Jump to content

Bismillah

اراکین
  • کل پوسٹس

    500
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    1

سب کچھ Bismillah نے پوسٹ کیا

  1. bohat shukrya Muhammd Hassan Attari saab
  2. Bismillah

    Hijama kya hai?

    Asalamo alekum! hijama ki sharai haseeyat kya hoti hai, kab aur kaissay pata chalay keh humein karwana chahiey y’a nahi? Bohat saray log kamzor aur Bohat saray mazboot jism walay hotay hain. Shukria
  3. Salam! kya koi bata sakta hai Bitcoin aur crypto currency kya hain aur yeh halal hain y’a haram? Shukrya
  4. Salam! Mujhey maloom nahi if i am in correct section agar nahi to please mera thread transfer kar dijiey ga. Main janana chahta hoon keh Alcohol, beer, Wine, Vodka aur whisky main kya farq hai aur insaan inhein shauq say kyon petay hain? i mean why just people drink them for what Reason. thanks
  5. Salam, kya mard halat-e-janabat main quran ki soortain jo zubani yaad hon dil main ya zuban say par saktay hain? Mufti akmal saab ka program ahkam-e-shariat 23 or 24 november ka dekha us main pehla suwal yahi tha lekin mujhay kuch theek say samjh nahi aya.
  6. Janab haath halqa rakhain aap to bohat straight baat kartay hain jabkay hamaray deen main bohat lachak hai yani riyat kay bohat saray pehloo rakhay gaey hain ummat ki assani kay liey.
  7. Ji han issi video ki main baat kar raha tha, bye the way, Allama Faiz Umar Qadri kay baray main ulma-e-islam kya kehtay hain? yeh banda koi tahir qadri ka mureed lagta hai
  8. Dar asal main ek makhsoos qawali kay baray main poochna chahta hoon. kyon ke YouTube pe ek video hai jiss pe koi keh raha hai keh yeh wali qawali main kufr hai. koi Muhammad faiz qadri naam ka alim-e-deen keh raha tha. mujhay video mil nahi rahi hai.
  9. yeh qawali sunnana kaissa hai aur iska Matlab kya hai?
  10. yeh jo kaha jata hai keh insaan pehlay Monkey tha phir uss say wo insaan bana, aur yeh bhi kaha jata hai keh bohat sari hadiya(bones) milli hain jiss say sabit hota hai keh insaan pehlay bandar tha, yeh kahan tak such hai?
  11. yani keh insaan ko pehlay chikni mitti(zameen ki gilli mitti) say peda kya gaya, phir uss mitti ko convert kar kay pani yani mard ki mani main tabdeel kya gaya aur phir aurat kay reham main rakh kar poora insaan banay gaya? agar aissa hai to phir keh saktay hain keh insaan ko pani aur mitti say peda kya gaya?
  12. Bismillah

    What about Solar eclips in islam?

    Salaam! Chand grehan kay baray main islam kya kehta hai?
  13. maaf karna abhi bhi samjh nahi aey. aur pushat aur seenay ki hadiya to ooper hoti hain.
  14. جو پشت اور سینہ کی ہڈیوں کے درمیان سے نکلتاہے'' Matlab?mani murad hai kya iss say kya murad hai? Meray khial say mitti say sirf Hazrat Adam Alehi-Salaam ko peda kiya tha aur baqi sab insaan pani kay qatray say peda kiey gaey hain.
  15. Salaam, Insaan pani say bana hai ya mitti say?
  16. Salam, Mainay YouTube pe ek video dekhi hai keh srilanka kay shehar colombus main ek pahar kay upper Hazrat Adam Alehi-Salaam kay paaon ka naqsh hai, kya yeh baat sahi hai?
  17. Bismillah

    Nazar bandi kya hai?

    Nazar bandi kay baray main maloom karna tha keh yeh kya hoti hai aur yeh kaissay hoti hai? i mean iss main jinaat ka istimaal ya farishton ka istimaal hota hai kya?
  18. baat samjh main a gaeiy hai, choonkay yeh naara shion ka hai to yaqeenan un ka yahi Matlab hoga jo MuhammedAli saab nay bataya hai. Awam bechari ko kuch zayada maloomat hoti nahi aur jab koi ek lagata hai to bohat saray bhi peechay peechay laga detay hai josh-e-aqeedat main. Nateeja yeh nara lagana yaqeenan bay adbi, toheen-e-Ambiya aur Sahaba aur sara sar jahalat hai.
  19. aur iss nara ki kya neeyat ho sakti hai bala in do wajoohat kay ilawa
  20. Mujhey bhi laga yeh shia hazrat ki taraf say hai. Lekin yeh nara laganay kay peechay maqsad kya hai pata nahi i mean wo kya kehna chahtay hain iss naaray say kya sabit karna chahtay hain. Meray khial say wo galiban Mola Ali razi Allah unho ko nabio main shumaar kartay hain ya tamam sahaba-e-karaam say afzal. kuch aissi hi baat nazar ati hain iss naray main lekin Paka kuch bhi pata nahi.
  21. Bismillah

    Sawa Laakh naaray ka matlab

    Yeh jo baaz oqaat naara lagaya jata hai, (Sawa Laakh nara-e-haidri. (Ya Ali). iski kya haqeeqat hai aur sahi hai ya nahi?
  22. Main beroonay mulk rehta hoon (canada) aur yahan par indian restaurant hain aur pakistani bhi aur unkay cook hindo hotay hain kuch pakistani restaurant kay bhi. app humain is kay baray main bataey keh kya indian restaurant ka khana jaiz hai aur pakistani restaurant main jo khana pakatay hain hindou unkay haath ka khana bhi jaiz hai jaissay keh aapkay jawab say zahir to ho raha hai lekin phir bhi confirm karna chahta hoon. shukrya!
  23. bohat shukrya yeh hadees maine pehlay bhi suni thi lekin zehan main na rahi. yeah sawal meray ek dost ka tha, koi kitaab mil sakti hai iss baray main ta'k agar wo parna chahay to par bhi lay.
×
×
  • Create New...