Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhoon Salaam
Sham-e- Bazme Hidayat Pe Lakhoon Salaam
Shabe Asraa Ke Dulha Pe Daaim Durood
Noushe-e-Bazme Jannat Pe Lakhoon Salaam
Fathe Baabe Nubuwat Pe Bayhad Durood
Khatme Dauray Risalat Pe Lakhoon Salaam
Jis K Aa'ge Sare Sarwara Kham Rahein
Us SARETAAJE RIF-AT Pe Lakhoon Salaam
Dur-o-Nazdeek K Sunne Wale Wo Kaan
Kaane La'ale Karamat Pe Lakhoon Salaam
Jis K Mathe Shafa'at Ka Sehra Raha
Us Jabeene Sa'adat Pe Lakhoon Salaam
Jis Taraf oth Gae Dam Meim Dam Aagiya
Us Nigahe Inayat Pe Lakhoon Salaam
Wo Dahan Jis Ki Har Baat Wahiye Khuda
Chasmae Ilmo Hikmat Pe Lakhoon Salaam
Wa Zabaan Jis Ko Sab Kun Ki Kljnee Kahein
US Kl NAAFIZ HUKUMAT Pe Lakhoon Salaam
Uski Baton Ki Laz'zat Pe Lakhoon Durood
Uski Khljtbe Ki Hayabat Pe Lakhoon Salaam
Jiski Taskeen Se Rote Howe Hans Pare
Us Tabas'sum Ki Aadat Pe Lakhoon Salaam
Hajre Aswad e Ka'aba e Jani Dil
Ya'nee Mohre Nubuwat Pe Lakhoon Salaam
Hath Jis Simt Utha Ganee Kar Diya
Mauje Bahre Samahat Pe Lakhoon Salaam
Jis Ko Baare Do Aalam Ki parwa Nahein
Aise Bazu Ki Quwat Pe Lakhoon Salaam
Noor K Chasme Lehraein Darya Bahen
Ungliyon Ki Karamat Pe Lakhoon Salaam
Kul Jahaan Milk Aor Jau Ki Roti Giza
Ud Shikam Ki Kana'at Pe Lakhoon Salaam
Aur Jitne Hain Shehzaade Us Shah Ki
UN SAB AHLE MAKANAT Pe Lakhoon Salaam
Shafi'I, Malik, Ahmed, Imame Haneef
Chaar Baaghe Imamat Pe Lakhoon Salaam
Kamilaane Tariqat Pe Kaamil Durood
HAAMILAANE SHARIAT Pe Lakhoon Salaam
Gouse Aa'zam Imam ut Tuqa Wa N Nuqa
Jalwae Shane Qudrat Pe Lakhoon Salaam
Be Azaab o Etaab 0 Hisaab o Kitaab
Taa Abad AHLE SUNNAT Pe Lakhoon Salaam
Ek Maira Hi Rahmet Pe Dawa Nahein
Shah KI Sari Ummat Pe Lakhoon Salaam
Mujh Se Khidmat K Qudsi Kahein Haan Raza
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhoon Salaam