Jump to content

Mutlaashi

اراکین
  • کل پوسٹس

    196
  • تاریخِ رجسٹریشن

  • آخری تشریف آوری

سب کچھ Mutlaashi نے پوسٹ کیا

  1. Aap nay sahi kaha bahi k Pakistan ki team issi lea harti hay k wo Namazoon say door or Aqa ki sunnatoon say door hain, or sab say aik or eham baat yeh k hamari pakistan team main bad-mazhaboon ki taadad ziyada hay main nahi janta balkay yaqeen say keh ta hoon ko bhi Sunni Hanfi (Brailvi) nahi hoga to aap khud sochain k jis team main Ghstakh-e-Rasool hoon to bhala on ki mada k say ki jai gi shahyed meri baat kuch logoon ko buri balkay bohat buri lagay laikin yeh such or haqeeqat hay, kion k hum sab Sunni Brailvi (Hanfi) jantay hain k Aqa or Ambiyaa Kiraam ki or Aoulia Kiram ki gustakhiyaan ker k kon Dunya or Akhrat main Kamyaabi hasil ker sakta hay, or ager koi aisa soch ta bhi hay to wo bohat ghalat soch ta hay, aik baat or keh na chah hoon k hamari team main jo ghair muslim hotay hain or jab Allah un k diloon main Imaan ki Shama roshan ker ta hay to yeh log kalma shareef parh nay bhi un k pass hi jatay hain jin ka aqeeda hi batil hota hay, is lee a jo kuch inaam-o-Kiram in ko Deen-e-Islaam apna ker hasil hota hay to us k baad Batil logoon or Batil Jamatoon main shamil ho ker sab kuch ganwa day tay hain or un ko kuch maloom bhi nahi hota k yeh log kia kuch ker chukay hain or kon c anmol dolat ganwa chukay hain is lea akhir main keh na chah ta hoon k ager Pakistan Cricket team ko india k khilaaf jeetna nay to Aqa or tamam Ahel-e-bet or Auliaa Allah ki gustakhiyaan chohrni hoon geen or batil aqaid ko chohr ker Hanfi Sunni Aqeeda ko ikhtiyaar ker lain to Allah ki kasam hamari pakistan ki team India to kia dunya k her khail or har maidan main surkhuro ho gi IshaAllah Sajid Ali (Mutlaashi)
  2. Piyarey Islami Bhaiyoon or Islami Behnoon aaj main jo Image aap logoon say share ker nay raha hoon us ko dekh ker aap k monh say bay ikhtiyaar Subhan-Allah k alfaaz ada hoon gain, kissa yeh hay k mery office ghair muslim bhi kaam ker tay hain un main say aik ghair muslim ka naam Naraish Kumar tha jo k hamary sath office main kaam ker ta ha or Computer Operator tha, office routeen k mutabiq subha ki tea sab ko serve ki gai, or naraish kumaar ko bhi serve ki gai laikin busy honay ki bina per chai na pee saka or jab us nay chai pee nay k lea apna cup uthaya to us main Qdardti tor per chai ki Malai say Allah ka mubarak naam "ALLAH" likha hoa tha jis ko sab nay dekha or bay ikhtiyaar Subhaan Allah ki sadain bulland ho een, lehaza aap log bhi dekhain or samjhain k Allah jis ko chah hay apni qudart k tamashay dikha ta hay or ye image on logoon k lee a aik saboot hay jo keh Na-aozobillah keh tay hain k Allah ka wajood nahi, jis hindu larkay k tea cup main Allah likha hoa tha us ko kaha gaya tha k tum Islam ki Haqqaniyat ko maan lo or aik Khuda ko maan lo or Allah per Emaan lay aao, laikin us nay kuch jawab nahi dia or wo shakhs aaj say 2 months phelay Zehreeli Sharab pee ker Kufar ki halat main hi mar gaya, us ko ishara bhi mila laikin wo keh tay hain nay k jis k dil per Mohar lagi ho us ko koi bhi rah-e-rast per nahi la sakta Sajid Ali (Mutlaashi)
  3. Mutlaashi

    Behshti Zaiver

    Piyary Islami or behno is Islami Mehfil per kissi Islami Bhai nay aik link shared kia tha jis main Behashti Zaiver or bohat c Wahabi or Deobandiyon ki books online miltee hain, mujhay wo link chahyeh ager kissi Islami Bhai ya Behan k pass ho to Bra-e-Madina mujhay post ker dain aap logon ki bohat nawazish hogi Sajid Ali (Mutlaashi)
  4. Mutlaashi

    Bad Aqeeda Imam k peechay namaz parh nay ka Hukam

    Bad_Aqeeda_Imam.pdf
  5. Mutlaashi

    Muqaam_e_Ghous_Pak

    Muqaam_e_Ghous_Paak.pdf
  6. Mutlaashi

    praise of holy prophet (alehi'salam)

    Those who accomplish great deeds in the world, particularly the prophets and reformers, are gifted with a charismatic personality and it is this personality which is the power behind all their works of reform and leadership of movements and building up of a new order, based on a particular way of thinking. Thus, while studying the Prophet's life we should first assess the personality of this redeemer of the humanity. We do not have any picture or image of this greatest man whereby we can have the privilege of looking at his elegance because the Prophet himself prohibited the drawing or sculpturing of his picture as he feared this would be abused and might even be worshipped, which would annul the most basic tenet of Islam. All pictures of him, drawn by Non-Muslims are imaginary and are based on their biased view of the Prophet. We, therefore, have only some pen-portraits drawn by his companions (R.A), which give us a glimpse of his appearance. Abdullah bin Salam was a Jew of great learning; the moment he saw the Prophet, he was convinced of the truth of his mission and embraced Islam. He said, "As soon as I saw the Prophet, I realized that this face cannot be that of an impostor." Another companion, Abu Ramsa Taimi(R.A) says, "I went to the Prophet with my son and the people there pointed him out to me. Immediately my son and the people there pointed him out to me. Immediately on seeing him I was convinced that he was truly a messenger of God." Abu Huraira(R.A) remarked, "The Prophet was like a bright sun. I have not seen a more handsome than the Prophet. Rab'ee, daughter of Mu'awwaz. Had said, "If you had seen the Prophet, you would have felt as if the sun had risen." Hazrath Ali(R.A) said, "On the very first sight of him you would feel awe." Hazrath Jabir(R.A) Samra said, "I was once looking at the Prophet in the moonlight and comparing his face with the moon. At last I realized that the Prophet was much more handsome than the moon."
  7. Mutlaashi

    SALAAM TO SHOHDA-E-KARBALA

    In The Name Of Allah, The Most Gracious & The Most Merciful! SALAAM TO SHOHDA-E-KARBALA! Bayhis Logon Ki Khudgharz Wafaa Mein Jitni Beygaangee Hay Bayloss Logon Ki Koobsoorat Adaa Mein Utni Hi Saadgee Hay Sodaa Imaan Kaa Kartay Hein Qatal Imaam Ka Kartay Hein Mooshriqaana Bandagee Hay Doost-Nooma Dooshmani Hay Zamana Naya Log Naey, Nai Subhein, Nai Shamein Hein Kitnay Zamanon Mein Iss Zamany Ki Buniyad Ghari Hay Sar Jhookaey Rehtee Hein Jo Tehniyaan Samar Rakhtee Hein Jis Yazeed Ki Ibadat Mein Dam Nahein Gardan Usi Ki Tani Hay Muhammad K Talabgaaron Ki Baymisal Bay Sar-O-Samanee Hay Dekhay Kai Dhun Lootaanay Waley Kon Sadeek Sa Sakhee Hay Merey Baad Ger Peghambar Hota Wo Mera Umer Hota Yay Allah Ki Raza Kay Merey Baad Koi Nabi Nahee Hay illhaam Say Kam Naa Thee Usman Ki Pesheingoi…. Qasaas-E-Qatl-E-Usmaan Millat Mootahid Nahee Hay Ali Ki Miraas Mein Hasan Hussain Goya Mayan Mein Zulfiqar Hadar Qalander Sher-E-Khuda Saa Khushqismat Nahee Hay Kis Jalaad Kaa Dil Talawat-E-Husain Par Larzaa Nahi Hay Bohat Hein Qaaree Quran Kay Koi Husain Sa Naheen Hay! Iss Shairi Ka Mayar Kiya? Samaeen K Mun Ka Etibaar Kiya? Jo Aslaaf Ki Shaan Bayan Karay Wo Mehaz Shairi Nahi Hay
  8. Mutlaashi

    yom e ashora

    In The Name Of Allah, The Most Gracious & The Most Merciful! Ye bay paani k tar rehtay hain mourjhaya nahi kartay.. Yom-e-aashoraa kei aik aur roshan subaah Hazrat Husain (r.a) kei yaadon k gul mehkati hoovee taloo hoovee aur aansoon main doobi shaam soonehree naqoosh kay kae charaagh palkon par roshan kar gai. Aakhir aesi kayaa baat hay Hazrat Husain(r.a.) kei yaadon main k har nae hijree saal ka aaghaaz hotay hei jahaan dil odaas-o-maghmoom hotay hain tao roohon main huq k liyay jeenay kei nai omung aur zehan-e-shaoor main huq-o-batil ki bahimi kashmakash ka azli ehsaas bedaar honay lagta hay??? Har saal waqt waqea-e-karbala kee yaadon ko dohrata kiyoun mehsoos hota hay? Yay khaas kefiyat aakhir Nawasa-e-Rasool(s.a.w.) kei shahadat say mansoob kiyoun hay? Zamanay ko kabhei Nooh(a.s.) k betay Kanaan k doobnay par rona kiyoun nahi aayaa? Firon kei gharqabi ka gham kiyoun na hoovaa? Namrood k marmitnay, Saamri k darbadar honay, qoom-e-aad-o-samood aur qom-e-Loot k mitnay par kisi kei aankh kiyoun na roi??? Kitni hei tareekhi jungein hooveen… zamana jeetnay walon ko yaad na rakh saka phir haarnay walon ya mitnay walon ko koi kaya yaad rakhtaa….. mager haqeeqat tao yay hay k huq k naam par mitnay walon kei shaan hei aur hoti hay….yay raaz zamany ko Payaray Hussain (r.a.) jis adaa say samjha gae ussi adaa aur azmat ko Salaam-e-Aqeedat pesh karnay k liyay hei tao aqeedatmandon kei palkain ashkon say beegh jati hain aur dil-o-dimaagh Sarkaar kei aehl-e-baet ki yaadon k gulon say mehak oothtay hain…. Muhammad Mustafa K Baagh Kay Sab Phool Aesay Hain Yay Bay Paani K Tar Rehtay Hain Mourjhaya Nahi Kartay Zabaan Par Shikwaa-E-Ranj-O-Alam Laayaa Nahi Kartay Nabee K Naam Lewaa Gham Say Ghabraaya Nahi Kartay Husain(r.a.) kei yaad main behnay walay ashk kisi pachtaway ya kisi buray anjaam par ya unn kei shahadat par afsos ka izhaar hargiz nahi hain. yay ashk tao uss qaabl-e-fakhar Hastee Hussain(r.a.) ki azmaton ko salaam pesh kartay hain jo kamaal adaa k saath Huq kei raah main sub kuch qurbaan kar gae. Mosaa aur Firon kei jung tao har daor main jaari rehti hay mager jeet hameshaa huq kei hei hoti hay. baatli qoowatain waqti taor par jitni marzi mazboot hon mager haqeeqi falaah Huq k liyay larnay aur huq k liyay marnay walon ko naseeb hoti hay. Iss baat ka jeetaa jaagtaa saboot Nawasa-e-Rasool(s.a.) kei azeem shahadat hay jis kei bina par wo aaj bhei zindaa logon k dil-o-dimaagh par apnay Naana ki seerat-e-hasna k roshan naqoosh raqm kartay hain… mot say bher kar zindagee ko mitanay wali aur koi shay nahi hay. Issi mot say bachnay k liyay insaan tamaam zindagi apnay dushmanon say apni jaan apni olaad kei har mumkin hifaazat karta hay k kahein koi hamain nagehaan maar na dalay…zinda rehnay k liyay insaan kitni hei tagodood karta hay…hataa k apni jaan kei falaah k liyay wo doosray insaanon kei jaanon say khelnay say bhei daregh nahi kartaa …apnay bhalay k liyay doosron ko nuqsaan pohnchaya jata hay…khuda k qanoon ko tora jata hay….mager jab mot aati hay tao sab kuch apnay saath baha lay jati hay…nafsanafsi, khudparasti k iss aalam main yay siraf Allah k chaahnay walon kei hei shaan hoti hay k wo apni raza say apnay Maalk-e-haqeeqi par apni jaan lootaa kar mot ko bhei maat de jatay hain…unn kaa jeenaa marnaa huq k liyay hota hay…unn kei dosti dushmani huq k liyaya hoti hay…unn ka apni jaan par bhei huq nahi hota iss liyay wo jaan denay say ghabhraatay nahi… mager apni falaah k liyay kisi masoom ki jaan kabhi nahi letay… na hei bayjaa zulm dhaa kar apni taaqat manwatay hain…aur yahi ISLAM ka haqeeqi mafhoom hay… Muhammad Mustafa ki shaan-e-rahmat tao zara dekho Sitam sehtay tao hain lekin sitam dhaayaa nahi kartay Hazoor(s.a.w.) nay farmaayaa hay k Musalmaan wo hay jis kei zubaan aur haath say doosray mehfooz rahain…tao kaya jin k haathon say Hussain(r.a.) shaheed kar diyay gae wo musalmaan thay? Ya jo aehl-e-baet Huq k naam par mit gae wo islaam k haqeeqi waaris hain? Kon insaaniyat ki azmaton ko meraaj bakhsh gae aur kon hewaaniyat k maqaam say gir kar zulam kei intehaa kar gae…. iss baat ka feslaa kisi makhsoos firqay ya maslak k logon par manhasar nahi balkay poori insaaniyat k Haathon main hay… Kaya sirf musalmaan k piyaray hain Hussain(r.a.) Charkh-e-no-e-bashar k taaray hain Hussain(r.a.) Insaan ko bedaar to ho laynay do…. Har qom pookaray gi hamaray hain Hussain(r.a.)! Allah Paak nay Rasool (s.a.w.) say farmaya: “WARAFANA LAKA ZIKRAK” (Bayshak Ham nay Aap(s.a.w.) k ziker ko Aap(s.a.w.) k liyay buland farmaya hay)…Aur Allah Paak ka waadaa barhuq hei hoovaa karta hay…har Musalman jo namaaz parhta hay tao Muhammad(s.a.w.) aur unn kei AALL par darood-o-salaam bhejhta hay…tao Hussain(r.a.) aur Hassan(r.a.) bhei uss main shaamil hotay hain…kiyoun k unhon nay Rasool(s.a.w.) kei sunnat ko tahaayaat zindaa rakhaa…aur jo bhei kuch paas thaa sab Allah aur Rasool(s.a.w.) k deen k liyay fidaa kar dalaa…..bint-e-Rasool(s.a.w.) Fatima(r.a.) k Farzand nay karbala main waaday nibhaa diyay….tao phir kesay dushmanan-e-Rasool baynishaan na rehtay……“innashaniyaka hoowal abtar”… Karoon Teray Naam Pay Jaan Fidaa Na Bas Aik Jaan Dojahaan Fidaa Do-Jahaan Say Bhi Nahi Jee Bharaa Kaya Karoon Karoron Jahaan Nahi ager mehaz warsay main Rasoolon kei oladon ko yay shaan milti tao Nooh(a.s.) ka mushrik beta Kanaan tofaan main kiyounkar doobta …Hussain(r.a.) nay apnay tarz-e-amal say saabit kiya k aslaaf k roshan naqsh-e-paa par chal kar hei unn kei azmaton k ameen bana ja saktaa hay. Jo naqsh-e-paa par chal paray wohi apnay hain aur jo dagar say hut kar chalay wo qaaflay say bichar kar darbadar hogaye. Yahi wo ehsaas hay jo Hussain(r.a.) kei yaadain har nae islami saal k aaghaaz par baawar karwa jati hain k aey Duniya walo! Main aaenaa-e-Khatim-u-Rasool(s.a.w.) abn-e-Fatima-o-Haider houn meri seerat-o-kirdaar main Nabi-e-Aakhir-u-zamaan ka akas dekh sako tao khudh ko pehchaan lo k tum kon ho??? Kis Nabi k naamlewaa ho??? Main nawaasa-e-shaah-e-do-jahaan hokar bhei karbala main bhookaa,payaasa rehnay ko tarjee deta houn aur Huq ki raah par jaan lootaata houn…batao tumharay paas Muhammad(s.a.w.) k oumatei honay ka kaya saboot hay??? Array o naasamajh qurbaan hojaa inn k naqshe-paa par Yay lamhay zindagei main baar baar aayaa nahi kartay ham tao jab bhei guzray Maah-o-Saal k lamhaat k aaieenay main apna aks dekhtay hain tao ghabraa jatay hain….k ham tao zeeqada, zilhija aur Muharram jesay moqadas mahino main bhei apnay hei mulk main aik doosray k zulm ka shikaar hojatay hain…. melaad-e-Mustafa(s.a.w.) kei mehfilon main hamaray ulmaa-e-karaam shaheed kar diyay jatay hain…. firqawarana fasaadaat ko pedaa karnay k liyay hamaray ibadatgaahon ko nishaana banaya jata hay…mager ham par kuch asar nahi hota….k hamari tao zindagiyoun main hei Islam ka jazba hamaray dilon say mit’ta chala jaa raha hay… yahi haal rahaa tao na tao hamara jeenaa hamaray kisi kaam aae gaa na hamari mot say kisi qisam ka koi nafaa hasil hogaa….balkay munafiqana mot par tao dozakh k gharay hei hamaray muntazar hon gay….apnay aslaaf kei azmaton ko dekhtay hain tao un k naqsh-e-paa ko mashal-e-raah bana kar chalnay ka hoslaa bedaar hota hay aur jab apnay ghatiyaa kirdaar par nazar kartay hain tao sharm-o-nidaamat say sar jhuka letay hain…hamaray ashk aslaaf k qaabl-e-fakhar kirdaaron par aqeedat kay aur hamaray apnay gunahon par nidaamat k ehsaas say labrez hotay hain….aur shayad jazbat-o-ehsaasaat ki issi kefiyat kaa naam zindgani hay… Haqeeqat main wo loutfay zindagee paayaa nahi kartay Jo yaad-e-Mustafa say dil ko garmaayaa nahi kartay Nadaamat saath lay kar hasher main aey aasiyo jaanaa Sunaa hay sharm walon ko wo sharmaya nahi kartay Jo inn k daaman-e-rahmat say wabasta hain ae hamid Kisee kay saamnay wo haath phelayaa nahi kartay….. aslaaf kee shaan ka ziker karna mehaz qaseedaagoi nahi hay balkay hamaray aslaaf kei khoobsoorat batain hamara qeemti sarmaya hain…aur iss warsay main milay sarmaya kei hifazat ka fareezaa mehaz makhsoos ayaam main un kei yaadain dohraa kar adaa nahi ho saktaa…balkay unn kei achee achee baton ko tahaayaat apnay kirdaaron ka hissa bana kar hei ham unn kei nisbat say pehchaanay jaa saktay hain…kaya pata guzartay maah-o-saal main ham main say kon kon kab kab apni jaan say guzar jae gaa…jo Musalmaan apni saanson say jeenay ka ehsaas naa paa sakay aur apni zindagei ko kisi naik maqsad main na guzaar sakay… wo doosray insaanon say apnay saath kis qisam kei bhalai kei tawaqo rakhtay hain???? Ham namaaz main kin par salaam bhejtay hain aur haqeeqi zindagiyon main kin k naqsh-e-paa kei perwee kartay hain??? Kaya yay tazaad hamain roohani becheniyoun aur pastiyon kei taraf nahi layjaarahaa???? Allah kei rehmat ko sachay dil k saath toba ashtaghffaar kartay hoovay thaam kar hei ham haqeeqi sakoon aur apni baatilana sochon par kaamil fataah paa saktay hain……. Aasiyo Thaam Lo Daaman-e-Mustafa………………. Phir Kaho Rabb kei Rehmat Pe Laakhon Salaam Assalamoalaikaa Ayoohanabaiyoo Warahmatullahi Wabarakatu ASALAMOALAINA WA’AALA IBAAD Allahi thoaleeheen Sallooalaihiwa’aalihi dge Acts And Will Of Allah The Desire"
  9. Mutlaashi

    40 Sawal

    Main nay apni is IslamiMehfil per aik post dekhi thi 40 Sawalat, ab mujhay nahi maloom k yeh post kis nay ki thi filhaal kissi bhi nay ki to meri us Islami Bhai or Islami Behan say guzarish k Bra-e-Madina mujhay wo 40 sawalat wali post complete mujhay mery mail id per send ker dain ya phir mujhay bata dain k wo complete post mujhay kahan say milay gi mera gmail id hay *******************mujhay aap k reply ka shidat say intizaar rahay ga Sajid Ali (Mutlaashi)
  10. Aap nay sahi kaha mery bhai laikin main abhi new hoon is mehfil main InshaAllah Azzawajal jay say jay say main is main sharing ker ta rahoon ga mujhay is Mehfi k adaab k baray main aga-hi hoti rahay gi Sajid Ali (Mutlaashi)
  11. Mutlaashi

    15_Sadi_k_Mujaddid_e_Islam

    Tamam Islami Bhaiyoon or Islami Behnoon ki Khidmat main aik or Nayab Tohfa Sajid Ali (Mutlaashi) 15_Sadi_k_Mujaddid_e_Islam.pdf
  12. Mutlaashi

    sacred images

    Tamam Islami Bhaiyoon or Islami Behnoon ki Khidmat main aik or Nayab Tohfa Sajid Ali (Mutlaashi)
  13. Mutlaashi

    Islamic Litrature

    Tamam Islami Bhayoon or Islami Behnoon k lea aik or nayab Tohfa Sajid Ali (Mutalaashi)
  14. Mutlaashi

    Tohfa

    Tamam Islami Bhaiyoon or Islami Behnoon k lee a aik or Nayab Tohfa Sajid Ali (Mutlaashi)
  15. Mutlaashi

    Answers Required

    Piyar-e-Islami Bhaiyoon mere kuch sawalat hain jin k jawabat mujhay nahi mil rahay hain 1. Kia Quran Shareef main Naqsh-e-Nalain Pak rakh saktay hain ? 2. Tahir-ul-Qadri k khilaaf Fatwa kin Mufti nay dia kia wo Fatwa mil sakta hay ? 3. Sab say phelay Eid-Meelad-un-Nabi kiss nay manaya ? 4. Agar farz namaz ki teesri ya chothi rakat main sora-Fatiha k baad ager koi sorah parh li jai to kia namaz ho jai gi ? Sajid Ali (Mutlaashi)
  16. Mutlaashi

    Nayab Tohfa

    Aap sab Islami Bhaiyoon or Islami Behnoon k lee a aik Nayab Tohfa
  17. Attari bhai aap ki khidmat main mujhay aik arz ker ni thi omeed ker ta hoon k aap pora ker dain gain masla yeh hay mery bhai k main Islami Mehfil main Post nahi ker pa raha hoon, laikin kissi post ka reply ho jata hay main chah ta hoon k apni post karon kia aap mujhay samjha dain gain k main kahan say or kiss option say post ker sakta hoon or dosri baat yeh k Molana Arshad-ul-Qadri nay Deo-Bandiyoon say mutaliq aik kitaab likhi thi "ZALZLA" aap bra-e-Madina mujhay yeh kitaab post ker dain ager aap k pass ho ya kissi bhi Islami Bhai k pass ho to aap ki bohat bohat meharbani ho gi main aap k reply ka wait karoon ga Sajid Ali (Mutlaashi)
  18. Assalaam-o-Alaikum

    Mujhay to IM-Madni-Skin Acchi lagti hay kion k Subz Gumbad-e-Khizra or is Skin ka color bhi Subz

  19. main aap sab Islami Bhaiyoon or Islami Behnoon ki khidmat main aik bohat zabardast kissam ki share ker na chah ra hoon yaqeenan aap sab ko passand ai gi Sajid Ali (Mutlaashi)
  20. Wah kia baat mery Aqa ki k App nay humain aisa piyara muhabbat wala balkay maan say 70 guna ziyada muhabbat ker nay Allah Azzawajal ka Kalma parhaya or kai shaan hay mery Aqa ki aap nay sahi kaha k ager hum Allah Azzwajal Ehkamat per amal pera ho jain to hamari bigri ban jai laikin afsoos banda aisa soch ta kab hay Sajid Ali (Mutlaashi)
  21. Piyary Islami Bhaiyoon main aap ki is Islami Mehfil main Naya hoon, or mujhay inthai khushi ho rahi hay k mujhay aap ki mehfil main shirkat ker nay ka moka mil raha hay kion k main aik Hanfi Brailvi Sunni hoon, or mujh say bhi Bad mazhab ultay seedhay sawalat ker tay hain jin k jawabat (Is mehfil ko Join ker nay say phelay) day na mery buss say bahir tha laikin Allah Azzawajal ki hidatayat or Aqa (Sallal-laho-Alaihay Wasllam) k karam say main nay aap ki Islami Mehfil ko Join kia or Alhamdulliha Summa Alhamdullia is Islami Mehfil main Post kiey gai Tamam fatwoon say main nay Bad Mazhaboon k sawalab k jawabat day ker un k monh band ker diey hain, or aik baat or keh na chah hoon ga k main apnay aqeeday Hanfi Brailvi Maslaak k baray main itna kuch nahi janta tha jitna main nay is Islaim Mehfil main shirkat ker k jaan gaya hoon, or soch ta hoon k main nay itni der kion ker di is mehfil ko join ker nay main, bus mujhay aik baat or keh ni hay k main jo sawal ker na chah hoon to us ko k say post karoon or kahan post karoon kion k mujhay say post nahi ho raha hay, bra-e-karam mujhay app samjha dain k main k say post karoon Sajid Ali (Mutlaashi)
×
×
  • Create New...