Haq se paae wo shaan-e-Kareemi
Marhaba dono aalam ke Waali
Wo Muhammad ka Pyara Nawaasa
Jisne Sajde mein Gardan kataali
Jo Iben-e-Murtaza ne kiya kaam khoob hai
Qurbaani-e-Hussain ka anjaam khoob hai
Qurbaan ho ke Fatima Zehra ke chain ne
Deen-e-Khuda ki shaan barhaayi Hussain ne
Bakhshi hai jisne Mazhab-e-Islam ko hayaat
Kitni azeem Hazrat-e-Shabbir ki hai Zaat
Maidaan-e-Karbala mein Shah-e-khush Khisaal ne
Sajde mein Sar kataa ke Mohammad ke laal ne
Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo Deen-e-Haq ki bachaali
Wo Muhammad ka Pyara Nawaasa
Jisne Sajde mein Gardan kataa li
*******************************