Jump to content

Bismillah

اراکین
  • کل پوسٹس

    500
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا

  1. mufti saa farmatay hain keh dawateislami ki website pe Rohani ilaaj service say rabita karain, lekin wo to jawab by post detay hain mujhay to sirf Wazeefa chahiey http://mufti.faizaneattar.net/Answer.php?Q=26870
  2. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou! kya akalay namaz partay waqat apnay honton ya zaban ka hilna zaroori hai ya dil main bhi par pard saktay hain bina hont ya zaban hilaay? mufti saab farmatay hain keh dil main parna zaroori nahi, http://mufti.faizaneattar.net/Answer.php?Q=26871 lekin mera to sawal yeh hai keh dil main koi paray to namaz ho to jaey gi na
  3. kya aissa koi wazeefa hai jis ka wird karnay say qatray ka masla hal ho jaey? mainay faizaneattar.net pe sawal kya tha lekin abhi tak jawab nahi mila,
  4. islami saal aur essawi saal main kitnay saalon ka farq hai? yani keh agar hum kehtay hain 35 san-e-Hijri to phir essawi calender main ktina saal banay ga, konsi sadi?
  5. konsay dr say poocho, mainay to net pe research ki hai meri maloomat kay mutabiq to pata bhi nahi keh qatra kyon ata hai to ilaaj kaissay ho ga, aap apnay kareebi kissi desi dr say poochiey ga shaed unhein maloom ho, iss ka koi wazeefa bhi hoga, wo main bhool gaya
  6. shukrya! peshab kay baad jo qatra ata hai uss ka koi hal hai? mufti saab ko kahein keh jawab kuch lambaa chorraa diya karein kuch detail say kuch samja kar, to behtar samjh ati hai
  7. peshab kay kitnay qatray niqlay to wuzu toota hai? yani keh baaz oqaat wuzu kay baad peshaab ki nali ki nok pe kuch pani chamk raha hota hai ab pata nahi hota keh chaltay chaltay wo qatray ki soorat ikhtiaar kar kay gir jaey ga ya wahi say andher chala jaey ga, qatray ka bhi khaas pata nahi keh wo kitna hota hai, isliey mainay poocha keh kitna qatra niqlay aur bahay tab wuzu toota hai.
  8. aap chahein to yahi sawalat dawateislami kay muftian-e-karaam say pooch saktay hain: http://mufti.faizaneattar.net/ http://www.dawateislami.net/darulifta faizaneattar.net pe meray khial say jaldi jawab mil jata hai.
  9. peghamber ka lafz nabi kay liey bhi istimaal ho sakta hai aur rasool kay liey bhi, sahi
  10. haj to haj hota hai to phir in main farq kya hota hai?
  11. yani keh ek shariat main sirf aur sirf ek hi rasool ho sakta hai aur nabion ki tadad ek say zayada bhi ho sakti hai? sahi
  12. musalman pe jo haj farz kya gaya hai wo konsa hai?
  13. ek shariat main kitnay nabi hotay hain ya ho saktay hain? shariat lanay walay kay ilawa
  14. han magar aapnay kaha na keh umray ka waqat muqrar nahi hota to phir kyon na haj say farig ho kar umra bhi ka liya jaey, chahiey wo koi bhi hajj ho. nahi
  15. Koi rasool kaissay nai shariat lekar atay hain un ko wahi kay zariey nahi kya bataya jata? ya phir unhain kaissay bata jata hai nai shariat kay baray main? kya kissi alim-e-deen nay iss baat ka AUTHENTIC jawab diya keh Qul kitnay Nabhi huay aur kitnay Rasool aur total peghambro ki tadad kitni hai?
  16. yani keh jab koi haj karta hai to uska umra bhi ho jata hai. kyon keh Ehram ki halat main Khaana-e-Kabah ka twaf to already haj main say hai aur baqi sirf Safa-o-Marwah par jana reh jata hai, agar aap haj keh baad Safa-o-Marwah par chalein to haj bhi ho gaya aur umra bhi. nahi
  17. lekin nabi paak salalahou alehi wasalam to nabi thay aur rasool bhi aur wahi bhi ati thi, to islam nai(new) shariat nahi hai kya? kyon keh aap nay likha na keh nabi wo jo keh shariat na laey
  18. Bismillah

    Hajj Aur Umra

    Hajj aur Umray main kya farq hai?
  19. Bismillah

    Imam Kissay Kehtay Hain

    1-) Peghamber, Rasool aur Nabi main kya farq hota hai? 2-) imam kissay kehtay hain? jaissay keh imam Hussain radhi allah ta'la unhou, imam Malik radhi allah ta'la unhou aur issi tarah deegar hastion kay saath jo imam ka lafz istimaal kya jata hai. shukrya!
  20. meray paas hai yeh kitaab aur maine iska hissa ''Ghar main anay janay ki sunnatein'' pari hai lekin mujhey to kahin nazar nahi aya keh ghar main enter hotay waqat pehlay konsa paaon dakhil karna chahiey, main susst admi hoon agar koi baraey meherbani meray liey talaash kar day to madina madina. bataiey keh main kya karon jaan booj kar imam say pehlay hi takbeer laga doon, maslan imam takbeer lagata hua sajday main gaya aur lafz ''Akbar'' sajday main ja kar khatm kya, to main kya qayam main hi rahon keh unn ki takbeer poori ho ya main bhi unn kay saath hi sajday main jaon aur meri takbeer unn say pehlay khatm ho jaey. yeh aapko Ajeeb sa nahi lagta keh imam say pehlay hi takbeer ka khatm kar dena. kyon keh apki link main mufti saab nay farmaya hai keh Agar aapki takbeer imam say pehlay poori ho gai to namaz ho jaey gi lekin unhon nay yeh to nahi kaha keh aap jaan booj kar laga diya karein agar imam slow takbeer lagatay huay sajday main jata hai. beherhaal main zara natoo phatoo admi hoon mujhey baaz oqaat late samjh ati hai, aap agar kuch mazeed batana chahein to shukrya!
  21. 1-) masjid main, ghar main, washroom main annay janay ki kya sunnatein hain mera matlab pehlay konsa paaon dakhil karna chahiey aur bahir nikaltay waqat konsa paaon? 2) ek imam saab sajday main jaatay huay, aur wapis qayaam main atay huay (sajday kay baad) takbeer lambi lagatay hain. yani keh wo slow speed main imamat aur kiraat kartay hain. ruku say farigh ho kar sajday main janay kay liey itni lambi takbeer kheenchtay hain keh lafz (Akbar) sajday main ja kar poora hota hai. peechay kay muqtadion nay takbeer lagatay huay sajday main jana hota hai jab keh yeh wajib ya farz to nahi hai phir bhi sawab kay liey, ahnaaf kay han to imam kay saath hi ruku sajood aur baqi amal karnay chahiey. agar hum imam kay saath hi sajday main jaey takbeer lagatay huay to andesha hai keh hamari takbeer imam say pehlay na mukamal ho jaey kyon keh har koi to slow speed takbeer nahi lagata na. poochna yeh hai keh muqtadi intezaar karein keh imam ki takbeer poori ho jaey phir muqtadi takbeer lagatay huay jaey ya hum bhi imam kay peechay peechay lagataey huay sajday main jaey jab keh imam ki takbeer poori nahi hui. namaz kay andher kuch log wait kartay hain keh takbeer poori ho phir wo takbeer lagatay huay stand hon ya sajday main jaey aur kuch imam kay saath saath hi chalay jatay hain. yani keh ek hi saf (jamat) main kuch log abhi ruku main hotay hain aur kuch log imam kay saath hi stand ho jatay hain. umeed hai keh aapko masla samjh main a gaya ho ga. baraey meherbani Daleel kay baghair koi jawab na day. Bohat shukrya!
  22. Bismillah

    Zameen Ghoomti Hai Ya Nahi

    Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou mujhey al'a hazrat rehmatullah alehi ka wo risala/book chahihey jo unhon nay zameen aur suraj kay baray main likha tha keh zameen goomti nahi balqay ruki hui hai. iss risalay ka zikar ameer-e-ahlesunnat damat barkatumul aliya nay galiban apnay inn madani muzakray main say kissi 1 main kya hai lekin mujhay yaah nahi raha wo kaun sa hai Madani Muzakrah Q/A Part- 1 ( 3rd October 2010) Madani Muzakrah Q/A Part- 2 ( 3rd October 2010) Madani Muzakrah Q/A Part- 3 ( 3rd October 2010) Madani Muzakrah Q/A Part-4 ( 3rd October 2010) Madani Muzakrah Q/A Part-6 ( 3rd October 2010)
×
×
  • Create New...