Meri aaj alhamdulillah shaadi huwi magar kuch kami phir bhi mahsoos ho rahi. Meri khaish thi kay meri shaadi mein wo kaam na ho jo aaj kal raij hein jis mein shariat ki parwa nahin. Maslan rasam-e-mehndi or dulha dulhan ko stage par bitana ghair maharim kay sameney. Ye baaatein jo chali aa rahi is pay hamaray jo buzurg hein wo inhein chorney kay tyaar bilkil nahin. Meri shaadi UK mein huwi or main ye jaana chata hu kay kya ye ghair shar'i rasoomat karachi mein bhi aam hein ya bazurg 'ulama ki baat maan letey hein.
Dua farmaey kay allah mujhey or mei bivi ko shariat kay mutabiq zindagi guzarnay ki tofeeq ata farmaey.