ki baat hui hai? wo jo zameen say ugti hai ya wo jo aapnay cow aur goat kay barey main batai hai.
-
yani keh fitnay peda hotay hain to ho jaey, bugaz kina wagaira ka andesha hai to ho jaey, jamat kay saath namaz na parnay ka sawab nahi milta to na sahi lekin hum nay namaz nahi parni un kay peechay? yeh kya baat hui bala. aj hum musalmano ko ek honay ki zaroorat hai, ek doosray kay saath jurd kar rehnay ki zaroorat hai. bohat sare log hajh k liey jatey hain aur wo sab namaz ke waqat ek hi imam ke peechey namaz partey hain, to un sab hanfion ki namaz kaissay ho jati hai? kabhi aapne aissa dekha sunna hai k koi hajh k liey gaya aur farz namaz parney k liey us ne koi hanafi imam na milne ki waja se akele hi namaz pard li kyon k khana kaba ka imam hanfi nahi hai. ya phir khana kaba kay samnay hanfio ki alehda jamat ho rahi aur doosray fiqh walon ki jamat alehda ho rahi hai. Imam-e-Azam Abu Hanifa razi allah tallah unhou say lekar aaj tak jitnay bhi hanfi aulia-e-karaam houay kya wo sab kay sab apni jamatein alehda kar kay partay thay?? hum musalman hain aur humein akatha rehnay ki zaroorat hai. hum jab khud hi ek doosray say alehda honay lagay gay to doosray log to kahein gay tum musalman ek doosray kay peechay namaz to partay nahi ho aur humein islam ki dawat detay ho. ghaur to karein. main ala hazrat kay fatway ka inkaar nahi kar raha hoo. main riayat nikalnay ki baat kar raha hoo. maslan, alcool peena jaiz nahi. lekin agar yahi alcool kiss dawai main milli ho to ulma-e-karaam nay ijazat di keh yeh dawai aap pii saktay hain jab keh us main alcool hai jo keh islam main haram hai aur us ko peenay ki bari waeedain hain. ta k musalamaan gunah mein mubtala na ho jaey. akhir riayat nikal ai na??? issi tarah agar namaz ek doosray kay peechay na parnay say fitnay peda honay ka andhesha hai to kya riayat nahi nikal sakti? yeh masla ghair islami mulk canda main darpesh hai , agar koi hanafi imam fix ho sakta to yaqeenan kiya jata lekin us musala kay zumadaraan nay kaha keh yahan pe koi bhi imam fix nahi kiya ja sakta keh us ki tanha kay paissay nahi hain. pehlay hi musala ka rent bohat bhari parta hai imam fix karna to door ki baat hai. yeh musala yaqeenan inn maliki logon kay zariey say hi abaad hai keh wo namaz partay aur paratay. aur namazi bhi total taqreeban 5 10 hotay hain. ab un main say koi ek imam ho to insaan baat karey lekin wahan jo pehlay a jaey wohi imamat kara deta hai. agar koi maliki apnay imam kay hissab say gusal kar kay paak ho gaya to paak hai . apnay imam kay hissab say wo to paak ho k namaz to parta hain na. sajda allah ko karna hai chahey koi ahnaaf kay mutabiq ya malikion kay mutabiq ghusal karey. zaroorat to paak honay ki hai na? ek shakhs ameer tareen hai aur wo har maheenay 1000 ropay masjid main deta hai lekin ek waqat us pe aya keh wo 10 ropay har maheenay denay laga, kyon? kyon keh jab us kay halaat achay thay wo 1000 diya karta tha ab us kay halaat badal gaey wo 10 deta hai. ab usay yeh kaha jaey ga keh aapkay halaat jaissay bhi hain 1000 hi do! yaqeenan nahi, jaissay halaat waissay muamlaat. umeed hai keh aap zaid kay maslay aur halaat ko khoob samjay hongay. meri wajah say kissi ki dil azari hui to mafi ka talibghar hoon
-
KYA KOI BHAI MUJHEY MUFTI AKMAL SAAB KA TELEPHONE NUMBER DE SAKTA HAI, CELL YA GHAR KA NUMBER YA UN SAY KOI BAAT KARNAY KA ZARIA.
-
ZAID CANADA MEIN REHTA HAI AUR US KAY GHAR KAY QAREEB JO MUSALA HAI US MEIN IMAMAT MALIKI FIQH KAY LOG KARATAY HAIN. AUR YAHAN PE KOI HANAFI IMAM FIX NAHI KIYA JA SAKTA, LEHAZA UN KAY PEECHAY HI PARNI PARTI HAI NAMAZ. WARNA BOHAT SARI MUSHKILAAT KA SAMNA KARNA HO GA. PEHLI BAAT TO YEH HAI KEH WAHAN PE KOI BHI IMAM FIX NAHI KIYA JA SAKTA, JAMAT KAY SAATH NAMAZ PARNA WAJIB HOTA HAI. AUR YEH MUSALA ZAID KAY GHAR KAY BILKUL SAMNAY HAI KEH WAHAN JANAY KAY LIEY 1 MINUT BHI NAHI LAGTA. YANI BILKUL GHAR KAY SAMNAY HAI. AB JAB MUSALA GHAR KAY ITNA PAAS HAI TO GHAR MAIN NAMAZ PARNAY KA TO SAWAL HI NAHI HOTA KYON K JAMAT KAY SAATH NAMAZ PARNA WAJIB HOTA HAI, LEKIN ISS MUSALA MAIN IMAMAT KARANAY WALAY MALIKI HOTAY HAIN HANFI NAHI. AUR WO AKSAR SAR PE TOPI NAHI PEHANTAY SHAED ISS LIEY KEH WO KEHTAY HAIN KEH TOPI PEHNANA SUNNAT HAI FARZ NAHI. AUR UN MAIN SAY AKSAR DADI KO BARNAY BHI NAHI DATAY, AISSA SAMJH LIJIEY KEH TAQREEBAN 2 YA 3 INCH LAMBI HOTI HAI. SHAED MALIKION KAY NAZDEEQ ITNI DADI RAKHNA JAIZ HAI. YA ITNI RAKH KAR IMAMAT KARAI JA SAKTI HAI. BEHERHAAL MAIN FIQH-E-MALIKI KO ZAYADA NAHI JANTA. AB DO MASLAY SAMNAY AEY KEH EK TO TOPI KI KAMI AUR DOOSRA EK MUTHI DADI KI. AUR TEESRA MASLA RIAYAT KA HAI JO KEH ZAID KO NAHI PATA KEH WO HAMARAY MASLIK KI RIAYAT KARTAY HAIN YA NAHI. AB SAWAL YEH HAI KEH UN KAY PEECHAY NAMAZ PARNA JAIZ HAI YA NAHI. YAHAN PE JITNAY BHI ULMA-E-KARAM SAY ZAID NAY POOCHA SAB NAY 1 HI JAWAB DIYA KEH NAMAZ HO JATI HAI DOHRANAY KI ZAROORAT NAHI HAI. LEKIN DAWATEISLAMI KAY MUFTIAN-E-KARAAM NAY KAHA KEH AISSON KAY PEECHAY NAMAZ PARNA MAKROOH-E-TEHREEMI HAI KEH AISSI PARI HUI NAMAZ DOHRANI HO GI. BALKAY EK MUFTI SAAB NAY TO YAHAN TAK KAHA KEH AAP APNI NAMAZ HI ALEHDA KAR LIJIEY. ZAID ISS MUAMLAY MAIN BOHAT BOHAT PARISHAAN HAI KEH WO IN KAY PEECHAY NAMAZ PAREY TO MUFTIAN-E-KARAAM KAY FATWAY KEH NAMAZ DOHRANI HO GI AUR AGAR NA PAREY TO WAJIB KA TARAK, FITNAY KA ANDESHA, BUGAS PEDA HONAY KA ANDESHA, JAMAT KAY SAATH NAMAZ PARNAY KA JO 27 GUNAH SAWAB MILTA HAI SHAED WO BHI NAHI. ZAID KAY DIL MAIN BECHAINI KEH MAIN EK MUSALMAAN HO KAR GHAR MAIN NAMAZ PARTA HOON JAB KEH MUSALA MAIN LOG JAMAT KAY SAATH NAMAZ PAR RAHAY HAIN. MUSALY MAIN JANAY SAY JO BARKATEIN HASIL HOTI HON GI SHAED UN SAY BHI MEHROOMI,KHANA-E-QABA KAY IMAM SAAB BHI TO YAQEENAN HANAFI NAHI HAIN TO DUNYA SAY JITNAY BHI HANAFI HAJJ YA UMRAY KAY LIEY JATAY HAIN KYA WO SAB KAY SAB APNI APNI NAMAZEIN ALEHDA PARTAY HAIN.EK TARAF MUFTIANAY KARAM KAY FATWAY AUR KAUL AUR EK TARAF KAM AZ KAM YEH SAB CHEEZEIN. ZAID KO ISS MASLAY KAY BAREY MEIN AAJ TAK KOI TASALI BAKHASH JAWAB NAHI MILA. YAHAN KAY LOG KEHTAY HAIN KEH JAHAN KA MASLA HO WAHIN KAY ULMA-E-KARAAM SAY POOCHANA CHAHIEY KYON KEH WO YAHAN KAY HALAAT BEHTAR JANTAY HAIN. AUR YAHAN KAY HALAAT KO MAD-E-NAZAR RAKHTAY HUAY JAWAB DETAY HAIN. AUR JAISSA KEH UPER ARZ KIYA KEH ZAID NAY YAHAN KAY KAFI ULMA-E-KARAAM SAY POOCHA AUR SAB NAY EK HI JAWAB DIYA KEH NAMAZ HO JATI HAI. AUR YEH SAB KAY SAB ULMA HANAFI HAIN. AB ISS MUSALA MAIN MALIKION KAY ILAWA KOI HANAFI BHI NAHI HOTA JO KEH IMAMAT KARAYA KAREY AUR NAHI HI MALIKION KO HATAYA JA SAKTA HAI, AGAR UN LOGON KO HATA DIYA TO ISS MUSALA KAY BAND HO JANAY KA POORA POORA ANDESHA HAI, AUR YEH BAAT BHI YAQEENAN THEEK NAHI.YAHAN PE KOI HANAFI IMAM FIX BHI NAHI KYA JA SAKTA KEH WO HAR NAMAZ KI JAMAT KARAYA KAREY,YEH EK BOHAT BARA MASLA HAI, KAHAN OCTOBER 2008 KO ZAID KO ISS MASLAY KA PATA CHALA AUR KAHAN AJJ JANVARY 2010 KA MAHEENA CHAL RAHA HAI. LEKIN MASLA WAHIN KA WAHIN.