Jump to content

Bismillah

اراکین
  • کل پوسٹس

    500
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا

  1. magar yeh wali book to in ki website pe mili hai mujhe.Pyare nabi (SALAHO ALEHEY WASALAM) ki pyari sunnatain ****************** aur hakeem mohammad akhtar saab ke naam ke agey to Damat Barkatham likha hua hai, aur damat barkataham to hazrat mola alama abu bilal ilyas qadri attar rizavi saab ke agey bhi laga hua hai, kuch confus sa ho gaya hoon... KYA KOI MUJHE CONFIRM KAR SAKTA HAI KE IS KITAAB KE PEHLE JO 16 PAGES MEIN JO SUNNATEIN HAIN WO AHELESUNNAT KE MUTABIQ SAHI HAIN YA NAHI? KYON K MAINE IS KITAAB KE PEHLE 16 PAGES KISSI AUR WEBSITE PE SHARE KIYE HAIN TO MEREY LIEY JANANA BOHAT ZAROORI HAI.
  2. 1-) is this a deobandi website? ************** 2-) kya yeh sahi hai ke fajar ki namaz ke baad, makroo waqat khatam hotey hi agar 4 nafal pard liey jaey to 17 Maqbool HAJH ka sawab milta hai?
  3. maaf karna bhai kuch theek se samjh nahi aiee.
  4. kya naam hai us program ka jo k pop-up block karta hai?
  5. konse khawabon ki tabeer hoti hai, maslan kaissey pata chaley ke jo khawab hum ne dekha us ki koi tabeer bhi hai ya nahi? kyon ki maine kissi alim se sunna tha ke har khawab ki tabeer nahi hoti.
  6. agar kissi ne qaza namazein aur farz namazein ahtelaam honey ke baad sirf wuzu karke bagair ghusal kiey pard lee yeh samjathey huey k wuzu karna kafi hai aur baad mein pata chala ke aissi pardi hui sari namazein dobara parni hon gi. aissi surat mein yeh yaad na ho k kitni pardi thee to kya karey?
  7. Taharat say Murad Nazafat o Pakizgee hasil karna hai. KAISSE AUR KAISSI PAKIZAGI? AGAR KAHIN PE YEH LIKHA HO K, DAROOD PARNA TUMHAREY LIEY TAHARAT HAI, TO IS SE KYA MURAD HUA?
  8. Bismillah

    Bahar-e-Sharieat, version 3

    1-) kya koi mujhe Bahar-e-Sharieat, Hissa 3 ki link de sakta hai? 2-) Taharat se kya murad hai?
  9. asalamo alekum! jo kuch bhi attaria91 saab ne likha hai wo sab kissi hadees se sabit hai ya kissi ka personnal experience hai?
  10. is fatwey mein reaayat ki baat ki gai hai, kya murad hai is se? Click here! Fatwa about this Masla,
  11. ************image removed on tinypic*********** please use IM attachment system for uploading images *********** is link mein taharat se kya murad hai?
  12. bohat bohat shukrya Ya Mohammadah saab, maine jawab post kar diya hai umeed hai ke un ka masla hal ho gaya ho ga
  13. Bismillah

    ahlesunnat ke charon imam...

    kya koi mujhe aissi koi hadees ya fatwa bata sakta hai k ahlesunnat ke charon imam sahi hain aur un ki pervi karna chahiey? kyon k kissi islami behn ko is baat ki tasali karni hai aur merey paas koi hadees nahi thi jo mein usey pesh kar sakta. mujhe aap ke jawab ka intezaar rahega. un ka yeh kehna hai: jaisay surah bani israel main allah farmata hai"aur jis ka tujhay ilm na ho us ki perwi na kar" surah baqrah "keh do agar sachay ho to dallel pesha karo" rasool allah nain farmaya"teen cheezon say bacho 1 alim ki ghalti say 2 munafiq ka quran lay kar jhagra karna 3 aur duniya jo tumhari gardanon ko katay gi rahi allim ki bat to agar wo hidayat par bhi ho to deen main us ki taqleed na karo aur agar wo phisal jai to us say na umeed na ho jai
  14. ************image removed on tinypic*********** Click Here for Fatwa about Darood and Tasaveer![/url] is ko parney ke baad aap ko kya lagta hai, ke darood Baragah-e-Risalat M'ap salalaho alehey wasalam mein pesh hota hai ya nahi?
  15. Bhai mein kuch pochna cahta hon ke app ko sootay mein hee ehtlam hota hai na ya phir jaisy app ne peeshab kiya tu uss ke sath kuch qatray nikal jatay hain ? aghar peshab ke sath nikalty hain tu woh mani nahi hoti uss ko kuch aur kaha jata hai aur uss say sirf wozzo toot jata hai ghusal farz nahi hota per aghar sootay mein hota hai tu phir ghusal farz hoo gaya. bhai zaid ka masla aissa hi hai jaissa k is link mein dooserey shaks ka hai. http://i36.tinypic.com/2nakadx.gif zaid ko ahtelaam nahi hota agar hota bhi hai to kai maheeno baad. agar ahtelaam ho jaey to wo ghusal kar laita hai, yeh masla nahi hai. agar wo janabat se farigh hota hai to bhi wo ghusal kar laita hai, yeh bhi masla nahi zaid khud-lazti ke liey burey khialat ko tasawur karta hai jiss ki wajah se us ki mani ke patley qatrey beh jatey hain, yeh masla hai. yani k lutf ke chand qatrey nikal atey hain.
  16. asalamo alekum! bohat shukrya aap ke jawabat ka! location montreal, canada. 1-) aap ne kaha ke aur 3 imamon ko manane walon ki namaz kissi hanafi imam ke peeche ho jaey gi, merey khial se un 4 mein se 1 imam aissa bhi hai jin k nazdeeq sare sar ka masah karna hoga, lekin hanafi to sirf chotahi sar ka masah karte hai, to phir agar koi hanafi imamat karaey to phir us ki shaks ke nazdeeq jo sare sar ka masah karta hai hanafi ki namaz to nahi ho gi na, lekin apne kaha ke teeno ki ho jaey gi kissi hanafi ke peechey. wo kaissey? 2-) bohat sare log hajh k liey jatey hain aur wo sab namaz ke waqat ek hi imam ke peechey namaz partey hain, kabhi aapne aissa dekha sunna hai k koi hajh k liey gaya aur farz namaz parney k liey us ne koi hanafi imam na milne ki waja se akele hi namaz pard li kyon k khana kaba ka imam hanfi nahi hai. ab kissi ko wahan ki zaban nahi ati to wo bechara kya karey ga, usey to phir akele hi namaz parni ho gi na jamat k saath nahi. kyon k bohat sare log jo haj ko jate hain un mein se aksar ko to yeh bhi nahi pata hota ke imam kissey kehtey hain aur hamara imam kon hai. maaf karna bhai, mujhe aapke jawab mein koi sens nazar nahi a rahi, please dont mind, u r like my brother. 3-) mumkin hai k imamon ke darmian ikhtilaaf ho, lekin sajda to 1 allah ko karna hai na, chahey koi hanfi ho ya shafi, sajda to sab ek jaissa kartey hai na. 4-) tariqa chahey kissi ka koi bhi ho, important to yeh hai ke namaz parney wala Ahelesunnat se ho aur sahi aqeedey wala bhi ho, aur alhumdulillah 4 imamon ko mananey waley ahlesunnat se hai aur sahi aqeedey waley bhi. merey khial se 4 imam to iss liey hain na ke nabi paak salalaho alehey wasalam ki sari sunnatein ada ho jayen. example: hamarey aqa salalaho alehey wasalam kabhi naaf ke neechey haath bandetey they aur kabhi seeney ke uper namaz ke waqat, to agar sarey ahelesunnat waley sirf hanafi hotey, tab to sab ne haath naf ke neechey bandaney they, to is tarah se jab nabi paak salalaho alehey wasalam namaz mein haath seeney par rakh kar par partey they to is sunnat par to koi amal na karta na? to issi liey 4 imam hain ta k nabi paak salalaho alehey wasalam ki sari sunnatein ada ho jayen merey khial se. charon imamon ke chahey tariqey alehda hon, lekin jard to ek hi hai na ke sajda allah ko karna hai, to phir koi kaisse keh sakta hai ke main to hanfi hoon aur meri namaz kissi hanbali ke peechey nahi ho gi. aap masjid mein jatey hain aur wahan par 10 shafi namaz ke liey khardey ho gaey aur aap ne apni namaz alehda akele parni shuru kar di aur unhon ne jamat ke saath. namaz ke baad unhon ne aap se poocha ke aap ne namaz kyon akele pardi aur aap agar jawab de k mein to hanfi hoon shafi nahi, to zahiri baat hai aap un se qata tualiq kar rahey hain. masjid mein 10 , 10 log charon fiqon se hain, namaz ka waqat hua to phir azan kon dega, is hisaab se to hanafi alheda azan de ga aur shafi waley alehda, issi tara wo apni jamat alheda khardi karein gey aur hanafi waley alehda. merey khial se alhedagi shaitaan kon pasand hai allah aur us ke rasool allah salalaho alehey wasalam ko nahi. to bataiey ke allah ke ghar mein a kar 2 musalman alehda ho gaey to kya allah ko yeh passand ho ga? meri koi baat kissi ko buri lagi ho to main maafi ka talibgar hoon.
  17. chalein theek hai, jaissa aap kehtey hain, bataiey ke jo us ne aj tak farz aur qaza namazein ada ki, un ka kya? pehle to wo yahi samjata tha k wuzu se kam chal jata hai lekin taqreeban 1 week se usey pata chala k wuzu ki jaga par ghusul karna hoga. ab usey yaqeen nahi tha poora k aap sahi hai ya wo aur woh aissey hi qaza namazein parta raha aur farz bhi. to bataiey ke un saru namazon ka kya?
  18. yeh fatwa mila hai mujhe, koi detail mein bata sakta hai shareat-e-mutahara kya hai aur is ka hukam hyon hai? http://www.dawateislami.net/services/askim...16&scatid=1
  19. Mera masla bilkul aissa hai jaissa k is link k andher bean kiya gaya hai, This link is only for man's, http://i36.tinypic.com/2nakadx.gif maine ek hadees mein para tha ke agar koi janabat ke baad foran wuzu kar le to wo jahanam ki aag se bach jaey ga ya phir wo jahanam ki aag nahi dekhey ga, (jis tara mujhe yaad hai). ab sawal peda hota hai k wuzu kyon? gusul kyon nahi, to merey khial se wuzu se insaan paak ho jata hai. han wo baat apki sahi hai k ghusul se sara jism dhul jata hai, lekin mera sawal is mani ke barey mein hai jaissa k is link k andher batai gai hai. mane to zayada kitabein nahi parien, agar aap mein se koi hadees bata de to masla jaldi hal ho jaey ga, lazmi nahi ke aap koi aissi hi hadees dhondey jis se mein galith sabit ho jaon, agar aap ko koi aissi hadees mil jati hai ya koi fatawa, jis mein bataya gya ho k wuzu se kam chal jata hai, beshak sawab kam hi kyon na ho. to kam az kam tasali to ho jaey gi, k pardi hui tamam qaza aur farz namazein ada ho gai hain. ab to wo shaks latka hua hai. ek taraf aap kehte hain ke ghusul k bina jism paaki hi nahi hota, us taraf us ki phele se hi hazaron ke hisaab se qaza namazein rehti hai aur kuch pard bhi lee hain. issi tarah us ne kai maheeney phele namaz parni shuru ki thi aur am tor pe wohi azaan bhi deta hai. wo aj tak yahi samjata raha hai k wuzu se jism paak ho jata hai. han agar qatron ka masla agar week mein 1 bar hota to wo naha laita magar har dooserey din baad yahi masla to usey to har roz nahana parey ga. ab to wo jab namaz parney k liey jata hai to chehra latka beth jata hai, uper se azaan bhi deta hai, agar aap sahi hain to us par to sab logon ka gunnah a gaya na, kyon k azaan wo deta hai aur azaan k bina to shaed namaz nahi hoti. uper se uska aur masla hai jo abhi tak wo bhi hal nahi hua, ke koi hanfi kissi malilki ke peechey namaz pard sakta hai ke nahi? aissey aur bhi us k masail hain. aissi halat mein uski maut hogai to shaed wo azab-e-qabar mein mubtalah ho jaey. kyon k pata nahi k pardi hui namazein hui hain ya nahi uper se qazaa namazein jo rehti hain.
  20. ghusal namaz ki shart nahi hai merey khial se, namaz ki to shart hai k, jism aur kapdey dono paak honey chahiey, agar koi napaki lagi ho kapdon par ya jism par to usey pani ke zariey paak bhi kar saktey hain bina ghusal kiey.
  21. 1-) agar assi baat hoti ke koi hanafi kissi maliki k peeche namaz nahi pard sakta, tab to khana kaaba mein jitne bhi 4 mein 3 fiqey waley hain une ki to namaz hi nahi hogi merey khial se. kyon ki khana kaba mein jo imamat karata hai, wo imam bhi 4 mein se kissi ek fiqey se hai, farz karein k MALIKI hai, aur baqi jo hanafi, shafi aur hanbali us ke peechey namaz pard rahey hain, un ka kya? 2-) kya koi sahi hadees se sabit kar sakta hai ke, imam ki pant agar neechey se thordi si fold ho to peechey waley ko dobara namaz parni hogi?
  22. han bilkul us shaks ki bohat sari qazaa namazein rehti hain jo k us ne pehle zindagi mein nahi pardi thi. ab wo shaks sirf fajar ki qaza namazein parta hai ta k pehle yeh khatam ho jaey phir zuhar ki shuru karega ka. lekin asar k waqat wo sirf asar ki namaz parta hai aur zuhar ki qaza. fajar ki qaza ya to wo fajar se kuch der pehle parta hai ya phir magrib ya isha ke waqat. to iss surat mein tehfeef jaiz hai k nahi?
×
×
  • Create New...