Jump to content

Bismillah

اراکین
  • کل پوسٹس

    500
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا

  1. tehfeef? yani ke rakoo main 3 martaba subhanallah kehne ki bajaey 1 martaba keh lena, issi tarah sajdey mein 3 ki bajaey 1 hi martaba subannah rabi... kehna aur teesri aur chothi rakat mein 3 martaba subhanallah ke kar rakoo mein chale jana.
  2. bohat shukrya raza saab! 1-) aap ne kaha ke koi hanafi kissi maliki ke peeche namaz nahi pard sakta, kyon? halan k dono sahi aqeedey par hai aur dono hi ahlesunnat se hain. is baat ko aap kissi hadees se sabit kar saktey hai? 2-) jahan pe mein rehta hoon wahan par koi bhi dawat-e-islami ka koi nahi hai merey khial se. 3-) mus'alh to qareeb hi hai lekin wahan par am tor imamat Maliki hi karatey hain
  3. [ ek shaks ke aksar raat ko burey khial ki wajah se mani ke qatrey beh jatey hain aur kabhi to bohat zayada beh jatey hain, (shaed is amal ko ahtalam kehte hain) aissi sourat mein sirf us jaga ko aur jahan jahan pe qatrey lage hon us jaga ko pak kar k wuzu kiya jaey to namaz pard saktey hain
  4. mujhe jawab bohat jald chahiey is masley ke barey mein, please sag-e-attar bhai ke jawab ke mutabiq imamat ki 3 shartein hain, daddi ek muthi se zayada, kapdey fold nahi honey chahiey, aur bad mazhib na ho. agar kissi ki qudarti tor par daddi kam ho to wo bechara kya kare? kapdey to is liey fold kartey hain kyon k lambe bohat hotey hain, aur waissey bhi jab wo ghar se nikaltey hain unhen thoda hi pata hota hai ke aj namaz mujhe parani hogi wo to ghar se namaz paraney ke liey nikaltey hain imamat ke liey nahi. alhumdulilah wo sunni hain salafi nahi. ek aur baat, kya koi fatwey ya kissi hadees se yeh sabit kar sakta hai k jab kissi imamat karaney waley ka kapdey fold hon neechey se lamabai ki wajah se,(paint) us ke peechey pardi hui namaz dobara parni hogi?
  5. Bismillah

    ghar mein namaz parna kaissa hai?

    1-) farz karein k agar ASAR ki namaz 5h00 baje hoti hai, aur abhi us ka waqat 6h15 baje tak hai. ab agar koi shaks kaam se ghar aya 5h30 par. zahri baat hai ke jamat to hogai na. to ab kya us shaks ko masjid mein ja kar akele namaz parni hogi ya ghar mein bhi pard sakta hai. 2-) agar koi zuhar ki namaz nahi parta aur wo asar ke waqat zuhar ki qaza kar k parta hai, to usey pehle konsi namaz parni ho gi? zuhar ki qaza ya phir asar ki. halan k abhi asar ka waqat kafi baqi hai, (30min) 3-) zuhar ki qaza kya wo tehfeef ke saath pard sakta hai ya nahi?
  6. wuzu karne ke baad agar koi apni sattar ko dekhta hai k kahin pe koi qatra to nahi girney wala aur sattar ko haath bhi lag jata hai, is sourat mein wuzu par kya asraat hongey? agar sattar mein se koi qatra na girney wala ho bas thodi gili ho(jaissey k pani nazar a raha ho mamooli sa) lekin wo khud na gir sakta ho ya phir aissey keh lein k use haath laganey se haath haath par mamooli sa pani nazar aeyga to kya asrat ho gey wuzu par aur kapdon par?
  7. Zaid ne aaj musal’eh main ek shaks se poocha ke aap kis aqeedey se tauluq rakhatey hain to us ne jawab diya ke main sunni hoon aur main quran aur hadees ke mutabiq chalta hoon. Phir poochaney par us ne jawab diya ke main MALIKI hoon. aur hamarey han topi penana obligation nahi hai, aur namaz partey waqat hum apne paon ek doosrey namazi se mila kar rakhatey hain ta keh shaitaan na ajaey, Dar'asal zaid north america mein rehta hai aur wahan par namaz Musal'ah mein pardi jati hai nake masjid mein, aur musal'ah mein taqreeban 5 se 15 tak log atey hain namaz ke liey, un mein se koi hanafi hotey aur koi maliki, lekin qasrat malikion ki hi hoti hai am tor par. ab musal'ah mein differents country's ke log hotey hain, koi pak sai hai, koi hind se hai, koi maroc se hai, aur aissey musal'eh mein koi bhi imam fix nahi kiya ja sakta. lihaza aissi surte-e-hal mein kabhi koi karda ho jata hai to kabhi koi. leikin am tor par wo log us ko kharda kartey hain jo zayada quran janta ho. Ab zaid ko masla kuch hal hota hua nazar a raha hai, kyon ki SALAFI ek sunni sunai baat thi kissi se confirm nahi thi is liey zaid ulaj gaya tha. 1-) Ab aap mujhe bataiey ke koi HANAFI kissi MALIKI ke peechey namaz pard sakta hai? 2-) kya koi mujhe kissi imam ki koi SAHI hadees arbi mein de sakta hai jiss mein likha hua ho ke sar par topi penani chahiey ya nahi? 3-) kya zaid namaz ghar mein pard sakta hai? koi gunnah to nahi?
  8. inke peechey kyon namaz nahi hoti? kya aap kissi hadees ya fatwey se sabit kar saktey hain?
  9. kya yeh tasveer ghar mein lagane se barkat baiess ban sakti hai?
  10. to aissey jab imamat karaen to kya un ke peeche namaz ho jaey gi, kyon k aam to pe ek shaks ki nazdeeqi masjid mein wohi imamat karatey hai aur wahan pe koi fix imam bhi nahi rakha ja sakta fund ki kami se?
  11. 1-) http://www.*****.com/***/Sans_titre2.jpg 2-) Is hadees ke mutabiq aap ke gunnah mita diey jatey hain, konse gunah? sagir ya karbira ya phir dono?
  12. Bismillah

    salafi kon hain?

    kya koi salafi naam ka aqeeda, firqa ya koi is tarah ki koi cheez hai jis ka tualuq islam se ho?
  13. nafal namaz konsi hoti hai? baraey meherbani aapkoi fatwa de saktey hain ya koi hadees uis se yeh sabat ho ke sunnatein ghar mein pard saktey hain?
  14. main janta hoon k namaz-e-janaza farz hai, lekin partey kyon hain,kiss liey, agar is liey partey hain k marney waley par qabar par azaab nahi hoga ya phir wo azab-e-jahanam se bach jaey ga. to phir bhi musalmano par azab-e-qabar hota hai, agar qabar mein azab ho raha hai to yaqeenan qayamat ke din bhi kuch aissa hi us ke saath muamla ho ga. meine sunna tha kissi se k qabar mein pohnchaney ke baad insaan ka faisla ho jata hai ke wo janti hai ya nahi, agar azabeqabar se bach gya to akhirat mein bhi sur kharu ho ga warna nahi. to is liey mein thoda iss muamley mein confus hoon
  15. imam ke peeche namaaz partey waqat, rak'oo aur sajde mein kabhi 3 bar subahana rabi yalala aur kabhi 5 martba pard saktey hain kya?
  16. namaz-e-Janaza kyon partey hain?
  17. Yeh rahi aap ki request ki audio Link: http://www.megaupload.com/?d=HSZUI6MT Mp3 128KBs
  18. for now i found only this one on video: 1-) http://video.google.com/videoplay?docid=-1865256653853306278 2-) http://www.soufisme-fr.com/showthread.php?t=2635 i will try to send u a audio link soon.
  19. mera kehney ka matlib tha jab 2 namazi ek saath namaz pard rahey hon tab ek namazi ke paoon dooserey namazi ke paaon se miley honey chahiey, na k ek namazi ke paoon apis mein miley hon. aur doosra Balshat se kya murad hai? jaissey k uper wali link mein hai?
  20. jee han mein sajda karne ka tareeqa janana chahta hoon.
  21. kya aap mujhe bata saktey hain kaissey karne hongey sarey sajdey ek hi saat, i mean what i should read and when?
  22. quran sharif ke andher jo sajdey hotey hain, agar quran sharif partey partey koi sajda ah jaey to sajda karna lazmi hain ya nahi?
×
×
  • Create New...