-
کل پوسٹس
500 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
1
سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا
-
Kya koi tafseel se is fatwey ko mujhe samjah sakta hai? yani k is ki ek ek baat,
-
1.) yeh mujhe bahar-e-shariat wali kitab se mila hai lekin pard kar confus ho gaya hoon, is mein likha hai keh doosrey muqalid ki iqtada us waqat jaiz hai jab wo hamarey mazhib ki riayat karta ho aur neechey likha hai keh agar nahi pata keh doosrey muqalid ka imam riayat karta hai ya nahi to us ki iqtada jaiz hai, 2.) yeh kaissey pata chaley k us ne riayat ki hai ya nahi? wo to namaz para raha hai,
-
merey khial se aap TV ko ghar se bahir nikal phenkiey, na rahey ga baanss na bajey gi bansuri, aur yeh video bhi samat farmaiey tv k barey mein: Tv ki Tabah Karian aur apne Internet Explorer ka homepage bhi change kar k Dawat-e-Islami ka kar dijiey, aur is website ki library mein jaya karein aur un ki kitabein para karein! inshallah barkat parey gi
-
Paanchon waqat ki namazon ki pabandi kijiey! kyon k namaz insaan ko burai se rokati hai. Mushkil jo sar par a pari terey hi naam se tali!
-
Hum Musalmaan Darood Sharif kyon partey hain?
اس ٹاپک میں نے Bismillah میں پوسٹ کیا شرعی سوال پوچھیں
1-) Hum musalman Apne payarey Aaqa, Allah k Mehboob Hazrat Muhammad Mustafa Salalahou Alehi Wa Alehi Wasalam par darood kya bhejatey hain? 2-) Maine shaed kissi se sunna tha ya kahin pe para tha keh is dunya mein musalman koi bhi neik amal karta hai to us ka sawaab Hamarey payarey Aaqa, Allah k Mehboob, Bibi Amina Razi allah tallah unho k laal Hazrat Muhammad Mustafa Salalahou Alehi Wa Alehi Wasalam ko pohanchata hai, Sawal yeh hai keh wo to pehley se hi janati hain to phir unko sawab ki kya zaroorat hai? -
18 GOLDEN WORDS OF HAZRAT ALI(Radi Allahu anhu)
اس ٹاپک میں نے Bismillah میں پوسٹ کیا شرعی سوال پوچھیں
Kya koi confirm kar sakta hai keh is mein jo kuch likha hua hai wo sab kuch sahi hai? 18 GOLDEN WORDS OF HAZRAT ALI(Radi Allahu anhu) 3 chizon ka ahtraam karo.... Ustad Waaldain Buzurg 3 ko saath rakho..... Sachaai Emaan Naiki 3 chizon ko yaad rakho..... Ahsaan Nasehat Maut 3 chizon k ley laro..... Watan Izat Haq 3 chizon py qaabu rakho..... Zubaan Ghussa Nafs 3 chizon sy bacho..... Buraai Chughli Hasad -------------------------------------- Jab main chahta hon "KHUDA"sy baat karon tu main "NAMAZ"parta hon or jab main chahta hon k "KHUDA" muj sy baat kary tu main"QURAN" parta hon........ ------------------------------------------------------ Main "JANAT" k shoq main ibadat nahe karta ye ibadat nahe"TAJARAT"hy..... main"DOZUK"k khof sy ibadat nahe karta k ye ibadat nahe"GULAMI" hy..... Main ibadat sirf es leyai karta hon k mera"RAB" ibadat k laiq hy..... ---------------------------------- "AY MERAY PARWARDEGAR!!! jab tu mere"DUA"qabool karta hy tu mujay khushi hoti hy k tu ny mere marzi pori ke.... LAKIN jab tu mere"DUA"qabool nahe karta tu mujay aur b zayada khushi hoti hy k tu ny apni marzi pori ke..... ------------------------------------ Dunyia main wo he log sarbuland rehty hain Jo takabur k taj ko dor pheank dety hain....[/b] -
agar kissi ne pehle wala qalma parna ho to wo Hamdi kahey ga ya Hamdi Hee?
-
wuzu ki halat mein agar khana khaya jaey ya kuch juice wagera piya jaey ya phir koi medecin khai jaey to wuzu rehta hai ya toot jata hai?
-
hairangi hui pard kar k aap sunni se shia convert hona chahti hain, astagfirullah, koi ek aissi reason batai jiss ki waja se aap shia banana chahti hain, aapko to allah ka shukar karna chahiey k, aap ahlesunnat mein se hain, kabhi allah k walion ki kitabein pard k to dekhein keh kya kya karamtein hui hain ahlesunnat walon ki aur mujhe koi aik aissi karamat bata di jiey jo k kissi shia k saath hui ho. Hazrat Imam Malik razi allah tallah unho madina munawra mein rehtey they aur un ko har roz Hazrat Muhammad Mustafa Salalaho Alehey Wasalam ki ziarat naseeb hoti thi aur Hazrat Imam Malik razi allah tallah unho yaqeenan ek sunni they aur aj un k najaney kitney lakhon mananey waley hain jo k un ki pervi kartey hain aur apne aap ko maliki kehtey hain. abhi aap meri behen khud sochiey k jis shaks ko Nabi Paak Salalaho Alehey Wasalam ki har roz ziarat naseeb hoti ho wo admi galit kaissey ho sakta hai. Allah Hum sab musalmano ko Nabi Paak Salalaho Alehey wasalam ki seerat mubaraka par hamesha amal karne ki tofeeq ata farmaey, Ameen
-
aslamo alekum! pehli to aapko yeh janana hoga keh islam mein tamam firqon mein se sahi konsa hai, hadees mein ata hai keh nabi paak salalho alehey wasalam ne farmaya keh meri umat mein se 73 firqey hon gey jin mein se sirf ek janat mein jaeyga, aur wo ahlesunnat(sunni) ka firqa hai jo ke quran aur hadees ke mutabiq hai aur ahlesunnat hi HAQ par hai, ab ap is hadees se anadaza laga lijiey keh shia aur sunni mein kya farq hai. aapne kaha sayed larka, yaqeenan aap suni larkey ki baat kar rahi hain, agar aissa hai to merey khialse koi bhi sunni ahlesunnat ke bahir kissi aur se shadi nahi kar sakta jab tak k samne wala/wali bhi sunni na ho jaey. aap quran para ki jiey aur yaqeenan haqeeqat ap ke samne a jaey gi, agar nahi parna ata to seekhaney ki koshish kijiey, kyon k merey khial se seekhaney ki koi bhi umar nahi hoti, insaan sari zindagi kuch na kuch seekhata hi rehta hai. umeed hai keh ap haq par chalney ki rah hi talash kar rahi hain. yeh website visit kijiey aur madni channel dekhiey: http://www.dawateislami.net/
-
1. Jab nabi paak salalaho alehewasalam mea'raaj k liey uper tashreef ley ja rahey they to 1 pathar uper utha aur nabi paak salalaho aleheywasalm ne usey farmaya ' Theher Ja'' aur wo pathar wohi par theher gaya, aur maine sunna tha keh wo pathar aj bhi hawa mein aissey hi thehra hai jaissey k us din, kya koi us pathar ki pic mujhe de sakta hai agar koi hai to? 2. issi tara maine kissi se ek waqya sunna tha keh, aur wo shaed kuch iss tarah hai keh hindustan mein Khawaja MaheeyoDeen Rehmatullah alehey ek bar apne hors pe bhetey 1 pahari par chard rahey they to samney se 1 pather un ki taraf aney laga aur aap ne farmaya ke agar yeh pather allah ki taraf se hain to aney do aur agar yeh koi shaitaan ki koi chaal hai to allah karey ke yeh pathar wohi par theher jaey aur jab wo pather hors k paas a pohncha to hors ne usey apna paaon mara aur wo pather wohi pe ruk gaya aur ghodey ka kuch paaon ka hissa bhi us pather mein ghuss gaya, aur maine sunna hai keh wo pather aaj bhi apni jaga par maujood hai, kya koi us ki pic bhi share kar sakta hai agar koi hai? bohat shukrya!
-
maaf kijiey ga janab main aap ki is baat ko samajh nahi paya, aap thoda clear kar bata saktey hain keh aap kya kehna chahtey hain?, kyon k aap ne Deobandion ka zikar kya hai, shukrya!
-
lekin hum sab sachey musalman to sab walion ko mantey hain to phir bralvi ka lafz hum apne naam k saath kyon istimaal kartey hain? in ka maslik koi Imam-e-Azam Rehamatullah aley ke maslik se to alehda nahi hain na? is tarah se to bohat sarey wali hotey hain to phir Barelvi ka lafz hi kyon? jaissey k hum Hanafi hain, hum apne appko hanfi keh saktey hain kyon k hum Imam-e-Azam Rehmatullah alehey ki pervi kartey hain. aur Imam Ahmed raza khan rehmatullah alehey bhi to yaqeenan hanafi they, jab hum 1 imam ki pervi kartey hain to doosrey imam ki phir kyon? maaf kijiey ga main thoda confus ho gaya hoon is liey sawal kuch clear nahi hain.
-
Barelvi kissey kehtey hain? Attari kissey kehtey hain?
-
jazakallah khair
-
Qawali sunana kaissa hai jiss mein allah aur us ke Rasool salalaho alehewasalam ka naam ho?
-
http://library.faiza...index.php?id=16 http://library.faiza...nload.php?id=16 in English: http://library.faiza...ndex.php?id=309 http://library.faiza...load.php?id=309