Jump to content

Bismillah

اراکین
  • کل پوسٹس

    500
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا

  1. check this thread please! http://www.islamimehfil.com/topic/9422-kharidari-kay-mutaliq-sawal/page__p__58711__hl__software__fromsearch__1#entry58711
  2. check this thread please! http://www.islamimehfil.com/topic/9422-kharidari-kay-mutaliq-sawal/page__p__58711__hl__software__fromsearch__1#entry58711
  3. check this thread please! http://www.islamimehfil.com/topic/9422-kharidari-kay-mutaliq-sawal/page__p__58711__hl__software__fromsearch__1#entry58711
  4. yeh kya ho raha hai bhai, pehlay kissi sahi mufti saab say pooch to lain keh aissa karna jaiz bhi hai ya nahi, mujhay to iss main galit(wrong) nazar ata hai.
  5. iss tarah kissi aur ki key istimaal karna jaiz bhi hai ya nahi, pehlay yeh baat teh kar leni chahiey, mujhay to nahi lagta keh aissa karna jaiz ho ga
  6. han magar shariat main aissa karna jaiz bhi hai ya nahi? kya ap nay kissi sahi mufti say poocha hai iss muamlay kay baray main?
  7. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou photoshop ka to mujhay pata nahi lekin itna mainay zaroor ulma-e-ahlesunnat say sunna hai keh mairaj pe jatay waqat ek pathar utha tha aur huzoor salalahou alehi wasalam nay farmaya theher ja aur wo pathar wahi pe theher gaya, ab mujhay nahi pata keh yeh wala pathar wahi hai ya nahi. baqi yahan pe hamaray Usman Razawi saab atay hain aur wo kafi deeni maloomat rakhtay hain aap unsay iss forum pe sawal kar saktay hain. yeh hai unki link: http://www.islamimeh...6-usman-razawi/ aur waissay bhi bhai aissay sawalat muftian-e-karaam say karnay chahiey jo hum say zayada ilm rakhtay hain, internet pe to aap jantay hain keh tara tara kay log tara tara kay mazhab/aqeeday kay mananay walay atay hain. ab har koi islamic forums par visit karnay wala ya answer denay wala mufti to nahi hota na. to phir kyon na hum seeda seedha kissi sahi ul aqeeda mufti say poochay aur ek tasali bakhsh jawab hasil karain. ab intenet pe koi kuch kehta hai aur koi kuch to tasali kahan say hogi. najanay jawab denay walay ka kya aqeeda hai aur wo allah aur uskay rasool salalahou alehi wasalam aur sahaba-e-karaam kay baray main kya aqeeda rakhta hai.ulma-e-karam farmatay hain aur yaqeenan aap bhi jantay hi hongay keh aaj dunya main baaz logon kay haath main quran aur hadees to hoti hain lekin mefoom apna hota hai. mera to mashwara to yahi hai keh aap seeda seeda kissi sahi ul aqeeda aur ba amal mufti saab say poochain. aap chahain to apna swal inn mufti saab say online pooch saktay hain kafi jaldi jawab a jata hai galiban agar wo busy na ho to: http://mufti.faizaneattar.net/ http://www.dawateislami.net/darulifta baqi aap ki marzi. duaaon main yaad rakhiey ga!
  8. http://www.islamimehfil.com/topic/6481-need-a-pic-of-these-rocks/page__gopid__69657#entry69657
  9. book to nahi mili bhai lekin faizaneraza.com pe Waqia-e-Mairaj ki 2 videos mili hain, shaed aap kay kaam a sakain ya koi aur islami bhai & behn dekhna chaey to... http://videos.faizaneraza.org/video/39 http://videos.faizaneraza.org/video/38
  10. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou mujhay bahar-e-shariat ki yeh wali jildain chahein agar kissi kay paas ho to baraey meherbani jaldi say share kar day, bohat shukrya! 12, 13,14,15,17,18,19,20 main janta hoon keh bahar-e-shariat ka ek software bhi hai lekin mujhey yeh wali jildain alehda alehda chahiein.
  11. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou! Pehli baat to yeh hai keh main koi ma'z Allah koi aiteraaz nahi kar raha, main to sirf shari masla jananay ki baat kar raha hoon, meri samjh main yeh baat nahi a rahi hai, kyon kay meray khial say Sawab aur cheez hai aur Gunah ka mitna aur cheez, sawab say insaan kay darjaat buland hotay hain yaqeenan aur gunah kay mitnay say insaan kay gunahon main kami hoti hai, jab wuzu bina niyat kay wajood main ata hai aur namaz pari ja sakti hai to yaqeenan gunah bhi to mitay gai na agarchay sawab nahi mil raha. kyon keh sawab ka milna aur cheez hai aur gunah ka mitna aur. agar ho sakay to aap apnay kissi alim-e-deen say poochain shaed wo koi nai baat bata dain aur meri confusion door ho jaey. umeed hai keh aap meri confusion samjh rahay hongai, likhnay ya samjanay main koi galti, kotahi ho gai ho main ALLAH azwajal ki bargah main tauba karta hoon. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou!
  12. bin niyat kay wuzu ho jata hai lekin SAWAB nahi milta yeh baat samjh main aati hai, agar aap ghaur farmaein keh kahin bhi Hadees main yeh nahi likha keh niyat karo gay to gunah jharay gai warna sirf wuzu hi hoga, saaf saaf likha hai keh wuzu say gunah jhartay hain. niyat ka tualaq to sawab say hai, SAWAB ek cheez hai aur GUANAH aur cheez, bina niyat kay sawab nahi milta samjh main ata hai lekin GUNAH bhi niyat kay bina nahi jhartay yeh samjh main nahi aata, meray khial say agar aissi baat hoti to yaqeenan jab ulma-e-karaam wuzu ki yeh wali fazeelat bayan kartay hain to wo yaqeenan yeh bhi kehtay keh niyat karo gai to gunah jharay gai warna nahi, baqi ALLAH hi behtar janay.
  13. Bismillah

    Wuzu Say Gunah Jhartay Hain

    Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou wuzu karnay say gunah jhartay hain yaqeenan hadeeson say sabit hai, agar wuzu bina niyat kay kiya jaey to wuzu to ho hi jata hai lekin kya iss say bhi gunah jhartay hain ya uss wuzu say guanh jhartay hain jiss ko karnay say pehlay niyat ki gai ho? bohat shukrya!
  14. mainay ek qari saab say maloom kya hai aur unhon nay bhi yahi kaha hai keh issay "LISHAYATEEN" Parhain gey jazakallahou khaira!
  15. lekin iss main doosray laam ko kyon nahi paray gai?
  16. Bismillah

    Yeh Lafz Kaissay Parna Sahi Hai

    Surah Mulk ki ayat number 5 main yeh lafz kaissay paray gay '' LILSHAYATEEN paray gay ya LISHAYATEEN? kyon kay meray khial say iss lafz main 2 LAAM atay hain, baraey meherbani meri rehnamai farma dijiey, bohat shukrya!
  17. Mashallah mujhay bhi mufti saab ki speech bohat achi lagti hain, mainay kai jago pe dekha hai keh mufti akmal qadri saab ki book pe Attari likha hota hai, kya wo bhi dawateislami walay hain i mean kya unhon nay bhi ameer-e-ahlesunnat damat barkatumul aliya kay han bait ki hai? bohat shukrya
  18. Bismillah

    Gair Muslim Ko Bechna Kaissa Hai

    JAWAB BOHAT BOHAT JALDI JALDI CHAHIEY, ISS LIEY MAINAY MUFTI SAAB NAY ONLINE NAHI POOCHA BALQAY YAHAN PE POOCH RAHA HOO. Zaid kay paas ek raser machine hai jiss say dari shave ki jati hai, ab choonkay Zaid nay dari rakh li hai to wo raser machine bechna chahta hai aur ussay ek kharidar mila hai jo ek galiban ek Gair-e-Muslim hai, ab zahri baat hai keh raser machine say dari shave kartay hain aur yaqeenan wo kharidnay wala bhi shave hi karay ga, to kya kissi gair-e-muslim ko bechna jaiz hai? jab kay wo to galiban dari rakhnay kay mukalif nahi hotay.
  19. Bismillah

    Hajaj Bin Yousaf

    Quran pe upar nuktay neez zer zabar kiss nay lagaey thay? hajaj bin yousaf kaun tha?
  20. yeh kya baat hui, amtor pe to log jab namaz partay hain unkay hont hiltay hain lekin awaz nahi aati, agar koi itni awaz say parta hai keh uskay kanon tak awaz pohnch jaey to yaqeenan jo shakhs paas main namaz par raha hai ussay bhi awaz jaey gi, lekin jaissay keh mainay kaha keh amtor pe logon kay hont hiltay hain awaz nahi aati. mainay to aaj tak yahi samjha keh dil main pard saktay hain lekin ye to kamal ho gaya, jab say yeh site join ki hai nai say nai cheezein samnay ati hain,
×
×
  • Create New...