-
کل پوسٹس
500 -
تاریخِ رجسٹریشن
-
آخری تشریف آوری
-
جیتے ہوئے دن
1
سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا
-
Kya imam ko luqma de saktey hain agar wo kuch bhool jaey?
اس ٹاپک میں نے Bismillah میں پوسٹ کیا شرعی سوال پوچھیں
merey 3 sawal hain, 1- agar imam namaz ki kissi bhi rakat mein bhooley se sura-e-fatiha bina parey koi aur surat shuru kardey to usey yaad dilaney k liey muqtadi ko konsa alfaaz istimaal karna chahiey? 2- aissey hi agar imam qirat kartey waqat kahin kuch bhool jata hai ya koi lafz galit par leta hai to kya muqtadi usey luqma de sakta hai? 3- aissey hi agar imam kissi namaz ki kissi bhi rakat mein bethaney ki bajaey khara ho jaey ya khara honey ki bajaey beth jaey ya 2 ki bajaey 1 sajda kar ke khara ho gaya ya beth gaya to muqtadi ko kya karna chahiey? i mean usey yaad dilaney k liey konsey alfaaz istimaal karney chahiey aur kitni par kehna chahiey aur awaz kitni honi chahiey? -
aap apna sawal is website par kar saktey hain aur aapko email k zariey fatwey ki surat mein jawab de diya jaeyga: http://www.dawateislami.net/services/askim...h/edefault.aspx aur yeh bhi ahlesunnat ki website hai yahan par aapko jawab audio mein diya jaeyga: http://mufti.faizaneattar.net/
-
par aapka masla kya hai? mujhe nahi lagta keh ahlesunnat mein se hongey, yaqeenan aap kissi deobandi, wahabi wagaira jaissey aqeedey se tualiq rakhaney waley hongey, koi musalmaan agar hanfi hai aur al'la hazrat ko bhi manta hai ya aur imamon ko manta hai to is mein galt kya hai? pervi to wo ek hi imam ki karta hai na? agar aapke aqeedey mein is baat ko sahi nahi samja jata to baraey meherbani apne aqeedey walon ki website par ja kar aissi guftagoo kijiey, agar aapko koi masla poochana hai to sawal kar saktey hain warna please ahlesunnat ke kissi imam ya kissi aur ahlesunnat k islami bhai k khilaaf koi baat mat kijiey, shukrya!
-
maaf kijiey ga janab aapki baat clear nahi hai, baraey meherbani mazeed detail de kar apni baat ko clear kijiey, aapki is baat se pata nahi chal raha keh aap ne kissi doosrey musalmaan bhai ki insult ki hai ya aapne apna waqat paas karney k liey kuch likh diya, dont mind please,
-
its better to call your ISP and maybe they will show the what to do next.
-
IMAM MAHIYODIN IBNE ZAKARYA BIN SHARIF NOVI
Bismillah replied to Bismillah's topic in دیگر تمام درخواستیں
un ka naam HAZRAT IMAM MAHIYODIN abee ZAKRYA BIN SHARAF NOVI REHMA TULLAH ALEHI hoga merey khial se, -
maine kuch para hai sahi bukhari ka kuch hissa shuru mein lekin yeh kitaab to bohat bari hai, kya koi aissi hadeesein merey liey dhoond sakta hai agar kissi k paas thorda waqat ho to? i will realy appreciate it,
-
jee han aqaid to kuch theek nahi lagtey, in k aqaid agar waqiey mein yeh sab hain jo aap logon ne bataey hain to lazmi tor par yeh badmazhab kehlaney k haqdaar hain,
-
1-) kon kon se amal karney k baad wuzu karney se pheley istanja karna lazmi hota hai, masal k tor par agar reekh nikal jaey to wuzu toot jata hai, lekin aap dobara wuzu karein gey to aapko istanja karney ki zaroorat nahi hai bal'k bina istanja kiey hi wuzu ho jaey ga aur namaz bhi par saktey hain, aissey hi wo kon se amal hain jin k karney se istanja karna lazmi hota hai wuzu karney se pheley? 2-) reekh agar bohat zayda nikalti ho yani k awaz bhi ati ho aur kai martba kharij hui to bhi kya bina istanja kiey wuzu kar kay namaz pard saktey hain?
-
questions to Dar ul Ifta Ahlesunnat
Bismillah replied to Ahmed_'s topic in فتاوی اور شرعی مسائل کا حل
or u can visit that website to get the answer early: http://mufti.faizaneattar.net/ -
A man woke up early in order to Pray the F ajr P rayer in the masjid. He got dressed, made his ablution and was on his way to the masjid. On his way to the masjid, the man fell and his clothes got dirty. He got up, brushed himself off, and headed home. At home, H e changed H is C lothes, made his ablution, and was, again, on his way to the masjid. On his way to the masjid, H e F ell again and at the S ame S pot! He, again, got up, brushed himself off and headed home. At home he, once again, Changed His Clothes, made his ablution and was on his way to the masjid. On his way to the masjid, H e M et a M an H olding a L amp. He asked the man of his identity and the man replied I S aw Y ou F all T wice on your way to the masjid, So IB rought a L amp so I can L ight Y our W ay.' The first man thanked him profusively and the two where on their way to the masjid. Once at the masjid, the first man asked the man with the lamp to come in and pray Fajr with him. The second man refused. The first man asked him a couple more times and, again, the answer was the same. The first man asked him why he did not wish to come in and pray. He man replied I am Shetan(devil/ evil) The man was shocked at this reply. Shetan went on to explain, 'I saw you on your way to the masjid and it was I who made you fall. When you went home, cleaned yourself and went back on your way to the masjid, Allah forgave all of your sins. I made you fall a second time, and even that did not encourage you to stay home, but rather, you went back on your way to the masjid. Because of that, Allah forgave all the sins of the people of your household . I was AFRAID if i made you fall one more time, then Allah will forgive the sins of the people of your village, so I made sure that you reached the masjid safely..' So do not let Shetan benefit from his actions. Do not put off a good that you intended to do as you never know how much reward you might receive from the hardships you encounter while trying to achieve that good. If forwarding this message will bother you, or take too much time from you, then don't do it, but you will not get the reward of it, which is great. Imagine, that when you forward this, you receive 240 good deeds, and so will I for sending it to you! Wouldn't it be easy just to Press Forward ' and receive this Reward ? May Allah (Subhana Ho Wataallah) grant us perfect Muslim Heart n we all do Prayers with our Heart and Soul... Ameen
-
sar ka jab masah kartey hain to ek baar kartey hain to jab kanon aur gardan ka masah kartey hain to kya wo bhi 1 hi baar karna chahiey ya 3 bar kar saktey hain ya 3 se zayada? mera masla kanon aur gardan k masah k barey mein hai, main sar ka masah karney k baad kam az kam 3 bar shahadat ki unglion se kaanon ke androoni hissey ka masah karta hoon aur itni hi martaba kanon ke bahir k hissey ka, aur gardan par to mein taqreeban 5 ya 6 martaba haath ulta kar k pherta rehta hoon kyon k ek ya 2 martaba haath pherney se mujhey tasali nahi hoti, aur masah karney k liey sirf ek hi baar haaton ko gila karta hoon, to kya 6 martaba bar bar gardan par haath pherney se wuzu par koi manfi asar to nahi parey ga, i mean wuzu ho jaey ga na, kyon k merey khial se 1 bar kanon ya gardan ka masah karney se poora kaan ya poori gardan par tari nahi pohnchati to lehaza mein tasali k liey bar bar haath pherta rehta hoon, aissa karna sahi hai aur aissa karney se sunnat ada ho jaey gi kya? aissey hi jab mein paaon dho kar wuzu mukamal kar leta hoon to paaon ko dhoney ki waja se haath giley hotey hain to main un gilley hathon ko dobara poorey sar par aur chehrey par dobara mal leta hoon, ta' k agar koi hissa khushak reh gaya ho to wo ab gilla ho jaey, aissa karna jaiz hai kya? koi gunnah ya makroo wali baat to nahi? aissa karney se wuzu par koi manfi asar to nahi parey ga?
-
bohat bohat shukrya janab! bohat acha jawab dhoond kar nikala hai aapne, lekin quran sharif to allah tallah ki kitaab hai aur us ki zumadari bhi allah tallah ne khud li hai, quran chahey kissi ne bhi likha ho, matlib to parney se hai na aur koi bhi insaan likhaney mein galti nahi kar sakta kyon k zumadari allah talla ne li hui hai, han agar quran k ilawa koi aur kitaab likhi ho kissi badmazhab ki to usey parna na jaiz hai. kya kahein gey aap is barey mein?
-
maz'allah summa maz'allah main koi kissi qisam ka aitraaz ya inkaar nahi kar raha, waissey pooch raha hoon, hairangi ki wajah se shaed.
-
kya koi mujhe aissi hadees bata sakta hai jis mein likha ho keh nabi paak salalahou alehi wasalam ne namaz lambi karney se mana farmaya ho agar imam k peechey k muqtadi khushi na hon.
-
maine kahin pe para tha keh koi allah ka banda tha jo k har roz 1000 nafal para karta tha, sawal yeh hai keh wo kaissey har roz 1000 nafal pard lia karta tha? kyon agar 1 nafal parney mein 2 minut lagtey hain to 1000 nafal parney k liey to phir 2000 minut lagey gein na, aur 2000 minut mein taqreeban 33 ghantey hotey hain, to phir kaissey wo pard liya kartey they? kya koi mazeed roshni daal sakta hai is mamley par?
-
IMAM MAHIYODIN IBNE ZAKARYA BIN SHARIF NOVI
اس ٹاپک میں نے Bismillah میں پوسٹ کیا دیگر تمام درخواستیں
KYA KOI MUJHE HAZRAT IMAM MAHIYODIN IBNE ZAKARYA BIN SHARAF NOVI REHMA TULLAH ALEHI K BAREY KUCH BATA SAKTA HAI? SHAED MUJHE UNKA NAAM THEEK SE YAAD NAHI(ALLAH MAAF KAREY AGAR UNKA NAAM LIKHANEY KOI GALTI HO GAI HO TO, AMEEN -
deobandi kaun hotey hain? kya wo musalmaan hain? kya wo ahl-e-sunnat mein se hain? i mean kya wo haq par hain? agar kissi deobandi alim ne quran sharif likha ho to kya wo quran parna jaiz hai? kya deobandion ki liki hui islami kitabein parna jaiz hai?
-
i check faizanemadina website but it doesn't look like that they sell the books, another thing there are not in montreal,
-
ek shaks k han magrib ka waqat 17h23 pe hota hai aur us ne asar ki namaz 17h15mint se lekar 17h21 ke darmiaan mein pari, us ne internet pe dekha keh us k han sunset 17h23mint pe hota hai, ab wo confus hai keh sunset se murad jab suraj doobna shuru hota hai ya jab suraj mukamal tor par doob jana hai? waissey to us shaks ne kahin pe para tha ya kahin pe sunna tha keh agar asar ki namaz na pari ho to usey zawaal k waqat mein bhi pard saktey hain. kya sahi hai? koi fatwa ya hadees mil jaey to madina madina .... agar zawaal k waqat mein aap ne asar ki 1 raqat bhi pard li aur magrib ka waqat shuru ho gaya to aapki namaz ho jaey gi, kya yeh bhi sahi hai? koi fatwa ya hadees mil jaey to madina madina ...
-
ek shahs montreal canada mein rehta hoon, aur usey kuch dawat-e-islami ki books khareedani hain, lekin yahan par koi aissa store (dukaan) nazar nahi ata jahan se wo kharid sakey, kya koi is mamley uski rehnamai kar sakta hai? jazakallahou khaira.
-
is fatwey mein khoon ki miqdar ka zikar kya gaya hai, khoon ki miqdaar kitni honi chahiey?
-
1-) ghusal karne k baad agar naak mein tissu paper daal kar naak ko saaf kiya jaey aur jab tissu ko naak se bahir nikala jaey aur us tissu par khoon laga ho (kissi zakham ya kissi chot ki waja se nahi balkey aissey hi) jab k naak se khoon na bahey ya na beh raha ho to kya is surat mein ghusal par kya asar parey ga? yani k tissu ko bahir nikalney k baad naak se koi bhi khoon ka qatra na bahey sirf us tissu par khoon k kuch qatrey lagey huey hon. 2-) aissey hi kissi ne wuzu karna chaha aur istanja kya phir burshi ki aur jab thooka to danton se ya jild se khoon nikla jo k thook mein nazar aya to is surat mein kya istanja dobara karna ho ga ya kuli kar k wuzu jari rakh saktey hain? aksar aissa hota hai keh insaan wuzu ya ghusal karney k baad burshi karta hai to aksar thook mein khoon nazar ata hai jo k burshi karney ki waja se hota hai.