Jump to content

Bismillah

اراکین
  • کل پوسٹس

    500
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا

  1. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou Namaz kay andher kitnay wajibaat hotay hain jin kay chootnay say namaz kay andher sajda sahoo wajib ho jata hai? Bahar-e-shariat main 49 wajibaat likhay hain aur namaz kay ahkaam kitaab main 30, aissa kyon hai? Baraey madina tafseeli jawab dijey ga. Shukrya!
  2. 3) yeh shalwar tabdeel karnay ka kaam to bohat hi difficult hai banda ktin baar washroom main jata hai, job par bhi jana hota hai. bar bar yeh pehnana utarna to bohat hi mushkil hai. mujhay to ilaaj chahiey keh qatray aanay band ho jaey. baaz oqaat masjid kay andher hota hoon to washroom janay ki hajat hoti hai ab main shalwar saath saath liey to ghoom nahi sakta na. banda zara ajeeb sa lagta hai. ya phir agar koi aissa plastic mil jay jisko peshaab ki nali kay uper cover kar diya jaey to bhi masla kafi hadh tak acha nazar ata hai.
  3. koi islami bhai mazeed iss maslay par behas kar sakta hai?
  4. Zameen sakin hai saboot ayaat say »» http://www.nafseislam.com/en/Literature/Urdu/Books/Maslay-e-ZameenSakinHaiSabootAyatSe/ZameenSakinHaiSabootAyatSe.htm
  5. Fauz-e-Mubeen Dar Rad-e-Harkat-e-Zameen English »» http://www.razanw.or...een_English.pdf Urdu »» http://www.razanw.or...auz_e_mubin.pdf
  6. imam jab ruku say wapis ata hai to kya imam saab ko rabbana lakal hamd kehna chahiey ya sirf muktadi hi rabbana lakal hamd kahein gay?
  7. (wesay chapstick bhi hoti hay.) yeh kya cheez hoti hai? galiban pehli baar suna hai iskay baray main,
  8. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou 1- kya rozay ki halat main hont khushak ho janay ki wajah say koi mard lipstick istimaal kar sakta hai? kyon keh baaz oqaat thooktay waqat zaban honton pe lag jati hai aur honton pe lagi hui lipstick zaban par. 2- kya rozay ki halat main koi sirf chehray par khushki ki wajah say Moisturizing cream ka istimaal kar sakta hai? kyon keh baaz oqaat cream ki kuch smell bhi hoti hai. 3- kiss tarah ki khushboo say roza tootata hai?
  9. kahan chaley gaey usman razawi saab. kaafi din ho gaey sawal kiey huay lekin abhi tak koi authentic jawab nahi mil paya.
  10. ghusal kay mutaliq bharpoor maloomaat kay liey neechay wali 6 links ki videos Mukamal dekhhain, 1-) 2-) 3-) 4-) 5-) 6-)
  11. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou 1-) namaz kay baad jo 3 martaba kalma-e-taiyab para jata hai iss ki shari haisiyat kya hai? 2-) azaan o aqamat say pehlay aur/ya baad main jo darood para jata hai uss ki shari haisiyat kya hai? 3) jab imamat karni ho to niyat kya karni hogi? baraey meherbani jawabat daleel kay saath dijiey ga, bohat shukrya!
  12. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou! agar kissi shakhs ki aankh us waqat khuli keh fajar ka time nikal chuka yani keh suraj niklay huay farz karain keh 25 minut guzar chukay to us waqat wo shakhs wuzu kar kay jab namaz paray ga to niyat kiss tarah karay ga? yani kya niyat karay ga? bohat shukrya!
  13. ji han zaroor kharida gaya hai lekin jiss nay kharida hai uska istimaal sirf ek hi Computer kay liey hota hai na keh bohat saray logo kay liey, han agar software free main ho to uska share karna jaiz hai chahey 1000 admion kay saath share kiya jaey, kyon keh kissi shareware software ko illegaly tor par istimaal karna yaqeenan dhoka kehlata hai, aur meri naqis maloomat kay mutabiq islam kay ander kissi ghair muslim ko dhoka dena jaiz nahi hai. yeh hai Internet Download Manager ki E-mail aur contact karnay ka zaria, [email protected] or http://www.internetdownloadmanager.com/contact_us.html inn ko aap email karein aur poochain keh meray ek dost nay aapka software kharida hai aur ab wo net pe doosray logon kay saath bhi usko share karta hai aur log usko free main istimaal kartay hain kya iss tarah karna jaiz hai, agar yeh company walay kehtay hain keh ji han iss tarah karna jaiz hai to theek main apnay alfaaz wapis lay leta hoon aur agar unhon nay kaha keh nahi yeh ghair qanooni hai to phir aap apni islah kar lijiey ga. unsay jo jawab milay please zaroor bataiey ga, shukrya!
  14. kuch daleel wagaira day den to madina madina
  15. Bismillah

    Monkey Khana Jaiz Hai Kya

    Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou kya koi confirm kar sakta hai keh islam kay ander bander(monkey) khana jaiz hai ya nahi?
  16. subkhan Allah, aapnay jazakallah to likh diya lekin kya aapnay kissi mustanad mufti saab say maloom bhi kya hai keh iss tarah jo software share kiey jatay hain iss tarah say unko free main download kar kay (jab keh wo free nahi hain) unka free main istimaal karna jaiz bhi hai ya nahi? mainay bhi issi tarah ka ek masla poocha tha yahan pe aur mujhay uska jawab bataya gaya. aap bhi par lijiey. yeh hai uski link http://www.islamimeh...h__1#entry58706
  17. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou main canada main rehta hooa ur mujhay pakistan main dawateislami main call karni hai iss number par, lekin pata nahi keh canada say milatay waqat kiss tarah dial karna hai, kissi islami bhai ko pata ho to baraey meherbani mujhay samja day. yahan say outcall kay liey pehlay 01192 lagatay hain aur mainay bhi aisaa hi kya lekin bell hi nahi jati to mainay socha keh maybe main wrong tareeqay say dial kar raha hoo. YEH HAI WO NUMBER: Phone no: 021-34858711 shukrya!
  18. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou! kafi arsay say main iss website say joined hoon aur mashAllah bohat kuch seekhnay ko mila, Alhamdulillah! mera ek aur sawal hai keh yeh jo hum namaz parnay kay baad masjid main jaga tabdeel kar kay namaz partay hain iss ki sharee haisiyat kya hai? maslan nafl ek jaga par aur phir sunnat kay liey uss jaga say hat kar...
  19. 1) yeh baat apki sahi hai keh main jismani lehaaz say bohat kamzor hoon aur khanay main sirf subah 2 roti salan kay saath aur shaam ko 2 roti salan kay saath khata hoon, taqreeban 2 say 5 glass pani peeta hoon wo bhi roti kay saath. jab kaam pe hota hoon to lunch time main kuch kha leta hoon. meri taqreeban yahi ghiza hai. ab kitna taqatwar hoon aap andaza laga lain, main 28 saal ka hoon. 2-) badam to theek hai yeh til kya hai? 3-) ji han tissu say main achi tara saaf karta hoon, saaf kar kay jab tak betha rehta qatra nahi ata lekin jab khara hota hoon to chand second baad nali ki nok par qatra hota hai. aur baaz auqaat dhonay kay bawajood bhi aisa hota hai. 4-)sunnat kay mutabiq istanja kaissay kartay hain? 5-)yeh prostate Glands kya hota/hoti hai? aur masana kissay kehtay hain?
  20. uper jo mainay dawai ka bataya tha uska mainay istimaal to kya lekin kuch bhi farq nahi para, main jab bhi chota ya bara peshaab kar kay khara(stand-up) ho hota hoon to anay walay 10 ya 20 second main mujhay qatra ata hai, kabhi usko poonch lenay kay baad nahi ata to kabhi poonchnay kay baad bhi atay hain. kissi ko wazeefa pata ho keh qatra ana band ho jaey to baraey meherbani share kijiey, nahi to koi mujhay kissi achay mufti saab say pooch kay bata day. uss doctor ko kya kehtay hain jo keh iss marz ka specilist ho? (english main)
  21. Asalamou Alekum WarehmaTullah Alehi WaBarakatou kya koi authentic tareeqay say bata sakta hai keh Hazrat Moosa Alehi Salaam ki Qabar Mubarak kahan hai?
  22. kamal hai main to yeh samjta tha keh namazi kay samnay say guzarnay say namazi ki namaz toot jati hai. kya koi iss tarah ka masla hai shariat main?
  23. aray bhai koi mujhay bhi samjaey ga keh iss tarah iss software ka patch istimaal karna islam main jaiz bhi hai ya nahi? mujhay to iss software ki company kay saath dhoka karna nazar ata hai. aap khud sochay keh aap ek compny kay malik ho aur aap yeh wala software banaey aur usko ek qeemat laga kar sell karain. phir aapko pata chalay keh baaz log iss software ko bina buy kiey kissi patch kay zariey free main istimaal kartay hain to bataiey aap ko kaissa lagay ga? kya yeh dhoka nahi hai? agar yeh dhoka hai to kya islam kissi kay saath dhokay ki ijazat deta hai? yaqeenan aap kahein gay bilkul bhi nahi! to bataiey keh phir hum yahan pe kya kar rahay hain?
  24. agar koi namaz pard raha ho to uss kay kitna agay say niklay keh usski namaz toot jati hai?
×
×
  • Create New...