Jump to content

Bismillah

اراکین
  • کل پوسٹس

    500
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا

  1. Chalein mein sawal ko clear kar deta hoon, baqi batein baad mein dekhein gae, aap yeh bataiey ke quran k haroof par jab koi zeer, zabar ya pesh a jaey to uney Bi, Ba ya Bou kar para jata hai jaissa ke Qari Khushi Saab para rahey they, to phir log Bi ko Bay, aur Bou ko Bo kar k kyon partey hain? confusion yahi par hain merey khial se.
  2. bohat shukrya link ke liey! wo Sanaa mein jo doosra B ata hai aur sura-e-Fatiha mein jo akhri B hai usey Bay kar k partey hain, Qari KHushi saab ki jo link meine aap ko di thi, us mein unhon ne B ke neechey zeer ati hai usey Bi kar k para hai, aissa kyon? Link of Qari Khushi Saab Link of Sana Link of Sura-e-Fatiha
  3. ''inshah allah azwajal sab samjh aye ga''........ SubkhanAllah! Jazakallah Khair, Inshallah!
  4. yeh link sahi nahi hai' yeh message mila mujhe'''Sorry, the link that brought you to this page seems to be out of date or broken.
  5. bohat bohat shukrya Karam Ho Ya Rasool Allah saab! aap ne bohat achi koshish ki lekin yaqeen maniey keh meri khopri mein kuch khaas nahi ghussa,kyon k madda, qaim maqam wagaira ka kuch pata nahi yeh kya hain, aapne kaha madda 3 haroof hain, theek hain meine pard liey, lekin mujhe yeh nahi pata keh in ka kya karon, i mean kahan istimaal karon, kaissey karon, kaissey pata chaley k in ka yahan par istimaal karna hai aur kahan pe nahi karna,
  6. maine jo kuch post karna hai wo thoda lamba chora hai, aap is section mein ja kar dekhiey ke meine kuch ahadadees share ki hain aur une mein se ek ek, 1 page ya 2 page ke barabar hai Quran-o-Hadith
  7. 1 din mein kitni hadees post ki ja sakti hain? i mean kitne naey thread open kiye ja saktey hain?
  8. bohat shukrya janab! is mein unhon ne kaha ke jab imam riayat karta ho tab us k peechey imamat jaez hai, kaissey pata chaley k wo meri riayat karta hai ya nahi? aur riyat ko english mein kya kehtey hain? aur wo log to english boltey hain, pata nahi kaissey un se poochon,
  9. aapki is Attahyaat.mp3 ki audio mein parney waley saab ne lagta hai thodi galti kar di, unhon ne aslamo alena ko aslamo alalna parda hai,
  10. uper aap ne merey is jumaley ka jawab likha keh yeh sahi hai, ''agar kissi harf par pesh ho aur wo kissi waoo se na juda hua ho to usey To, lo, bo partey hain sahi?'' lafz iyya Kana Budoo mein to koi waoo nahi, to isey aisey kyon partey hain jaissey ke hum urdu mein kehtey hain Jaadou, merey uper waley jumaley ko ap ne sahi mana hai to phir iyya Kana Budoo ka jo Budoo hai usey phir BoDo parna chahiey na? jaissey ke urdu mein hum kehtey hain ''Bol'' aur ''2''
  11. sura-e-fatiha mein jo lafz hai, 'Na'Boudou, is mein 2 pesh hai aur jin harf par pesh hai wo kissi waoo se miley huey nahi hain, to phir unhen Bou aur Dou kyon partey hain?
  12. agar kissi harf par pesh ho aur wo harf agey waoo ke saat juda hua ho to usey tou, lou, bou, aissey partey hain sahi? agar kissi harf par pesh ho aur wo kissi waoo se na juda hua ho to usey To, lo, bo partey hain sahi? agar kissi harf par pesh ho aur us ke agey wala harf waoo se shuru ho to usey kya parein gey?
  13. yahi to mera sawal hai keh, Li ko lay kyon partey hain? Sura-e-Fatiha mein lafz ''Alhumdoulilla'' ka jo dousra Laam hai us k neechey Zeer hai, aur us ko hum Lila partey hain aur jab darood-e-Ibrahimi k laam ke neechey laam ata hai to usey Lay partey hain, aissa kyon? confusion is baat ki hai keh, kuch lafzon ko li partey hain aur kuch ko lay, aissey hi jin k uper pesh ho un mein se kuch ko To kar k partey hain aur kuch ko Tou,
  14. Yeh 4 jumley aissey hain jin ki mujhe sahi samjh nahi ayi, agar koi bata de to meherbani hogi, shukra! 1. agar lota uper rakhain gey to cheintein to parein gey na, lekin yahan pe hai k lota uper rakhain. 2. Hafiza se kya murad hai? 3.kis cheez se mehroomi ho jaegi? 4.boiseer se kya murad hai?
×
×
  • Create New...