Jump to content

Raza ka ghulam

اراکین
  • کل پوسٹس

    130
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

  • جیتے ہوئے دن

    2

سب کچھ Raza ka ghulam نے پوسٹ کیا

  1. Raza ka ghulam

    Fazail-e-Shab-e-Qadar

    Duaoun main muje bhi yaad rakhyega.
  2. Aap Hazraat is amar se ba khubhi waqif hain, kay Allah Rabul Izzat is mah-e-mubarak main har amal ka satter(70) guna sawaab ata fermata hai. Is bina par bahut se hazraat Zakaat ka ahhem fariza bhi ada karte hain, taake farziyat bhi ada ho jaye aur sawaab bhi zayada se zayada hasil ho. Shaher Hyderabad, A.P, INDIA. Main khalifa-e-Huzoor mufti Aazam-e-Hind Shahebaaz-e-Deccan Hazrat Allama Maulana Muhammed Mujeeb Ali Razvi ul Qadri Sahib ki zair-e-nigrani wo zair-e-sarparasti main DARUL ULOOM FAIZ-E-RAZA, MOINABAD, HYDERABAD, INDIA, main hain. Is madarse main Maslak-e-Ahlesunnat wa Jamaat wo Maslak-e-Alahazrat ka Deeni wo Tabliqi Asha’ati kaam main hama waqt masroof-e-amal hai. Lehaza har Momin bhai se guzarish hai ke apni Zakaat wa Sadqaat wa Fitraat ke zariye is Deeni idare ka Ta’aun farmaye. “INNAL LAHA LA YUZI’YU AJRALMUHSINEEN” “ BE SHAK ALLAH HU TALA AHSAAN KARNE WALOUN KE AJAR KO ZAYA NAHI FARMATA” MUNAWAR KHAN A/C NO : 30050388443 BANK NAME : STATE BANK OF INDIA BRANCH : KARWAAN , MEHDIPATNAM, HYDERABAD, ANDHRA PRADESH, INDIA. JAZAKALLAHU KHAIRA.
  3. Muje ye manqabat bahut achchi lagi is liye main aap logoun ke saat share kar raha houn. Aap logoun ko kaisi lagi reply de ke bataye ga please. Daf'atan zahen me ehteraam agaya Ala Hazarth ka lab par jo naam agaya Kya arab kya ajam sab ke sab keh uthay Ahle Sunnat ka dekho Imam agaya Yeh hai ehsaan-e-Ahmed Raza sunniyo Hum ko padhna Darood o Salaam agaya Najdiyat munh ko apne chupane lagi Ru ba ru jab Raza ka Kalaam agaya Hashr me dekh kar mujh ko rizwaan kahe Dekho Dekho Raza ka ghulaam agaya Manqabat Naat likhna tufail-e-Raza Tere Hisse me khalid yeh kaam agaya Mujeh duaoun main yaad rakhyega.
  4. JAZAKALLAHU KHAIRA REPLY DENE KA HUM SAB LOGOUN KO IS PAR AMAL KARNE KI TAUFEEQ ATA FARMAYE. MUJE BHI DUAOUN MAIN YAAD RAKHYEGA.
  5. Ghulam e Mustafa bhai bahut bahut shukriya. Aap ne bahut jald aur mere pure naats ke lyrics de di hain. Jazakallahu khaira.
  6. mera kehney ka matlib tha jab 2 namazi ek saath namaz pard rahey hon tab ek namazi ke paoon dooserey namazi ke paaon se miley honey chahiey, na k ek namazi ke paoon apis mein miley hon. Bimillah bhai aap ne jo bataya ke ek namazi dosre namazi ke paoun ke bheech ko tu main ne who hi samaja hai jo aap ne yahan detail main diya hai naake ek naamazi ke aapas ki ungulioun ko milana ka jo abhi aap ne bataya. ASLAM O ALAIKUM, MEIN KOI ALIM TU NAHI LAIKIN ALHUMDULILLAH MEINE AZ KHUDH ULAMA SAY YEH MASLA POCHA HAI AUR ULAMA KA KEHNA HAI KE YEH INSAAN KE WEIGHT PER DEPEND KARTA HAI ZARORI NAHI KE SIRF 4 UNGLION (AIK HATH KI 4 UNGLIAN) KA FASLA HOO JO LOGH FAT HOTAY HAIN WOH TU 4 UNGLION KA FASLA RAKH KAR KHARAY HEE NAHI HOO SAKTY KYON KI AGHAR WOH ITNA FASLA RAKHEIN TU WOH GIR SAKTY HEIN SO JITNA ASAANI SAY INSAAN KHARA HOO SAKAY UTNA FASLA RAKH LAI LAIKIN ITNA ZYADA BHI NAH HOO KE DOSRAY NAMAZION KO PARESHANI BANAI HAAN 4 UNGLION SAY ZYADA FASLA HONA CAHIYE 1 HATH KI 4 UNGLION SAY ZYADA. Ghulam e Mustafa bhai aap ne bahut hi achcha jawaab diya magar jo 4 ungle rakhna hai wahan aap ne bataya ke zaroori nahi hai 4 ungle rakhna sunnat hai ye baat alag hai ke jo log fat hain agar wo nahi rakh sakte hain tu jit duur rakhne par sahulat ho wotna hi rakhen wos se zayada na pehlaye. Mera pehle bhi ye hi jawaab tha.
  7. Raza ka ghulam

    Naat Lyrics

    muje kuch naats likhe howe chahiye. Jald se jald share karein. 1- JAB HUSN THA UN KA JALWA NUMA 2- HAR WAQT TASAWWUR MAIN MADINE KI GALI HO 3- CHAMAK TUJ SE PAATE HAIN SAB PAANE WALE 4- MAULA YA SALLI WA SALLIM DAI MAN ABADAM ALA HABI BI KA KHAIRI KHALKHI KULLI MI 5- HABIB-E-KHUDA KA NAZARA KAROUN MAIN DIL O JAAN UN PE NISARA KAROUN MAIN
  8. Sirf ek hath ke 4 ungle ka faasla hona chahiye naake dono hathoun ke 4 ungle ka. JO aap ne bataya ke payoun ke ungliun ek dosre se milana chahiye ye baat ghalat hai. Ye tu wabioun ka tareeqa hai wo aisa khade hote hain jaise ke jang ke maidaan main khadein hain poun cheer ke. ye ghalat hai aisa nahi karna chahiye. Agar aisi baat hoti tu kiya shaitaan saamne se nahi aasakta hai kiya sirf shaitaan piche se hi aayega. Aur jo aap ne Hanafi Hadees ke barey main pucha hai abhi tu mere pass nahi hai main jaise hi hadees mili is barey main share kar dounga.
  9. is topic main jo bhaiyoun ne jawabaat diye hain main ne pade bahut hi achche jawaab diye gaye hain magar sawaal karne walein ne tu us ka jawaab hi nahi diya. Aakhir main aapni asliyat bata diya us ne ke wo kiya hai.
  10. Maafi chahta houn aap ke sawaal ka jawaab bahut deerse deraha houn. Sajda karne ka tareeqa ye hai ke Allahuakbar ke ke sajde main chale jayein aur 1 , 3 , 5, ya 7 martaba subaanarabbiyalaala kahe aur Allahuakbar kahe ke sajde se uth jayein. Aap ka sajda hojayega. Jab sajda karne ki aayat aati hai tu sajda kiya jata hai aur agar aap us waqt sajda nahi karein tu pura para ya quraan sharif complete hone ke baad sajde kitne karna hai count kar ke sajda kar na hoga. Quraan sharif main total 14 sajde honge. main ne jo ye jawaab diya tha ke pura para ya pura quraan padne ke baad ek saat pure sajde kar sakte hain is ka matal ye hai ke ek hi jalse main yani ek saat agar pura para pade ya phir puri quraan padein tu kar sakte hain. Magar sajda jald se jald ada kar dena hoga. Warna ghunah gaar honge. Agar abhi bhi kuch sawaal aaye tu kijiyega.
  11. Imam ke peeche pade ya alag namaaz padein donoun paoun ke beej main faasla sirl 4 ungle ka hona chahiye ya phir ek balish ka faasla hona chahiye. Aap ne kaha ke jawaab jald se jald chahiye tu main ne ye bata diya hai. Meri maloomaat ke hisaab se agar is main kuch ghalti hai tu koi is ko sahi karein aur main bhi is masle ke barey main maloom karounga. Aur agar ye ghalat hai tu main isi main sahi jawaab bhi dalounga.
  12. Bhai aap ne tu bahut achcha jawaab diyahai. Agar ye logoun ko kuch samaj hoti tu ye log aisi batein nahi karte. Khair Allah hutala hum sab ko in logoun se duur rakhe aur in ke finte se bachaye Aur in logoun ko hidayat dein. Aameen.
  13. Allah hutala Hum sab ko in raatoun ki ibadat karne ki taufeeq ata farmaye. Mujeh bhi aap ki duaoun main yaad rakhyega.
  14. Mufti e Azam e Dehli, Allama o Molana Mazhar ul Allah Naqshibandi Rehmatullah Alaih ka khoul hai "Aala Hadrat k Maslak o Tehqeeqat men kiss ka zuhra hai jo Lab kushae karr sakke."
×
×
  • Create New...