Jump to content

Peaceful

اراکین
  • کل پوسٹس

    22
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

About Peaceful

تازہ ترین ناظرین

The recent visitors block is disabled and is not being shown to other users.

Peaceful's Achievements

Apprentice

Apprentice (3/14)

  • First Post
  • Collaborator
  • Conversation Starter
  • Week One Done
  • One Month Later

Recent Badges

0

کمیونٹی میں شہرت

  1. Mr. Attari, yeh hadees you apna paish ki is ka reference paish kerain?????? Rahi baat kaun si dua ebadaat hai???? Hadees main jis dua ko Ibaadat kaha gaya hai woh allah say dua kerna hi hai jo hum Allah say kertay hain aur tum qabron pay ja ker hajat rawai k liya kertay ho, so yeh bhi sabit huwa k jo HAJAT RAWAI k liya dua ki jati hai iss hadees main ussi dua ka zikar hai. Qaraeen yahan aik baat qabil-e-zikar hai k Mr. Attari nay dua ko jo matalib bayan kiya hai woh sirf aur sirf ayaari say iss point say bachanay ki koshish ki hai, Halan k yeh baat sabit hai k Meray Nabi ki hadees main aur Allah k Kalam main koi farq naheen ho sakta. issi liya is hadees main jis dua ko ebadaat kaha gaya hai woh Hajat Rawai hi k liya pukarna hai. Mr. Attari yahan tum say sawal yeh hai k iss hadees main dua say murad kaun si ebadaat hai????? P1 (1) Mr. Attari yeh tum nay jo Abu Dawud aur Trimdhi k reference diya iss k original pages scan kerdo, ya complete hadees upload kero??? (2) Qaraeen Attari ki tahereef aur ghuloo k andaza is baat say lagai main "Kalma go Mushrik" k original pages scan ker raha hon aur dekhiya k Barailwiat k is spoot nay kaisay rang badal ker war kiya hai. Yeh Imama Sufiyan Sauri ka Fatwa hai. iss say andaza lagai k Maheer-e-Tehreef (Attari) nay kiss tarah baat k badal ker paish kiya aur apna mauqif sabit kernay ki koshish ki. (1) Qaraeen is main koi shuba naheen k Maheer-e-Tehreef (Attari) nay kia kuch naheen kia woh bhi sirf shirk say bachnay k liya aur ab aik Muffassir ki tafseer ko badalany ki koshish ki, Maheer-e-Tehreef ki paish kerda tafseer per zara ghor farmayiya. Halan k Tafseer main saaf saaf likha huwa hai k yeh Qissa kissi Hadees ki kitab ka hai aur na hi iss ki sanad sahi hai. (2) Maheer-e-Tehreef (Attari) k munkir hona dekhiya jis sura maida ki yeh baat ker raha us k munkir bhi khud hi hai, Maheer-e-Tehreef nay khud tafaseer ibn kaseer k reference diya ussi Tafseer ibn Kaseer ki paish ker da Sura Maida ki Tafseer dekhiya, ab batao munkir kaun hai. yeh wohi ayat hai jis ko Waseela ki buniyaad tum nay banaya tha, mujeh ilm hai tum iss ko phir radd kero gay. Maheer-e-Tehreef tum nay Tafseer ibn Kaseer k hawalay diya hain ab tum per lazim hai k tafseer ibn kaseer ko mano. Maheer-e-Tehreef (Attari) tumharay kehnay ka matlab yeh hai k Hazarat Ayesha say jo hadees hai woh ghalat hai. Qaraeen Maher-e-Tehreef ki aik aur tehreef dekhiya. Maheer-e-Tehreef tumhara shirkia maqasid Insha Allah kabhi bhi pooray naheen hon gay. Tum nay Allah k Moajazaat ko (Hazarat Ibrahim ka chirion ko pukarana aur Mairaj k waqay ko) ghalat rang diya, Dekho to Allah apni kitab main kia kehta hai. Sura Anaam Ayat 37 Sura Ibrahim Ayat 11 Sura Al-Raad Ayat 38 Surah Momin Ayat 78 Tum say sawal yeh hai k kia Allah k Moajazzat kissi masalay per dalalat kertay hain????????????????????? Maheer-e-Tehreef ab tum batao yeh moajazzat bhi to Allah hi ki taraf say hain. Ab lay ker aao apnay Qabar walon k woh yeh moajazzat ker k dikhain. aur yaad rakho jo rab yeh moajazzat ker saktay hain woh Quran Majeed main keh rahain k "Ay Nabi aap murdo ko naheen suna saktay aur Allah jissay chahta hai sunata hain" Pehlay dekho Sura Namal Ayat 80, allah nay kafaron ko tashbeeh di Murdon say aur Behron say kiun k Murdon main kaoi hiss naheen hoti aur na hi Behray suntay hain, Yani Murda naheen sutay iss tarah kafir murshik bhi. Ab dekho Sura Fatir ayat 22. Allah nay saaf saaf keh diya k "Zinda aur Murday barabar naheen hain Aur Allah jis ko chahta hai sunata hai aur Nabi jo qabron main hain aap unko naheen suna saktay". Maheer-e-Tehreef is ayat main aik baat ghor talab hai k Allah nay agar Kuffar aur Mushrikeen ko pukara hai to unko Tashbeh Murdon say di kiun K jis tarah murday naheen suntay iss tarah kafir bhi naheen suntay. AUR GHOR SAY DEKHO QURAN KI IS AYAT KO ALLAH NAY MERAY NABI SAY YEH BHI FARMAYA " FIL QABOOR " yani jo qabar main hai woh naheen sunta iss tarah kafir bhi naheen sunay ga MUSHRIK bhi naheen sunay ga. Meray Allah nay kia hi khoob tashbeeh di hai Mushrikon, Button, Kuffar ko Murda say, issi liya tumhain yeh baat samajh naheen aaie. Maheer-e-Tehreef ab dekho tum nay baray shouq say Tafseer ibn Kaseer k pages upload kiya main bhi ussi tafseer k pages upload ker raha hon zara bardasht say kaam lena aur ghor say perhana. Sura Momin Ayat 60 ab dekho Tafseer ibn Kaseer Ab Dekho Meray Nabi ki taleemat bhi ain quran k mutabiq hain, Jhutalatay jao aur qabar walon ko pukaro k woh tumhari madad kerain. Meray Nabi nay to sawal sirf aur sirf Allah say hi kernay k hukam diya Quran k ain mutabiq, Ab to humain Nabi ki baat manain ya Maheer-e-Tehreef ki. Chalo aik tamancha aur ab bataon dua ki kaun si qisam hai yeh dua kaun si Qisam hai ebadat ki Chalo kuch bhi mango to Allah say sirf kiun, tum kehtay ho "Password" kahan say liya. Namak ya "Password" kiss say mangain. Maheer-e-Tehreef tum to kehtay ho k Qabar walay hajat rawai kertay hain Meray Nabi ki taleemat dekh k Woh to Quran k ain mutabiq aur Brailwiat k mun per tamanch hai. Meray Nabi nay khud Murda ki maghfirat ka hukam diya hai, Tu naheen badal sakta Meray Nabi ki taleemat ko. Iss say murad tum nay khud ko kaisay lay liya, kia is say tumhara mushrik na hona sabit hota hai??? ab Dekho Quran kia kehta hai. Surah Yousuf Ayat No. 106, Qaraeen k aik khas baat Meray Allah nay Meray Nabi k Hazarat Yousuf ka qissa bayan kia aur aakhir pay ja ker yeh baat kahi. Kiun Maheer-e-Tehreef ab bata mushrik ayen gay ya naheen ayen gay. Shirk ab zyada ho ga ya Meray Nabi k daur main???????????????????????? Regards "Whatever written of Truth and benefit is only due to Allah’s Assistance and Guidance, and whatever of error is of me. Allah Alone Knows Best and He is the Only Source of Strength."
  2. <<Hazarat Ibrahim aur Hazarat Hajra ka Gibraiel ko pukarna ki Haqeeqat>> Mr. Attari tum kissi aik paydaan per kheray to raho, kabhi kehtay ho Hazarat Hajra nay Gibraiel ko pukara kabhi kehtay ho k Gibraiel nay madad ki aur ab tum kehtay ho k Haqeeqi Madad Allah nay ki. tu suno Allah nay kia Asbab paida kiya sawal yeh naheen na hi yeh masla hai, masla yeh hai k kia Hazarat Ibrahim nay kiss ko pukara tha aur unhon nay kiss ki hifazat main Hazarat Hajra ko diya aur Hazarat Hajra nay Allah ki Hifazat per Itemenan k izhar kia, Tum say yahan sawal yeh hai k kia Hazarat Ibrahim ya Hazarat Hajra nay Gibraiel ko pukara tha?? issi hadees k Alfaaz ko highligh ker raha hon zara ghor kerna "He replied, '(I am leaving you) to Allah's (Care).' She said, 'I am satisfied to be with Allah.'" Tum to apna matlab nikalnay k liya hadees k ghalat taraf lay ja rahay ho aur tum nay yeh alfaaz highlight kiya, 'Help us if you canoffer any help.' Allah nay Gibraiel ko sabab bana ker Hazarat Hajra ki madad ki lakin Hazarat Ibrahim aur Hazarat Hajra nay to Allah hi ko pukara aur apnay aap ko Allah hi k hawalay kia aur jab Allah ki madad Gibraiel ki soorat main aaye to tum nay Allah ko peechay ker diya aur Gibraiel ko agay. (Maaz Allah) <<Nabi ko namaz main pukarna ki Haqeeqat>> Mr. Attari tum nay kaha k hum nabi ko namaz main pukartay hain tu iss k jawab suno. 1. Kia nabi jab namaz perhtay thay to kia khud ko bhi pukara kertay thay?? ya woh namaz main "Assalam o Alika ya Ayhan nabiyu" naheen perthay thay?? 2. Hum to namaz main yeh bhi perhtay hain "As-Salam alaina" Kia hum khud ko bhi pukar rahay hain? Tum nay apni history ki tarah yahan bhi ghalat matlab liya aur logon ko gumrah kernay ki koshish ki aur jis ko nabi say zara bhi mohabbat hoi to woh neechay darj Ahadees ko zaroor perhay ga, suno Meray Nabi k qool kia hain iss k mutaliq. Aur Meray Nabi nay phir shirk ko radd bhi kia Sahih Bukhari: Vol 1, Book 12. Characteristics Of Prayer. Hadith 794. Narrated By Shaqlq bin Salama : 'Abdullah said, "Whenever we prayed behind the Prophet we used to recite (in sitting) 'Peace be on Gabriel, Michael, peace be on so and so. Once Allah's Apostle looked back at us and said, 'Allah Himself is As-Salam (Peace), and if anyone of you prays then he should say, At-Tahiyatu lil-lahi wassalawatu wat-taiyibatu. AsSalamu 'alalika aiyuha-n-Nabiyu wa rahmatu-l-lahi wa barakatuhu. As-Salam alaina wa ala ibadil-lah is-salihin. (All the compliments, prayers and good things are due to Allah: peace be on you, O Prophet and Allah's mercy and blessings be on you. Peace be on us an on the true pious slaves of Allah). (If you say that, it will be for all the slaves in the heaven and the earth). Ash-hadu an la-ilaha illa-l-lahu wa ash-hadu anna Muhammadan 'abduhu wa Rasuluhu. (I testify that none has the right to be worshipped but Allah and I also testify that Muhammad is His slave and His Apostle)." Sahih Bukhari: Vol 1, Book 12. Characteristics Of Prayer. Hadith 797. Narrated By 'Abdullah : When we prayed with the Prophet we used to say, "Peace be on Allah from His slaves and peace be on so and so." The Prophet said, "Don't say As-Salam be on Allah, for He Himself is As-Salam, but say, 'At-tahiyatu lil-lahi was-salawatu wat-taiyibatu. As-salamu 'Alaika aiyuhan-Nabiyu warahmatu-l-lahi wa barakatuhu. As-salamu 'alaina wa 'ala ibadillahis-salihin. (If you say this then it will be for all the slaves in heaven or between heaven and earth). Ashhadu an la-ilaha illallahu wa ashhadu anna Muhammadan 'Abduhu wa Rasuluhu.' Then select the invocation you like best and recite it." (See Hadith No. 794, 795 & 796). Sahih Bukhari: Vol 2, Book 22. Actions While Praying. Hadith 294. Narrated By 'Abdullah bin Masud : We used to say the greeting, name and greet each other in the prayer. Allah's Apostle heard it and said: "Say, 'At-tahiyyatu lil-lahi was-salawatu wat-taiyibatu. Assalamu 'Alaika aiyuha-n-Nabiyu wa-rahmatu-l-lahi wa-barakatuhu. Assalamu alaina wa-'ala 'ibadi-l-lahi as-salihin... Ashhadu an la ilaha illa-l-lah wa ashhadu anna Muhammadan 'abdu hu wa Rasuluh. (All the compliments are for Allah and all the prayers and all the good things (are for Allah). Peace be on you, O Prophet, and Allah's mercy and blessings (are on you). And peace be on us and on the good (pious) worshipers of Allah. I testify that none has the right to be worshipped but Allah and that Muhammad is His slave and Apostle.) So, when you have said this, then you have surely sent the greetings to every good (pious) worship per of Allah, whether he be in the Heaven or on the Earth." Sahih Bukhari: Vol 8, Book 74. Asking Permission. Hadith 249. Narrated By 'Abdullah : When we prayed with the Prophet we used to say: As-Salam be on Allah from His worshipers, As-Salam be on Gabriel, As-Salam be on Michael, As-Salam be on so-and-so. When the Prophet finished his prayer, he faced us and said, "Allah Himself is As-Salam (Peace), so when one sits in the prayer, one should say, 'At-Tahiyatu-lillahi Was-Salawatu, Wat-Taiyibatu, As-Salamu 'Alaika aiyuhan-Nabiyyu wa Rah-matul-lahi wa Barakatuhu, As-Salamu 'Alaina wa 'ala 'Ibadillahi assalihin, for if he says so, then it will be for all the pious slave of Allah in the Heavens and the Earth. (Then he should say), 'Ash-hadu an la ilaha illalllahu wa ash-hadu anna Muhammadan 'Abduhu wa rasulu-hu,' and then he can choose whatever speech (i.e. invocation) he wishes." (See Hadith No. 797, Vol. 1) Mr. Attari tum to kehtay ho k tum nabi ko namaz main pukartay ho to Meray Nabi nay to tumhari iss baat ko radd ker diya aur kaha k mujh per salamti bhaijo yani dua kero aur khud per bhi aur naik logon per bhi. <<Dua k matliq>> Meray Nabi ki iss hadees k Mutabiq to Duaa sirf Allah say hi ki jani chahiya jo tum Gher Allah say kertay ho. Sunan of Abu-Dawood Hadith 1474 Narrated by An-Nu`man ibn Bashir The Prophet (saws) said: “Supplication (du`a`) is (itself) worship.”</SPAN> Tumhari taqseem say haqeeqat kabhi bhi naheen badlay gi, yahan dua say saaf zahir hota hai k hajat rawai k liya insaan ko dua sirf Allah say hi kerni chahiya, chahay tum is ko apni taqseem (dua k lughwi aur istalahi manay) say mano ya radd ker do. Tum Hajat Rawai k liya murdon ko jo pukartay ho woh iss ebadaat k zumaray main atay hain. <<Qabristaan main ja ker Murdon ko salam kerna>> Jis tarah tum nay Namaz may nabi ko pukarnay ki baat ki iss tarah yeh aqeedah bhi tumhara batil aur gumrah kun hai, Qabristan main janay k liya jo ahadees wardi hoin hain un per aik nazar daliya. Meray nabi k farman hai k; Sahih Muslim Book 4. Prayer. Hadith 2128. Sulaiman b. Buraida narrated on the authority of his father that the Messenger of Allah (may peace be upon him) used to teach them when they went out to the graveyard. One of the narrators used to say this in the narration transmitted on the authority of Abu Bakr: "Peace be upon the inhabitants of the city (i.e. graveyard)." In the hadith transmitted by Zuhair (the words are): "Peace be upon you, the inhabitants of the city, among the believers, and Muslims, and God willing we shall join you. I beg of Allah peace for us and for you." Meray Nabi Allah say apnay liya aur humaray liya salamaty chah rahay hain to yeh kaisay sabit ho gaya k qabr wala humari hajat rawai keray ga. ya woh humari pukar ko sun raha hai. Yeh Salam jo tum murdon ko zabardasti suna rahay ho yeh to batoor dua hai k Allah murdon per reham (peace, mercy) farmay. Tum kehtay ho k tum Allah k muqarab bandon ki qabron per ja ker mangtay ho to woh tumhari duain suntay hain aur Allah k han sifarish kertay hain, to dekho Meray Nabi nay farmaya Sahih Bukhari Vol 1, Book 8. Prayers (Salat). Hadith 426. Narrated By 'Aisha : Um Salama told Allah's Apostle about a church which she had seen in Ethiopia and which was called Mariya. She told him about the pictures which she had seen in it. Allah's Apostle said, "If any righteous pious man dies amongst them, they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it; they are the worst creatures in the sight of Allah." Sahih Bukhari Vol 1, Book 8. Prayers (Salat). Hadith 427. Narrated By 'Aisha and 'Abdullah bin 'Abbas : When the last moment of the life of Allah's Apostle came he started putting his 'Khamisa' on his face and when he felt hot and short of breath he took it off his face and said, "May Allah curse the Jews and Christians for they built the places of worship at the graves of their Prophets." The Prophet was warning (Muslims) of what those had done. Sahih Bukhari Vol 1, Book 8. Prayers (Salat). Hadith 428. Narrated By Abu Huraira : Allah's Apostle said, "May Allah's curse be on the Jews for they built the places of worship at the graves of their Prophets." Sahih Bukhari Vol 2, Book 23. Funerals (Al-Janaa'iz). Hadith 414. Narrated By 'Urwa : 'Aisha said, "The Prophet in his fatal illness said, 'Allah cursed the Jews and the Christians because they took the graves of their Prophets as places for praying." 'Aisha added, "Had it not been for that the grave of the Prophet (p.b.u.h) would have been made prominent but I am afraid it might be taken (as a) place for praying. ahih Bukhari Vol 2, Book 23. Funerals (Al-Janaa'iz). Hadith 425. Narrated By 'Aisha : When the Prophet became ill, some of his wives talked about a church which they had seen in Ethiopia and it was called Mariya. Um Salma and Um Habiba had been to Ethiopia, and both of them narrated its (the Church's) beauty and the pictures it contained. The Prophet raised his head and said, "Those are the people who, whenever a pious man dies amongst them, make a place of worship at his grave and then they make those pictures in it. Those are the worst creatures in the Sight of Allah." Sahih Bukhari Vol 2, Book 23. Funerals (Al-Janaa'iz). Hadith 472. Narrated By 'Aisha : Allah's Apostle in his fatal illness said, "Allah cursed the Jews and the Christians, for they built the places of worship at the graves of their prophets." And if that had not been the case, then the Prophet's grave would have been made prominent before the people. So (the Prophet) was afraid, or the people were afraid that his grave might be taken as a place for worship. Sahih Bukhari Vol 4, Book 56. Virtues And Merits Of The Prophet (pbuh) And His Companions. Hadith 660. Narrated By 'Aisha and Ibn 'Abbas : On his death-bed Allah's Apostle put a sheet over his-face and when he felt hot, he would remove it from his face. When in that state (of putting and removing the sheet) he said, "May Allah's Curse be on the Jews and the Christians for they build places of worship at the graves of their prophets." (By that) he intended to warn (the Muslim) from what they (i.e. Jews and Christians) had done. Iss Hadees main Meray Nabi nay sirf Qabar ki zayarat ki ejazat di ta k humain maut yaad rahay, tum nay to qabron say mangna shurro ker diya. Sahih Muslim Book 4. Prayer. Hadith 2130. Abu Huraira reported: The Apostle of Allah (may peace be upon him) visited the grave of his mother and he wept, and moved others around him to tears, and said: I sought permission from my Lord to beg forgiveness for her but it was not granted to me, and I sought permission to visit her grave and it was granted to motel So visit the graves, for that makes you mindful of death. Dekho Meray Nabi nay to khud kaha k meri qabr to ebadaatgah (Masjid) na banana, tum nay to auron ko bhi bana liya. Sahih Muslim Book 4. Prayer. Hadith 1079. Aisha reported: The Messenger of Allah (may peace be upon him) said during his illness from which he never recovered: Allah cursed the Jews and the Christians that they took the graves of their prophets as mosques. She ('Aisha) reported: Had it not been so, his (Prophet's) grave would have been in an open place, but it could not be due to the fear that it may not be taken as a mosque. Sahih Muslim Book 4. Prayer. Hadith 1083. Jundub reported: I heard from the Apostle of Allah (may peace be upon him) five days before his death and he said: I stand acquitted before Allah that I took any one of you as friend, for Allah has taken me as His friend, as he took Ibrahim as His friend. Had I taken any one of my Ummah as a friend, I would have taken Abu Bakr as a friend. Beware of those who preceded you and used to take the graves of their prophets and righteous men as places of worship, but you must not take graves as mosques; I forbid you to do that. Qabron ki zayarat to nabi nay iss liya di taa k Maut ko yaad rakha jai. Bal k allah to farmatay hain k mujeh pukaro, Allah nay yah kahin bhi naheen kaha k falan k zariya say mujeh pukaro na hi Meray Nabi nay pehlay anbia ko waseela banaya dua kertay huway. Sahih Bukhari Vol 2, Book 21. Prayer At Night (Tahajjud). Hadith 246. Narrated By Abu Huraira : Allah's Apostle (p.b.u.h) said, "Our Lord, the Blessed, the Superior, comes every night down on the nearest Heaven to us when the last third of the night remains, saying: "Is there anyone to invoke Me, so that I may respond to invocation? Is there anyone to ask Me, so that I may grant him his request? Is there anyone seeking My forgiveness, so that I may forgive him?" Meray Nabi nay to farmaya k insaan jab marta hai to sub kuch peechay reh jata hai aur agay to Sirf Amaal HI jatay hain, Waseela (shirk) to yahin reh jata hai Sahih Bukhari Vol 8, Book 76. To Make The Heart Tender (Ar-Riqaq). Hadith 521. Narrated By Anas bin Malik : Allah's Apostle said, "When carried to his grave, a dead person is followed by three, two of which return (after his burial) and one remains with him: his relative, his property, and his deeds follow him; relatives and his property go back while his deeds remain with him." <<Hazarat Ibrahim k chirion ko pukarnay ki Haqeeqat>> Mr. Attari tum nay sura Baqara ki ayat 260 ko jo adha paish kia aur us say apna matlab nikalnay ki koshish ki woh naakaafi hi naheen tumharay hi mukhalif hai poori ayat dekho, Allah nay Hazarat Ibrahim ko woh moajaza ker k dikhaya k Allah Murday ko zinda kaisay keray ga, yeh bhi dekho k Hazarat Ibrahim nay Allah say sawal kiya k Allah aap kaisay Murday ko Zinda kerain gay to phir Allah nay Murday ko Zinda ker k dikhaya. Tum iss ayat say yeh sabit kerna chahtay ho k Hazarat Ibrahim nay murdon ko pukara to woh zinda ho gay jo k sarasar dosron k emaan ko kharab kernay wali baat hai. Tum to Allah ki ayaat ko apni zaroorat k mutabiq badaltay ho, kia tumhain Allah k kouf naheen?? <<Hazarat Saleh , Hazarat Shoaib k apni Qaom ko Pukarnay ki Haqeeqat aur Baddar k Kuffar Say Meray Nabi ka Khitaab>> Surah Aaraf Ayaat 78-79 aur 91-93 Pehli baat yeh k in ayaat say sabit naheen k yeh khitab halakat k baad ka hai, yeh khitab halakat say pehlay ka bhi ho sakta hai jis waqt unko Azaab nay an pakra, aur Halakat k Baad bhi, Agar Khitab Halakat k baad k bhi hai to Meray Nabi nay bhi Badar k murda Kuffar say khitab kiya is k liya sub say pehla aik hadees dekhiya Sahih Bukhari Vol 2 Chapter 23 Hadith 453 Iss sabit huwa k Meray Nabi nay bhi Murdon say khitab kiya tha jis per Allah nay Surah Rome ki Ayat 52 utari jis ki wazahat iss hadees say bhi ho gai. <<Anbia say Madad ka Ehaad, Surah Al-Imran Ayaat 81>> In Ayaat main to Allah nay farmaya k agar kissi aik nabi ki majoodagi main agar koi doosra nabi a jai to us nabi ko nai anay walay nabi ki nabowat k iqrar kerna peray ga, iss say Mr. Attari nay yeh sabit kernay ki koshish ki k Allah Nay Meray Nabi say pehlay wafat shuda anbia say Meray Nabi ki madad ka ehad liya sirf qayas arai hai jab, jab k yahan per is ayat maqsood kuch aur hai, iss k liya dekhia Tafseer ibn kaseer Surah Al-Imran Ayat 81 <<Mairaj k waqay ki Haqeeqat>> Mr. Attari jis tarah tum nay Mairaj k Waqay ko ghalat rang diya hai aur us say sirf Murdon ka sunana sabit kernay ki koshish ki hai, iss say tumhara gumrah kun aqeeda saf nazar ata hai. Mairaaj to Allah ki taraf say aik moajaza tha, Jaisay kuch logon nay Hazarat Abu Bakr say Mairaj k mutaliq sawal kiya k yeh aik hi raat main sub kuch kaisay ho sakta hai to Hazarat Abu Bakr nay farmaya agar yeh nabi nay farmaya hai to yeh bilkul such hai. Allah k Meray Nabi ko Asmano per lay ker jana, Buraq ko lay ker ana, Janat Dekhana, Dozakh dekhan, Anbia say mulaqatain yeh sub Allah k moajazaat hain aur tum in say Murday k sunanay aur madad kerna ghalat istedlal kia hai. Tum nay yeh to sabit kernay ki koshish ki Murday suntay hain lakin iss per ghor naheen kia k Meray Nabi say Allah nay kaya farmaya k Baqi Anbia say kia poocho k kiss ki ibadat kerni hai, Wahan bhi Allah nay Shirk ko Radd kernay aur Aik hi Rehman ki ibadat kernay ka hukam diya. Regards Thanks to "Peaceful"
  3. Sub say pehlay main mazarat chahta hon k main apnay ID say reply naheen ker raha shaid k mera ID block ker diya gaya hai aur main reply naheen ker pa raha. is k liya main apnay dost "Peaceful" k shukar guzar hon jis k zariya say main ya post ker raha hon. Agar Forum walaon nay block kia hai to kam say kam inform ker daitay ta k main reply hi na kerta aur un ko mushkil hi na hoti. Janab agar aap ko yaad ho to baat yahan say shuroo hoi thi k kia murday sun saktay ya murdon k waseela pakrna jaiz hai ya nahi? lakin aap yahan aa ker topic ko ghalat rang day rahay hain. Main nay aap say guzarish ki thi k Murdya naheen sun saktay jis say murad hajat rawai tha lakin apnay jo ahadees paish ki us main kahin bhi sabit naheen hota k murday hajat rawai ker saktay hain, aur Allah k han Amaal-e-Saleha hi kaam aaein gay. lakin aap inkar ker gay k naheen murday bhi humari suntay hain. Rahi baat Sura Baqara ki Ayat 89 ki, Allah ki kitab say tum nay kia murad li k Allah ki kitab k sirf aa janay say hi woh kamayaab ho gay ya us per amal kernay say kamyaab howay thay. Bukhari ki jo Hadees apnay paish ki woh Roz-e-Qayamat ki Shafaat k baray main hay aur agar aap pichli posts per ghor farmayain to Qayamat walay din ki Shafaat wali hadees pehlay main nay hi paish ki thi, jis k faida janab khud utha rahay hain. (1) Sawaal no. 1 - 7 k Jawab tumharay in tumam Danishmandana sawalon k aik hi jawab hai. Surah Kahaf Ayat No. 110 Allah nay kia farmaya k Jis ko Allah say mulaqat ki khawahish hai woh Naik Amaal (Aamal-e-Saleha) karay aur to kuch naheen kaha. Kia yeh ayaat bhi button, Kuffar aur Mushrikeen k liya hain. Quran main sirf 89 dafa aya hai hai jis main "Ya Ayuhal lazeena Aamino" keh ker mominoon ko mukhatib kia gaya hai, kia sirf itna hi Quran Musalmanon k liya hai baqi naheen. (2) Tum kehtay ho k Shafaat ki taqseem duniya aur akherat ki main nay ki hai, to Meray Nabi k farman bhi sun lo: Chapter 75 "Invocations" Hadith 317 Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle said, "For every prophet there is one (special invocation (that will not be rejected) with which he appeals (to Allah), and I want to keep such an invocation for interceding for my followers in the Hereafter." Chapter 75 "Invocations" Hadith 317o Narrated Anas: that the Prophet said, "For every prophet there is an invocation that surely will be responded by Allah," (or said), "For every prophet there was an invocation with which he appealed to Allah, and his invocation was accepted (in his lifetime), but I kept my (this special) invocation to intercede for my followers on the Day of Resurrection." (1) Jab koi shirk kerta hai to kia woh momin rehta hai ya mushrik ho jata hai. Ooper jo ahadees quote ki us main to saaf likh hai k shafaat qayamat walay din hi ho gi aur tum nay jo hadees paish ki thi shafaat k baray main woh bhi qayamat hi ki thi (wohi hadees jis ko main nay urdu main paish kia to tumhain takleef hoi thi halan k iss liya paish ki thi sub ko wazah ho jai aur samjhanay main assani ho). (2) Yeh shikaari to khud hi shikaar ho gaya. yeh to batao tum nay likha "jo momin hain matlab jo (Roza Namaz walay)" to yeh "ROZA", "NAMAZ" kia hai, kahin yeh Aamal-e-Saleha to naheen? yani jo Namaz, Roza naheen keray ga woh shafaat kernay wala bhi naheen ho ga us ki zaat radd ho jai gi aur jo namaz roza (Aamaal-e-Saleha) keray ga woh shafaat bhi keray ga. AGAR MAIN SAAF SAAF LAFZON MAIN LIKHON TO HER SHAFAAT KERNAY WALA AAMAAL-E-SALEEHA HI KI WAJA SAY SHAFAAT KERAY GA AUR WOH BHI QAYAMAAT K DIN. Chalo Tumhain kuch aur Ahadees dekhata hoon. Sahih Bukhari, Vol 1, Book 2. Belief. Hadith 040. Narrated By Abu Huraira : Allah's Apostle said, "If any one of you improve (follows strictly) his Islamic religion then his good deeds will be rewarded ten times to seven hundred times for each good deed and a bad deed will be recorded as it is." Aik Aur Dekho Sahih Bukhari, Vol 1, Book 2. Belief. Hadith 041. Narrated By 'Aisha : Once the Prophet came while a woman was sitting with me. He said, "Who is she?" I replied, "She is so and so," and told him about her (excessive) praying. He said disapprovingly, "Do (good) deeds which is within your capacity (without being overtaxed) as Allah does not get tired (of giving rewards) but (surely) you will get tired and the best deed (act of Worship) in the sight of Allah is that which is done regularly." Yeh kia huwa Allah ko to woh Amal-e-Saleha hi buhat pasand hai jo regular ho, is hadees main bhi waseela kahin naheen nazar aya. Chalo Aik aur Hadees Dekho jis main Meray Nabi nay Sirf Amaal-e-Saleha hi k hukam diya aur phir Janat ki Basharat bhi day di, Yani Waseela k baghair hi janat main sirf Amaal-e-Saleha ki buniyaad per. Sahih Bukhari, Vol 1, Book 2. Belief. Hadith 044. Narrated By Talha bin 'Ubaidullah : A man from Najd with unkempt hair came to Allah's Apostle and we heard his loud voice but could not understand what he was saying, till he came near and then we came to know that he was asking about Islam. Allah's Apostle said, "You have to offer prayers perfectly five times in a day and night (24 hours)." The man asked, "Is there any more (praying)?" Allah's Apostle replied, "No, but if you want to offer the Nawafil prayers (you can)." Allah's Apostle further said to him: "You have to observe fasts during the month of Ramad, an." The man asked, "Is there any more fasting?" Allah's Apostle replied, "No, but if you want to observe the Nawafil fasts (you can.)" Then Allah's Apostle further said to him, "You have to pay the Zakat (obligatory charity)." The man asked, "Is there any thing other than the Zakat for me to pay?" Allah's Apostle replied, "No, unless you want to give alms of your own." And then that man retreated saying, "By Allah! I will neither do less nor more than this." Allah's Apostle said, "If what he said is true, then he will be successful (i.e. he will be granted Paradise)." (1) yani Meray Nabi k baat jo main nay paish ki tum us ko jhutla rahay ho. yani munkar-e-hadees. (2) Hadees tum nay perh li, dua ki taqseem bhi tum nay bata di, chalo ab yeh batao hadees main jis dua ko ibadaat kaha gaya hai woh kaun si dua hai rab ko pukarnay wali ya qabr walon ko pukarnay wali. Aur sab say berh ker yeh k jo tum nay taqseem ker k jo ayaat paish ki us main aik bhi aisi naheen jis main murday ko hajat rawai k liya pukara ja raha ho. Tumharay liya aik aur kaam ki baat jab koi marta hai to hum Namaz-e-Janaaza ki kia neeat kertay hain. "Dua wastay hazar is mayaat k", yeh kia mernay wala khud dua k mohtaaj hai aur tum khud uss say hajat rawai talab ker rahay ho. (1) Agar Meray Nabi k zamanay say pehlay bhi mushrik thay un k majood hotay huway bhi aur un k baad bhi Mushrik ayeen gay na, jo Allah ki wahdaniyat ko radd kerain gay bilkul aisay hi jaisay pehlay mushrik kertay aaye hain. Aur yeh to main pehlay bhi keh chuka hoon Mushrik kabhi bhi naheen kehta k woh mushrik hai?????????????? (2) tumhari in baton jawab ooper day chuka hoon baar baar repeat kernay say koi faida naheen. Agar Zinda Murda waghaira ki koi qaid naheen to momin aur mushrik ki qaid tum nay kaisay lagi hai. Kia her ayaat k baat likh hota hain yeh ayaat Mushrikon k liya hain, yeh mominoon k liya aur yeh button k liya aur yeh kuffar k liya????? (3) Main kia keron Mr. Attari tumharay liya to Allah nay Meray Nabi say yeh kia kehlwa diya. In Ayaat k inkaar na kerna aur yeh na kehna k yeh humaray liya naheen yeh to nabi k liya thein. Sura Aaraf Ayat 188 Sura Aaraf Ayat 188 (Tafseer) Sura Jin Ayaat 20-23 Sura Jin Ayaat 20-23 (Tafseer) Aur phir dekho Quran nay aik jaga aur kia kaha, yeh bhi Allah hi ka farmaan hai. Agar nabi Allah k sath kissi ko shareek keray to us k Amaal bhi zaya lakin BRAILWIAT keray to woh tawassul, shafaat aur waseela. (1) Haan bilkul Meray Nabi jab mushrikon ko deen ki taraf bulatay thay to woh bhi yehi kehtay aur yehi andaaz hotay thay un k aur yehi Ikhlaaq hotay thay. Haan meray deen to Islam hai woh Islam jo Nabi lay ker aayee aur Brailwiat say mera lena dena kuch naheen. Aur jo Hadees tum nay Abdullah bin Masood wali paish ki hai na iss per ghor bhi kero k woh kaun si madad hai. pehli baat, kia is main murdon ko pukara ja raha hai madad k liya??? Doosri baat, jis insaan k ikhtiar main agar kuch hai to woh us k mutabiq us ki madad ker sakta hai?? Teesri baat tum batao tum nay iss hadees ki TAQSEEM kaisay ki k yeh murdon say hai??????? (2) Sawaal no. 09 Aur Bibi Hajra wali hadees ka jawab suno, Mr. Attari tum iss say yeh samjh baithay k Gibraiel nay Bibi Hajra ki madad ki, tu Suno issi Hadees main Hazarat Ibrahim nay unko Allah k hawalay kia, aur Bibi Hajra nay bhi Allah ki madad per itemainan zahir kia. Aur yahi Toheed hai. iss hadees ko dekh ker batao Kia Hazarat Ibrahim nay Allah ko pukara ya Gibraiel ko ??? Kia Hazarat Hajra nay Allah ki madad per itmenaan zahir naheen kia?? Jab unhon nay khud ko Allah k supard kia to Allah nay madad Gibraiel k zariya ki. Poori hadees main kahin naheen k Hazarat Ibrahim aur Hazarat Hajara nay Gibraiel ko pukara. Aisa hi waqaya Meray Nabi k saath bhi paish aya. Allah nay Badr k waqay ko quran main kaisay uttara aur phir shirk ko kaisay radd kia. Aur Meray Nabi Allah say hi maddad mangi aur Allah nay madad ka wada kia aur farishton say madad ki aur phir farma diya K madad to Allah hi ki taraf say hai. Ab bhi kehna k Nabi ki Madad Allah nay nahin ki Gher Allah nay ki. Meray Nabi nay Badr k maidan main Matti utha ker Kuffar ki taraf phainki thi, Tu us per Allah nay us per apni Wahdaniat ki Stamp kaisay lagai aur phir mushrikon k shirk ko kasiay radd kiya. (1) Janab bhool jatay hain aap Jab aap nay kaha k woh Ayaat paish kerain jis main Aamaal-e-Saleha hi ka zikar ho to kiya main nay ayaat paish naheen ki thein, to ayaat dekhnay k baad tum naheen manay to tum nay unko Jhutlaya hi hai, Waisay iss post main ooper main nay aik aur Ayat paish ki (Surah Kahaf Ayat No. 110) aur kuch ahadees bhi paish ker dein hain jiss main sirf Amaal-e-Saleha hi per Janat ki basharat di hi Meray Naib nay. aur dekho sirf Aamal-e-Saleha hi zariya hain Allah say mulaqat k. (2) Kitni batuki baat ki tum nay, Quran Hazarat Adam ki dua bata raha hai aur issi dua say unki bakhshish bhi hoi, jis main koi Nabi k waseela istemaal naheen howa tum nay kaisay kaha k is dua k sath nabi waseela bhi paish kia. Aur jo Ahadees tum nay paish kein us main kahan hai k Rabbana Zalamna k sath yeh dua perhi. "Laanatullah he Allal Kazibeen" (1) Agar tum sirf Amaal-e-Saleh Hi k munkir ho to phir to tum munkir-e-Hadees bhi huway na, yeh hadees "Sahih Bukhari, Vol 1, Book 2. Belief. Hadith 044." (ooper text majood hai) jis main Meray Nabi nay Amaal-e-Saleha ki talqeen ki aur phir Amaal-e-Saleha ki waja say hi janat ki basharat di. To tum Meray Nabi ki shafaat Qayamat ko kaisay hasil kero gay??? Jahil kaun huwa?? (2) Acha tum jo button say, qabron say duain kertay ho woh drama hota hai, kiun k Dua jo Ibadaat hai woh to Allah say hi kerni chahiya, agar tum kissi aur say kertay ho to shirk howa na, Meray Nabi ki lai howi shariat nay to pichalay tamam mazahib ki perwi khatam ker di, Allah nay jab tak chaha Sharab (wine) ko Halal rakha phir Haram qarar diya, ab koho na k pehlay sharab halal thi ab haram kaisay ho gai, Allah nay Agar Hazarat Adam ko farishton say sajda kerwaya to Meray Nabi ko kiun sajda naheen kerwaya???? Pichalay mazahib main buhat saaray kam halal thay lakin Shariat-e-Mohammadi main Haram. Jo meray Nabi nay haram karar diya tum usko jaiz kerar dena chahtay ho. (1) Chalo tum khud say faisala kero agar kissi k pass Amaal-e-Saleha naheen hain to woh kaisay Meray Nabi ki shafaat k haqdaar hai?? Is duniya main jo Amaal-e-Saleha keray ga aur Allah k samnay Amaal-e-Saleha lay ker jai ga to wohi haqdaar ho ga na shafaat ka. Abu jehal, Abu Lahab un k pass to Amaal-e-Saleha naheen to woh kaisay Haq dar ho gai Meray Nabi ki shafaat k? samajh aai ya naheen?? Duniya main Allah say mangtay howay sifarish k baray main baat hoi thi tum nay is ko ghalat rang diya tha ab samajh jana (2) Chalo Hazarat Adam wali hadees Bukhari, Muslim aur Muwatta Imam Malik main dekha do kahan hain, phir agali baat ho gi? Mainy kissi mohadis ki taqseem naheen ki, Sawaal yeh tha k sub Ahadees per sub mohadaseen k ray aik thei, Haan ya Na main jawab day do????????????? iss k liya to Suran Jin Ayat 21 hi kafi hai (1) Sawal no. 10 ka jawab: Jab Faail-e-Haqeeqi Allah hai to phir dosron say kiun mangtay. Dua k zariya waseela pakrna hi jaiz tareeqa hai is liya k dua ebadaat hai aur Dua Allah hi say ki jaati hai, aur Meray Nabi say sabit hai, Meray Nabi nay to kissi murday say koi dua naheen ki. Meray Nabi nay apnay sahaba ko yahi kaha k apnay bhaion k liya dua kia kero tu iss say sabit huwa k Dua k kissi ko kehna jaiz tareeqa hai. Tumhain yeh baat samjh naheen aai k "KISSI K LIYA DUA " aur "KISSI K ZARIYA SAY DUA " main kia farq hai. (2) Sawal no. 11 ka jawab: Allah k Nabi nay zindagi k asool wazah kia hain, k agar kissi k ikhtiar main koi cheez hai to woh us say lena jaiz hai lakin woh jo kissi k ikhtiar main naheen woh mangna jaiz naheen hai jaisay Rizk. Aur issi tarah ebadaat main kissi ko kabhi bhi shamil naheen kia ja sakta e.g. Qabron walon say aulad k sawal kerna. Agar koi khana kissi ko deta hai to tumhara kia matlab hai woh razzaq ban jai ga ya Allah nay asbaab paida kia hain. (1) main tumharay alfaaz quote ker raha hon ghor kerna "kya ye naboowaat ye wasf bina nabi ke kuch wajood rakhty hain" Jab naboowat hi naheen phir nabi kaisay banay ga. jab tum naboowat k wasf ko khatam ker detay ho to phir koi bhi nabi naheen sub aam insaano ki tara ho jata hain. Iss k liya dekho Surah Kahaf Ayat No. 110 shurro ki alfaaz (2) kia Allah nay is duniya main amaal ka faisala ker diya hai? agar naheen kia to yaha waseela bhi jaiz naheen. Jab qayamat main Amaal ka faisala ho jai ga to tab naik log sabit ho jain gay to tub shafaat bhi jaiz ho gai gi. Tum jis shafaat, waseela aur tawasssul ko is duniya main dhoondh rahay ho woh akherat main hai, yahan sirf Amaal-e-Saleha kero gay to akherat main Shafaat k bhi haqdaar ho gay. Sawal no. 1 Qayamat walay din agar koi naik aur saleh ho ga to kiss bunyaad per ho ga? Sawal no. 2 Surah Kahaf Ayat 110 main Allah nay farmaya jo Allah say mulaqat ka arzomand hai woh Aamaal-e-Saleha keray, aap batao Allah nay Sirf Amaal-e-Saleha per hi apnay say mulaqat ki basharat di kiun? Sawal no. 3 Surah Aaraf Ayat 188 main Nabi ko hukam diya k woh khud kahain k woh to khud bhi apnay liya nafa aur nuqsan k malik naheen, kia yeh ayat kuffar, button aur mushrikeen k liya hai? Sawal no. 4 Suran Jin ki Ayaat 21-22 Nabi ko hukam diya gaya k baqi sub ko bhi mukhatib ker k keh dain k dosroon k nafa aur nuqsan per nabi ka bhi koi ikhtiar naheen, kia yeh bhi button, kuffar aur mushrikeen k liya hai? Sawal No. 5 Wahan Hazarat Abu Bakar Sadique , Hazarat Umer jaisay sahaba bhi hon gay aur Abu Lahab aur Abu Jehal jaisay kafir bhi, Agar Meray Nabi shafaat kerain gay to kin ki shafaat ho gi? Ab batao iss ayat k kia mafhoom nikalta hai?? Regards
  4. kia apna 'point of view' zara clear kerain gay.
  5. Sag-e-Attar Bhai aap ka buhat shukriya, aap nay jo pages scan kiya hain kia us k urdu main tarjma mil sakta hai kiun k mujeh arabi sahi tareeqay say samajh naheen aati, agar is tarah ho jai buhat acha ho ga, Allah ap ko aap ki tamam koshishon k ajar ata farmaya aur hum ko rah-e-hidayat ki taraf lay jai. (Ameen), Inshallah main jald agali post keron ga agar meray pass koi sawal huw to. duaon main yaad rakhiya ga aur Insha Allah main mazeed maloomaat k liya is forum pay aata rahon ga.
  6. Sag-e-Attar Bhai, ap ki post perh ker yaqeen kerain dil ko buhat khushi hoi hai khar ker iss baat k aap nay jawab buhat hi achay tareeqay say diya, iss liya k yeh bhi humaray piyaray nabi ki sunnat hai. Allah hum sub ko iss tareeqqy per chalnay ki taufeqq ata farmay. (Ameen) aik cheez mujeh aur clear ker dijia ga k, kisi cheez ki daleel no hona us ki nafi to naheen lakin daleel k na honay say kia woh jaiz ho jata hai. Allah ap ko aap ki in tamam koshishon ka ajar day aur hum sub ko rah-e-haq per lay aaye. (Ameen)
  7. Assalam o Alikum Salman bhia meray khiyal say to aisay nahen likhna chahiya kiun k iss say kissi ko convince nahen kiya ja sakta, aap yeh dekhain k Sag-e-Attar bhai nay kitnay achay tareeqay sa sari baat samjhanay ki koshish ki hai aur meray khiyal say yehi tareeqa durust hai, doosri soorat main to koi ap ki baat bhi nahin sunay ga. agar kuch bura lagay to mazaarat chahta hon Sag-e-Attar bhai meri iss say pehli post ka jawab zaroor dijiya ga, main intezar keron ga iss k ilawa main bhi mazeed tehqeeq keron ga aur phir aap say discuss bhi keron ga. baray meharbani aap yahan k senior member lagtay hain baqi sathion ko bhi kahain k woh achay tareeqay say apni baat bayan kerain ta k ikhtalaf k ansar khatam ho aur islah ho sakay. waisay bhi humaray piyaray Nabi k Ikhalaq to buhat buland thay humain bhi iss cheez ko apnana chahiya. Wassalam
  8. Mohtaram bhai aap ki in sab koshishon ko allah apnay haan maqbool farmaya. main yahan aik baat yeh kerna chahta hon k agar koi bhi masla hum main darpaish hai to humain woh achi tareeqay say samjhana aur bayan kerna chahiye ta k aik doosray ko baat samjha sakay. meray khiyal say main nay aisi koi baat naheen likhi jis say aap ki dil azaari hoi ho aur agar kahin aisa huwa hai to aap sab logon say mazaratkhaw hon. Sag-e-Attar bhai, jo ap nay aur Asif bhai nay reference diya hain kiya mujeh un reference k scan pages upload ker saktay hain, aur yeh books jin k ap nay reference diya hain kia yeh books kahin say main download ker sakta hon, ap k buhat mamnoon hon ga. Aik eham baat, yeh jo tafseer meray paas hai us k baray main mujeh batain kia yeh theek naheen hai aur kiun theek naheen hai. Aur agar mujeh Tafseer ibn Kaseer chahiye to main kahan say download keron, mera yeh masla zaroor hal ker dijiya ga. Mujeh Surah Zumur ki Ayat 30 aur Ale_Imran ki Ayat 144 ki tafseer bhi Tafseer ibn kaseer jo aap k pass hai post ker dain. Jazzak Allah Allah mujeh aur aap ko Allah (SWT) aur Nabi k khalis deen per chalnay ki taufeeq ata farmay, aur humain nifaq say nijat day. (Ameen) Aap ki post ka intezar keron ga (Insha Allah) Duaon ka talabgar. Wassalam
  9. Assalam o Alaikum Is any thing wrong in that speech, tell me. Regards
  10. Assalam o Alaikum Bhai meri tehqeeq itni ziada nahin hai, main yahan seekhanay hi k liya aaya hon, mujeh aap say koi gilla naheen, lakin main andhi taqleed naheen ker sakta, mujeh ap delail say convince kerain, main bhi delail don ga, aur Insha Allah aap ki tamam achi baton per amal kernay ki koshish keron ga. Main khud tehqeeq ker raha hon, meri aap say koi zati jang to hai naheen sirf meri taraf say shaid ilm ki kami hai iss silsilay main meri madad aap hi nay kerni hai. Main neechay kuch reference day raha hon, iss silsilay main aap kiya kehtay. Mujeh kissi mustanad kitab say hawala dijia ga. khas tor per highlighted lines zaroor perhiya ga Surah Zumur Ayat No. 30 bamaa Tafseer : Aur issi Ayat ki Tafseer "Tafseer ibn Kaseer " k hawalay say Surah Al-Imran Ayat No. 144 bamaa Tafseer : Aur issi Ayat ki Tafseer 'Tafseer ibn Kaseer' k hawalay say Aap meri liya mohtaram hain kiun aap ki waja say meray isl main izafa ho ga aur Insha Allah aap ki izat qaim rahay gi. Allah ap ki achi baton say mujeh mustafeed farmay (Ameen) agar koi meri say ghalat likhi gai hai to Allah (SWT) say Astaghfar kerta hon aur koi baat ap ko buri lagi to mazarat. Wassalam
  11. Assalam o Alikum Meray Bhai aap naraz na hon, main nay to tafseer k page upload kiya hain koi ghalat baat to naheen ki, lakin is tafseer k mutabiq to Allah (SWT) ka qurab hasil kernay k liya Taqway ko Waseela (rasta) bataya gaya hai aur mazeed jo tafseel bayan ki gai hai k waseela to Janat k Maqam k naam hai, aap poori tafseer walay pages perh ker to daikhain Insha Allah (SWT) sub kuch asani say samjh a jai ga. Allah hum sab k Aqeeday ko taqwiat pohanchay (Ameen). Allah humain aap ki achi baton say nawazay, aur agar humari koi baat bur lagay to Allah ap ko us say mahfooz farmay. Aap say darkhawast kerta hon k Allah k haan meri liya khas dua kijiya ga k Allah mujeh Rasool Allah k sahi rastay per lay aye. Wassalam
  12. Assalam o Alikum I have uploaded the Tafseer ibn Kaseer of Ayaat 35 - 37, is main jo tafseer di hai woh to Allah (SWT) hi ko Waseela keh rahain hain, kuch mazeed tafseer bhi perhiay. Allah hum sub ko Nabi k deen-e-Khalis per chalnay ki taufeeq ata farmay. Wassalam
  13. Assalam o Alikum I have uploaded the pages from Tafseer Ibn Kaseer of Surat Nisa Ayaat 64-65. Wassalam
  14. AOA Kafeel Bhai Aap mujeh reference k sath yeh masla clear ker dain, Shukriya Wassalam
  15. AOA Kafeel Bhai main nay ap ki buhat sari posts perhi hain, lakin mujeh ap ki yeh baat jo highlight ki hai achi naheen lagi, baqi Allah hum sub seedhay rastay per chalnay ki taufeeq ataa farmaya. Aap sab hazarat say guzarish hai k koi bhi ghlat alfaaz istemal na keray iss say humara apna waqar majrooh hota hai. any how this site is very informative. Wassalam
×
×
  • Create New...